More

    कमर दर्द को कम करने के घरेलू उपाय हिंदी में

    Disease - बीमारीकमर दर्द को कम करने के घरेलू उपाय हिंदी में

    अक्सर लोग कमर दर्द को एक साधारण सी बात समझ कर नजरअंदाज कर देते हैं, जो बाद में एक भयानक बीमारी का रूप ले लेता है। इसलिए कमर दर्द का तुरंत इलाज कराना चाहिए। यह लेख कमर दर्द के घरेलू उपचार के बारे में है। उपचार के बारे में जानकारी प्राप्त करने के लिए इस लेख को पूरा पढ़ें।

    Kamar Dard ke Upay: Aajkal back pain ki problem ek aam baat ho gayi hai. Vese to back pain ki shikayat 40 saal ki umar se bade logo mein hoti hai par aajkal nojavano mein bhi ye samasya badhti ja rahi hai. Agar sahi samay par kamar dard ka ilaj nahi kiya jaye to ye samasya dhere dhere kulho mein bhi hone lagti hai jo vyakti ko chalne firne mein bhi takleef karti hai. Is article mein aap janenge dadi maa ke nuskhe aur home remedies for back pain.

    Jo log apne kaam ki wajah se bar bar uthate baithte hai ya bhaari saman uthate hai unhe peeth dard ki shikayat jada hoti hai. Kamar ka dard kabhi to kuch minute mein hi gayab ho jata hai aur kabhi kabhi ye dard ghanto pareshaan karta hai.

    Slip Disc Kya Hai

    Reedh ki haddi kai manko(vertebrae) se mil kar bani hoti hai aur har 2 manko ke beech mein ek disc hoti hai jo jhatka sehne ka kaam karti hai. Jab hum kisi bhi tarah ki physical activity karte hai tab is disk ka failaav hota hai. Yahi karan hai ki jab hum galat tarike se uthate baithate aur jhukte hai tab disk par jada joor padta hai jisse reedh ki haddi ki nasso(nerve)par dabaav aata hai aur back pain hone lagta hai.

    Manko ke beech ki disc jab jada ghees jaati hai tab isme sujan aane lagti hai jiski wajah se reedh ki haddi se pairo tak jaane wali nasso par bhi dabav padta hai. Pair ki nasse dabne ke kaaran pairo mein bhi dard hone lagta hai aur pair sun hone ka khatra bhi bana rehta hai.

    Back Pain Ke Karan Kya Hai (Reasons)

    Back pain ka mukhay karan kamar ki maaspeshiyo ka kamjaor hona aur reedh ki haddi par dabaav aana hai aur aesa kai kaarno se ho sakta hai.

    • Achanak jhunka.
    • Bhaari wajan uthana.
    • Kamar mein koi chot lagna.
    • Jada der computer ke aage baithna.
    • Kamar mein koi jhatka lagna.
    • Galat posture mein baithe rehna.
    • Jada der jhuk kar ya let kar padhna ya kaam karna.
    • Umar badhne ke sath sath haddiya aur maaspeshiya kamjoor hone lagati hai jisse disk par joor padne lagta hai aur ye slip disc ka roop le leti hai.

    Pregnancy ke dauran garbhwati mahila ko kamar mein dard hota hai. Pet mein jese jese bacha bada hota hai vese vese kamar par dabaav badhta jata hai. Isliye pregnant women ko kisi expert ki dekh rekh mein yoga karna chahiye, jisse maaspeshiya majboot hoti hai aur back pain kam hota hai.

    Kamar Dard ke Lakshan (Symptoms)

    Peeth ka dard seedha reedh ki haddi(spinal cord) se juda hota hai. Jadatar logo ko kamar ke beech aur niche ke hisse mein dard ki shikayat hoti hai.

    • Pairo mein kamjoori mehsoos hona.
    • Kamar aur pairo mein dard hona ya pari aur pairo ki ungaliya sun padna.
    • Chalne firane, jhukne ya khaasne par shareer mein dard ya current jesa mehsoos hona.
    • Nasso par dabaav padne se kai baar kullho aur jaangh ke aaspass sun mehsoos hona.
    • Problem badhne par peshaab karne aur mal tyaagne mein pareshaani hona.

    Kamar Dard ke Upay : Back Pain se Bachne ke Gharelu Nuskhe

    Back pain ki shikayat hone par ise najarandaaj nahi kiya ja sakta. Kamar dard se bachne ke liye aur is problem se chutkara paane ke liye sab se pahle hame apne life style ko sudharna hoga.

    1. Apni peeth ko seedha rakhe kabhi bhi kamar jhuka kar kaam na kare.
    2. Slip disc ya kamar dard ki samasya hone par mareej ko 2 se 3 hafte tak pura aaram karna chahiye.
    3. Dard se chutkara paane aur maaspeshiyo ko majboot karne ke liye doctor ki salah se kuch medicine shuru kar sakte hai.
    4. Lagatar kaam na kare. Agar aap kisi ek jagah kai ghante bina hile lagatar kaam karte hai to aap ko apni is aadat mein badlaav lana hoga. Kaam ke beech beech mein break le aur shareer ko aaram ka mauka de.
    5. Pet ki charbi badhne se reedh ki haddi par seedha asar padta hai isliye apne khane peene par dhyaan de aur apna wajan na badhne de.
    6. Physical activity karne se maaspeshiya majboot hoti hai isliye regular exercise aur yoga kare aur sath hi morning aur evening walk bhi kare.
    7. Jada der tak kisi chair ya stool par jhuk kar na baithe aur jab chair par baithe tab apne pairo ko seedha rakhe.
    8. Kisi bhi ek posture me jada der tak baithna thik nahi hai.
    9. Sone ke liye mulayam aur spring wale gadde ki bajay koi sakht gadda isteemaal kare. Esa karne se kamar sidhi rahegi aur puri kamar par ek saman dabaav aayega.
    10. Achanak jhatke ke sath na to uthe aur na baithe.
    11. Burf se sikayi kare. Dard wali jagah par burf ka paryog karne se bhi fsda hota hai, isse andar ki sujan bhi khatam hoti hai.
    12. Kisi bhi bhaari cheej ko uthane ki bajay dhakelna jada behtar hai aur agar aap ko jameen se koi bhari cheej uthani hai to pahle stool par ya ghutno par baith jaye fir use uthaye.
    13. High heels ke shooes ya sandle ki bajav simple shooes aur sandle pahne.
    14. Agar aap ko der tak car drive karni hai to car seat ko aage ki taraf rakhe taaki aapki kamar seedhi rahe aur sath hi gardan aur peeth ke piche koi takiya rakhe.
    15. Khaane mein tamatar, gobhi, chakunder, kheera, kakdi, palak, gajar, aur fruits ka sevan jada kare.

    Kamar Dard ka ilaj ke Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

    1. Lehsun: Kamar dard ke gharelu upchar mein lehsun pain killer ka kaam karta hai. Khaane mein lehsun ka paryog jada kare. Lehsun ke isteemal se purana kamar dard bhi thik hone lagta hai.

    2. Gaadha: 5 kaali mirch aur 5 laung ke daane pees kar usme sukhi adarak ka powder milaye. Ab is masale ko chay ki tarah bana kar ek gadha banaye aur din mein 2 baar piye.

    3. Daalchini: 1 chamach shahad mein 2 graam daalchini ka powder mila kar din mein 2 baar lene se back pain kam hota hai.

    4. Googal: Googal kamar dard se chutkara paane ke liye acha upay hai. Aadha chamach googal garam paani ke sath subh shaam le. Is gharelu nuskhe se kamar dard mein aaram milta hai.

    5. Vitamin D aur Calcium: Esi cheeje jada khaye jisme vitamin D aur calcium ki maatra jada ho. Shareer ki haddiya majboot karne ke liye din mein 2 glass doodh piye aur rojana thodi der dhoop mein jarur baithe.

    6. Bhaap: Namak wale garam paani mein ek toliya nichod le aur pet ke bal leet kar dard wali jagah par toliye se bhaap(steam) lene se kamar dard se nijaat milti hai.

    7. Namak: Ek kadhayi mein 2-3 chamach namak daal kar ache se garam kar le fir kisi mote suti kapde mein ye namak daal kar ek potali bana le aur isse kamar ki sikayi kare.

    8. Maalish: Sarso ya nariyal ke tel mein 3 se 4 lehsun ki kaaliya daal kar achi tarah garam kar le aur thanda hone par kamar ki maalish(massage) kare.

    9. Garam Paani se Nahaye: Ek baalti paani garam kar le fir usme 1 cup seendha namak daal kar ghol de. Ab is paani ko halka thanda hone par nahaye. Garam paani se kamar dard ke upay se kamar ki jakdan kam hogi aur dard se rahat milegi.

    Kamar Dard ke liye Baba Ramdev Yoga Tips

    Rojana exercise aur yoga karne se peeth dard se bache reh sakte hai aur agar aap back pain se parbhavit hai tab bhi yoga karne se dard mein bahut aaram milta hai. Kisi yoga expert ki dekh rekh mein ye back pain relife ke ye yoga kar sakte hai.

    • Makarasana
    • Kamar Ghumana
    • Bhujangasana
    • Chakrasana
    • Halasana
    • Ardha Matsyendrasana

    Kisi bimari ke ilaaj se jada acha hai ki aap us bimari se bache, isliye aise life style aur daily routine se dur rahe jo koi bimari ka karan banta hai.

    Dosto Kamar Dard ke Upay, Home Remedies for Back Pain ka ye lekh kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass bhi back pain ke treatment ka koi sujhaav aur anubhav ho to hamare saath share kare.

    Recent Articles

    60 COMMENTS

      • Savita ji upay karne ke liye pahle dard ke karano ka pta hona jaruri hai. Kamar se pair me dard hone ke bahut se karan ho sakte hai isliye aap se yahi salah hai ki doctor se mil kar test karwaye taki bimari sahi se diagnose ho sake aur treatment ho sake.

      • Lakhan ye lakshan kafi wajaho se dikh sakte hai, behtar yahi hoga ki aap doctor se mile aur checkup karwaye taki bimari ke karno ka pta chal sake aur iska upchar ho sake.

    1. Sir, mere right side kamar me aur hip aur leg ke niche pichle bhag mein dard hota hai doctor ke mri report mein l4- l5 bataya injection bhi liya hu thora aram hai lekin ache tarah se thik nahi hua salah De kya kare ?

      • Rohit test to bhut hai(ex : MRI, CT Scan, X-Ray) par kon se jaruri hai ye to doctor se mil kar hi jaane, vo aap ka checkup karke aapko bta sakte hai ki test karwane jaruri hai ya nahi aur karwane hai to kon se karwaye.

    2. Mujhe 2 mahine se kamar se leke pau tak dard hai.bohot sari Doctor ko bhi dekhaiya lekin kuch kam nahi hua toh plzz aap mujhe kuch upai dijiye ki main jold tik ho jayo.

    3. Sir mery umar 22 year he sir mery ghutno me or kamar me karib 4se5 saal se bahut dard rahta he sir aap batye ki me kya karu bahut pareshan he sir plzz

      • Balwant ji aap yha likhe hue upay kar sakte hai par sahi upchar ke liye ye janna jaruri hai ki ye dard kyu ho rha hai isliye aap doctor se consult kare aur checkup karwaye taki pareshani ke karno ka pta chal sake aur ila sahi disha mein ho sake.

    4. Gharelu upaye thik hai pr aaj kal ki generation bahut kamjor hai or koi na koi dabai medical ya Dr. Se chalti hai hi hai

      sahi baat ke pehle chekup kara le fir parsnol &; family doctor se mil kr uska ilaj kren

      • Armaan ji aapne sahi kaha hai, is site par hamara bhi yahi pryas hai ki log kisi bimari ke ilaj se pahle uske karno ko jane kyuki jab tak bimari sahi se diagnose nahi hogi tab tak uska upchar sahi disha mein nahi ho payega.

    5. Sir mujeh 3/4 sal se kamar mein pain tha thoda bahut illaj bhi karwaya thà medicèn bhi lee thi uske bàd mujeh 2 sal see gathiya ki shikayat hui uski bhi medice lee jab tak mujeh gathiya tha kamar pain nahi hui abhi nov 23 tarik ko meine thoda bhari saman uthya uski bajha se mujeh kamar darad start ho gayaa hai dr. Ko dekhayà MRI bhi karwai hai dr ne bataya hai ki appki backbone ki spinàk nurv dabi hai opration karwana padega or koi illaj nahi hài sir jab se mujhe kamar darad huà hai tab se gathiaa ki pàin khtam ho gayee hài kya appke grellu nukhse see meri kamer barad thik ho sàkti hai please replee de

      • Sushil ji aap kisi ache physiothearpist se mile aur apni repirt dikhaye, aur operation se jitna ho sake bache. Aap yha btaye hue gharelu tips bhi kar sakte hai par inke istemal se pahle kisi ayurvedic chikitsak ki salah le aur jane aapke liye kon sa upay best hai.

    6. Mujhe rid ki haddi mein TB hua tha ab 9 month treatment ho gaya hai but bodyein flexibility nahi hai koi exercise saath kya savdhani rakhni chaiye nd diet chart

    7. sir mere papa ke body me aur pair me bhut jada pain rahta hai rat bhar so nhi pate plz koi upay btaiy. Unke pair me bhut hi jada drad rhta hai

    8. Hello sir…maine bhari saman uthya tha or kamar main dard ho rha hai..dard thik karne ke loya kya krna hoga…or ye dard..khin zindgdi bhar to nhi hoga ye tnss…hai sir plz ..help kre…

    9. Sir me Kuwait me rhta hoo4sal SE Mujhe Rt bhag me kamar darad har ek do mahine me 10,15din bahut hota he Rt side wala lang bhi uper niche tk bahut darad krta jise nish koi khis rha ho to plzz Batao kya kru aur ha Kya kabj ki vajah SE bhi asa ho sakta h

      • Dost agar aapko ye dard lambe samay se pareshan kar rha hai to pahle doctor se chekup karwaye taki dard ki wajah ka pta lage tabhi sahi tarike se upchar kar sakenge.

    10. Sir mein pichle 4sal Se is problem Se juj raha hu.phle ye tha ki chalte chalte Peron mein suna pan tha. To bethne Se Aram ho jata tha. Lakin ab halat aise hai ki kamar Se lekar Peron tak pure din current sa chalta rehta hai. Puri Puri rat nikal jati hai bina neend ke. MRI mein L2-L3, L3-L4, L5-S1. hai.

      • Parveen ji ye spinal ki judi samasya hai jisme pareshani badhne par doctors operation karwane ke salah dete hai, par operation se bachna chahiye aur agar jarurat ho to pahle dusre neuro doctor se milkar 2nd opinion jarur le. Dost physiothearpy aur kuch precautions ka dhyan rakh kar is samasya ka ilaj kar sakte hai. Aap neuro specialist aur physiothearpist se consult kare aur treatment ki puri jankari le.

    11. Washroom me achanak kamar me kolhe ke pas shadeed dard outa jis karan na bet sakta hon na kada ho sakta albata lete rehne se kuch aram hota.2 din se takleef me hon koi daua asar nhi kar rahi.plz help me .
      Khas kar hajaat-e-zarori ke liye bahut pareshani he

    12. Sir thanks
      mujhe hosla hua pad kr.
      m ak bhai ki shadi me zoro se nacha, or bhari kam b kiya. Tab se meri kamar me or bakhiyan(sides) Me dard rahta hai. Doc se mil kr calcium ki dwaee kha chuka hu.tab thik ho gyatha ab fir ho gya hai. Malish bhi kravayi thi.. Kirpya kuchh help kre sir

      • नीरज आप भारी सामान उठाने से बचे और कमर दर्द के इलाज के घरेलू तरीके ऊपर लेख में पढ़े.

    13. Mere pure sarir me hamesha dard rahta h doctor ne bola h haddi slip hone ka dar h bihari wajan uthane se mana kiya h Fir bhi dard kam nhi balki badhi raha h plz koi aisa upaye btaiye jisse jaldi thik ho jau plz

      • प्रियंका ये दर्द स्लिप डिस्क के कारन है तो इसका सबसे अच्छा इलाज एक्सरसाइज है. कमर दर्द से छुटकारा पाने के घरेलू उपाय आप ऊपर लेख में भी पढ़े.

    14. Meri kamar ki nas dabhi Hui hai jis karan uthney baithney may pareshani ho rahi hai x ray normal tha kripa kuch sujhao bataiye 6 mahiney se upar ho gaye bahut se Dr ko dikhaya pr thik nhi hua

      • पूजा जी कमर की नस दब गयी हो तो इसके इलाज के लिए आप न्यूरो डॉक्टर से मिले, एक्सरसाइज करने से भी कमर दर्द में आराम मिलता है. घरेलू नुस्खे से कमर दर्द के उपचार के तरीके ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    15. Mujhe 3haddiyo main buldge h.. Aur ek haddi nerves ko press kar rahi h… Toh pau me bhi pain h.. Doctor ko Dikhaya kuch farak nahi pada.. Pls koi upaya bata ye…

          • प्रेरणा जी कमर में दर्द होने के कारण और इसके इलाज के घरेलू उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े।

    16. sir 1sal se kamar dard h jyada dur chal nahi pati bahut doctors ko dikhaya par thic nahi hua sir kya karu koi medicine bataye ek hath v sunn ho gya h usse koi kam nahi kar pati

      • कमर दर्द का इलाज करने के लिए उपाय और घरेलू तरीके ऊपर लेख में बताये गए है आप लेख पढ़े।

      • कमर दर्द का इलाज के लिए घरेलू नुस्खे और उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप लेख को पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles