More

    Chicken Pox ka ilaj aur Daano ke Nishan Hatane ke 7 Upay

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेChicken Pox ka ilaj aur Daano ke Nishan Hatane ke 7 Upay

    Chicken Pox ke Gharelu Upay in Hindi: Chicken pox ko log chechak, badi mata, choti mata ke naam se bhi jante hai. Ye bimari varicella zoster naam ke virus ke karan hoti hai. Is rog mein puri body par chote chote dane nikal aate hai aur kai bar in daano mein pas bhi pad jati hai. Is rog se rahat pane mein 12 se 15 din tak ka samay lag sakta hai par puri tarah chicken pox se chutkara pane mein adhik samay lag sakta hai. Is rog se aaram pane ke liye bahut se log medicine (dawa) ka sahara lete hai par chechak ke daane kai baar dawai lene se bhi thik nahi hote. Is article mein hum janege ayurvedic desi nuskhe aur  gharelu upchar se chicken pox ka ilaj kaise kare, home remedies treatment to cure chicken pox in hindi.

    Vese to baccho mein ye rog jada dekha gya hai par ye rog kisi bhi umar mein kisi bhi purush, mahila aur bacche ko ho sakta hai. Is bimari mein body mein weakness aane lagti hai aur daano par khujli bhi hone lagti hai. Par in daano par khujli nahi karna chahiye kyuki aesa karne se ye fut sakte hai jisse thik hone ke baad bhi ek nishan dikhne lagega. Kisi bhi bimari ke treatment ke liye jaruri hai ki uske bare mein jankari rakhe jese chicken pox me kya khana chahiye, chicken pox kaise hota hai.

     

    Chicken Pox ke Karan : Causes

    • Jin logo ki skin jada sensitive hoti hai ve jaldi is rog se grast ho jate hai.
    • Dushit khana aur pina is rog ki ek wajah hai. Hum aksar road ke side se kuch aesi chije khate hai jo pahle se hi kaat ke rakhi hoti hai aur dhool mitti ki wajah se dushit ho jati hai.
    • Jada thand ya fir jada garmi hona.
    • Chote baccho ko achanak se maa ka doodh chudwa kar khane pine ki dusri cheeje dene se infection hone ki sambhavna jada hoti hai.

     

    Chehak ke Lakshan : Chicken Pox Symptoms

    • Is rog mein bukhar aata hai jo 2 se 3 din tak reh sakta hai.
    • Body mein weakness aati hai aur immunity bhi weak hone lagti hai.
    • Bhukh kam lagna aur ulti aana chechak ke  lakshano mein se ek hai.
    • Body par daane nikal aate hai jo 7 se 10 din mein khud hi gayab hone lagte hai.
    • Shuru mein laal rang ke daane nikalte hai jo baad mein fafolo ka roop le lete hai.
    • Chehre, gardan, kamar, pet par daane aane lagte hai aur daano pe khujli hone lagti hai.

     

    Chicken Pox ka ilaj ke Gharelu Upay

    Home Remedies for Chicken Pox in Hindi

     

    1. Neem ke patte paani mein ubaal le aur thanda hone par ise chaan le. Is paani se nahane se khujli khatam hoti hai.

    2. Gajar aur dhaniya ubaal kar iska sevan karna chahiye isse sharir ki kamjori dur hone lagegi.

    3. Chicken pox ke liye gharelu upchar mein nimbu ka paryog bhi faydemand hai. Nimbu ka ras pine se chechak mein aaram milta hai. Aap shikanji bana kar bhi pi sakte hai.

    4. Is bimari mein saaf safayi ka dhyan rakhe aur dushit khana khane se bache. Khule mein rakhi hui chije khana khane se bache.

    5. Chechak ke daano ki khujli dur karne ke liye ek balti mein paani bhar kar rakhe aur is mein ek tukda adarak daal kar aadha ghanta chod de. Is paani se nahane se chicken pox ki khujli mein aaram milta hai.

    6. Agar bacche ko chicken pox hua hai to use school na bheje isse dusre baccho ko infection hone ka khatra rahega.

    7. Thandi hawa mein is rog ka virus jada active hota hai isliye bacche ko thand se bachaye.

     

    Chicken Pox ke Nishan ka ilaj in Hindi

    1. Aloevera gel skin ke liye bahut faydemand hai. Iska istemal kai parkar ki skin problem ke upchar mein kiya jata hai. Chicken pox ke daag mitane ke liye bhi aap aloe vera gel paryog kar sakte hai.

    2. Tamatar ke gudde ko daago par niyamit roop se paryog karne se dhire dhire daag saaf hone lagte hai. Tamatar mein nimbu ka ras bhi mila sakte hai.

    3. Din mein 2 se 3 baar daane ke nishan par shahad lagaye aur thodi der baad dho le. Daano ke nishan ka ilaj karne mein ye upay kafi kargar hai.

    4. Chicken pox ke nishan saaf karne mein doodh bhi upyogi hai. Nishan ko jab bhi dhoye paani ki jagah doodh paryog kare, isse aap jaldi in nishano se chutkara pa sakenge.

    5. Nishan, kale daag jesi pareshaniyo ke upay mein nariyal ka tel ramban kaam karta hai. Nishan par din mein 3 se 4 baar nariyal ka tel lagaye.

    6. Papita skin ke dead cells hatane aur skin ko moisturize karne mein upyogi hai. 1 cup kata hu papita, 5 chammach doodh, 5 chammach shakar le aur sab ko mila kar mixi mein pees le. Is paste ko daag par lagaye aur kuch der baad saaf kar le. Kuch din nirantar ye upay karne se nishan gayab hone lagenge.

    7. Baking soda skin ke ph level ko normal karta hai. Baking soda mein thoda paani mila kar ek scrub tyar kar le aur skin par massage kare. Kuch din lagatar ye upay karne se aapko farak dikhne lagega.

     

    Is lekh mein bataye gaye chicken pox ke daag hatane ka tarika aur ilaj ke gharelu nuskhe aapki jankari ke liye hai agar aapki skin jada sentive hai to in upayo ko karne se pahle kisi ayurvedic chikitsak ki salah se inhe karne ke pure tarike jane.

     

    Dosto Chicken Pox ka ilaj ke Gharelu Upay, Home Remedies for Chicken Pox in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass chechak ke upchar ke desi nuskhe ya chicken pox ke nishan hatane ke tarike hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles