More

    Sharir ki Gandagi Bahar Nikalne Ke Upay- Detox Your Body Tips

    Weight loss - वजन घटाएSharir ki Gandagi Bahar Nikalne Ke Upay- Detox Your Body Tips

    Body ko Detox Kaise Kare Jane Hindi Mein

    Sharir mein susti aana aur har samay aalas mehsoos karna, chehre par keel muhanse nikalna, baal girna, pet ki bimariya hona, digestion system weak hona aur bahut jaldi kisi infection se parbhavit ho kar bimar pad jana. Agar inme se koi bhi problem aapke sath bhi hai to aap ko inke ilaj aur upay karne ke sath sath apni body ko detox karne ki jarurat hai. Body se hanikarak vishale padartho ko bahar nikalne ki parkiya ko detoxification kehte hai. Is article mein hum janege shareer ki gandagi bahar nikalne aur khoon saaf karne ke kya upay kare – How to detox your body, health tips in hindi.

    Body ko Detox Kaise Kare, Sharir ki gandagi bahar nikalne ke upay

     

    Body Detoxify Karne ke Fayde – Benefits

    • Sharir se hanikarak chemicals bahar nikalte hai.
    • Weight kam karne mein madad milti hai.
    • Khoon saaf hota hai jisse skin par fode funsi nahi nikalte.
    • Shareer mein energy aur stamina badhta hai.
    • Man aur dimag shant rehte hai.
    • Body healthy, fit aur active rehti hai.
    • Baal ugane aur baalo ki problems ka solution milta hai.
    • Umar badhti hai aur jaldi budhapa nahi aata.

     

    Body ko Detox Kaise Kare – Ayurveda Nuskhe in Hindi

    1. Subh nimbu ke sath garam paani piye aur din mein 2 se 3 bar green tea piye. Green tea mein antioxidant hote hai jo body ka metabolic rate badhate hai aur isse wajan bhi kam hota hai.
    2. Raat ko sone se pahle thoda sa dhaniya ke beej, kaali mirch, jeera, moti ilaychi ko ek chuthayi glass paani mein bhigo kar rakhe. Subh is paani ko ubaal kar chaan le aur ek chuathayi paani roj piye.
    3. Daalchini ko thode se paani mein bhigo kar rakhe aur subh thodi si adrak ke sath paani pine se body ka metabolism badhta hai aur isse pet ki charbi bhi kam hota hai.

    Agar aap kisi gambhir bimari se pareshan hai to in upayo ko karne se pahle kisi ayurvedic vaid ya fir apne doctor ki salah jarur le.

     

    Sharer ki Gandagi Nikalne ke liye Kya Khaye – Detox food Tips

    Aajkal hum fast food khane ke aadi ho gaye hai, par kya aap jante hai ki yahi food hamare sharer ko nuksan karta hai. Junk food ke bure asar se bachne ke liye aur bar bar hone wali choti choti bimariyo se door rehne ke liye jaruri hai ki sharer ko nuksan karne wale jeharile padartho ko bahar nikala jaye. Aaiye jane body ko detox karne ke liye kya khaye.

     

    1. Lehsun (Garlic)

    Lehsun mein antibiotic aur antibacterial tatav hote hai jo body se hanikarak padarath (toxins) bahar nikalne mein madad karte hai. Bhojan banate samay lehsun ka paryog jarur kare.

     

    2. Kheera (Cucumber)

    Kheere mein paani ki matra adhik hoti hai, ye body ke toxins urine ke raste bahar nikal deta hai. Khere ko bhjoan ke sath salad ke rup mein khaye. Ye shareer mein paani ki kami ko bhi pura karta hai.

     

    3. Green Tea

    Green tea mein natural antioxidents hote hai jo liver ko kai parkar ki bimariyo se door rakhta hai. Din mein 2 se 3 cup green tea piye. Ye body ka metabolism strong karne ke sath weight loss karne mein bhi madad karti hai.

     

    4. Hara Dhaniya

    Hare dhaniya mein antiseptic, antifungal tatav body ki gandgi ko door karte hai aur liver ki safayi karne wale enzymes ko bhi badhata hai. Iski pattiya aap kachi bhi kha sakte hai aur khane mein bhi paryog kar sakte hai.

     

    5. Adarak (Ginger)

    Adarak sharir ki bimariyo se ladne ki shamta badhta hai aur pachan tantar ko majboot karta hai. Khane mein adrak ka paryog kare aur ho sake to adarak wali chaye piye.

     

    6. Akhrot (Wall Nut)

    Akhrot mein omega – 3 hota hai jo heart ko healthy rakhne ke sath body ko detoxify bhi karta hai. Akhroat mein magnesium, copper aur biotin hota hai jo prostate cancer ke chances kam karta hai aur shareer ke free radicals ko bahar nikal ke badhti umar ko dhema karta hai.

     

    7. Nimbu (lemon)

    Nimbu mein vitamin C ki matra adhik hoti hai jo free radicals nasht karta hai. Rojana subh ek glass garam paani mein thoda nimbu ka ras mila kar piye. Ye drink body se jeharile chemicals ko bahar nikalne mein madad karta hai aur body ke PH balance ko banaye rakhta hai. Nimbu ras ka ye drink body ki immunity bhi badhata hai.

     

    8. Fresh Fruits

    Fruits mein fibre, vitamin aur sabhi jaruri nutritions hote hai jo skin aur hairs ko jaruri poshan dete hai aur digestion bhi acha karte hai.

     

    9. Chukandar (Beetroot)

    Chukandar mein iron, magnesium aur vitamin C adhik matra mein hota hai jo sharer mein cholesterol control karta hai aur liver mein maujood toxins ko bahar nikalta hai. Jin logo ke sharer mein khoon ki kami ho unhe chukundar ka sevan karna chahiye.

     

    10. Wheatgrass Juice

    Gehu ke javare mein sabhi parkar ke poshak tatav hote hai. Shareer se gandagi aur jeharile chemicals bahar nikalne ka best tarika hai ki aap rojana wheatgrass juice ka sevan kare.

     

    Simple Tips to Detox Your Body in Hindi

     

    1. Sugar na Khaye

    Agar body ko vishale aur hanikarak padartho se bachaye rakhna hai to chini ka sevan kam kare aur jitna ho sake mitha kam ihaye.

     

    2. Heavy Khana na Khaye

    Halka bhojan karne ki aadat dale aur sharab, smoking kuch samay ke liye bilkul band kar de. Isse body mein energy aayegi, cholesterol aur blood sugar bhi control mein rahega.

     

    3. Body Massage Kare

    Hafte mein kam se kam ek bar pure sharir ki ache se malish karwaye, isse blood circulation sahi hoga aur sharer ki sari gandgi door ho jayegi.

     

    4. Paani Jada Piye

    Body ko detoxify karne ka sab se acha tarika hai ki aap paani jada piye. Rojana 3 se 4 liter paani piye, isse shareer ke toxins peshaab aur paseene ke sath bahar nikal jayenge.

     

    5. Yoga aur Exercises

    Koshish kare ki aap exercises aur yoga se apna din shuru kare. Cycling, running, speed walking aur jogging jesi exercises bhi kar sakte hai aur baba ramdev ke bataye hue pranayam aur yoga bhi kare.

     

    6. Nose Cleaning

    Aajkal vatavaran mein polution adhik ho gya hai. Hawa mein maujjood hanikarak chemicals saans ke dawara  hamare andar pahunchte hai jo body ko nuksan karte hai. Is problem se bachne ke liye naak ki safayi kare. Isse air pollution se nijat milegi aur achi neend bhi aayegi.

     

    7. Achi Neend le

    Shareer mein susti aur aalas ka sabse bada karan hai ki hum thik se aaram nahi karte. Rojana 8 ghante ki gehri neend lene se body fresh aur chust rehti hai.

     

    Health Tips in Hindi

    • Aesa bhoan kare jisme fiber adhik ho. Khane mein hari sabjiya aur fresh fruits shamil kare.
    • Body mein paseena aane de. Kuch aisa kaam kare ki sharer se paseena nikle.
    • Gehri saans le taki fefdo ko jada oxygen mile aur blood circulation behtar ho.
    • Herbel tea jese green tea blood ko purify karne mein madad karti hai.
    • Khana Dhere dhereaur chba chba kar khaye
    • Rojana 2 se 3 litre pani jarur piye.
    • Vitamin C ka sevan kare.
    • Rojana vyayam kare.

     

    Apni body ko fresh aur energetic banaye rakhne, shareer se gandgi bahar nikalne, khoon saaf karne aur body ko detox karne ke liye ye upay bahut kargar hai.

     

    Dosto Body ko Detox Kaise Kare, How to detoxify your body health tips in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass sharir ki gandagi bahar nikalne ke upay ya sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    18 COMMENTS

    1. Bhut achi Post dali hai sir apne. ANd apka Blog bhut acha or aap to very Nice person jo logo ko itni achi jankari de rahe hai
      Thank you

    2. Sir mere ko 7 sal se pimples ho rahe h or me natural ayurvedic home remedies sab kuch use kar chuka but koi fyda ni meri skin bhot oily he.or face par bhot jyda dag dhabbe ho gye gehre gehre gadde bhi..meri age 23 h sir

    3. hello govind sir mujhe kafi salo se ye problem h ki me agar koi bhi garam cheez khata hun to mujhe loose motion ho jate hai kafi medicines le li ,ultra sound bhi krvaya to unhone btaya ki apka naadi system weak h jiski bajah se aisa hota h ,agar ap meri koi help kr de to me apka bahut abhaari rahunga plz help me sir,

    4. Sir face pr pimple bahut niklte h kayi bar to kamr or sir me bhi Dane nikal jate h agr koi Ayurved upay karti hun to fir kuchh dino bad fir nikl jate h permanent solution batay

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles