More

    Baal Sundar Kaise Banaye – 10 Hair Treatment Tips in Hindi

    Hair - बालBaal Sundar Kaise Banaye - 10 Hair Treatment Tips in Hindi

    Baal Sundar Kaise Banaye : Sundar aur ghane baal har kisi ko pasand hai. Kai bar kam umar mein hum apne baalo par kuch aise experiment kar lete hai jiske karan baal kamjor ho jate hai aur jaldi jhadne lagte hai. Baalo ko color karna, hair gel use karna, baalo ki sahi dekhbhaal na karna aur baalo ko pura poshan na dena kuch aise karan hai jo baalo ki khubsurati bigad dete hai ya fir kisi bimari ka ilaj karte samay kisi medicine ke side effect se bhi baal ud jate hai aur ganjapan dikhne lagta hai. Agar abhi tak aapko aesi kisi problem ka samna nahi karna pda to hamari ray hai ki in sab cheejo se door rahe aur baalo ko sundar banana ke natural ayurvedic tarike apnaye. Aaiye jane how to make hairs beautiful and hair treatment tips in hindi.

    Baal Lambe Karne ke Upay – Hair Treatment Tips in Hindi

    Healthy hairs pane ke liye ghar par kiya gya hair treatment jada badhiya hota hai, inke side effects nahi hote aur ye baalo ko jad se majbuti dete hai. Bajar mein milne wale hair products chemical yukt hote hai jo kaafi mehnge bhi hote hai aur inke side effects bhi ho sakte hai.

    1. Baalo ko Conditioner kare

    Hair conditioning se baalo ko strength milti hai, vese to bajar mei bhi kai parkar ke hair conditioner milte hai par aap ghar par bhi ise bna sakte hai. Iske liye ek cup tel mein 1 andda tod kar dale aur mix kar le aur baalo par lagaye.

    Ghar par conditioner banana ke liye mehandi ka paryog bhi utam hai. Mehandi mein dahi mila kar lagane se baal mulayam hote hai. Mehandi lagane ke 60 se 90 minute ke baad sir dho le aur uske baad tel se malish kare. Malish karne ke kuch ghanto baad hi taaje paani se sir dho le. Is gharelu upay se baal lambe aur ghane hote hai.

    2. Healthy Food Khaye

    Baal lambe karne ke tarike janana chahte ho to healthy food ke bare mein janiye. Agar baalo ko poshan nahi milega to baal kamjoor honge. Apni diet mein aesi cheeje shamil kare jinme vitamin A, C, jink, iron ki matra adhik ho. Iske ilava paani bhi adhik piye.

    3. Baalo ko Baandh kar Bahar Nikale

    Garmiyo mein tej dhoop ke karan sir mein paseena aata hai jisse baalo ki nami khatam ho jati hai aur baal rukhe hone lagte hai. Is situation mein baalo ki sahi dekhbhal na ki jaye to baalo mein dandruff aane lagta hai aur baal jhadne lagte hai. Isliye garmi ke mausam mein ghar se bahar nikalte samay sir par kapda baandhe aur baalo mein russi ho jaye to hairs ki care kare.

    4. Baalo ki Malish Kare

    Hairs ke liye jaitun ka tel kafi acha hota hai. 3 se 4 din mein ek baar jaitun ke tel se sir ki malish kare. Iske liye tel ko halka garam kar le aur halke haatho se baalo ki jado par lagaye. Malish ke baad garam paani se bhige toliye ko nichod kar 15 se 20 minute ke liye sir par bandh le aur lagbhag aadhe ghante ke baad sir ko taaje pani se dho le. Sir dhone se pahle dhyaan rahe ki aapka sir garam na ho. Is nuskhe se baalo ko poshan milta hai aur dandruff bhi khatam hoti hai. Hair massage ke liye badam ka tel bhi utam hai.

    Baal Kaise Badhaye – Hair Growth Home Remedies

    Bajar mein aise bahut se product milte hai jo baalo ko ghana aur lamba karne ka dawa karte hai. Par kai bar ye products problem ko aur bdha dete hai. Baal lambe karne ke liye natural tarike apnaye aur ghar mein upyog hone wali home remedies ka istemal kare. Aaiye jane baal lambe aur sundar banane ke gharelu nuskhe.

    1. Nimbu ka Ras (Lemon Juice)

    Nimbu mein citric acid hota hai jisse baalo ki russi kam hoti hai aur baalo mein chamak aati hai. Sir mein khushki ho to tel ke sath thhoda nimbu ka ras mila kar lagaye.

    2. Anda (Egg)

    Hairs ko growth ke liye protein ki jarurat hoti hai aur ande mein protein ki maatra adhik hoti hai. Agar kisi ko do munhe baalo ki samasya ho to uska ilaaj bhi ande se kiya ja sakta hai. Ek egg tod kar isme 2 chammach olive oil mila kar ache se mix kar le aur halke haatho se baalo par lagaye. Aadhe ghante baad baal dho le.

    3. Nariyal ka Doodh (Coconut Milk)

    Nariyal ke doodh mein vitamin, iron, calcium, magnesium hote hai jo baalo ka girna (hair fall) kam karta hai aur baalo ki lambayi badhane mein madad karta hai. Apni diet mein coconut milk shamil kare aur ho sake to isse baalo ki massage bhi kare.

    4. Amla

    Aawla ayurveda ki sab se badi khoj hai, rojana ek aawla khane se bahut si bimariyo se bacha ja sakta hai. Baalo ki bahut sari problems ka upchar akele amla se hi kiya ja sakta hai. Amla ka powder thode tel mein mila kar halka garam kar le aur raat ko sone se pahle baalo par maasage karke lagaye. Isse baal kale, lambe aur mulayam honge.

    5. Pyaaj ka Ras (Onion Juice)

    Pyaaj ka ras baalo ke liye kafi acha  hota hai, isme sulfur aur antioxidant tatav hote hai jo hair fall treatment aur hairs growth mein kafi help karte hai. Ek pyaaj tod kar iska ras nikal le aur apne baalo ki jado par lagaye. Iske aadhe ghante ke baad hair wash kar le.

    Baal Sundar Kaise Banaye – Hair Beauty Tips in Hindi 

    Balo ko chamakdar aur ghana banane ke liye agar aap choti choti baato ka dhyaan rakhenge to baal sundar, healthy aur dandruff free rahenge.

    1. Gile baalo mein kanghi na kare. Baal sukhne ke baad hi hairs ko comb kare.
    2. Baal sukhane ke liye hair dryer ka upyog kam se kam kare. Hair dryer se baal rukhe aur bejan ho jate hai.
    3. Rukhe aur mote baalo ke liye mote danto wali kanghi use kare, isse baal tutenge nahi.
    4. Raat ko sone se pahle baalo ko bandh kar juda bana le ya fir kisi kapde se dhak kar soye.
    5. Rojana shampoo ka paryog na kare aur baalo ko sabun ka istemal na kare.
    6. Agar baal jhadte ho to nahane se pahle baalo ki sarso ke tel se malish kare, isse hair fall aur loss ruk jayenge. Hairs ki sahi growth ke liye baalo mein castor oil lagaye.
    7. Mansik tanav sharer ke sath baalo ke liye bhi acha nahi hota. Stress lene se sir ke aaspass ki manspeshiya sikud jati hai, jiske karan blood circulation thik nahi hota aur baalo ko jaruri poshak tatav nahi milte. Isliye hamesha khush rahe.
    8. Baalo ko sundar banana ke liye baalo ko bhap de (hair steaming kare).
    9. Hafte mein kam se kam 3 bar baal jarur dhoye aur nahane se kuch der pahle nariyal tel se baalo ki malish kare. Hair wash karne ke liye garam paani ka paryog na kare, hamesha thande ya taaje paani se baal dhoye, isse baal sidhe rehte hai aur tutate jhadte bhi nahi.
    10. Balo ko hafte mein 2 baar gungune tel se malish kare, isse blood circulation acha hoga aur balo ko sahi poshan milega aur hafte mein 2 se 3 baar chawal ya besan ke maand se baalo ko dhoye, isse baal saaf honge aur healthy rahege.

    Dosto Baal Sundar Kaise Banaye, Hair Beauty Tips in Hindi ka ye lekh kaisa laga aur baalo ko lamba karne ke liye kya karte hai hame comment karke bataye. Agar aapke pass hair treatment ke upay ya koi sujhaav hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    24 COMMENTS

    1. i m 35years.mere baal bhut patle aur kmjor h.side me dono tarf ganjapn h.naye baal ugane aur baalo ko mota karne k achuuk upay bataye.kitne time tk koi upay follow karna hoga.

    2. Hello sir mere ball jad chuke hai jiski vajaha she me kafi pareshan rahata hu mere ko upay bataye ki naye balo ko kase ugaya ja sakata hai aurjadte ballo ko kase roka ja sakta hai iseke bare me bataeye

    3. सर मत्थे पर बाल ज्यादा घने करने के लिए क्या करें।

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles