More

    प्रेगनेंसी में ब्लीडिंग के कारण और उपाय – Pregnancy me Bleeding ke Upay

    Pregnancy - गर्भावस्थाप्रेगनेंसी में ब्लीडिंग के कारण और उपाय - Pregnancy me Bleeding ke Upay

    Pregnancy me bleeding ke upay in hindi: Bahut si mahilao ka aksar ye sawal hota hai kya pregnancy me bleeding hoti hai, garbhavastha me bleeding hona sahi hai ya nhi. Pregnancy me thoda sa bhi blood aur spot garbhpat ka khatra ban sakta hai par is me ye dekhna aham hai ki kon se month me bleeding ho rhi hai. 1st month ho 3rd month ho ya fir 9th month ho, kisi bhi mahine me agar blood spot dikhe ya fir periods pain jesa mehsus ho to turant doctor se mile. Aaj is lekh me hum pregnancy ke dauran bleeding ke karan aur rokne ke upay janege, spotting and bleeding during pregnancy in hindi.

    Pregnancy me bleeding hoti hai kya

    Garbhavastha me thodi bhut bleeding hone par ghabraye nhi, ye ek normal process bhi ho sakta hai par agar ye process aap ko bilkul bhi normal na lage aur samasya gambhir dikhe to ise andekha nahi karna chahiye.

    1. Bhut se pregnant lady yoni se blood ka nikalna anubhav karti hai jinme se jadatar mahilaye pahle 3 month me ye anubhav karti hai jo normal hai.
    2. Thoda blood discharge hone ka matlab gabhpat hona nhi hai. Pregnancy me spot hona aam baat hai aur lagbhag ek tihayi garbhwati mahilao ko aesa hota hai.
    3. Jab tak bleeding normal hai pareshan hone ki jarurat nhi aur jab normal na ho tab laparwahi bhi nhi karni chahiye.

    Pregnancy ke Dauran Bleeding Hone ke Karan

    • Implantation bleeding – Isme bhrun garbh me implant hota hai, ye bleeding garbhavastha ke shuruaat me hoti hai.
    • Harmons me badlav – Periods ko control karne wale harmons ke karan bhi pregnancy ki starting me bleeding ho sakti hai.
    • Infection – Yoni me infection ke karan bhi pregnancy ke first 3 month me bleeding ho jati hai.
    • Sharirik sambandh – Garbhavastha ke dauran yuan sambandh banane se bhi bleeding ki aashanka adhik hoti hai.
    • Ectopic pregnancy – Jab bhrun ka vikas garbh ki bajay fallopian tube me  hona shuru ho jata hai.
    • Garbhashay ka fatna – Jab garbhvati mahila ke garbh me kisi karan koi ghav ho to uske fatne ka khatra badh jata hai.

    Pregnancy me Bleeding ke Upay

    Bleeding During Pregnancy in Hindi

    Garbhavastha ke dauran periods aane ruk jate hai isliye pregnancy me kisi bhi tarah ka rakt strav ho ise periods wala rakt strav naa samjhe aur doctor ki salah le.

    Pahle 3 month me bleeding hona

    Pregnancy ke first trimester me bleeding normal hai par jab kuch pareshani ya kuch alag sa mehsus ho to ye garbhpat ke lakshan bhi ho sakte hai. Aese me turant doctor se mile aur test karwaye.

    • Pahle 3 month me yoni se rakt strav hone par ise ectopic pregnancy ke lakshan ke roop me bhi dekha jata hai.
    • Ectopic pregnancy me garbh mahila ke garbhashay ke bahar hi sthit ho jata hai aur ye mahila ko pregnant hone ka ehsas dilate rehta hai.

    3 se 9 month ke beech bleeding hona

    First 3 month me bleeding jab tak jada na ho aur normal ho tab tak pareshani ki baat nhi, par agar 3 se 6 month ke beech bleeding ho ya fir aakhri 3 month me bleeding ho to ye gambhir samasya ho sakti hai.

    • Garbhavastha ke 3 mahine baad agar bleeding hoti hai to ye mahila aur bacche ke liye gambhir ho sakta hai isliye aese me turant doctor se mile aur upchar shuru karwaye.
    • Bleeding hona is baat ka sanket hota hai ki kisi karan se bache ko taklif ho rhi hai aur agar jaldi ho kuch naa kiya gya to garbhpat ho sakta hai.
    • Sundar Baby ke Liye Pregnancy me Kya Khaye

    Pregnancy me bleeding hone par kya kare

    1. Garbhavastha ke time agar bleeding ho rhi hai to pareshan naa ho aur shant dimag se ye dhyan de ki aap ko dard jada ho rha hai ya fir jada blood nikal rha hai. Is baat ko apne doctor se share kare taki vo aapko sahi salah de sake.
    2. Bleeding ke samay paid ya fir penti jarur pehne, isse aap ye jaan payenge ki bleeding kis type ki aur kitni ho rhi hai.
    3. Pregnancy me bleeding hone par sharirik sambandh naa banaye.
    4. Bleeding hone par agar kuch dusre lakshan bhi dikh rhe hai to is bare me bhi doctor ko jarur btaye, jese ki pet me dard hona.
    5. Is baat par dhyan dena chahiye ki blood gaadha hai ya patla aur blood kitni teji se nikal rha hai.

    Bleeding hone par Garbhpat ke lakshan

    Pregnancy ke dauran bleeding ho rhi hai to uska rang aur mahak dekh kar pta lgaya ja sakta hai ki ye bleeding normal hai ya fir koi problem hai. Aaiye miscarriage hone ke symptoms jante hai.

    • Yoni se halka gulabi, laal ya fir bhure rang ka discharge hona.
    • Periods ke hi jese pet aur kamar me dard hona.
    • Yoni me khichav mehsus karna aur teji se gadha laal rang ka blood nikalna.
    • Blood ke gadhe gadhe thakke nikalna aur pet me tej dard hona.
    • Normal days se jada pain hona aur khoon aana.

    Aur Padhe:

    Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

    Baba Ramdev Ayurvedic Upchar

    Tags: प्रेगनेंसी में ब्लीडिंग रोकने के उपाय, प्रेगनेंसी में ब्लीडिंग होने पर क्या करे,  गर्भावस्था के दौरान रक्तस्राव को रोकने के लिए उपाय, क्या प्रेगनेंसी में पीरियड्स होते है, प्रेगनेंसी में ब्लीडिंग होना इन हिंदी, गर्भावस्था में ब्लीडिंग, गर्भावस्था के दौरान खून बह रहा है, गर्भावस्था में खून आना, pregnancy me bleeding rokne ke upay, pregnancy ke first month me bleeding, kya pregnancy me bleeding hoti hai in hindi, spotting and bleeding during pregnancy pregnancy in hindi.

    Recent Articles

    6 COMMENTS

      • अगर एक महीने से ब्लीडिंग हो रही है तो चिकित्सक से मिलम कर सलाह ले.

    1. Mere periods 45 days ho gya pregnancy test ki to kit me ek red line dusri line ulti matlab cross ban gya dusri baar check ki to ek line dark or ek light aaya.
      Do din baad period aa gya ek pure din hua dusra din kam ho gya. To kya main pregnant hu ya nhi help me.

    2. Mujhe halka gulabi rang ka blood spot dikha meri pregnancy 15 ki hai kya ye mere liye khatra hai mujhe thyroid ki bhi problem hai.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles