More

    एसिडिटी दूर करने की दवा और आसान उपाय – Desi Nuskhe for Acidity

    Acidity - गैसएसिडिटी दूर करने की दवा और आसान उपाय - Desi Nuskhe for Acidity

    Acidity ki dawa baba ramdev in hindi: Pet me tejab banana, gas hona, gale aur seene me jalan hona, pet fulna aur ji ghabrana acidity hone ke kuch lakshan hai. Pet me acid jada banne se seene (chest) me jalan badhne lagti hai aur hyper acidity ban jati hai. Kuch log pet me tejab ka ilaj ke liye medicine lete hai par aap bina dawa ke desi ilaj aur gharelu upchar se acidity problem ka solution aasani tarike se ghar par hi kar sakte hai. Treatment me nuskhe karne ke sath sath khane pine mein badlav karna bhi jaruri hai. Aaj is lekh me hum janenge home remedies and patanjali ayurvedic medicine for acidity in hindi.

    Hyper acidity kyu hoti hai agar iski sahi jankari ho to samay rehte hi isse bachne ke upay kiye ja sakte hai. Hamare pet me acid banta hai jo khane ko digest karne me mdad karta hai. Jab ye acid kafi jada banne lage to hyper acidity ki problem hone lagti hai.

    Pet Me Acid Banne Ka Karan : Causes of Hyper Acidity

    • Acidity ka karan aur nivaran me sab se pahla hai ghar ka khana chod kar bahar fast food jada khana.
    • Har roj jada tala khatta aur mirch masaledar khana.
    • Jada chai, coffee, cold drinks aur jada sharab pina.
    • Pregnancy me acidity bahut si pregnant womens ko ho jati hai.
    • Bina doctor ki salah ke baat baat pe dawa ka sevan karna.
    • Bhukh se jada khana aur sidhe bed par let jane se bhi acidity ka rog hota hai.
    • Smoking jada karne se bhi hyper acidity ki samasya hoti hai.

    Hyper Acidity Ke Lakshan : Symptoms

    Acidity ke lakshan khana khane ke kuch samay baad dikhte hai jab khana digest ho jata hai aur pet me tejab reh jata hai.

    1. Bechani hona, ji ghabrana aur ulti aana ka man karna.
    2. Pet gale aur seene me jalan mehsus hona.
    3. Gas, kabj aur pachan se judi samasya hona.
    4. Khane ke baad khati dakar aana.
    5. Kuch bhi khane ka man na karna.

    Acidity Ki Dawa Baba Ramdev Ke Nuskhe

    Patanjali Ayurvedic Medicine For Acidity in Hindi

    Acidity ki shuruat hai to bina dawa ke thik ki ja sakti hai. Aajkal bajar me aesi bahut se dawa aati hai jo pet me tejab ki samasya ko dur karne me mdad karti hai par ye acidity ka permanent ilaj nahi kar pati. Agar aap acidity se chutkara pana chahte hai to ayurvedic dawa le sakte hai aur gharelu nuskhe bhi apna sakte hai. Aaiye jane baba ramdev ayurvedic medicine for acidiity in hindi.

    Acidity ki Dawa Patanjali in Hindi

    1. Divya Mukta Sukti Bhasm
    2. Patanjali Divya Moti Pishti
    3. Divya Avipattikara Churna Patanjali

    Acidity ka ilaj Baba Ramdev ke Nuskhe

    1. Pet me gas aur acidity se bachne ke liye khana khane ke baad saunf khana chahiiye. Iske ilava saunf wali chai pine se bhi acidity me rahat milti hai.

    2. Pet me tejab ka ilaj karne ke liye jeera ramban dawa hai. Kitni bhi bhayankar acidity ho aadhe se ek chammach jerra kacha chba chba kar khana chahiiye aur 10 minute ke baad gunguna paani piye.

    3. Ilaychi pet ke digestion ko thik rakhne me upyogi hai. Jab bhi seene me jalan aur acidity ke lakshan dikhe 2 ilaychi kha le. Paani me ilaychi ubaal kar paani pine se bhi rahat milti hai.

    4. Acidity ka gharelu upchar in hindi me thanda doodh pine se turant aaram milta hai. Doodh pet me acid nhi banne deta. Acidity se jaldi aaram pane ka ye sabse acha upay hai.

    5. Bahut jada tejab banne par tulsi ke patte chba kar khaye ya inhe paani me ubaal kar iska paani piye. Acidity thik karne me is upay se jaldi rahat milti hai.

    6. Acidity ke desi nuskhe karne ke liye khana khane se pahle aloe vera juice piye aur ahar acidity ki samasya jada hai to khana khane ke aadhe ghante baad aloe vera ka juice piye. Is upchar se acidity ka permanent ilaj kiya ja sakta hai.

    7. Acidity dur karne ke liye yoga karne se bhi fayda milta hai. Kapalbhati pranayam aur bhastrika pranayam har roj karne se acidity ka rog kabhi nhi hota.

    Hyper Acidity Hone Par Kya Karna Chahiye

    • Pet me tejab ki samasya jada ho to jada khana khane se bache. Kai bar hum pet bhar jane ke baad bhi khate rehte hai jo acidity ka karan banta hai.
    • Bhojan karne ke baad thodi der walk karni chahiye isse khane ko digest karne me mdad milti hai.
    • Hyper acidity problem jada hone par smoking karne aur sharab pine se parhej kare.
    • Tala aur mirch masaledar fast food pet me digest hone me jada samay lete hai aur inse tezaab bhi jada banta hai isliye aese food khane se bache.
    • Apne aahar me khatti chijo ke sevan se dur rahe. Khatti chijo me acid hota hai jisse pet me tejab banne lagta hai.
    • Breakfast lunch aur dinner karne ka time fix kare aur har roj usi samay par khaye.
    • Khana dhire dhire aur chba chba kar khaye. Jaldi jaldi khana nigalne se ise digest karne ke liye pet me tezab jada banta hai.
    • Tension jada lene se bhi acidity ki problem hoti hai. Meditation aur yoga se aap tension kam karne ke upay kar sakte hai.
    • Khana khate waqt sath me cold drink pine se bhi acidity badhti hai. Aahar lete samay kuch bhi liquid lene se bache.
    • Jada der khali pet rehne se bhi acidity ki samasya hoti hai. Isliye har 3 se 4 ghante me kuch na kuch khate rahe.
    • Pregnancy me seene me jalan aur acidity ka rog hone par upar bataye hue tarike apnaye.

    Acidity Me Kya Nahi Khana Chahiye : Parhej

    Acidity ke rog me khane ki kuch chije aesi hai jinke sevan se pareshani aur badh sakti hai isliye is baat ki jankari hona jaruri hai ki acidity me kya khana chahiye aur kya khane se parhej karna chahiye.

    • Cold drink, sharab, chocolate, jada mirch masale wale food, tala hua khana, tamatar ki sauce.
    • Pudi, paranthe, pakode, naan, samosa, kachori, pizza, burger, chai, coffee.
    • Falo me khatte fal na khaye.

    Pet Me Tejab Aur Jalan Hone Par Kya Khaye

    • Pet me acid ko control karne ke liye paani jada matra me piye.
    • Acidity ki wajah se pet aur gale me jalan jada rehti hai to kela khane se aaram milta hai. Kela me tezab se ladne me sabse jada takat hoti hai.
    • Pet me tejab banne se hone wali pareshaniyo ko dur karne ke liye lehsun ka sevan karna acha upay hai.
    • Jada masaledar ya heavy khana kha liya hai to chaach me kali mirch powder aur bhuna hua jeera daal kar piye. Is upay se pet me tejab nahi banega.
    • Nariyal paani body me acid ke asar se pet ko bachata hai.
    • Dadi maa ke nuskhe for acidity, khana khane ke baad gud jarur khana chahiye isse pachan tantar me sudhar hota hai.
    • Hyper acidity se bachav ke liye adarak ka pryog bhi kar sakte hai.
    • Laung ke sevan se bhi acidity dur hoti hai. Jab bhi acidity ho 2-3 laung khaye.

    Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

    Baba Ramdev ki Ayurvedic Dawa Patanjali

    Dosto Acidity ki dawa baba ramdev, Patanjali ayurvedic medicine for acidity in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aap ke pass pet me tejab ka desi ilaj aur seene me jalan ka upchar ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles