More

    डिलीवरी के बाद सुंदरता बनाये रखने के उपाय – Beauty Tips After Pregnancy

    Pregnancy - गर्भावस्थाडिलीवरी के बाद सुंदरता बनाये रखने के उपाय - Beauty Tips After Pregnancy

    Delivery ke baad sundar dikhne ke upay in hindi: Garbhavastha ke dauran mahilao ke sharir me kai badlav aate hai jiska asar unki khubsurti par padta hai jese ki wajan badh jana, chehre ki chamak kam hona, tvacha me dhilapan aana, stan dhile padna aur stretchmarks hona. Delivery ke baad mahilaye in sab problems ka turant ilaj karna chahti hai par ye tarika sahi nhi kyuki delivery hone ke baad women ke sharir me kamjori aati hai aur sath hi baby ki care bhi maa ko karni hoti hai. Aaj is lekh me hum pregnancy ke baad mahilao ki sundarta banaye rakhne ke upay janenge, beauty tips after pregnancy in hindi.

    Delivery ke Turant Baad Upay Kyu na Kare

    • Bache ke janam ke baad mahila ke sharir me bhut kamjori aati hai aur iske ilava bache ko satanpan karate samay agar mahila khane pine me parhej karti hai to iska sidha asar mother ke sath sath baby ki sehat par bhi padta hai.
    • Shuruat me mahila stretch marks aur tvacha se jude upay kar sakti hai kyuki inhe karne ke liye kisi tarah ka physical workout nhi karna padta.

    Delivery Ke Baad Sundar Dikhne Ke Upay

    Beauty Tips After Pregnancy in Hindi

    Aaj hum delivery ke baad sundarta banaye rakhne ke tips janenge par inhe karne ke dauran dhyan rakhe ki aapke baby ki care me kami nhi aani chahiye. Kuch mothers baby ki breast feeding band kar deti hai jo thik nhi hai.

    1. Tvacha ka Dhilapan Kaise Dur Kare

    Pregnancy ke samay mahila ki tvacha me badlav aata hai jiska asar unki khubsurti par padta hai. Delivery hone ke baad tvacha ka kasav ek dum se kam ho jata hai jisse tvacha me dhilapan aa jata hai Jiska jada asar kamar aur pet par dikhta hai. Tavacha me dhilapan aane ki samasya ke solution ke liye aap kuch tips apna sakte hai.

    1. Paani jada piye isse tvacha ka glow bana rehta hai.
    2. Scrub ke istemal se skin me kasav lane me fayda milta hai.
    3. Skin ki massage karne se bhi is problem ko dur karne me mdad milti hai.
    4. Apni diet me protein yukt aahar shamil kare, jese ki fish ankurit chane. Inse bhi tvacha me kasav lane me fayda milta hai.

    2. Stretch Marks Hatane ke Liye Kya Kare

    Pregnancy ke baad womens ko stretchmarks ki problem bhi aati hai, jisme pet par dhabbe pad jate hai aur ye dekhne me kafi bure lagte hai. In stretch marks ko hatane ke liye aap niche bataye gharelu upay aur nuskhe kar sakti hai, pregnancy stretch marks removal tips in hindi.

    1. Stretch marks saaf karne ka sabse acha tarika hai regular vyayam kare.
    2. Poshtik aahar lene se pet par dikh rhe nishan hatane me kaaji mdad milti hai.
    3.  Aelo vera ke gudde se apni tvacha par massage kare, niyamit roop se ye upay karne se aap ko is problem se chutkara milne lagega.
    4. Nariyal ke tel se malish kar ke ye nishan saaf karne me fayda milta hai.
    5. Pregnancy ke baad ke stretchmarks dur karne ke liye cocoa butter ka pryog karna bhi utam upay hai.
    6. Din me 3 bar lavender oil stretch marks par lagane se bhi ye nishan dur hone lagte hai.
    7. Apricot scrub se stretchmarks ki dead skin ko hataya ja sakta hai. Aap baba ramdev patanjali apricot scrub bhi istemal kar sakti hai.

    3. Weight Control Karne ke Upay Kare

    Delivery hone ke bad mother ka wajan badh jata hai. Sundarta banaye rakhne ke liye mahila ke liye jaruri hai ki vo apne weight ko badhne se roke aur badhe hue weight ko kam kare, par iski shuruat delivery ke turant baad nhi karni chahiye. Motapa kam karne ke liye aap niche likhe upay kar sakte hai.

    • Sharir ko aaram de aur acchi neend le.
    • Apne khan paAn me healthy aur poshtik aahar khaye.
    • Jada meetha aur jada namkin khane se parhej kare.
    • Apne daily routine me sharirik vyayam ko shamil kare.
    • Jada masaledar khana aur junk food khane se bhi parhej kare.
    • Green tea piye, ye weight loss karne ke sath sath body fitness me bhi asardar hai.
    • Pregnancy ke Baad Motapa Kaise Kam Kare

    4. Breast ka Dhilapan Dur Kaise Kare

    Wajan badhne ka asar stan par bhi padta hai jis karan stano me dhilapan aa jata hai. Breast loose hone se mahilaye apna attraction kho deti hai. Aaiye jane stano ka dhilapan dur karne ke tips hindi me.

    • Dhyan rahe agar aap bache ko doodh pilati hai to stano par koi bhi exercise nhi kare iska asar bache ke doodh par pad sakta hai. Aap breast massage kar sakti hai par aese me saaf safai ka khayal jarur rakhe taki doodh pine ke samay bache ko koi infection na ho.
    • Aadrak ko paani me ubaal le aur  ise chaan kar isme doodh mila kar piye. Is gharelu nuskhe ko karne se samasaya ka samadhan karne me madad milegi.
    • Aande ke andar ka safed bhag khane se bhi breast tight karne me madad milti hai. Iske ilava anda breast par lagaye aur kuch der baad dho le. Ye upay bhi kafi faydemand hai.
    • Shahad, haldi aur neem ka kadha pine se stano ke dhilipan ki problem ke solution me benefit milta hai.
    • Niyamit roop se vyayam karne par breast tight karne me fayda hota hai.
    • Green tea ka sevan bhi loose breast problem ke solution me upyogi hai.
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe 
    • Baba Ramdev Patanjali Beauty Tips

    Dosto Delivery Ke Baad Sundar Dikhne Ke Upay, Beauty Tips After Pregnancy in Hindi ka ye article kaisa lga hame bataye aur agar aapke pass stretch marks hatane, motapa kam karne aur wajan kam karne ke gharelu tarike aur nuskhe hai to hame likhe.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles