More

    घाव भरने के उपाय हिंदी में

    Disease - बीमारीघाव भरने के उपाय हिंदी में

    घाव को भरने में शरीर को समय लगता है। ये 5 घरेलू उपचार को अपनाकर आप घाव भरने की प्रक्रिया को तेज कर सकते हैं।

    Ghav Bharne ke Upay: Laparwahi ki wajah se choti moti chot lagna aajkal normal sa ho gya hai par kai bar hamari laparwahi ek badi problem ban jati hai aur chot lagne ya jalne ke karan sharer par ghav (wound) ho jate hai. Hamari body ka sabse bada hissa hamari skin hai. Jab kabhi hame koi chot lagti hai aur jakham hota hai tab hamara shareer turant iska ilaj karne ke process mein lag jata hai. Kuch jakham aese hote hai jo jaldi bhar jate hai aur kuch ko thik, hone mein samay lagta hai. Is lekh mein hum janenge ghav bharne ke liye kya kare, home remedies and wounds healing tips in hindi.

     

     

    Ghav Check Kare Kitna Gehra Hai

    Kisi bhi parkar ki chot lagne par sabse pahle ye dekhe ki jakham kitna gehra hai, isse aap ye jaan payenge ki iske treatment ke liye doctor ki jarurat hogi ya fir ghar par bhi iska upchar kar sakte hai. Agar jakham gehra ho to turant doctor ke paas jaye, kyuki agar jakham gambhir hai to ise bharne ke liye taanke lagane pad sakte hai.

     

    Khoon Rokne ke Upay Kare

    Chot lagne par sabse pahle ye dhyaan dena jaruri hai ki ghav se jada khoon na bahe, iske liye cotton ya patti ko jakham ke upar rakh kar halka sa dabav de aur kam se kam 10 minute tak ise pakde rahe. Dhyaan rahe dabav jada na ho, agar cotton blood se bhig gayi hai to iske upar ek aur cotton laga le aur agar khoon ka behna nahi ruk raha to bina deri kiye hospital jaye aur doctor ko dikhaye aur jaldi hi khoon ka behna band kare kyuki blood rukne ke baad hi ghav bharne ke upay ho sakte hai.

     

    Ghav Ko Saaf Kare – Wound Cleaning Tips

    Khoon band hone ke baad ghav ko saaf kare. Dhyan rahe wound ko clean karne se pahle apne haath sabun se ache se dho le, isse kisi bhi parkar ke infection hone ke chances kam ho jayenge. Agar ghaav hath par hai to ghav par sabun na lagne de.

    • Ghav ki safayi karne ke liye ise kisi paani ke nal ke niche baihte paani se dho kar saaf kare aur paani ka pressure kam rakhe.
    • Ghaav ko saaf karne ke liye use cotton ya patti se thapthpaye, ghav ko kabhi ponche nahi, ghav ponchne se ye khul sakta hai.
    • Ghav saaf karte samay kankar aur dhul mitti ka khas dhyan rakhe, aksar chot lagte samay dhul mitti ke kan ghaav mein fas jate hai.
    • Ghav ko saaf karne ke liye seline solution (isotonic) ka upyog kare.

     

    Jadatar ghav jinka ilaaj hum ghar par kar sakte hai unke liye natural tarike se ghav ki safayi kafi helpful hoti hai.

     

    Ghav ki Marham Patti Kare – Wound Dressing

    • Ghav par koi antibacterial ointment lagaye aur patti se dhak de. Ye ghav ko infection hone se bachata hai aur body ki ghav bharne ki shakti ko badhata hai.

     

    Ghav Bharne ke Upay – Wound Healing Tips in Hindi

    Sharer ke ghav jaldi bharne ke liye hum natural ayurvedic remedies ka sahara le sakte hai jiske liye hum herbel antiseptic aur merham ka paryog bhi kar sakte hai. Ghaav bharne ke sath sath ye nuskhe ghav ke nishan ko thik karne mein bhi madad karte hai. Aaiye jane gharelu nuskhe apna kar ghav ka ilaj kaise kare.

     

    1. Aloevera se Ghav Thik Karne ke Upay

    • Jakham gehra na ho to aap ispar aloevera ke patto ka paryog kare. Aloevera lagane se ghav ki sujan kam ho jati hai aur jakham ko nami milti hai.
    • Gehre aur khule ghavo par aloevera na lagaye.
    • Aloevera se allergy ki sambhavna kam hai par agar aapki skin red ho jaye to aloevera lagana band kare aur doctor ko dikhaye.
    • Kate aur chile ko turant thik karne ke liye aleovera ras lagaye.

     

    2. Shahad (Honey) se Ghav Kaise Bhare

    • Shahad mein natural antibacterial gun hote hai jo ghav ko bacteria se bachane mein help karte hai.
    • Halke ghav ke upchar ke liye wound cleaning ke baad shahad lagaye aur kisi patti se bandh de.
    • Agar skin par sujan aa gyi hai to vo bhi shahad lagane se thik ho jayegi.

     

    3. Haldi

    • Haldi mein antiseptic gun hote hai jo infection failne se rokte hai.
    • Ghav ko saaf karne ke liye gomutar ka paryog kare aur baad mein haldi ka leep lagaye.

     

    4. Sirka

    • Skin chili ho ya kat gayi ho sirka lagane se aaram milega. Sirka ka paryog karne se thodi jalan jarur hoti hai par ye ghav ko teji se thik karta hai. Sirka ki 1 se 2 boonde cotton par daal kar ghav par lagaye.

     

    5. Ice Pack for Wound Healing

    • Agar chot lagne ke karan sujan kam nhi ho rahi to ice pack ka paryog kare. Ice pack blood ka behna bhi rokta hai aur dard kam karne mein bhi madad karta hai aur ghav bharne ke upay karta hai.
    • Agar aapke pass ice pack nahi hai to ek towel le aur use freezer mein burf jamane wale box mein 10 se 15 minute ke liye rakhe aur uske baad kisi cheej par lapet kar ghav par lagaye.
    • Ice pack ko khule aur infected wound par na lagaye aur dhyan rahe kabhi bhi burf ko sidhe skin par na lagaye.

     

    6. Exercises aur Yoga

    • Halka vyayam kare. Isse sharer ki rogo se ladne ki shakti badhti hai aur ghav bharne ki parkirya tej hoti hai. Dhyan rahe aap jada wajan na uthaye, yoga, stretching, walking aur cycling jesi exercises kar sakte hai.

     

    7. Wound Healing Ayurveda Tips in Hindi

    • Agar aapko chot lage to sabse pahle uspar apna peshab paryog kare aur agar taja gomutar mil jaye to vo bhi paryog kar sakte hai.
    • Agar aapko jakham hai to doodh pine se parhej kare. Aap doodh mein haldi daal kar ubaal kar pi sakte hai.
    • Ghav ho to khana kam khaye aur agar ho sake to 1-2 din ka upvaas kare. Upvaas karne se ghav ko jaldi thik hone mein help milti hai.

     

    Ghav Jaldi Bharne Ke Liye Kya Khaye

    Agar body mein nutritions ki kami hogi to aapke jakham thik hone mein jada samay lenge. Ghav jaldi thik karne ke liye protein aur vitamins ka sevan kare. Protien ghav ko jaldi bharne mein madad karta hai aur vitamin skin ko healthy rakhte hai. Vitamins mein vitamin A aur C ka sevan adhik kare. Iske ilava zinc bhi ghav bharne mein madad karta hai.

    • Agar aap shakahari (vegwterian) hai to protein ke liye dale, soyabean aur kale chane ka sevan adhik kare aur agar aap non veg kha lete hai to anda, machli aur chikan ka sevan kare.
    • Vitamin C ke liye nimbu, santra, ananaas, brokli ka sevan kare. Doodh, paneer aur hari sabjiya khane se vitamin A milega.
    • Paani jada piye, paani body mein dehydration nahi hone deta aur jakham bharne ke jaruri poshak tatavo ki purti karta hai.

     

    Ghav Ka ilaj Ke Upay Rajiv Dixit

    Agar kisi sugar ke patient ko chot lag jaye to uski mushkile badh jati hai kyuki sugar ki bimari mein ghav jaldi thik nahi hota aur kai bar samasya gambhir hone par ghav dhere dhere gangrene ka roop le leti hai. Gangrene ek aesi bimari hai jisme ang sad jata hai, purani koshikaye mar jati hai aur nayi koshikaye viksit nahi hoti. Iske ilaj ke liye parbhavit ang ko shareer se nikalna padta hai.

    • Gangrene jesi bimari ka treatment karne ke liye aap ghar par ek ayurvedic aushdhi bana sakte hai. Ise bnane ke liye gay ka mutar, haldi aur gende ke fool le. Gende ka fool ghav ke aakar ke hisab se le aur gay ke mutar ko paryog karne se pahle ache se chaan le.
    • Ab gay ke mutar mein haldi aur gende ke fool ki pattiya daal kar use pees le aur ek paste bna le. Ab is paste ko ghaav par din mein 2 bar lagaye aur upar patti bandh le. Dusri baar is paste ko lagane se pahle ghav ko ache se dho le uske liye dettol nahi gomutar ka paryog kare.
    • Is nuskhe ko hamesha taja banake hi paryog kare. Agar koi jakham kisi medicine se thik nahi ho rha to ye upay kar ke dekhe aapko chamatkari dhang se fayda milega.
    • Jane Sugar ka ilaj Karne ke Upay

     

    Ghav Bharne Ke Liye Kya Kare – Tips in Hindi

    • Agar tavacha chil ya kat gayi hai to use khula na chode, us par marham lagaye.
    • Ghaav chune aur patti badlne se pahle hamesha apne haath dhoye.
    • Jakham par kabhi koi beauty cosmetic creame ya koi perfume na lagaye.
    • Jakham sukhne ke baad iski papdi ko khinch kar na nikale ise naturally apne aap jhadne de. Papdi khinch kar nikalne se bad mein jakham ke nishan reh jate hai.
    • Agar kuch hafte treatment karne ke bad bhi wound heal na ho to doctor ko dikhaye.
    • Jakham ko hamesha dhak kar rakhe taki ispar makkhi machar na baith sake.
    • Ghav ko dhoop mein na rakhe. Dhoop lagne se ghav ke nishan padne ke chances jada hote hai.

     

    Dosto Jaldi se Ghav Bharne ke Upay, Natural Home Remedies and Wounds Healing Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaise laga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass jakham ka ilaj karne ke gharelu nuskhe ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    17 COMMENTS

    1. Mere pair k pichhle hisse me jaangh par ek baar ek ladke ne chaaku se waar kia tha, us waqt mai akeli kahi ja rahi thi,chaaku bahut andar tak ghus gaya tha, fir docter ne jakhm ki silaayi to kar di aur jakhm thoda thik hai lekin chalte aur baithte waqt nas me bahut dard ho raha. Kya mere pair ki andar ki nas kat gai h, aur kya ye thik ho sakta h, mujhe bahut dar lag raha. Plz meri help karen

      • Bedsore thik karne ke liye sabse pahle is baat ka dhyan rakhe ki is par pressure na aaye, iske sath sath har roj dressing kare aur khane mein protein diet adhik le.

    2. Mere pappa ka pair k haddi tut Jane k waja we operation hua…PR us jagah PR ghao horahe gain Jo sukhte nhi ..kya karun pls help me

      • दोस्त जिस डॉक्टर ने आपरेशन किया है आप उनसे मिले टेक घाव होने के कारण का पता चले और इसे रोकने के उपाय किये जा सके।

    3. 2 years ago papa k paon me jakham hua tha jis k baad paon ka operation hua doc ko 3 unglian katni parhi wo zakham

    4. sir mere chahere par 10 sal pahle jalta plastic lag gya tha or uski wajah she skin par thoda sa dag rah gya he.or vo bahot gahera go gaya
      he to plz sir iska upay bataye..

    5. sir mere hath pe accident ki vajah se chot lag gayi thi abhi 5 days ho rhe h pr ragad lagne ki vjh se skin nhi aa rhi . jaldi kaise sahi ho

    6. Sir mera accident hone ki wajah par k panje me anguthe ki bagal wali anguli nakhun k sath niche circular me pura nakhun sahit mans hat gaya hai .8 din se tritment ho raha hai fir bhi aaram nahi ,dard bhi hota hai blood bhi chipakata hai,kya kare ,kaise dressing kare.please reply

    7. Sir mera jo zakham hai wo gram churi se cut gya tha jisse me kaam karta hu wo zakham hatheli par anguthe ke ek dam niche hi h or wo bar bar pak jata h mawad nikalta rahta h kya karu jisse thik ho jaye 1 mahina ho gya h.

    8. Mere pair me kila chub gaya hai 4 din ho gaye pak chuka hai aur main doctor ke pass nahi gaya mujhe sui se dar lagta hai to thodi help aur thoda batao.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles