More

    गले में टॉन्सिल का इलाज करने के पांच घरेलू उपचार

    Uncategorizedगले में टॉन्सिल का इलाज करने के पांच घरेलू उपचार

    अगर आप टॉन्सिल के दर्द से काफी परेशान हैं और इसके लिए कुछ घरेलू उपायों की जानकारी चाहते हैं तो यह लेख आपके काम आएगा। इस लेख में हम टॉन्सिल के दर्द से राहत पाने के पांच घरेलू उपायों के बारे में जानकारी दे रहे हैं।

    Tonsils ka ilaj Kaise Kare: Tonsillitis gale ki ek bimari hai jo khane mein iodine ki kami ke karan hoti hai. Hamare gale (throat) mein 2 ganthe hoti hai aur jab in gantho mein se koi fool kar laal ho jaati hai to gale ke dono taraf sujan aane lagti hai aur dard hone lagta hai. Dard itna tej hota hai ki paani pine aur khana khane mein bahut pareshani hoti hai aur bolte waqt bhi pain hota hai. Ye samasya jadatar chote bacho (kids) mein hoti hai. Tonsils ki pareshani badhne par doctor operation karwane ki salah dete hai. Is bimari ka upchar natural ayurveda medicine, gharelu nuskhe aur homeopathy se kiya ja sakta hai. Aaiye jane home remedies for tonsils treatment in hindi.

    Tonsils kyu hote hai – Causes

    Tonsils gale mein infection ke karan hota hai, jo kai baar halke fluke ilaaj se hi thik ho jata hai par infection jada hone par ise thik hone mein jada time lag sakta hai. Jane tonsils pain hone ke karan kya hai.

    • Gale mein infection hona.
    • Thandi cheej ka sevan karna.
    • Sardi jukam ki wajah se bhi tonsils ho jate hai.
    • Pet mein gas aur kabz ki shikayat hone se.
    • Cold drink peena aur ice creame khana.
    • Immunity weak hone se.
    • Jada thandi aur garam cheeje khane pine se.
    • Mirch masale aur jada teekha khana khane se.

    Tonsils ke Lakshan – Symptoms

    • Gale mein kharash hona.
    • Gale aur kaan ke nichle hisse mein dard hona.
    • Dard ke karan bukhar aur sharer mein kamjori aana.

    Tonsils mein operation kab hota hai

    Kai bar medicines lene ke kuch dino mein hi tonsillites thik ho jata hai, par ye bimari puri tarah thik nahi hoti. Kai bar dawa lene se tonsils dab jate hai par vo kuch dino mein fir se ubhar aate hai aur yahi karan hai ki tosils ki shikayat bar bar hoti hai. Aesi situation mein operation (surgery) karke tonsils nikalne ke salah di jati hai.

    Doctors kehte hai ki jab patient ko dawa se aaram milne lagta hai tab vo dawayia lena band kar dete hai, jis wajah se tosils dubara hone ka khatra bana rehta hai. Patient ko treatment tab tak karna chahiye jab tak course pura na ho jaye.

    Tonsils ka Allopathic Treatment

    • Agar viral infection ki wajah se tonsils hue hai aur bukhar bhi hai to doctors paracetamol ya crocin dete hai aur gale mein dard ke aaram ke liye gungune pani mein namak daal kar grare karne ko kaha jata hai.
    • Agar tonsils bacterial infection ke karan hua hai to paracetamol aur garare ke sath kuch antibiotic medicines di jati hai.

    Tonsils ka ilaj Karne ke Gharelu Upay

    Home Remedies for Tonsils Treatment in hindi

    1. Lehsun ko barik pees kar garam paani mein mila le aur is paani se kuch dino tak garare karne se tonsils mein aaram milta hai. Desi ghee se gale ki malish karne se bhi jald aaram milta hai.
    2. Herbal tea tonsils thik karne ka natural treatment hai, ise pine se gale mein bacteria aur germ mar jate hai. Green tea, laung aur ilaychi ki chay ya daal chini chaye hi piye. Ye gale ke sath sharir ke liye bhi kafi achi hai.
    3. Gale ke dard aur tonsils ko thik karne ke liye gajar ka juice lagatar 2 – 3 mahine tak piye. Is bimari mein ananas ka sevan karne se bhi fayda milta hai.
    4. Chai ki patti ko paani mein ubaal kar usse garare karne se pain kam hota hai aur tonsils ka rog bhi thik hota hai. Namak aur fitkari ko garam paani mein daal kar garare karne par bhi tonsils khatam ho jate hai.
    5. Singhade mein iodine adhik matra mein hota hai, isse throat ki dusri bimariyo mein bhi fayda milta hai aur tonsils bhi door hote hai. Ek kapde ki potali bana le aurise tave par halka garam kar ke gale ko sekane par aaram mnilega.
    6. Gaane ke juice mein thoda harad churan mila kar pine se gale ka dard aur tonsils thik hote hai.
    7. Gharelu upay se tonsils ki sujan door karne mein haldi ek medicine ki tarah kaam karti hai. Ek glass garam doodh mein aadha chammach haldi powder aur aadha chammach golki ka powder mila kar sone se pahle piye.
    8. Ek glass garam paani mein aadha nimbu nichode aur 2 chammach shahad mila kar din mein 2 se 3 bar piye. Is desi nuskhe se gale ki sujan kam hoti hai, kharash door hoti hai aur tonsils mein aaram milta hai.
    9. Raat ko sone se pahle 1 glass doodh mein ek chota chammach haldi powder mila kar pine se bhi tonsils ke dard se rahat milti hai.
    10. Saunth mila hua garam paani pine se jaldi aaram milta hai. Anjir ko paani mein ubaal le aur pees kar paste bana le, is paste ko gale par malne se bhi tonsils se rahat milegi.

    Homeopathy se Tonsils ka ilaj

    Immunity weak hone ke karan bhi tonsils ho jate hai. Homeopathy se ilaj mein body ki immunity itni badha di jati hai ki tosils majboot ho jaye aur bimari ko pahle hi rok sake. Homeopathic treatment mein tonsils ke bar bar hone ka samay aur dusre karano par bhi dhyan diya jata hai aur ise dhere dhere thik kiya jata hai. Puri tarah thik hone mein 4 se 6 mahine tak ka samay lag sakta hai.

    • Belladonna 30
    • Calcarea Carb 30
    • Baryta Carb 30

    Ye homeopathic medicines tonsils ka ilaj karne ke liye di jati hai. Aap kisi homeopathy doctor ki salah le kar hi inhe shuru kare.

    Ayurvedic Tarike se Tonsils ka Upchar

    Yha hum kuch ayurveda aushadhi ke naam bata rhe hai jo tonsils dard se aaram dene ke sath iske upchar mein bhi faydemand hai. Ye dawaye aapko kisi pansari ki shop ya fir baba ramdev pantjali shop se mil jayengi. In dawao ke isteemal se pahle kisi ayurvedic vaid se mile aur salah le.

    • Kalpatruras
    • Arogyavardhini
    • Mahalakshmi Vilas Ras
    • Tribhuvan Kirti Ras

    Ayurveda kisi bhi bimari ke gharelu upchar ke liye sab se pahle bimari ke karano se door rehne ki salah deta hai, iske sath aese khane pine se bhi bache jo bimari ko badhava dete hai.

    Upchar Mein Parhej Kya Kare

    • Khana khane ke pahle aur baad mein haatho ko ache se saaf kare.
    • Dahi aur malayi wale doodh ka sevan na kare.
    • Cold drinks gale mein infection paida karti hai, inse door hi rahe.
    • Chote bache ko koi bhi thandi cheej khane aur pine na de.
    • Tala hua masaledar khana khane se parhej kare.
    • Smoking aur sharab ka sevan bilkul na kare.
    • Jin logo ko jukam aur khansi ki shikayat ho unse thoda door rahe.

    Vese to tonsils ka infection kabhi bhi ho sakta hai lekin mausam badalne ke samay yani march aur october ke mahino mein iske infection ka khatra jada hota hai. Mausam badlne ke dauran jada thanda, garam aur teekha khane se parhej kare.

    Aur Padhe:

    Gale ki Bimariyo ke Gharelu Upay

    Dadi Maa ke Nuskhe

    Rajiv Dixit Health Tips in Hindi

    Dosto Tonsils ka ilaj ke Gharelu Upay, Home Remedies for Tonsils Treatment in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye. Agar aapke pass gale dard ke upchar ke ayurvedic desi nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    43 COMMENTS

    1. मेरा हात जल गया हैं ऊसको दाग मीटाने के लीये कीरीम ब ता आओ न आंचहा वाआला

    2. Dear sir
      Sir meri ek tonsils 5 -6 saal se moti huwi hai iske karan mere gale ke nichle hisse me chale aye huwe please jarur kuch ilaj batteye

    3. sir mere tonsil 2 year se h mene bahut treatment karaya but koi fayda nahi hua sir kabhi lagta h ki sahi ho gaye but fir se ho jate h plz sir koi treatment bata do

      • Madhav tonsils mein parhej karna jaruri hota hai par joab kuch treatment ke bad hame aaram milta hai to hum parhej karna chod dete hai jis wajah se ye samasya fir se pareshan karne lagti hai. Dost aap yha btaye hue upay kare aur sath mein apne khane pine ka bhi dhyan rakhe.

    4. Sir mere 2year se tonsills h aur gle m aur ear m dard hota h jabki khane peene m koi pareshani nhi hoti h bus gle m dard mahasus hota h

    5. sir mujhe but dar lagta hai jaise kisi nazro me nazre mila kar bat nhi kar sakte hai jaise mai padal road me ja rha hu samne koi bhi khda mujhe dekh rho ho to mujhe samjh me nhi ata mai kya kru mai niche dekhte hue jau uske taraf dekhte hue jau ya samne dekh kr jau samjh me nhi ata kya kru sab kuch bhul jata hu dil dakh dakh karne lagta h jaise mujhse koi galat bat kh deta hai to dil jor jor dhak dhak krne lagta sir please upay btaiye

    6. Name -vipin Sir mujhe gale me dard hota hai aur jab doctor dikhaya to batate hai tonsil hai lekin mujhe 20 day ho gaye yeh gale ek taraf hai mai 3 mahine se presan hu kripya sahi salah de

      • विपिन टॉन्सिल का इलाज आप घरेलू तरीके से भी कर सकते है, आप ऊपर लेख में लिखे देसी आयुर्वेदिक नुस्खे पढ़े.

      • संदीप आप इन उपायों को सही तरीके से निरंतर करे टॉन्सिल्स ठीक होंगे.

      • टॉन्सिल्स के उपचार में आयुर्वेदिक नुस्खे बहुत असरदार है, अगर सही तरीके से किये जाये तो ऑपेरशन तक से बचा जा सकता है.

    7. Sir mera age 24 yers hai mughe 1years dono tonsill fulla hai our usme white putch bhi banta hai mane bahut ilag karaya par thik nhi ho raha hai our ab mere pet may chota chota gath bhi nikal raha hai sir may kya karu plz kuch bataya may bahut parasan rahata hu

      • दोस्त टॉन्सिल्स के इलाज में घरेलू उपाय और आयुर्वेदिक नुस्खे काफी मददगार है, सही तरीके से नुस्खे करने पर ऑपरेशन के बिना ही टॉन्सिल्स ठीक हो सकते है. पेट की गांठ के बारे में आप किसी डॉक्टर से जाँच करवा कर सलाह ले.

    8. Sir Meri age 21 yr Mere gale ke tonsil mein bachpan mein chhale padne se tonsil samanya se bade rahne lage aur bah ab aur bade hote ja rahe jisse mujhe halka halka dard mahsush hota hai
      Lekin khana nigalne mein dard nahi hota hai meine iska bhopal hospital mein check up karaya to mujhe operation ka sujhao diya gaya
      Hai

    9. Mere gale me bahut dard ke vajah se bhukhar aur muh me bahut pani aaraha hai eske liye kiya gharelu nuskhe apnana padega plz bol dijiyega

      • टॉन्सिल्स का इलाज के लिए घरेलू उपाय और आयुर्वेदिक नुस्खे ऊपर बताये गए है आप इन्हें करे आप को आराम मिलेगा।

    10. Mere gale me 2 mahine se tonsils me white plus ho gaya hai dr. Operations ke liye Kah rahe hai kya Karu sir please help me..

    11. Sir mere 15 sal se tonsils ki problem he. mene kota ke best ent. specialist doctors se regular treatment liya hai or Ayurvedic or gharelu upchar bhi karta hu fir bhi saal me 3-4 bar tonsils jaroor hote he. Sir please koi permanent ilaj batay.

      • दोस्त आप ऊपर लेख और यहां लिखे कमैंट्स पढ़े आप को जानकारी मिलेगी.

    12. Dear sir mere gale main hamesha cough jaisa fasa rahta hai kya yeh tonsil ki wajah se ho sakta hai ya aur koi problem ho sakti hai plz suggest me.

      • दोस्त ये टॉन्सिल्स है या कोई और समस्या ये तो आप मको चिकित्सक जाँच से ही बता सकेंगे.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles