More

    Baalo se Dandruff (Russi) Hatane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Hair - बालBaalo se Dandruff (Russi) Hatane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Sir mein russi hone se baal jhadna, khujli hona aur baal bejan hona jesi samasyae ho sakti hai. Bazzar mein aese bahut se anti hair dandruff shampoo milte hai jo baalo se dandruff khatam karne ka dawa karte hai, ye products jab tak istemaal kare tab tak to dandruff hata dete hai par inka paryog band karne ke baad kuch samay mein hi ye samasya fir se hone lagti hai. Ye products mehnge bhi hote hai aur inke side effect bhi ho sakte hai. Dandruff ke ilaj ke liye homemade nuskhe jada kargar hai. Is article mein hum kuch gharelu upay janenge jo baalo ki russi aur khushki ka upchar karne ke sath inhe dubara hone se bhi rokte hai. Aaiye jane home remedies for hair dandruff treatment in hindi.

    Baalo se Dandruff (russi) Hatane ke Gharelu Upay, Dandruff Treatment in Hindi

     

    Baalo Mein Russi Hone ke Karan : Causes of Hair Dandruff

    Hairs mein rusi sir ki skin mein maujood dead koshikayo se hoti hai. Oily skin, rukhi tavacha ya kisi fungal infection ke karan bhi ye problem ho jati hai. Kuch dusre karan bhi hai.

    • Baalo ki thik se safayi na karna.
    • Baalo ko jaruri nutritions na milna.
    • Harmons imbalance hone se.
    • Baalo mein jada paseena aana.
    • Adhik tanav lena.

     

    Baalo se Dandruff (Russi) Door Karne ke Gharelu Nuskhe

    Home Remedies for Dandruff Treatment in Hindi

    1. Dandruff khatam karne ke liye dahi mein besan mila kar sir ki tavacha ki halke hatho se malish kare aur aadhe ghante baad dho le.

    2. Kache ande ko tod kar ache se faint le aur sculp par massage kare. Malish ke baad aadhe ghante tak ise chod de aur uske baad shampoo se baal dho le.

    3. Paani aur sirka ko barabar matra mein mila kar baalo par lagane se dandruff door hota hai.

    4. Do chammach paani mein 2 chammach baking soda mila le aur sir par lagaye. 15 minute baad sir dho le, is upay se baalo ki rusi khatam ho jayegi.

    5. Neem ke patto ko pees kar lep bana kar sukhe baalo par lagaye aur thodi der baad sir dho le.

    6. Do chammach moong ki daal ke powder mein 4 chammach dahi aur 2 chammach jaitun ka tel mila kar ek paste bana le. Is paste ko baalo par 10 se 15 minute tak laga kar rakhe aur saaf paani se dho le.

    7. Methi ke daano ko raat bhar paani mein bhigo kar rakhe aur agle din unhe pees kar ek paste bana le. Is paste ko sir ki tavacha par lagaye aur aadhe ghante baad dho le. Ye upay baalo se dandruff remove karne ke sath hairs ki dusri problems mein bhi benefit karta hai.

    8. Ek chammach nimbu ke ras mein 4 se 5 chammach nariyal ka tel mila kar lagane se rusi aur khushki door hoti hai.

    9. Aawle aur tulsi ke powder ko mila kar baalo ki jado tak ache se lagaye aur 30 minute baad sir dho le.

    10. Baalo ki jado par dahi lagaye. Dahi khopdi par ache se lagni chahiye. Dahi lagane ke 1 ghante baad sir dho le.

     

    Baalo ki Russi aur Khushki Nikalne ka Gharelu ilaj

    1. Multani mitti chehre ke liye to achi hoti hi hai par iske gun baalo ke liye bhi bahut faydemand hai. Multaani mitti ko paani mein pees kar ek paste bana le aur isme thoda nimbu ka ras bhi mila de. Is paste ko 15 se 20 minute ke liye hairs par laga kar rakhe aur dho le. 2 se 3 baar is upay ko karne se hi russi aur khushki se chutkara milne lagega.
    2. Raat ko sone se pahle sarso ke tel se baalo ki malish kare aur subh dho le.
    3. Aloe vera gel se sir par malish karne se baalo ki kai parkar ki samasyo se chutkara milta hai.

     

    Hairs Mein Dandruff se Bachne ke Tarike

        • Agar aap russi se bachne ki liye kisi shampoo ka paryog karna chahte hai to herbal aur ayurvedic shampoo hi paryog kare.
        • Baalo ko sundar aur healthy banana ke liye jaruri hai ki baalo ki sahi dekhbhal (hairs care) ki jaye aur poshtik diet li jaye taki baalo ko jaruri poshak tatav mil sake. Apne khane mein healthy food shamil kare aur paani ki matra adhik le.
        • Baalo par kisi parkar ke experiment se bache.
        • Hamare sir mein har thode samay mein dead skin ikatthi ho jati hai jise nikalna bahut jaruri hai. Is dead skin ko kanghi kar ke nikala ja sakta hai, jisse baalo ki jado tak hawa jati hai aur blood circulation sahi rehta hai.
        • Tension lene se bhi baal jhadne aur russi hone jesi samasya ho jati hai. Baalo mein dandruff se bachna hai to mansik tanav kam le.

     

    Upar bataye hue gharelu tips ko agar sahi tarike se apnaya jaye to dandruff se chutkara mil sakta hai. Agar fir bhi aapko fayda na ho to kisi hair specialist doctor se contact kare kyuki baalo ke rog aur bhi kai karno se ho sakte hai.

     

    Dandruff ki samasya chote bacho se le kar bado tak kisi ko bhi ho sakti hai. Agar aap ko ye upchar karne se fayda mile to apne friends aur relatives ko bhi inke bare mein bataye taki unhe bhi is problem ka sahi solution mil sake.

     

    Dosto Baalo se Dandruff Hatane ke Gharelu Upay, Home Remedies for Dandruff Treatment in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment ke dawara bataye aur agar aapke pass koi baalo ki russi nikalne ka gharelu ilaj ya desi nuskhe ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    15 COMMENTS

    1. sir mere baal jhar nhi rahe ud rahe to main
      kya karu….aur russi bhi bhut ho gye hai aur sir ke beech me baal ud chuke hai kya again aa sakta hai to kaise

    2. Sir mere sir m bhut sara dandruff hai.. or iske karan mere balo ki jade kamjor ho gyi hai.. isse bal jhad rhe hai.. mujhe apne balo ko jhadne se rokna hai.. or dandruff khtm krna hai kya kru… apka diye gye upai bhi kr rha hu but kch fark nhi dikh rha hai kya kru.. plzz.. btaiye…

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles