More

    Sugar ka ilaj Karne ke Best Acupressure Points Hindi Mein

    Diabetes - शुगरSugar ka ilaj Karne ke Best Acupressure Points Hindi Mein

    Sugar ka ilaj in Hindi: Blood Sugar(diabetes) ek esa rog hai jo sharer mein bhut si bimariyo ko janam deta hai. Ghaav ho jana, jaldi ghaav na bharna aur peshaab bar bar aana unme se kuch ek hai. Vese to sugar ka upay ayurveda, homeopathy, allopathy aur gharelu nuskhe se bhi kar sakte hai, par is leekh mein hum jaanege ki acupressure treatment se sugar control kaise kare.

    • Type 1 Diabetes: Type 1 madhumeh mein rogi ke shareer mein insulin banana band ho jata hai, aur jab body mein insulin ki maatra kam hone lagti hai tab rogi ko body mein sugar ka level balance karne ke liyev insulin ke injection lagwane padte hai.
    • Type 2 Diabetes: Type 2 meinmein rogi ken shareer mein jo insulin banta hai vo thik se kaam nhi karta.
    • Diabetes in Pregnant Women: Pregnancy ke samay kai baar pregnant women ke shareer mein insulin banana band ho jata hai jisse sugar ki samasya hone lagti hai.

    Jane Sugar ke Kaaran aur Lakshan

    Sugar ka ilaj Kaise Kare, Acupressure points to Control Diabetes

     

    Sugar ka ilaj kaise Kare: Acupressure points to Control Diabetes

    Shareer ki bimariyo ka ilaj karne aur body ko healthy, fit rakhne mein acupressure treatment kaafi asardaar sabit hua hai. Points par pressure dene ka agar sahi tarika sikh liya jaye to blood pressure, migraine, sugar jesi bhut si bimariyo ka ilaj kiya ja sakta hai.

    Sugar control karne ke liye hamari body par acupressure ke bhut se points hai, agar in points par sahi tarike se pressure de aur massage kare to madhumeh ke lakshan khatam karke sugar ka ilaj ho sakta hai.

     

    1. Accupressure Points in HandSugar control karne ke acupressure points in hindi

    Hath ka ye point dabane se sugar control hone ke sath sath sir dard bhi thik hota hai. Jese photo mein dikhaya gya hai, anguthe ke sath wali ungali aur anguthe ke beech mein jo khaali hissa hota hai waha par apne dusre haath ke anguthe aur ungli ki madad se dabaye. Is point ko rojana 5 minute tak dabane se sugar control hone lagti hai. Ye point shareer ki garmi ko bhi control karta hai.

     

    Diabetes control tips in hindi

     

    2. Wrist Hand (Haath ki Kalayi)

    Jese picture mein dikhaya gya hai, sab se choti ungali(chichi ungli) ke bilkul niche jahan se kalayi shuru hoti hai waha par acupressure point ki massage karne se diabetes control hoti hai. Wrist par acupressure ka ye point heart ke stress ko bhi kam karta hai isliye ise stress relief point bhi bolte hai.

     

     

    Sugar kam karne ke upay acupressure se

    3. Ghutne (Knee)

    Agar hamari pachan kirya thik se kaam kare to sugar ka upay aasani se ho sakta hai. Hamare ghutne shareer ke digestive system se juda hota hai. Hamare pairo ke dono ghutno ki maalis karne se pet ki aur pachan ki sabhi problems ka ilaj hota hai. Rojana 5 minute tak ghutno ki massage kare.

     

     

    Sugar ka ilaj ke upay

    4. Foot Points

    Pairo ke upar anguthe aur ungli ke joint par massage karne se sugar control hone lagti hai. Rojana 5 minute tak dono pairo ke points ki massage kare.

     

     

    Acupressure points to control diabetes

    5. Pair ke Anguthe(Feet Toe)

    Jese ki picture mein dikhaya hai pair ke anguthe ko haath ki ungli aur anguthe ki madad se rojana 3 se 5 minute tak dabaye. Is point ko dabane se sugar ke lakshan aur sugar dono ka upchar hota hai.

     

     

    Sugar mein urine control karne ke upay

    6. Pair ke Ghutno ke Piche

    Is point ko urinary point bhi kehte hai. Sugar ke rogi ko peshaab ki shikayat bar bar hoti hai. Pair ke ghutno ke piche point par pressure dalne aur massage karne se urine problem mein relief milta hai.

     

    Acupressure treatment body mein blood sugar kam karne aur sugar se judi problems ka ilaj karne mein kaafi madad milti hai, par hum aapko ye salah denge ki iski practice karne se pahle kisi acupressure expert ki salah le aur points par pressure dalne ka or massage karne ka tarika sikh le.

     

    Dosto Sugar ka ilaj Kaise Kare: Diabetes Control Karne ke Acupressure points ka ye leekh kaisa lga hme bataye aur aagar aapke pass sugar ke upay ke koi sujhaav aur anubhav hai to yha share kare. Is site par hum baba ramdev aur rajiv dixit ke bataye hue ayurveda, homoeopathy aur home remedies tips bhi share karte hai.

    Recent Articles

    14 COMMENTS

    1. Agar kisi ki sugar level kamm rehti ho..aur vo use badhana ( level ) me lana chahe to..kya krna chahiye ..ayurvedic nuskha batayen

      • Rajkumar ji low sugar ke patient ko apne pass har samay kuch mithi cheej rakhni chahiye jisme 10 se 15 graam carbohydrates ho taki jab bhi uska sygar low hone lage vo use normal kar sake, iske ilava rojana raat ko 2 peese hue kaju aur thoda shahad ek glass gungune paani mein mila kar pine se fayda hoga. (is nuskhe ko shuru karne se pahle apne najdik kisi ayurveda vaid se bhi discuss kare.)

    2. koi gharelu upchhar btae sugar level high se normal me lane ke liy….hm alopathy ni chahte koi gharelu ya ayurvedic illaj btae

    3. hello sir meri mom ki age 52y hai…onka blood sugar level high rehta tha…ak month se girne ki vajha se onke piche ke muscle ko dab lag gaya hai…ab onse bilkul b chala nahi jata…abi kya kare..dard hona ak month se normal hai ja sugar ki vajha se abi theek nahi ho raha..or kitna time lagega theek honeko…or…ajj sham..khana khate time onka sugar level akdum low ho gaya tha..iska kya kaaran tha..sugar low hone ka akdum????please reply…thankx

    4. main 30 week pregnant hu aur mera suger level ab high aa rha tha starting me maine suger test karwaya tha tab to normal aaya tha. Mai ise kaise control kar sakti hu kya ye points main bhi kar sakti hu pregnency me normal suger lavel kitna hona chahiye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles