More

    Gathiya Ka Desi Ilaj: Jodo Ke Dard Ka Gharelu Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीGathiya Ka Desi Ilaj: Jodo Ke Dard Ka Gharelu Upay Hindi Mein

    Gathiya ka ilaj: Humne aksar dekha hai ki badhti umar ke logo ko jodo aur ghutno ke dard ki shikayat rehti hai jise hum gout / gathiya / arthritis bhi kehte hai. Gathiya rog hone ki vajah uric acid ko mana jata hai, isme hamari body me uric acid ki maatra badh jaati hai aur uric acid ke kan ghutno or any jodo mein jama ho jaate hai jisse jodo mein dard hone se rogi ka bura haal rehta hai. Gathiya ke rog mein raat ko jodo ka dard badhta hai aur subh akdan mehasus hoti hai. Gathiya ke lakshan pata lagne par jaldi hi iska ilaaj karana chahiye nahi to jodo ko nuksaan ho sakta hai. Is leekh mein hum gathiya ka desi ilaj aur ayurvedic upchaar ke aasaan gharelu upay bata rahe hai, jisse aap gout, jodo ke dard se chutkara pa sakte hai. Aaiye jane joints pain treatment tips in hindi.

    Gathiya Ka Desi Ilaj : 20 Home Remedies for Arthritis

    1. Do chamach shahad aur ek chamach daalcheenee ka paudar subah shaam 1 gilaas gungune garm paani se piye. Gathiya ki vajah se jo rogi chalne firne mein asamarth ho jate hai unhe 1 mahine ke prayog mein hi bhut aaraam mehsus karenge.

    2. Ashvagandha, shataavari aur aamalaki ke churan ko ache se mila kar subah-subah paani ke saath lene se ghutno aur jodo ke dard ke upchar mein bhut fayda milta hai aur jodo mein majabuti bhi aati hai.

    3. Har roj 1 mahine tak raat ko 15 se 20 akharot ki giri bhigo kar subah khaali pet khane se ghutano / jodo ke dard mein laabh milata hai. 2 mahine iska sevan karne se gathiya jad se thik ho jaata hai.

    4. Lehasun ki 10 kaliyo ko 100 gram paani ya fir 100 gram doodh mein mila kar peene se dard mein jaldi laabh hota hai.

    5. Subah ke samay yoga, pranayaam aur sury namaskaar karne se ghutno aur jodo ke dard se chutakara milta hai. Aap chahe to gathiya ke ilaj ke liye baba ramdev ke yoga aasasn bhi kar sakte hai.

    6. Jodo Ke Dard Ka Asaan Gharelu Nuskha: Ek chammach maithi ke beej raat bhar paani mein bhigaye aur subah paani nikal de aur maithi ke beej achi tarah chabakar khaye. Maithi beej ki taaseer garm hoti hai isi vajah se maithi ka ye gun jodo ke dard ke upchaar mein madad karta hai.

    7. Amrood ki 4 – 5 nayi komal pattiyo ko pees kar usme thoda sa kaala namak mila kar har roj khane se jodo ke dard mein kaafi raahat milti hai.

    8. Gathiya ke rogi ko 4 se 6 leter paani piye. Isse jada peshaab hoga aur jada se jadar yoorik acid bahar nikalenge.

    9. Santare ke ras(orange juice) mein 115 gram card live oil milakar sone se pehale lene se gathiya mein bahut laabh milta hai.

    10. Ek chamach sarson ke tel mein lahsun ki 3 se 4 kaliya pees kar daale aur itana garam kare ki lahasun thik se pak jaye, Ab isse jodo ki maalish karne se dard mein jaldi rahat milti hai.

    11. Har roj naariyal ki giri khane se jodo ko takat milti hai.

    12. Kaali mirch ko til ke tel mein jalne tak garm kare, uske baad thanda hone par us tel ko manspeshiyo par lagaye, gout jodo ke dard mein turant aaraam milega.

    13. Do – teen din ke antaral se khaali pet arandi ka 10 gram tel piye aur is dauran chaay or coffee kuch bhi na le.
    Gaajar ko pees kar isme neembu ka ras mila kar har roja sevan kar. Ye jodo ke ligaments ka majbut kar dard se rahat dilata hai.

    14. Jeetun ka tel gathiya ka desi ilaj karne mein bhut bhi acha mana jata hai. Jeetun ke tel se maalish karne se bhi gathiya/arthritis mein bahut laabh milta hai.

    15. Saunth ka 1 chamach paudar ka rojana sevan gathiya mein bahut faydemand hai.

    16. Jodo ke dard mein 100-100 gram adarak din mein 2 baar lene se dard mein bahut rahat milati hai.

    17. Gathiya Ke Gharelu Upay: Ashvagandha, shataavari aur aamalaki ke churan ko ache se mila kar subah-subah paani ke saath lene se jodo ke dard mein bahut aaram milta hai aur jodo mein majabuti bhi aati hai.

    18. Gathiya ke gharelu upchaar mein jaamun bahut upyogi hai. Iski chhaal ko khub ubaal kar iska leep ghutano par lagane se gathiya mein aaraam milta hai.

    19. Arthritis / gout  / jodo ke dard mein gehun ke daane ke barabar chunaa rojana subah khaali pet ek cup dahi mein, daal mein ya paani me milakar 3 mahine tak lagataar sevan karane se kaisi bhi arthritis ho theek ho jaati hai, Par jin logo ko pathri ki shikayat ho ve chune ka sevan na kare. Janiye Pathri Ke Dard Ka Ilaj.

    20. Har roj subah shaam khaali pet aadha cup bathua ke taaja patto ka ras peene se gathiya thik hota hai. Isko lene ke 2 ghante tak kuch bhi na le.

    21. Har roj 1 mahine tak raat ko 15 se 20 akharot ki giri bhigo kar subah khaali pet khane se ghutano / jodo ke dard mein laabh milata hai. 2 mahine iska sevan karne se gathiya jad se thik ho jaata hai.

    Jodo ke dard ke upchar ki home remedies paryog karne ke sath halka vyayam aur exercise karne se bhi fayda milta hai. Aap baba ramdev ke bataye hue yoga bhi kar sakte hai. Ye sab shuru karne se pahle apne doctor ki salah jarur le aur kisi expert ki dekh rekh mein hi vyayam shuru kare.

    Dosto aap ko Gathiya Ka Desi Ilaj, Jodo Ke Dard Ka Gharelu Upay ka ye lekh kaisa laga hame jarur bataye aur apne anubhav bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi gout, ghutno aur jodo ke dard ka ayurvedic upchar ya gharelu upay hai to yha hamare sath share kare, aapke dawara share ki gyi ankari se dusro ko bhi fayda milega.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    1. MUJHE PICHLE 1 SAL SE GATHIA HUA. RHEUMATOID FACTOR TEST POSITIVE HAI, AUR BAKI SAB TEST NORMAL HAI.. PURE SHARIR ME DARD,HATH AUR PAIR KE JODO ME SUJAN HAI ANKLE JOINT KNEE AUR SHOULDER ME BHI DARD AUR JAKDAN HAI.MAI METHI AJWAIN,MANGRAILA,SONTH HALDI MILAKAR PISKAR GUR KE SATH LADDU BANAKAR LE RAHI HUN,PAR PHIR BHI ARAM NAHI AYA .KRIPAYA SAHI ILAJ BATAYE.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles