More

    High Uric Acid Kam Karne ke 10 Aasan Upay aur Tips Hindi Mein

    Disease - बीमारीHigh Uric Acid Kam Karne ke 10 Aasan Upay aur Tips Hindi Mein

    Uric Acid ke Gharelu Nuskhe: Sharer mein uric acid ki matra badhne se ye jodo mein jama hone lagta hai jiske karan jodo mein dard (joints pain) hone lagta hai. Ghutno, aediyo aur pair ki ungaliyo mein dard hone ki sabse badi wajah uric acid ka badhna hi hai. Is bimari ko gout bhi kehte hai. Agar uric acid ka ilaj sahi samay par na kiya jaye to chalna firna aur uthana baithna bhi mushkil ho jata hai. Iska level badhne se body mein gathiya aur gurdi mein pathri hone ka khatra hota hai, isliye samay rehte is bimari ko control karna jaruri hai. Hum kuch natural desi nuskhe aur ayurvedic upay apna kar gout dard ka upchar kar sakte hai aur high uric acid ko kam kar sakte hai. Home remedies for uric acid treatment in hindi.

    Ye samasya 45 saal se jada umar wale logo mein adhik hoti hai aur khane pine ka sahi khayal na rakha jaye to ye bimari pahle bhi ho sakti hai.

    Uric Acid Kaise Badhta Hai : Causes

    Pyurin ke tutne ki wajah se body mein uric acid banta hai jo blood se kidney tak pahunchta hai aur peshab ke raste ye body se bahar nikalta hai. Jab ye shareer se bahar nahi nikalta tab andar hi jama hone lagta hai aur crystal jesa ban jata hai jis wajah se body mein iska level badhne lagta hai jo pareshani ka karan banta hai.

    Uric Acid Badhne ke Lakshan : Symptoms

    Bahut se logo ko is bimari ke bare mein adhik jankari nahi hoti. Aksar bimariyo ka idea hum shuruaati lakshno ko dekh kar lagate hai isliye gout ke rog ko pehchanana hai to iske symptoms ki jankari hona chahiye.

    1. Jodo mein dard hona.
    2. Jodo mein ganth padna.
    3. Pair ke anguthe mein sujan.
    4. Jodo mein sujan.
    5. Uthate baithte samay ghutne aur jodo mein dard.

    Uric Acid ke Gharelu Nuskhe : Ayurvedic Treatment in Hindi

    1. Ek chammach shahad aur 1 chammach ashwgandha powder mila kar 1 gilass gungune doodh ke sath piye. Garmiyo ke mausam mein ashwgandha ki matra kam le.

    2. Body mein uric acid high hone par ye crystal ka roop le leta hai aur sharir ke dusre hisso mein ja kar jama hone lagta hai. 1 gilass paani mein ½ chammach baking soda mila kar piye. Is upay se crystal tut kar ghul jate hai aur urine ke raste bahar nikal jate hai.

    3. Rojana khali pet 2 se 3 akhroat khane se high uric acid control mein aane lagta hai.

    4. Aloe vera juice mein aawle ka ras mila kar pine se bhi aaram milta hai.

    5. Nariyal paani body ke high uric acid ko kam karne mein asardar hai.

    6. Bhojan karne ke aadha ghante baad 1 chamach alsi ke beej chba chba kar khane se bhi fayda hota hai.

    7. Agar uric acid badhne se gathiya ka rog ho gya ho to bathue ke patto ka juice subh khali pet piye aur 2 ghante tak kuch khaye piye nahi.

    8. Ajwain ek utam ayurvedic medicine hai jiske sevan se body mein uric acid kam hota hai. Bhojan banate samay ajwaine ka prayog kare.

    9. Do se teen chammach apple cider vigener 1 glass paani mein mila kar din mein 2 se 3 baar piye.

    10. Seb, gajar aur chakundar ka juice har roj piye, isse body ka ph level badhta hai aur uric acid kam hota hai.

    Uric Acid aur Gout Dard ke ilaj ka Ramban Upay

    Uric acid aur gout ke dard ka upchar karne ke liye kacha papita ek ramban aushdhi hai. Ek medium size ka kacha papita le, use kaat kar chote chote tukde kar le aur beej alag kar de. Papite ke in tukdo ko 2 litre paani mein 5 se 7 minute tak ubaal le. Paani mein 1 se 2 chammach green tea ki pattiya bhi dale. Paani thanda kar ke chaan le aur ise din mein 2 se 3 baar chay ki tarah piye.

    High Uric Acid ko Control Karne ke Gharelu Upay

    1. Paani adhik piye

    • Body se uric acid peshab ke raste bahar nikalta hai isliye jaruri hai ki sharir mein paani ki paryapt matra ho. Iske ilava paani body ko hydrate bhi rakhta hai.

    2. Motapa kam kare

    Agar aapka weight jada hai aur sharir mein jada charbi hai to to aapki body mein pyurin tutne ke chances bhi badh jate hai jisse uric acid badhne ka khatra adhik hoga. Isliye uric acid ke level ko control karne ke liye aapko apne wajan ko control mein rakhna hoga. Weight kam karne ke liye ek dum se diet karne na lage, dhere dhere pryas kare.

    3. Kya food khaye aur kya nahi

    Uric acid body mein pyurin ki wajah se badhta hai isliye hame aesi khane pine se door rehna chahiye jo pyurin banate ho. Jese organ meat, sea food, fish aur red meat.

    1. Vitamin C se bharpur khadya padartho ka sevan kare.
    2. Kam fat wala doodh piye.
    3. Nimbu paani piye ye body ko andar se saaf karta hai aur crystals ko ghol deta hai.
    4. Strawbery, cherry aur jamun jese fruits body se uric acid bahar nikalne aur gathiya ka treatment karne mein madad karte  hai.
    5. Omega – 3 fatty acid ke sevan se bache.
    6. Khane ko jaitun ke tel mein banaye.
    7. Pancake, cake, pasty jese koi bhi bakery wale product na khaye.
    8. Dibba band food khane se bache.
    9. Aesi cheeje khaye jinme fiber level high ho.
    10. Sharab aur beer pine se parhej kare.

    Aur Padhe:

    Dadi Maa ke Nuskhe

    Rajiv Dixit Ayurvedic Upchar

    Baba Ramdev Yoga Tips in Hindi

    Dosto High Uric Acid ke Gharelu Nuskhe aur Upay, Natural Treatment Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment ke jariye bataye aur agar aap ke pass gout dard aur uric acid ka ilaj ke desi nuskhe aur ayurvedic upchar hai to apne sujhav aur anubhav hamare sath share kare.

    Recent Articles

    26 COMMENTS

    1. Mere blood ka uric acid report 9.8 h jisse knee me bahot dard aur soojan rahta hai dawai khane pe kam hojata hai parantu 2 , 3 mahino me phir shuru ho jaata hai ise jad se khata karne ke liye koi aurvedic davai bata sakte hai

    2. Sir mera uric acid level 7.11 he to use kaise kam karna hai or shoulder ke dono joint me pain hai to use kaise Thik karna hai olz advice me

    3. Sir mere age 26 hai or mera uric acid 9.4 Ho gaya hai or meri Bone TB KI medicine bhi chal raha hai me kya karo meri shadi me cancle Ho gai me kya karo

    4. Helli sir…maine 6 7 saal pahele gym join kiya thaa.usi smy supplement liyaa thaa.tb hi se protein wale food khane se uric acid mera increase ho jata h..jisse pain aur susan rehti h…kaafi ilaaz kraya h homeopathic aur allopathic but koi permanent result nahi nikla h…aisa kuch btaaye jisse hmesa k liye iss problems se chhutkara mil jaye…aur supplement khane se body k kiss hisse k wjh se yeh problem ho gayi h

      • यूरिक एसिड कंट्रोल करने के लिए घरेलू इलाज और उपाय ऊपर लेख में पढ़े.

    5. Mera uric acid level 5.5 hei mera kamar bahut dard karta hai aur pairo me sujan aur aediya dard rahta hai hatho me bhi kabhi kabhi jhanjhanahat si hoti hai pairo me bhi jhanjhanat hota hai main kya karu koi upay bataiye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles