More

    एलोवेरा जूस पीने के 10 फायदे और नुकसान – Aloe Vera Juice in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेएलोवेरा जूस पीने के 10 फायदे और नुकसान - Aloe Vera Juice in Hindi

    Aloe vera juice peene ke fayde aur nuksan in hindi: Isse pahle humne ne aloe vera gel ko chehre par lagane ka tarika aur fayde jane hai. Aloevera ko ayurveda me ek ramban aushadhi mana jata hai. Face par lagane ke ilava agar is ka juice bana kar piye to ye sharir ko kai rogo se bachane aur unka ilaj karne me mdad karta hai par iske liye is baat ki jankari hona jaruri hai ki aloe vera ka juice kaise aur kab pina chahiye. Aloe vera me calcium, iron, jinc, sodium, potassium aur minerals paye jate hai. Aloe vera juice ek natural antioxidant hai aur isme protein aur vitamin bhi paye jate hai. Aaj is lekh me hum janenge aloe vera juice pine se kya fayda hota hai aur ise peene ka sahi samay aur sahi tarika kya hai, aloe vera juice benefits and side effects in hindi.

    एलोवेरा जूस के फायदे और नुकसान, Aloe vera juice peene ke fayde in hindi

     

    एलोवेरा जूस बनाने की विधि – Aloe Vera Juice Kaise Banaye

    • Aloe vera ka juice ghar par bnana kafi aasan hai. Aloe vera ka ek taja patta le aur is patte ke upar ki hari parat ko chaku se cheel le.
    • Patte ko chilne ke baad isme pani jesa dikhne wala gel milega jisse chote chote tukdo me kaat kar mixi me pees le.
    • Ab aapka juice pine ke liye tyar hai. Ek bar me 30 se 50 ml ki matra me le sakte hai. Iske ilava aap patanjali se bhi aloe vera ka juice le sakte hai.
    • Aajkal bajar me bhi aloe vera juice milta hai par ise lambe samay tak kharab hone se bachane ke liye isme kai tarah ke chemical milaye jate hai.
    • Agar aap shudh aur natural juice pina chahte hai to ise ghar par hi banaye.

     

    एलोवेरा जूस पीने के फायदे समय और तरीका

    Aloe Vera Juice Peene Ke Fayde in Hindi

     

    1. Har roj aloe vera ka juice pine se sharir me khoon ki kami dur hoti hai. 6 se 8 inch ka aloe vera ka patta cheel le isme 5 se 6 tulsi ke patte aur 4 se 5 neem ke patte mila kar juice bana kar piye.

    2. Body me jama vishele pdarth bahar nikal kar ye body ko detox karta hai aur hame swasth aur sehatmand bnata hai, jisse hum jada energy mahsus karte hai aur tandrust rehte hai.

    3. Sugar ke rogi ke liye aloe vera juice ramban dawa ka kaam karta hai. Har roj subah khali pet aloe vera juice pine se kuch hi dino me sugar control hone lagti hai.

    4. High blood pressure ke rogi ko subah khali pet aloe vera ka juice peena chahiye. Is upay se high bp kam hota hai aur cholesterol ki samasya se bhi rahat milti hai.

    5. Weight loss karne me bhi aloe vera juice benefit karta hai. Jo log badhte hue vajan se pareshan hai unhe har roj khali pet aloe vera ka juice pina chahiye.

    6. Isme kai parkar ke minerals aur vitamins hote hai jo body ki immunity badhane me mdad karte hai. Har roj is juice ko pine se sharir bimariyo se dur rehta hai.

    7. Aloe vera ka juice skin aur hairs ke liye bhi faydemand hai. Har roj iske sevan se baal lambe ghane aur chamakdar hote hai, baal jhadne ki samasya dur hoti hai aur tvacha bhi jawan bani rehti hai.

    8. Kuch logo ko fode aur funsi ki samasya bahut pareshan karti hai. Aese me aloe vera juice ka sevan har roj karne se bar bar fode funsi nikalna band ho jata hai.

    9. Aloe vera juice 4 chammach khali pet pine se pachan tantar majbut hota hai jisse pet me gas, kabj aur pet me bharipan ki pareshani dur hoti hai.

    10. Muh se badboo aana, danto ki sadan aur payriya jese rogo me bhi ye ramban dawa hai.

     

    एलोवेरा जूस के नुकसान – Aloe Vera Juice Side Effects in Hindi

    • Galat tarike se ya fir adhik matra me alovera juice ka sevan karne se body me potassium ki kami ho sakta hai jisse dil ki dhadkan aniyamit ho sakti hai aur sharir me kamjori aane lagti hai.
    • Pregnant women aur jo lady bacche ko breast feeding karti hai unhe iske sevan se dur rehna chahiye. Isse garbhwati mahila ko garbhpat ka khatra hota hai.
    • Jada matra me iske sevan se dast aur pet me gas ki samasya ho sakti hai.
    • Ye juice dawao ke asar ko kam karta hai. Agar aap kisi bimari ke ilaj ke liye dawa lete hai to aloe vera ke sevan se pahle doctor se salah jarur le.
    • 12 saal se kam umar ke bacche ke liye aloe vera juice ka sevan karna thik nahi mana jata.

     

    Dosto aloe vera juice peene ke fayde nuksan aur tarika in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass amla aur patanjali aloe vera ka juice kab aur kaise piye se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles