More

    चिकनगुनिया में जोड़ों के दर्द का आसान उपचार – Chikungunya ke Dard Ka ilaj

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेचिकनगुनिया में जोड़ों के दर्द का आसान उपचार - Chikungunya ke Dard Ka ilaj

    Chikungunya ke dard ka ilaj in hindi: Normal bukhar hone par sir dard hona aur badan dard karna jesi shikayat hoti hai par chikungunya ki bimari me hatho pairo ghutne aur ungliyo me bhi dard hota hai. Jodo me dard hona aur tej bukhar aana parmukh lakshan hai. Chikungunya ka ilaj karne ke baad rog to thik ho jata hai par uske baad bhi joint pain se rahat nhi milti. Chikungunya thik hone ke baad jodo ke dard ko dur karne ke gharelu upchar kar ke kaafi had tak rahat paa sakte hai. Aaj is lekh me hum chikungunya ke dard ka gharelu upay janenge, natural home remedies for chikungunya joints pain treatment in hindi.

    Is bimari se recover hone me kuch hafte se le kar kuch mahine tak lag jate hai kyuki isse recovery hamare immune system par depend karti hai. Agar thik se upchar aur dekhbhal ki jaye to 2 se 3 hafte me chikungunya se puri tarah se chutkara paya ja sakta hai.

    Chikungunya ke Lakshan aur ilaj me Sawdhaniya

    • Tej bukhar hona aur jodo me dard hona is bimari ke lakshan hai. Is rog me bukhar 1 hafte se le kar 3 hafte tak reh sakta hai.
    • Chehre, haath aur jangho par chakte padna bhi is bimari ke symptoms hai. Iske ilava sir dard karna, chakkar aana aur ulti hona bhi iske kuch lakshan hai.
    • Homeopathic tarike se upchar ke liye Eupatperf 200 naam ki homeopathic dawa le sakte hai. Ye dawa chikungunya hone ki sambhavna ko kam karti hai.
    • Chikungunya ka ilaj ke liye abhi tak koi angreji dawa nahi aayi hai. Aese me khud se koi medicine lene se bache aur doctor dawara btayi gyi dawa hi khaye.
    • Ye bimari hone par aaram karna bahut jaruri hai, isliye ghar par hi rahe aur jitna ho rest kare.
    • Jada tala aur mirch masaledar khane se parhej kare.

    Chikungunya Ke Dard Ka ilaj Aur Upay

    Home Remedies for Chikungunya in Hindi

    1. Ice pack bana kar jodo par lagane se dard aur sujan kam hone lagti hai. Toliye ya kisi kapde me burf ke kuch tukade lapet kar sujan wali jagah par lagaye.

    2. Dard se rahat pane ke liye apne aahar me shimla mirch ka sevan kare.

    3. Chikungunya ke dauran jodo ke dard ko dur karne ke liye lehsun ka sevan asardar gharelu nuskhe me se ek hai. Lehsun body ki immunity ko badhata hai aur dard se rahat milti hai. Har roj lehsun ki 2 se 3 kaliya khali pet khaye.

    4. Haldi chikungunya ke lakshan kam karne me kaafi upyogi hai.

    5. Gharelu ilaj se jodo ka dard dur karne me angoor ka sevan bhi kar sakte hai. Gaay ke doodh ko gunguna kar ke iske sath angoor khane se chikungunya ka virus khatam hota hai. Dhyan rahe angoor bina beej ke ho.

    6. Jodo ke dard aur sujan se rahat ke liye lehsun ke jese adarak bhi faydemand hai.

    7. Dard ka ilaj karne me gajjar bhi faydemand hai. Gajjar khane se body me chikungunya virus ke asar ko kam karne ki takat badhti hai jisse joint pain thik hone lagta hai.

    8. Massage karne se jodo me dard se aaram milta hai. Pairo ke talvo ke beech aur hatho par halki halki massage karne se dard me aaram milta hai.

    9. Chikungunya ke dard ke upay me halki aerobics exercises aur stretching se bhi aaram milta hai par jada vajan uthane se bache.

    10. Laung ka tel lehsun ke paste me mila kar kisi kapde ki mdad se dard wali jagah par baandhe. Is upay se bukhar aur dard dono se rahat milti hai.

    Chikungunya ke Dard ki Dawa

    • Jodo ke dard se rahat pane ke liye rogi ko paracetamol ki tablet aur takat ke liye kuch vitamin ki goli di jati hi. Bina doctor ki salah ke pain killer medicine lene se bachna chahiye, kyuki iska bura asar sharir ke dusre ango aur kidney par padta hai.
    • Diabetes aur heart ke rogi ko agar ko chikungunya ka bukhar aur jodo me dard ki shikayat ho to khud se dawa bilkul bhi naa le. Aese me doctor se mil kar hi treatment ke bare me jane.

    Chikungunya ka Gharelu Upchar in Hindi

    1. Papite ke patte dengu ke upchar ke sath sath chikungunya thik karne me bhi asardar hai. Bukhar hone par body ke platelates teji se kam hone lagte hai. Papaya ke patte ka ras platelates bdhane me mdad karte hai. Is ramban upchar ke liye papita ke patto ka juice nikal kar din me 3 baar piye.
    2. Chikungunya ka upchar me giloy ramban dawa hai. Giloy ki goli, churan ya iska kadha pine se dengu aur chikungunya thik kiya ja sakta hai.
    3. Tulsi aur ajwaine chikungunya ka ilaj ke liye gharelu dawa hai. Upay karne ke liye ajwaine, tulsi, kishmish aur neem ke sukhe patte ubaal kar ise bina chane din me 2 se 3 baar piye.

    Chikungunya Me Kya Khaye

    • Papita, aelo vera, gehu ke jaware, aanar aur giloy in sab ko mila kar juice bana le aur din me 2 se 3 baar piye. Is ayurvedic nuskhe se chikungunya aur dengu ke rogi ko teji se fayda hota hai.
    • Nariyal paani aur taaji sabjiyo ka soup piye. Is rog ke dauran sharir me kamjori aane lagti hai aur paani ki kami hone lagti hai isliye aahar me liquid diet le jisse body me energy aayegi.
    • Pattedar saag me iron aur vitamin E bharpur hota hai jisse body ko pain se ladne me mdad milti hai. Jodo ke dard se chutkara pane ke liye apni diet me saag khaye.
    • Apni diet me aese foods khaye jinme vitamin C adhik matra me ho, isse body ko detox karne me mdad milti hai.
    • Jodo aur Ghutne ke Dard ka ilaj
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
    • Baba Ramdev Ayurvedic Upchar

    Dosto Chikungunya ke dard ka ilaj aur gharelu upchar in hindi ka ye article kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass chikungunya ke baad jodo ke dard ko dur karne ke upay dawa aur gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles