More

    Hair Care Tips in Hindi: Baal Sundar Banane Ke Gharelu Nuskhe

    Hair - बालHair Care Tips in Hindi: Baal Sundar Banane Ke Gharelu Nuskhe

    Hair Care Tips in Hindi: Chahe garmi ho sardi ho ya fir barish ka mausam ho hamare balo ko har mausam mein alag dekhbhal (hair treatment) chahiye hoti hai. Har umar ke log apne balo ki care karte hai. Kabhi beauty parlors ja kar ya fir ghar par mehnge shampoo istemaal kar ke. Par agar gor kiya jaye to purane jamane ke logo ke baal abhi bhi lambe aur ghane dikhayi dete hai kyuki hamare dada-dadi, nana-nani apne jamane mein hairs care ke gharelu nuskhe istemaal karte the.

    Aaj kal ke logo mein balo ka jhadna(hair loss), baal umar se pahle safed hona aur balo mein dandruff ho jana ek aam baat ho gyi hai. Aise mein din bhar ki bhagdod ke baad hum apne balo ki care nhi kar pate. Iss leekh mein hum aap ko btayenge ki kaise gharelu nuskhe istemaal kar ke balo ka girna rok sakte hai.

     

    Baal Jhadne se Rokne Ke Ayurvedic Treatment

    1. Balo ke girne ya tutne par sir mein nimbu ke ras mein nariyal ka tail mila kar halke hatho se sir ki maalish karne se baal jhadne band ho jayenge. Sath hi baal mulayam ho jayenge aur sir ki sikri bhi nikal jayegi.
    2. Baal jhadne se rokne ke upay ke liye 10 gram aam ki giri le kar aawle ke ras me pees le. Ise lagane se baal jhadna band ho jate hai aur sath hi baal sundar ghane aur gunghrale ho jate hai.
    3. Baal tutne par balo ko sabun se na dhaoye, unhe reethe ke paani se dona chahiye. Aur agar baal jada jhadte ho to har 2-3 din me sir dhona chahiye.
    4. Chawal ke paani se baal dhone se hairs healthy rehte hai aur hair fall kam hota hai.

     

    Balo Se Dandruff Hatane Ke Upay : Dandruff Treatment in Hindi

    • Agar aap ke balo mein russi aur khushki ho to nariyal ke tail mein nimbu ka ras mila kar raat ko sir ki maalish kare aur subh gungune paani se sir dho le. 2-4 baar isse karne se balo ki russi aur khushki khatam ho jayegi.
    • Raat ko reethe ke chote chote tukde kar ke paani mein bhigo de. Subh usi paani se sir dhone se baal lambe aur ghane hote hai aur khushki aur russi door hoti hai.
    • 100 gram nariyal ka tail, 4 gram kapoor le aur dono ko sath mila kar shishi mein rakh le. Subh nahne ke baad baal sukhne par aur raat ko sone se phle issi tail se sir ki maalish kare. 2 dino mein aap ke balo se dandruff hatne lagegi.
    • Baal dhone se aadha ghanta pahle nimbu kaat kar sir par malne se aur fir halke garm paani se sir dhoone se bhi balo se dandruff saaf hoti hai.
    • 3-4 kilo paani me nimbu ka ras nichod kar baalo ko dhoye. Ye kirya 1 hafte tak karne se baalo ki sikri saaf hone lagti hai.
    • Jane Baalo se Russi Door Karne ke 10 Nuskhe

     

    Safed Balo Ka Ilaj : White Hair Problem Solution in Hindi

    Amla Juice for Hair: Sukhe amle ke churan ko paani ke sath mila kar ek paste bana le aur sir par iska leep kare fir 5-10 minute baad baalo ko dho le. Baal safed hone aur girne band ho jayenge.

    1 chamach amla ka churan sone se pahle paani ke saath le. Isse baalo ke sath sath aap ke face ki skin ko bhi fayda hoga. Safed balo ko kale karne ke gharelu nuskhe bhut hi kargar sabit huye hai.

     

    Sir Ki Juon Ko Nikalne Ka Gharelu Ilaaj

    1. Pyaj ka ras sir me lagane se juyein mar jati hai.
    2. 20 gram suhaga aur 20 gram fitkari ko 250 gram garam paani mein mila kar sir par ache se male. Isse juuye khatam ho jayengi.
    3. Neem ki nimboliyo ko ghont kar sir mein lagane se juyien mar jaati hai. Juon se chutkara paana ho to ye gharelu nuskhe jarur aajma kar dekhe.

     

    Safed Baal Kale Kaise kare

    • Bhringraaj tail rojana lagaya jaye to safed baal kale hone lagte hai.
    • Kaali mehndi paani me ghol kar raat ko lagaye aur subh sir dho le. Isse sare safed baal jad tak kale ho jayenge.

     

    Baal Sundar Banane Ke Gharelu Nuskhe : Hair Care Tips in Hindi

    • Sukha amla aur shikakai dono ko 20-20 gram le kar pees le aur aadha kilo paani me raat ko bhigo de. Subh iss paani ko masal kar kisi kapde se chaan le aur sir par male aur aadhe ghante baad sir dho le.
    • Baal sukhne par nariyal ke tail se maalish kare. Isse se baal ghane, mulayam aur chamakdaar ho jayenge.

     

    Dosto aap ko ayurvedic treatment for hair loss ka ye leekh kaisa laga hame jarur bataye aur sath hi apne anubhav bhi hamare saath share kare. Aur agar aap ke pass gharelu nuskhe in hindi for hairs, hair fall rokne ka gharelu upay hai to yha hamare sath share kare, aapki di hui information dusro ke bhi kaam aa sakti hai.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles