More

    Achi Sehat Pane aur Fit Rahne ke Best 5 Health Tips in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेAchi Sehat Pane aur Fit Rahne ke Best 5 Health Tips in Hindi

    Health Tips in Hindi: Dosto ek baat aap aur hum jante hai ki duniya ka sabse bada sukh hai nirogi kaya matlab sawath sharir. Aap ke pass asho aaram ke kitne bhi sadhan ho par agar aap unhe enjoy nhi kar sakte to unka koi fayda nahi. English mein ek kahawat hai “health is wealth” matlab jiske pass swasth sehatmand sharir hai wahi amir aur khush naseeb vyakti hai. Par aaj kal hamara life style aur khan paan aesa ho chukka hai ki hum kisi na kisi bimari (health diseases) se pareshan rehte hai. Kyu kyu kaise ke is lekh mein hum janege achi sehat pane ke liye health tips kya hai.

    Vese to sharir ko hone wali bimariyo ke bahut se karan ho sakte hai lekin aniyamit khaan paan aur khane ki cheejo mein milawat ki wajah se bhi hum health related kisi na kisi problem mein fase rehte hai. Aaj kal fal, sabjiya, aanaz jesi har cheej mein milawat hone lagi hai. Log jada paisa kamane ke liye khane pine ki cheejo mein milawat karte hai jinka bura asar hamari body par padta hai. Cancer, heart problem, bawasir, pet mein gas, kabz, acidity aur bahut si bimariya milawati khane ki wajah se hoti hai.

    Ab aap soch rahe honge ki ye sab hum ghar par to bana nahi sakte, aapne sahi socha. Dosto swasth aur sehatmand rehne ke liye hum ek cheej jarur kar sakte hai vo hai hamari jivan sheely aur khane pine ki aadto mein sudhar. Agar aap apne dada dadi aur nana nani se baat kare to pta chalega ki purana jamane mein kaise log swasth aur sehatmand rehte the.

     

     

    Health Tips in Hindi – Swasth Rahne ke Gharelu Nuskhe aur Upay

     

    #Health Tips 1

    Hame kabhi sir dard ya pet dard hota hai to hum foran pain killer medicine le lete hai. Agar bimariyo ke ilaj ke liye hum allopathy treatment ki bajay gharelu upay apnaye to jada behtar hai, kyuki ghar par kiye jane wale ye gharelu nuskhe ayurveda se parbhavit hote hai jine side effects na ke brabar hote hai aur inka paryog bhi aasan hota hai.

    Agar aap kisi gambhir bimari se pareshan hai tab bhi aap apni dawao ke sath desi nuskhe apna sakte hai. Ayurvedic upay cancer jesi bimariyo tak ke ilaaj mein faydemand hoti hai.

    Kuch log body mein nutritions ki matra puri karne ke liye multi vitamin ki tablet lete hai. Hamari salah yahi hai ki aap kisi tablet ki bajay natural tarike apnaye.

     

    #Health Tips 2

    Din ki shuruaat yoga aur exercises se kare. Bimariyo se bachne, physical fitness aur mind ko active rakhne ka acha tarika hai vyayam karna.

    Kuch logo ka ye bhi kehna hai ki hum din bhar mein itni bhag dod  kar lete hai ki hamari exercises apne aap hi ho jati hai, ye ek galat soch hai. Din bhar aap jo karte hai vo aapki daily activity ka hissa hai, aapko exercises ke liye kuch samay jarur nikalna chahiye.

    Morning walk, evening walk, cycling, running, rope skipping, pranayam aur yoga kuch aese vyayam hai hai jo body fitness mein helpfull hai. Agar aap kisi gambhir bimari se pidit hai to physical activity karne se pahle apne doctor ki salah jarur le.

    Agar aap yoga shuru karna chahte hai to kisi yoga expert ki dekh rekh mein shuru kare. Internet par Baba Ramdev ki yoga videos dekh kar basic jankari li ja sakti hai, bas dhyan rahe yoga karne se pahle iske niyamo ki jankari le le.

     

    #Health Tips 3

    Hamari body ka do tihayi hissa paani se bana hai isliye jaruri hai ki paani adhik matra mein piya jaye, isse body mein jama vishale padarath peshab (urine) ke raste bahar nikal jate hai aur body detoxify hoti hai.

    Paani ki pryapt maatra lene se shareer ke sabhi ango tak jaruri poshak tatv pahunchte hai. Rojana 3 se 4 litre paani pina healthy aur fit body ke liye acha hai.

     

    #Health Tips 4

    Khane pine mein junk food se parhej kare iske ilava ek baat jo sab se jada jaruri hai khane ka samay. Breakfast lunch aur dinner sahi samay par kare isse aapka digestion acha rahega aur pet ki bimariyo se bache rahenge. Aajkal market mein organic vegetables aur fruits bhi mil jate hai, agar aap milawti chijo ke paryog se bachna chahte hai to khane pine ke organic products apnaye.

    Aajkal bahut se logo motapa badhne ya fir weight kam hone ki wajah se pareshan hote hai. Is problem ka pahla reason hai kharab pachan tantar. Aap jo khate pite hai vo sahi se digest nahi hota jis wajah se weight kam jada jesi samasya hone lagti hai. Isliye jaruri hai ki khane pine ki galat aadto ko sudhare aur sahi samay par bhojan kare.

    Bhojan karte samay paani na piye, khana khane ke 10 se 15 minute pahle paani pine se pachan kirya achi rehti hai. Agar paani ko halka gunguna kar le to aur bhi acha hai.

     

    #Health Tips 5

    Subh uthate hi logo ko chay pine ki aadat hoti hai, bina chay piye kuch logo ki to neend hi nahi khulti. Khali pet chay body mein acidity banati hai. Chay ki bajay agar aap subh khali pet paani piye to jada behtar hai. Agar ho sake to raat ko sone se pahle tambe ke jug mein paani bhar kar rakhe aur subh khali pet piye.

    Din mein bhi agar chay pine ka man kare to herbal tea jese ki green tea, lemon tea ya black tea piye. Herbal chay body ki immunity badhati hai aur metabolism ko bhi strong karti hai jisse digestion system improve hota hai.

     

    Health Care Tips in Hindi

    • Mansik Tanav (tension) se dur rehne ke liye meditation kare.
    • Body ke liye rest bhi bahut jaruri hai, isliye jaruri hai kii achi neend le.
    • Ghar mein saaf safayi ka dhyan de khas kar kitchen aur bathroom mein.
    • Khana khane se pahle aur baad mein haatho ko nache se wash kare.

     

    Health ke Gharelu Nuskhe in hindi

    Ayurvedic aur desi nuskhe se ilaj karne ka fayda ye hai ki aap ise ghar par aasani se kar sakte hai aur inke side effects nahi hote hai. iske ilava agar kisi bimari ke treatment ke liye pahle se koi medicine chal rhi hai to aap use bina band  kiye sath mein ye upay kar sakte hai. Kisi bhi gharelu upay ko karne se pahle ayurvedic chikitsak ki salah le aur use paryog karne ka sahi tarika sikhe.

     

    Healthy aur fit rehna sirf aapke hath mein hai, man ho ya women ye upay sabhi ke liye hai. Agar aap apni aadte nahi sudharenge to future mein aapko iske bure parinam dekhne ko mil sakte hai. Hum ye bhi jante hai ki in sabhi health tips in hindi ko ek sath apnana mushkil bhara ho sakta hai, isliye hamari salah ye hai ki aap 1-1 kar ke shuru kare. Kuch samay baad ye sab cheeje aapke jivan ka hissa ban jayengi.

     

    Dosto Health Tips in Hindi – Gharelu Nuskhe Upay aur Upchar ka ye article aapko kaisa laga hame comment ke jariye bataye aur agar aap ke pass physical fitness ya fir kisi bhi health diseases ke ilaj ke ayurvedic aur desi nuskhe hai to hamare sath share kare, aapke dawara share ki gyi jankari se auro ko bhi fayda milega.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    1. “Nice post. I learn something new and challenging on sites I stumbleupon every
      day. It’s always useful to read content from other writers and use something from other web sites.”

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles