More

    Chehre se Blackheads Hatane ke Upay Hindi Mein

    Face - चेहराChehre se Blackheads Hatane ke Upay Hindi Mein

    Blackheads Hatane ke Gharelu Upay Hindi Mein

    Aajkal chehre par blackheads hona normal sa ho gya hai. Blackheads jadatar naak(nose) ki dono taraf aur thodi ke niche hote hai. Tvacha ki chidro mein tel aur mitti jama hone se blackheads ho jate hai. Blackhead ki wajah se dead skin ki problem bhi ho jati hai, jisse chehre par kil muhanse nikalne lagte hai aur chehra bejaan sa dikhne lagta hai. Aesa jadatar un logo mein hota hai jinki skin healthy na ho. Blackheads ki problem jadatar oily skin walo ko hoti hai. Ye problem ladke aur ladkiyo kisi ko bhi ho sakti hai. Market mein milne wale mehnge beauty products buy karna easy nahi, isliye is article mein hum blackheads hatane ke upay aur chehre ko sundar banana ke gharelu tips bata rahe hai, Home Remedies to Remove Blackheads in Hindi.

    Blackheads kisi bhi umar ki vyakti ko ho sakte hai. Par jo log apni skin ka khayal rakhte hai aur chehre par cleanser, toner ya koi moisturizer lagate hai unhe ye problem hone ke chances kaafi kam hote hai. Bas main problem yahi hai ki aaj ki life style mein hum itna busy hote hai ki ye sab karne ka samay nahi mil pata.

    Blackheads Kyu Hote Hai – Causes

    • Pollution ki wajah se.
    • Oily Skin ke karan.
    • Hamare rom chidro ka bada hona.
    • Rom chidro mein mitti ya bacteria jama ho jana.
    • Tvacha ki safayi na karna
    • Harmons mein gadbadi hona.
    • Jada maatra mein cosmetic products paryog karna.

    Blackheads Hatane ke Upay – How to Remove Blackheads in Hindi

    Simple tarike se blackheads nikalna bahut dard bhara ho sakta hai kyuki isme kisi stripe ya blackhead removal ka paryog karte hai jisme bahut pain hita hai. Agar aap blackheads aur dead skin ki problem se pareshan hai aur iske liye permanent solution chahte hai to niche bataye hue gharelu nuskhe apnaye.

    Kisi bhi upay ko try karne se pahle check karle ki aapki skin sensitive to nahi hai, iske liye aap in tips ko face par lagane se pahle haath ya pair par laga kar check kare agar kisi tarah ki koi allergy ya reaction ho to aap bataye hue upay mein se koi dusra upay try kare.

    1. Green Tea se Blackheads Kaise Hataye

    • Green tea health ke sath sath skin care ke liye bhi upyogi hai.
    • 1 chammach green tea ki pattiyo ko paani mein pees kar paste bana le aur chehre par blackheads wali jagah par lagaye aur fingers se halki halki maalish kare.
    • Ye upay ek natural scrub ki tarah kaam karega aur chehre ke rom chidro se tel bahar nikalta hai. Naak ki dono taraf is leep ko 5 minute tak laga kar halki malish karne se blackheads saaf ho jayenge.

    2. Baking Soda

    • Paani mein thoda sa baking soda mila kar ek paste bana le aur chehre par blackheads wali jagah par 20 se 25 minute ke liye laga kar rakhe aur uske baad gungune paani se chehre ko dho le, aapko blackheads se chutkara milega.

    3. Jaitun ka Tel

    Jin logo ki skin dry hai vo jaitun ke tel aur oatmeal ko milakar ek paste bana le aur paryog kare. Isse blackheads naturally aur eaisly remove ho jate hai.

    4. Hara Dhaniya

    • Dhaniya ki pattiyo ko paani ke sath pees kar ek paste bana le aur isme thodi si haldi daal de.
    • Ab is paste ko 20 se 25 minute ke liye chahre par lagaye aur fir gungune paani mein dho le.
    • Agar blackheads bar bar hote hai to is paste ko rojana raat ko apne chehre par lagaye.

    5. Yogurt (Dahi)

    • 3 chammach dahi mein 2 chammach daliya(oats), 1 chammach jaitun ka tel aur 1 chammach nimbu ka ras daal kar mix kar le.
    • Is paste ko 10 minute tak chahre par laga kar rakhe aur uske baad chehra dho le.

    6. Nimbu ke Ras se Blackhead Kaise Hataye

    • Blackheads par nimbu ka ras lagane se bhi benefit milta hai. Din mein 2 se 3 bar nimbu ka ras blackheads par lagane se saaf ho jate hai.
    • Agar chehre par kale daag dhabbe bhi ho to badam ke tel mein nimbu ka ras mila kar lagane se daag dhabbe saaf ho jate hai.
    • Iske ilava aap nimbu ke ras mein kheere ke ras ki kuch drops mila kar bhi laga sakte hai.

    7. Aaloo (Potato)

    • Blackheads nikalne ke liye kachhe aaloo ka paryog bhi kar sakte hai.
    • Kacche aaloo ko beech se kaat le aur usme andar ki taraf ched kar le taaki ras bahar nikal sake. Ab blackheads wali jagah par massage kare.
    • Blackheads nikalne aur chehre ko sundar banana ke liye ye upay kaafi kargar hai, kyuki isse tavacha bhi saaf ho jati hai.
    • Iske ilava aap 3 se 4 aalu pees kar unka paste bhi chehre par lga sakte hai.

    Nose se Blackheads Nikalne ke Kuch Easy Tips in Hindi

    • Angoor ko achi tarah mash karke paste bana le aur blackheads pa lagaye. 15 se 20 minute mein ye paste such jayega, ab aap halke garam paani se chehre ko dho le.
    • Ande(Egg) ka safed hissa blackheads par lagaye aur jab ye such jaye tab besan se chehre kon saaf kar le.
    • Rojana raat ko sone se pahle face ko achi tarah saaf kare. Isse face par pimples ayr blackheads nahi hoge.
    • Blackheads door karne ke liye nimbu k eras mein thoda namak mila kar 10 minute ke liye lagaye, fir thande paani se chahre ko dho le. Namaki ki jagah aap sugar kar paryog bhi kar sakte hai.
    • Tamatar se bhi blackheads hatane ke upay kar sakte hai. Tamatar ka gudda chehre par ragadne se bhi blackheads khatam hote hai.
    • Santre ka chilka kl sukha kar uska churan bana le. Ab is churan ko blackhead wali jagah par dhere dhere se ragde.
    • Kele ka chilka blackgeads  nikalne ke kaam aa sakta hai. Peesa hua kela ya fir kele ka chilka blackgeads wali tavacha par ragde. Face beauty ke is upay se blackgeads puri rarah hat jaayenge.

    Toothpaste se Blackheads Remove Kaise Kare

    Blackheads hatane ke liye toothpaste ki ek patli parat kale dhabbo par lagaye. 20 minute ke baad chehre ko ache se dho le. Shuruaat mein tooth paste lagane se jalan bhi ho sakti hai par ye thodi der mein hi kam ho jayegi.

    Face Beauty Tips in Hindi

    Face par blackheads aur kale daag dhabbe gandagi jamne ki wajah se hote hai. Isliye iske solution ke liye chahre se gandgi nikalna jaruri hai. Bazar mein kai tarah ke cleanser mil jate hai par aap natural tarike se bhi chehre ki safayi kar sakte hai.

    • Ek cup mein 5 se 6 chammach kaccha doodh le aur usme cotton dubo kar apne face ke us hisse par lagaye jahan kale dhabbe dikh rahe hai. Ab is jagah ko kuch der tak cotton se ragde. Is upay se chahre mein jami dhool mitti ke kan bahar nikal jate hai.
    • Hafte mein ek baar face par scrub ka paryog kare. Chehre par scurbing karne se jami hui dhool mitti saaf ho jati hai aur blackheads bhi nikal jate hai.
    • Chehre ko saaf karne ke liye multani mitti ka face pack bana kar bhi laga sakte hai.
    • Jane Ayurvedic Face Pack Hindi Mein

    Blackheads se Bachne ke Upay

    • Besan ke paryog se blackheads se bacha ja sakta hai. Kisi bartan mein besan daal kar usme paani dale aur ek paste bna le.
    • Ab is paste ko chahre par ungaliyo ki madaqd se lagaye aur halki malish kare.
    • Agar aap ye upay hafte mein ek bar kare to blackheads se bacha ja sata hai.
    • Agar aapke chehre par blackhead hai tab bhi aap ise kar sakte hai, isse blackhead ka ilaj bhi ho sakta hai.

    Is article mein bataye hui face beauty home remedies mahilaye aur purush koi bhi paryog kar sakta hai.

    Dosto Blackheads Hatane ke Upay, How to Remove Blackheads in Hindi ka ye article aapko kaisa laga comment karke bataye aur agar aap ke pass naak(nose) ke blackheads aur chehre ki dead skin se chutkara pane ke natural home remedies hai to hamare sath share kare, aapke dawara di gayi jankari se auro ko bhi benefit mil sakega.

    Recent Articles

    3 COMMENTS

    1. ये सभी होम रेमेडीज वाकई ब्लैक हेड्स से छुटकारा पाने के लिए बहुत ही उपयोगी है. आगे भी ऐसी ही ज्ञानवर्धक जानकारी देते रहे धन्यवाद.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles