More

    Bar Bar Peshab Aane ka Upchar ke 10 Gharelu Nuskhe Hindi Mein

    Disease - बीमारीBar Bar Peshab Aane ka Upchar ke 10 Gharelu Nuskhe Hindi Mein

    Bar Bar Peshab Aane ka Upchar:Hamari body khane pine se mile jaruri poshak tatavo ko alag kar ke vishale padartho ko mal aur mutar marg se sharir se bahar nikal deti hai. Is liye hame jab bhi peshab karne ki vedana aaye usi samay karna chahiye par agar aap ko normal se adhik bar urine aata hai to ye ek bimari bhi ho sakti hai. Raat ke samay bar bar peshab hone par neend kharab hoti hai. Jada peshab aana kewal sharirik hi nahi mansik karan bhi ho sakta hai. Kisi cheej se dar lagna ya fir jada tension lene se bhi ye samasya hoti hai. Is lekh mein hum is bimari ke karno ko samjhne aur iske upchar ke gharelu aur ayurvedic nuskhe janenge, home remedies for too much urination treatment in hindi.

    Jada Peshab Aane ke Karan : Causes of Too Much Urination

    1. Sugar (diabetic) ke rogi ko bar bar peshab aata hai. Pregnancy mein bhi ye samasya hoti hai.
    2. Jada chay, coffee aur sharab ke sevan se urine jada aata hai.
    3. Chote bacho ke pet mein kide ho to unhe peshab adhik aata hai.
    4. Sardiyo mein peshab adhik banta hai.
    5. Bladder mein infection hona.
    6. Prostate granthi ke badhne se bhi adhik urine aata hai.
    7. Kai bar kisi bimari ke treatment mein li gyi medicines ki wajah se bhi jada bathroom aata hai, aesi situation mein apne doctor se jarur salah kare.

    Bladder mein urine storage ki capacity kam hone ya fir bladder ke adhik sakriya hone ke karan baar baar peshab aata hai.

    Bar Bar Peshab Aane ke Gharelu Upay

    Home Remedies for Frequent Urination in Hindi

    1. Budhe logo ko baa baar peshab aata hai, iske ilaj ke liye raat ko sone se pahle chuwahre khaye aur doodh piye.

    2. Seb khane se raat ko bar bar urine aane ki samasya kam hoti hai, iske ilava din mein 2 se 3 baar gajar ka juice piye.

    3. Shaam ko palak ki sabji bana ka khaye isse bhi raat ko frequent urination ki problem se chutkara milta hai.

    4. Angur ka sevan karne se bhi jada urine aane ki hazat mein kami aati hai.

    5. Rojana breakfast mein khana khane ke bad 2 pake hue kele khaye.

    6. Peshab bar bar aaye to thodi si pissi hui haldi ki faanki mare aur paani piye.

    7. Masur ki daal khane se bhi ye problem kam hoti hai. 1 katori methi ka sag roana khaye isse bhi adhik pessab aana kam hota hai.

    8. 3 munaka, 5 kaali mirach aur 3 pista pees kar din mein 2 baar khane se bhi aaram milta hai.

    9. Til ke ladu subah sham khane se peshab aane ki samasya door hoti hai.

    10. Bhojan mein dahi ko shamil kare, dahi mein maujood bacteria bladder ke hanikarak bacteria ki growth ko kam karta hai.

    Bar Bar Urine Aane ka ilaj ke Ayurvedic Nuskhe

    1. Chote bache aksar bistar (bed) par peshab karte hai, agar bacha normal se jada urine pass karta hai to jayfal ghis kar ek chauthayi chammach bache ko chat de aur doodh pila de. 2 se 3 dino mein hi jada peshab aana band ho jayega.
    2. Anar ke chilko ka churan 5 graam ki matra mein taje paani ke sath din mein 2 bar lene se jada urine aana kam hota hai.
    3. 1 chammach ajwaine mein thoda namak mila kar paani ke sath le. Ye upay din mein 2 bar kare kuch hi dino mein bar bar peshab aane ki samasya se chutkara mil jayega.
    4. 2 se 3 tulsi ke patte 1 chammach shahad ke sath rojana khali pet lene se is pareshani se rahat milegi.
    5. Aawle ka churan gud ke sath lene se bhi peshab khul ke aata hai. 2 se 3 aawlo ka ras 3 se 4 din subah sham lene se bhi aaram milta hai.
    6. Gud ke sath bhune hue chane khane se bhi fayda hota hai. 10 din tak is upchar ko lagatar kare peshab ki samasya thik hone lagegi.
    7. Aadha chamach baking soda 1 gilass paani ke sath le, ye urine ke ph balance ko niyantran mein rakhega.

    Agar aap ko baar baar peshab aane ki samasya hoti hai to chay, coffee pine se parhej kare, iske ilava sharab aur cold drinks pine se bhi bache aur vitamin C se bharpur cheejo ka sevan kare.

    Peshab ke Rang se Bimari ko Kaise Pehchane

    Peshab ke rang ko dekh kar sehat se judi kafi aham jankari milti hai. Aaiye jane urine ka color dekh kar kaise apni health ke bare mein jane.

    • Peshab ka rang halka pila hona normal hai, iska matlab hai ki aap healthy hai par agar rang gehra pila ho to iska matlab hai aapke shareer mein paani ki kami hai. Isse chutkara pane ke liye adhik paani piye.
    • Agar pessab ka rang laal ho to isme blood ke kan maujood hai. Agar urine ka color red ho to doctor se mile aur jaruri test karwaye taki iske karno ka pata lagaya ja sake kyuki ye khoon kidney, bladder, grabhasay, prostate granthi ya kisi aur karan se bhi ho sakta hai.
    • Peshab ka color gehra laal ya kala kai bimariyo ki wajah se ho sakta hai jese liver mein infection, hepetities, sirosis ya koi aur gambhir bimari se bhi aesa ho sakta hai.
    • Bistar Gila Na Karne Ka Upchar
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
    • Rajiv Dixit Ayurvedic Upchar in Hindi

    Dosto Bar Bar Peshab Aane ke Gharelu Upay, Frequent Urination Treatment in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment kar ke btaye aur agar aapke pass urine problem ka ilaj, desi nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    14 COMMENTS

    1. Ap k is lekh sy kafi help mili pr mje Suba sy bht urine araha hai.bukhar b feel ora hai or sath ma galy or kan ma light c pain hai iski kya waja hai..kindly help me

    2. 1. Do teen din me pet kharab ho jata hai 8-10 baar mal tyag karne jana padta hai .
      2.dast jane se Pahle gais banne lagti hai aur fir 8/10 baad dast ke saath gais banking hai .
      3.pet saaf hone ke 24 ghante baad dakar fir kharab fir halki khatti dakar aati hai gais banne lagti aur dast lagne lagti hai

      • बार पेशाब लगने की कारन और इसके इलाज के घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े।

    3. Pisab bhi bar bar aa raha hai control bhi jayda bahi hota ye huwa 1 2 dib huwa hai pisab clear hai pls suggest wht is the reason and wht is the treatment for this.

    4. Sir mujhe 9, 10 months se pesab bahot jada a rahi hai maine private hospital me kafi elaj bhi karwa liya but koi fark nahi pana plz mujhe bataye ki kya karu

      • ज्यादा पेशाब आने की समस्या का इलाज आप घरेलू तरीके से भी कर सकते है। आप ऊपर बताये गए नुस्खे और उपाय पढ़े और अगर घरेलु उपचार से भी फायदा न मिले तो डॉक्टर से मिल कर सलाह ले।

    5. Sir mere bhai ki umar 23 saal hai par vo abhi bhi bistar gila kar deta hai ab wah bahot pareshaan rahta hai

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles