More

    Sundar aur Intelligent Baby ke Liye Pregnancy Mein Kya Khaye

    Pregnancy - गर्भावस्थाSundar aur Intelligent Baby ke Liye Pregnancy Mein Kya Khaye

    Bacha gora hone ke upay in hindi: Har maa chahti hai uska baby smart, intelligent aur tej dimag wala ho. Par kya aap ye janti hai ki bacha gora kaise paida ho ye sab garbhwati mahila ke khan paan par bhi depend karta hai. Pregnancy ke dauran mahila jo kuch khati hai uska sidha asar bache ki mansik aur sharirik growth par padta hai isliye pregnant women ki diet mein aese food hona jaruri hai jise baby ka vikas sahi tarike se ho. Aaiye jane pregnancy diet for smart and intelligent baby.

    Pregnancy ke samay vitamin D, folic acid aur iron jese poshak tatav mind sharp karne aur IQ level bdhane mein madad karte hai. Is lekh mein hum kuch aese foods ke bare mein janenge jinhe pregnancy mein khaye to baby sundar aur active hota hai.

    Bacha Gora Hone ke Upay

    Baby Gora Hone ke Tips in Hindi

    Yu to bache bahut pyare aur sundar hote hai par khane pine ki aadto ka asar bhi paida hone wale bache par padta hai. Pregnancy ke waqt khane pine ki kuch baato ka dhyan rkha jaye to baby ki skin soft aur mulayam hoti hai. Aaiye jante hai pregnancy me kya khaye jisse bacha gora paida ho.

    • Kacche nariyal ki giriya mishri ke sath chba kar khane se baby sundar hoga.
    • Gajar ka juice pine se bhi bacha gora aur khubsurat hota hai.
    • Kesar aur badam wala doodh pine se bhi bache ki tvacha komal aur gori hoti hai.
    • Rojana ek gilass kale anguro ka ras pine se pet mein pal rahe bache ka rakt shudh hota hai jisse janm ke baad uska rang gora aur skin mein nikhar aata hai.

     

    Smart aur intelligent Baby Pane ke Liye Kya Khaye

     

    1. Masur ki Daal aur Palak

    Baby ke mind ki growth ke liye folic acid kafi jaruri nutrition hai. Palak aur masur ki daal mein folic acid adhik matra mein hota hai. Iske ilava hari patedar sabjiyo mein bhi iron aur folic acid bharpur hota hai. Garbhavastha ke dauran palak aur dusri hari sabjiya khane se bache ka mind sharp hota hai aur bacha intelligent hota hai.

     

    2. Dahi aur Anda (Egg)

    1. Baby ke dimag ki koshikao ke vikas mein protein lene se madad milti hai. Protein ke sath sath dahi mein kai parkar ke poshak tatav hote hai jo bache ke pure vikas mein asardar hai.
    2. Ande mein protein ke ilava amino acid aur iron bhi hota hai. Amino acid yaddasht badhane aur dimag tej karne mein madadgar hai. Pregnant women ko apni diet mein 2 ande daily khane chahiye.
    3. Jin bacho ka wajan kam hota hai unka IQ level bhi kam hota hai. Egg mein iron aur protein hone se child ka weight bhi thik rehta hai.

     

    3. Blueberry

     

    4. Omega 3 Fatty Acid

    Baby ki mentally growth ke liye omega 3 fatty acid bhi faydemand hai. Machli (fish) mein omega 3 adhik matra mein hota hai. Agar aap fish khate hai to aesi fish na khaye jisme mercury ka level adhik ho jese tilefish, swordfish, shark. In machliyo ke sevan se parhej kare.

    Aap catfish aur salmon jesi machliyo ka sevan kar sakte hai. Hafte mein 2 baar se jada na khaye.

     

    5. Fruits aur Vegetables

    Fal aur sabjiyo mein anti oxidents hote hai jo sharir mein free radicals se ladte hai. Body mein free radical baby ki growth par bura asar dalte hai. Pregnancy ke waqt jo mahilaye falo ka sevan adhik karti hai vo healthy aur intelligent baby ko paida karti hai.

    Iron body ke sabhi ango tak oxygen pahuchane ka kaam karta hai. Smart baby ke liye maa ke sharir mein iron ki sahi matra hona jaruri hai. Iron ki kami puri karne ke liye oats, dry fruits, palak aur hari sabjiya khaye.

     

    Pregnancy Diet Tips in Hindi

    • Pani adhik piye.
    • Faal aur sabjiya taaja hi khaye.
    • Jitna protein hum apni diet mein lete hai use 15 gram jada le.
    • Subah kuch der dhoop mein baithe isse body ko vitamin D milega.
    • Juice pine se acha hai faal khaye aur agar juice pina chahe to dibba band juice na piye, taaje faalo ko juice hi piye.

     

    Sundar aur smart child ke liye pregnancy mein khane wale food ke tips ka ye lekh aapki jankari ke liye hai, apni diet mein koi bhi food shamil karne se pahle aap ek bar apne doctor ki raay bhi jarur le.

     

    Dosto Bacha Gora Hone ke Upay in Hindi, Pregnancy Diet for Smart and Intelligent Baby ka ye lekh aapko kaisa laga hame commrnt kar ke btaye aur agar aapke pass gora bacha paida karne ke liye kya khaye is bare mein koi jankari ya sujhav ho to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    3 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles