More

    Energy aur Stamina Badhane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेEnergy aur Stamina Badhane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Office mein kam karne wala vyakti ho, koi businessman ya fir koi sports khelne wala vyakti ho har kaam mein body ko energy ki jarurat hoti hai. Aajkal hamara khan paan kaam ka stress aur daily routine aesa ho gya hai ki hum bahut jaldi thakan aur aalas mehsus karne lagte hai. Aksar hum sharir mein urga banaye rakhne aur power boost karne ke liye kai parkar ke energy drinks ya kuch multivitamin medicine ka sevan karte hai, ye energy drink ek bar to body ko fresh kar dete hai par inka paryog hamari sehat ke liye nuksandey hai. Hum apni diet mein kuch aese foods shamil kar sakte hai jo body ki strength boost karne ke sath sath hame healthy aur fit banaye rakhte hai. Is lekh mein hum janenge stamina kaise badhaye, energy fitness and stamina increase tips in hindi.

     

     

    Stamina Kaise Badhaye : Stamina Increase Tips in Hindi

    Stamina badhana matlab sharir ki shamta badhana jisse aap apni shamta se adhik kaam kar sake. Stemina increase karne ke liye vitamin C, carbohydrates, iron aur protein jese poshak tatav khane mein lena jaruri hai.

    1. Chakundar ka juice pine se muscles majboot hoti hai isse stamina badhta hai.
    2. Apni diet mein vitamin C aur vitamin B wale food shamil kare.
    3. Moong ki daal khane se bhi kafi fayda milta hai. Moong ki daal ko ubaal kar ya ankureet (sprouts) kar ke le sakte hai.
    4. Kale channe raat ko bhigo kar rakhe aur subh khali pet khaye.
    5. Achi diet ke sath halka fulka vyayam aur exercises karne se bhi body ki power badhti hai.
    6. Stamina badhane ke liye jaruri hai ki aap heart ko healthy rakhne wale vyayam kare jese running, swimming, rope skipping.
    7. Smoking, tambacoo, sharab aur khane pine ki buri aadto se door rahe, ye cheeje body ka stamina kam karti hai.
    8. Jitna jaruri vyayam hai utna hi jaruri aaram bhi hai islite muscles ko relax karne ke liye sharir ko aaram bhi de.
    9. Apni height ke according apna weight maintain rakhna bhi jaruri hai. Wajan kam ya jada hone se bhi energy level effect karta hai.
    10. Body ka stemina increase karne mein protein ka sevan aham hai, ande ka safed hissa, machli, daale, doodh aur doodh se bani cheejo ko apne diet mein shamil kare.

    Agar aap ne abhi stamina badhane ke tarike karne shuru kiye hai to ek dum se jada thaka dene wali activity na kare, aap chote chote target banaye aur aage badhe.

     

    Energy Badhane ke Liye Kya Khaye

    1. Daliya (oats) khane se body ko jaruri nutritions milte hai, daliya mein antioxidents bharpur matra mein hota hai jo body se jeharile padartho ko bahar nikalne aur body ko active rakhne mein madad karta hai. Daliya mein carbohydrates hone se body mein power din bhar bani rehti hai.

    2. Shakargandi (sweet patato) mein vitamin D, carbohydrates paya jata hai jo sharir mein rog pratirodhak shamta ko badhata hai aur energy boost karta hai.

    3. Badam mein calcium, protein, magnesium aur potassium bharpur hota hai. Rojana badam khane se dimag tej hota hai, concentration badhti hai aur body energetic rehti hai.

    4. Seb (apple) mein vitamin, fiber, minerals aur antioxidents hote hai jo sharir mein immunity badhate hai aur energetic banaye rakhte hai.

    5. Palak mein kai parkar ke poshak tatav hote hai jo body ko active aur fit rakhte hai, palak ka sevan sabji aur soup ke roop mein kiya ja sakta hai.

    6. Energy boost karne ke liye jaruri hai ki sharir mein paani ki kami na ho, aksar kaam mein busy hone ki wajah se hum jarurat ke mutabik pani nahi pite jisse jaldi thakan hone lagti hai. Body mein energy banaye rakhne ke liye paani adhik matra mein piye.

    7. Kela (banana) khane se thakan aur susti dur hoti hai.

    8. Agar aap thakan mehsus kar rhe hai aur body ko energy chahiye to adarak ka ek tukda khaye, isse aapki thakan door hogi.

     

    Apne kaam se beech mein break le kar kuch der music sune ya apni pasand ka kuch kaam kare, isse aapka mood fresh hoga, thakan door hogi aur sharir mein energy aayegi. Agar aap ek jagah baith kar kaam karte hai to break le kar thoda walk kare. Bina hile dule ek hi jagah ghanto baithe rehne se kai parkar ki sharirik pareshaniya ho sakti hai.

     

    Stamina Badhane ke Upay : Yoga Tips

    1. Dhanurasana: Is yogasan se fefdo mein oxygen ka parwah thik hota hai, pachan tantar majbut hota hai aur blood circulation improve hota hai jisse body mein energy bani rehti hai aur stemina badhta hai.

    2. Bhujangasana: Is aasan ke niyamit abhyas se haath, kandhe aur body ka upper part majbut hota hai jisse sharir ko fit rakhne aur fitness badhne mein madad milti hai.

    3. Pachimottasana: Is aasan se digestion system darust rehta hai aur body flexible banti hai. Rojana is aasan ko karne se pet ki charbi bhi kam hoti hai.

     

    In aasan ko karne se pahle inhe karne ki sahi parkirya sikhe, iske liye aap kisi yog guru ki kadad le sakte hai ya fir ghar par baba ramdev ki videos dekh kar sikh sakte hai. Yoga ke ilava aap morning evening walk aur running ke liye bhi samay nikale. Agar aap kisi sharirik bimari se parbhavit hai to kisi yoga expert ki salah se hi in yogasan ko kare.

     

    Dosto Stamina Kaise Badhaye, Energy and Stamina Increase Tips in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass stamina badhane ke gharelu upay hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    33 COMMENTS

    1. Sir mai race ki tyari karta hu or jab race antim charan mai hoti hai to ek dum se pair mai jyda dard hone lagta hai kru sir

      • दोस्त आप को रेगुलर प्रैक्टिस की जरुरत है इसके इलावा आप किसी कोच से मिल कर भी अपनी रेसिंग तकनीक के बारे में बात करे। अछि डाइट से भी आप रेसिंग स्टैमिना बढ़ा सकते है इस बारे में ऊपर लेख में पढ़े।

    2. Sir m 1 year se bahut jayda paresan hu energy nahi h bilkul bhi babut dino se meri dawa bhi chal rahi h Dr sahab kehte h ki aapko tanaav h. Sir mujhe is time enargy ki jaroorat h plz help me

    3. Sir ma racing ke practice kar raha hu or Mara stamina itna Accha nahi hai sir aap mujhe btaiya ke main apna stamina kaise badhau

    4. Sir me job krta hu…12 ghante ki job h….sath me 1)2ghante boxing ki prectiss krta h….sari dait sahi se lene k baad bhi thak jaata hu….kaam krne ka MN nhi krta

    5. Namste sir
      Mujhe runnig karne ke time bhot thakav lagta h. Jab ki pahle nai lagta tha. Or roj subhe 3.4k.m runnig karta hu. Kya aap muje bata sakte ho stemina bada ne keliye kya kru. Thank you sir

      • Dost stamina bdhane ke upay upar lekh me btaye gye hai iske ilava kuch baato ka khayal jarur rakhe jese smoking sharab se dur rhe ye stamina kam karti hai.

    6. mujhe apana wight kam karna he workout karta hu pr jald hi sas ful jyati he ..stamina kaise badhau or weight kaise kam karu …sir bataiye ..plz

    7. Sir me army ki teyari kar rha hu me 100 meter tooo 11.35 second me puri kar leta hu pr long running me thak jaata hu koi upay bataye ki stemina kese badau

      • सबसे पहले तो धूम्रपान करना बंद करे और ऊपर बताये गए एनर्जी व स्टैमिना बढ़ाने के उपाय पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles