More

    Cancer Se Bachne Ke Aasan Tarike : 15 Home Remedies in Hindi

    Disease - बीमारीCancer Se Bachne Ke Aasan Tarike : 15 Home Remedies in Hindi

    Cancer Se Bachav Ke Gharelu Upay

    Cancer ka rog itna ghatak hai ki iska naam sunte hi ghabrahat hone lagti hai. Kai kaarano se log cancer ki bimari se grast ho rahe hai. Agar sahi samay par cancer ki pehchaan ho jaye to iska ilaj karke isse puri tarah khatam kiya ja sakta hai. Is lekh mein hum janenge cancer se bachne ke upay in hindi.

    Pursho mein fefado, gala(throat), jeebh, muh, khane ki nali, prostate, oral aur aawaj ki nali ka cancer hota hai aur mahilao mein satan(breast), garbhashay, thyroid, pittashay aur mastishak ke cancer hone ki sambhavna jada hoti hai.

    Cancer Se Bachav Ke Gharelu Upay in hindi

    Cancer Kaise Hota Hai

    Hamare shareer mein 100 se 1000 tak kharab cells(koshika) hote hai. Har samay hamari body mein naye cells paida hote hai aur purane kharab cells khatam bhi hote hai. Par cancer hone par lal aur safed rakt koshikayo ka santulan bigad jata hai aur cells ki badhotari control se bahar ho jaati hai.

    Smoking, sharab aur khane ki galat aadate cell ke genetic code mein badlav la kar cancer paida karti hai. Cancer ke cells body ke sahi cells ki working mein rukavat daalte hai. Cancer cells body mein ghumte rehte hai aur sharer ke kisi bhi ang mein jaa kar naye bimar cells banate hai jisse us ang ke kaamkaj mein bhi rukawat aane lagti hai. In bimar cells ko hi cancer kehte hai. Cancer had se jada badhne wali koshikayo ki bimari hai.

    Cancer Ke Lakshan Kya Hai

    • Muh(mouth) ke andar chaale hona, muh ka sukadna aur puri tarah muh ka na khulna.
    • Khana chabane, nigalne ya hazam karne mein pareshani hona.
    • Kamar mein lagataar dard hona.
    • Shoch(toilet) aur mutar(urine) ki aadato mein badlaav aana.
    • Breast mein ya fir shareer ke kisi aur hisse mein gaanth banana.
    • Lagataar khansi hona ya aawaj ka baith jana.
    • Dekhane sunane mein pareshani hona, sir mein dard hona, yadashat mein kami hona.

    Upar bataye gaye lakshano mein se koi bhi lakshan agar 2 hafte se jada samay tak ho to turant iski jaanch kisi ache doctor se karaye, aur jaane ki kahi ye cancer to nahi. Vese in lakshano ke koi aur kaaran bhi ho sakte hai.

    Cancer Ke Karan Kya Hai

    • Tobacco, khaini, supari, aur paan massala jaisi cheeje khane se cancer hone ki sambhavna bhut jada badh jaati hai.
    • Sharab peene se bhi cancer hone ki aashanka hoti hai. Sharab peene se oral cancer, gale ka cancer aur pet ka cancer hone ka khatra hota hai. Cigarette aur sharab dono ko ek sath lene se ye khatra 100 guna jada hota hai.
    • Refined oil aur palmolive oil hamari sehat ke liye thik nahi hai, khana banana ke liye olive oil, coconut oil ya mungfali ke tel ka upyog kare.
    • Jada namak khane se pet(stomach) ka cancer hota hai, isliye namak ka sevan jada na kare.
    • Jis khane ke pachne mein jada samay lagta hai aise khane se parheej kare, meet ko hazam karne mein jada enzyme aur jada waqt lagta hai jisse pet mein acid banta hai jo cancer ko badhava deta hai.
    • Jada tale hue, bhune hue charbi wali cheeje khane se bache.
    • Jo mahilaye apne bacho ko doodh nahi pilati unhe satan(breast) cancer hone ka khatra jada hota hai.
    • Mahilao ko garbh nirodhak dawao ka isteemaal lambe samay tak nahi karna chahiye, in goliyo ke lambe samay tak upyog karne se liver aur breast cancer ka khatra badh jata hai aur iske sath dil ki bimari ki aashanka bhi badh jaati hai.
    • Motapa, Hepatitis B aur HIV ke virus ki wajah se bhi cancer ki sambhavna hoti hai.

    Cancer Se Bachav Ke Gharelu Upay: 15 Homeremedies in Hindi

    1. Fruits, sabjiya aur sabut aanaj ka sevan kare.
    2. Sharab aur smoking ka sevan bilkul bhi na kare aur agar kare to kam kare.
    3. Gaay ka mutar, gehu ka javara (wheatgrass) cancer se bachav aur upchaar ke liye bhut kargar ayurvedic upay hai.
    4. Charbi wale khaane se bache. Meet, tala hua khana ya fir upar se ghee – tel lene se parheej kare.
    5. Jaada calorie wala khana kam khaye aur excersise kare.
    6. Vitamin aur minerals ki tablet khane ki bajay natural khana khaye jo poshak tatvo se bharpur ho.
    7. Khane mein jada namak dalne se bache, aur kabhi bhi pakke hue tyaar khaane ke upar se namak na daale.
    8. Jis khaane mein fafund lag gayi ho ya bacteria aa gya ho use turant faink de.
    9. Bina wajah dard nivarak dawa ya fir koi aur dawa khane ki aadat chode.
    10. Cancer ki samay samay par test jarur karwate rahe.
    11. Lal, neele, peele aur jamuni rang ke fal aur sabjiya jaise jamun, tamatar, papita, kaale angoor, amrud, tarbuj khane se cancer ka khatra kam ho jata hai.
    12. Cancer se bachav aur treatment ke liye lehsun bhut hi faydemand aushdhi hai. Isliye lehsun har roj khaye, ye bimariyo se ladne ki takat badhata hai.
    13. Nembu, santra ya mausami mein se kisi ek ka juice rojana peene se muh, gale(throat) aur pet ke cancer ki sambhavna bhut kam ho jati hai.
    14. Ek se adhik logo se yon sambandh rakhne se garbhasay ka cancer hone ka khatra hota hai.
    15. Badam, kishmish jaise dry fruits khane se cancer ki bimari nahi badhti.

    Dosto cancer se bachav ke aasan gharelu nuskhe in hindi ka ye lekh  aapko kaisa laga hame jarur btaye aur agar aap ke pass koi sujhaav ya fir anubhav hai to hame bataye.

    Homeremedies, baba ramdev medicine aur yoga ke tips, ayurvedic, rajiv dixit upay, homeopathic treatment aur desi ilaj ke sath is blog par internet ki jankari hindi mein dalte hai.

    Recent Articles

    11 COMMENTS

    1. Mere dad ko lungs me cancer h bhot dard hota h dard ka dava 12 hr pe khate h to rest rhta h plz koi upay btaye

      • कैंसर का इलाज के आयुर्वेदिक नुस्खे और घरेलू उपाय से जुडी जानकारी के लिए हमने एक लेख साँझा किया है आप वहां बताये नुस्खे पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles