More

    फैटी लिवर में क्या खाना चाहिए क्या नहीं और लक्षण – Fatty Liver in Hindi

    Liver - लिवरफैटी लिवर में क्या खाना चाहिए क्या नहीं और लक्षण - Fatty Liver in Hindi

    Fatty liver me kya khana chahiye aur lakshan in hindi: Liver jise hum hindi me jigar kehte hai, ye hamare sharir me sabse jaruri ang hai. Teji se badal rahi hamari lifestyle aur diet ke karan liver ki garmi, sujan, kamjori aur fatty liver ke rog ki samasya badhti ja rahi hai. Bahut se log liver ko thik rakhne aur majbut karne ke liye dawa aur juice ka sahara lete hai, par iske ilava liver ke treatment me yoga, exercise , gharelu upay aur ayurvedic nuskhe bhi kafi upyogi hai. Aaj is lekh me hum janenge fatty liver ke liye kya khana chahiye aur kya na khaye aur iska ilaj kaise kare, symptoms home remedies and fatty liver diet tips in hindi.

     

    फैटी लीवर के लक्षण क्या है – Fatty Liver ke lakshan

    • Pet me sujan hona
    • Bhukh kam lagna ya na lagna
    • Skin aur eyes par pilapan dikhna
    • Kamjori mehsus hona aur chakar aana
    • Pet me acidity hona aur khana na pachna
    • Pet ke upar daayi taraf ya pasliyo ke niche daayi taraf dard hona

     

    फैटी लीवर के कारण – Fatty Liver Ka Karan

    • Sharab ka sevan adhik karna badhe hue liver ka parmukh karan hai.
    • Motapa aur body me fat ka adhik hona.
    • Sugar ka rog aur khoon  me vasa ka jada hona.
    • Teji se weight kam hona.
    • Kise medicine ka side effect karna.

     

    फैटी लिवर में क्या खाना चाहिए और क्या नहीं

    Fatty Liver Me Kya Khana Chahiye in Hindi

     

    1. Fatty liver ke lashan dikh rhe hai to sabse pahle apni diet me sudhar laye. Apni diet me fat wali chije kam khaye aur ek healthy lifestyle ka palan kare aur sath hi yoga exercise se din ki shuruaat kare.

    2. Green tea fatty liver ke rog me acha upay hai. Isme anti oxidant bharpur hote hai jo liver ko thik karne me mdad karte hai.

    3. Vajan jada hai to vajan kam kare, cholesterol ghataye, sugar control kare.

    4. Agar liver badha hua hai to apne aahar me kaccha tamatar shamil kare. Iske ilava khali pet nimbu aur santre ka ras piye.

    5. Is rog se bachne ke liye har roj ek cup coffee pina bhi faydemand hai. Coffee me liver par bura asar dalne wale enzym kam hote hai.

    6. Apne bhojan me hari pattedar sabjiya shamil kare khaskar broccoli. Fatty liver ki samasya me broccoli khana acha hota hai.

    7. Soya protein liver par fat jamne ke process ko kam karta hai aur sath hi ye liver ki koshikao ko majbut karta hai. Soya protein ke liye aap tofu kha sakte hai ye ek parkar ka soya paneer hota hai jisme fat kam aur protein jada hota hai.

    8. Agar aap non vegetarian khate hai to apne aahar me fish khaye isme omega 3 fatty acid hota hai jo liver par vasa ke level ko normal rakhta  hai.

    9. Is rog ko dur karne ke liye apne aahar me oatmeal shamil kare, isme carbohydrate hota hai jisse body ko energy milti hai aur sath hi isme fiber adhik matra me hota hai jo body se fat ghatane me upyogi hai.

    10. Liver fatty ho to lehsun khana kafi faydemand hai. Ye weight aur fat dono kam karne me kargar hai.

     

    फैटी लिवर में क्या ना खाएं – Fatty Liver Me Kya Na Khaye in Hindi

    • Fatty liver ke rogi ke liye sharab bahut hanikark hai iske sevan se kafi nuksan ho sakta hai.
    • White bread, white rice, pasta aur refined aanaj ki jagah sabut aanaj khaye.
    • Roti kam khani chahiye aur fal sabjiyo ka adhik sevan karna chahiye.
    • Bhojan pakane me masale kam paryog kare aur agar ho sake to na kare.
    • Jada namak wali chije aur food na khaye.
    • Tali hui aur ghi wali chijo ka sevan kam se kam kare.
    • 10 se 15 din meetha khane se bhi parhej karna chahiye.
    • Is rog se pidit rogi ko matan aur mass nhi khana chahiye.

     

    लीवर फैटी होने के नुकसान – Fatty Liver Ke Nuksan

    • Vese to liver me fat ka jamna normal hai par jab fat 5-10% jada ho jaye to ye rog kehlata hai.
    • Hum jo kuch khate pite hai aur hamare sharir me maujood hanikark tatv hai unhe liver process karta hai.
    • Agar liver me fat jada jam jaye to liver ki kaam karne me problem aane lagti hai jiska galat parbhav sharir par padta hai.

     

    Dosto fatty liver me kya khana chahiye kya na khaye in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aap ke pass liver ke badhne ke lakshan nuksan exercise yoga aur upchar se jude anubhav hai to hamare sath sanjha kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles