More

    अनुलोम विलोम करने का सही तरीका और नियम – Anulom Vilom in Hindi

    Uncategorizedअनुलोम विलोम करने का सही तरीका और नियम - Anulom Vilom in Hindi

    Anulom vilom pranayam kaise kare in hindi: Yoga aur pranayam acchi sehat pane ke sath sath kai rogo ke ilaj me bhi asardar hai. Anulom vilom agar niyam ke anusar har roj kiya jaye to sharer ki sabhi nadiya swasth rehti hai. Par agar pranayam karne ka sahi tarika naa pta ho to fayde ki jagah nuksan hone ki sambhavna bhi hoti hai. Is pranayam me naak se saans lene aur chodne ki vidhi ko bar bar kiya jata hai aur har umar ka vyakti ise kar sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge anulom vilom kaise karte hai ise kab aur kitni der karna chahiye, baba ramdev yoga anulom vilom karne ka tarika in hindi.

    अनुलोम विलोम करने के नियम – Anulom Vilom Ke Niyam

    • Man ko shant rakhe aur kisi bhi tarah ka mansik tanav naa le.
    • Anulom vilom karne ka sabse acha samay subh ka hota hai.
    • Subh pet saaf karne ke baad hi is pranayam karna chahiye.
    • Pranayam aur yoga karne se pahle aur kuch der baad kuch na khaye.
    • 30 minute pahle paani pi sakte hai par pet bhar paani na piye.
    • Agar kuch kha liya hai to iske 4 ghante baad hi is yoga ko kare.

    अनुलोम विलोम प्राणायाम कैसे करे सही तरीका

    Anulom Vilom Karne Ka Tarika in Hindi

    1. Anulom vilom karne ke liye kisi khuli hawadar jagah par baith jaye jha natural hawa aati ho. Ab apni kamar, sir aur chehra sidha karte hue apni aankhe band kare aur man ko shant rakhe.

    2. Is pranayam me pahle apne right hand ke anguthe se apni naak ki right side ka nathuna band kare aur left side se dhire dhire saans le aur man me 5 tak gine.

    3. Ab apne right hand ki 4th finger se left side ke nathune ko band kare aur right side ke nathune se dhire dhire saans chode. Is vidhi me apne left hand ko left ghutne par rakhe.

    4. Aap ab right side ke nathune se saans le aur left side se saans chode. (Is vidhi me daayi naak band karke baaye se dhire dhire saans le aur daaye naak se chode, fir daaye se saans le aur baaye se chode.)

    5. Jitna time saans lene me lagaye utna hi time saans chodne me lagaye. Ek bar me saans lene aur chodne me kam se kam 5 second ka samay jarur le.

    6. Kuch log time kam hone ki wajah se jaldi jaldi saans lene aur chodne lagte hai jo karna thik nahi hai. Is pranayam ko itna aaram se kare ki aap ko apni saans ki aawaj bhi na aaye.

    7. Jo log khoon ki kami aur kamjori se pareshan hai unhe anulom vilom karte samay saans lene aur chodne me sawdhani rakhni  chahiye.

    8. Aksar kuch logo ka sawal hota hai ki kya anulom vilom pranayam karne se pahle kuch kha pi sakte hai. Iska jawab hai nahi. Yoga aur pranayam karne se pahle aur 30 minute baad tak kuch na khaye.

    9. Aap ghar baithe baba ramdev anulom vilom kaise karte hai video dekh kar bhi ise karne ka sahi tarika sikh sakte hai.

    10. High blood pressure, low blood pressure aur hraday ke rogi ko kisi yoga guru ki dekh rekh me hi is pranayam ko karna chahiye.

    अनुलोम विलोम के फायदे – Anulom Vilom Pranayam Benefits in Hindi

    • Anulom vilom ke fayde me sabse pahla fayda ye hai ki is pranayam se dimag aur man shant hota hai aur tension dur hoti hai.
    • Is pranayam se sharir ki sabhi nadiya shudh hoti hai isliye ise naadi shodhan pranayam bhi kehte hai.
    • Vaat, pit aur cough ke rogo ko thik karne aur jodo ka dard, sujan aur gathiya ke upchar me mdad milti hai.
    • Is yoga ko har roj karne se aankho ki roshni badhti hai, blood circulation acha hota hai aur anidra ke rog me bhi labh milta hai.
    •  Migraine ke rog me bhi is yoga se benefit milta hai.
    • Sardi jukam aur dama ke rog me labh milta hai. Liver ki kamjori dur hoti hai.
    • Agar aapko gussa aata hai, yaddasht kamjor hai to niyamit roop se anulom vilom kare.

    अनुलोम विलोम में सावधानी – Anulom Vilom Ki Savdhaniya

    • Anulom vilom ko khali pet hi kare.
    • Sham ko karna hai to dhyan rakhe khana khaye 3 se 4 ghante ho gye ho.
    • Is pranayam ko jor lga kar tej gati se naa kare.
    • Yoga aur pranayam karne ke turant baad nahi nahana chahiye.
    • Saans ke kisi bhi rog me is kriya ko karne se pahle kisi yoga expert ki salah jarur le.

    Ghar Par Meditation Kaise Kare

    Yoga Karne Ka Sahi Tarika Aur Niyam

    Dosto anulom vilom karne ka tarika in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass baba ramdev yoga anulom vilom pranayam kaise kare, karne ka sahi samay, fayde aur nuksan se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles