More

    गठिया रोग का इलाज: Gathiya ka ilaj ke 10 Gharelu Nuskhe

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेगठिया रोग का इलाज: Gathiya ka ilaj ke 10 Gharelu Nuskhe

    गठिया रोग का घरेलू इलाज और उपाय इन हिंदी, Gathiya  ka ilaj ke upay, Arthritis Treatment in Hindi

    Gathiya ko arthritis ke naam se bhi jante hai jo jodo ke dard se juda ek rog hai aur jadatar adhik umar ke log isse parbhavit hote hai. Agar sahi tarike se gathiya rog ka treatment kiya jaye to iske dard se chutkara pana mushkil nahi hai. Arthritis hone par jodo mein dard, akdan aur sujan jese lakshan dikhte hai . Kuch log gathiya ka dard ke ilaj ki dawa (medicine) bhi lete hai par hum ghar par bhi kuch gharelu upay aur desi ayurvedic nuskhe apna kar gathiya ka upchar aasani se kar sakte hai. Aaiye jane ghutno aur jodo ka dard kaise dur kare, natural ayurvedic home remedies for arthritis joints pain treatment in hindi.

     

     

    गठिया के लक्षण :  Gathiya ke Lakshan

    Kisi bimari ke symptoms ki jankari pahle hi ho to use pehchan kar use badhne se roka ja sakta hai aur bimari ka upchar bhi kiya ja sakta hai. Gathiya rog treatment ke liye bhi agar aapko symptoms ki jankari ho to ise badhne se rokne ke upay kar sakte hai.

    • Ghutne par sujan aana.
    • Ghutno mein dard hona.
    • Pairo ke panje dard karna.
    • Fingers ke joints mein pain karna.
    • Kandho mein halka sa dard mehsus karna.

     

    जोड़ों और घुटनों में दर्द होने का कारण : Gathiya Hone ke Karan

    • Body mein uric acid badhne par joints aur haddiyo mein dard ki shikayat hone lagti hai jo sahi samay par ilaj na karne se dhire dhire gathiya ka rog ban jata hai.
    • Jada physical work na karne se bhi jodo ki samasya hone lagti hai jo baad mein gathiya ban jata hai.

     

    गठिया रोग का घरेलू इलाज : Gathiya  ka ilaj ke Upay

    Home Remedies for Arthritis Treatment in Hindi

    1. Gathiya ka gharelu ilaj mein sab se aham hai paani adhik matra mein peena. Har roj 3 se 4 liter paani piye isse sharir mein maujood vishale padarth peshab ke raste bahar nikal jate hai aur sath hi badha hua uric acid bhi nikal jata hai. Tambe ke bartan mein rakha paani peena bhi acha upay hai.

    2. 100 ml aaloo ka ras bhojan karne se pahle lena gathiya ke rog mein fayda karta hai.

    3. Nimbu aur santre ka ras body mein uric acid kam karne mein upyogi hai. Har roj santre ka 1 gilass juice piye aur iske ilava ek gilass paani mein 2 nimbu nichod kar piye.

    4. Gathiya ki dawa gharelu tarike se banane ke liye sukhi adarak pees kar powder bana le. 6 chammach adarak ka powder, 3 chammach kali mirch ka powder aur 6 chammach jeera ka powder mila kar rakh le. Ab din mein 3 bar aadha chammach mishran paani ke sath le. Iske ilava har roj adarak ka ek chota tukda chbane se bhi fayda milta hai aur adarak ke tel se jodo ki malish karne se gathiya ka dard aur sujan mein aaram milta hai.

    5. 10 kaliya lehsun 1 gilass gay ke doodh mein daal kar lagbhag 15 minute garam kare aur thanda hone par piye. Har roj is upay ko karne se gathiya se jaldi chutkara milta hai.

    6. Jaitun ke tel se jodo ki massage karne par dard sujan aur gathiya mein aaram milta hai.

    7. Gathiya ke rog se chutkara pane ke liye calcium, jink aur vitamin C paryapt matra mein le.

    8. Gathiya ka dard aur sujan kam karne mein haldi ka paryog karna acha upay hai.

    9. Raat ko sone se pahle ek chammach methi ke beej paani mein bhigo kar rakh de aur agali subah khali pet inhe chba chba kar khaye. Is desi nuskhe se gathiya se jaldi rahat milti hai.

    10. Gathiya puri tarah dur karne ke liye kheera, tarbooj ya kakdi mein se kisi bhi ek ka ek gilass juice har roj khali pet piye aur din mein kuch khaye piye nahi, chahe to sham ko kuch halka fulka kha pi sakte hai.

     

    गठिया का आयुर्वेदिक इलाज : Ayurvedic Treatment for Gathiya in Hindi

    1. Giloy, lehsun, devdaru, arand ki jad aur saunth, in sab ko 50 – 50 gram ki matra mein le kar inhe pees le aur kisi shishi mein bhar kar rakh le, ab aapki ayurveda gathiya rog medicine tyar hai. Din mein 2 bar subah aur sham ko 2 chammach mishran 1 gilass paani mein dale aur ubaal le. Jab paani aadha reh jaye to ise chaan kar thanda hone par piye.
    2. Ek bada chammach shahad aur ek chota chammach daalchini ko mila kar garam paani ke sath har roj lene se gathiya ke upchar teji se karne mein mdad milti hai.
    3. Gathiya ka ramban ilaj, 50 ml bathua ke patton ka ras har roj khali pet pine se gathiya mein teji se fayda milta hai. Ise pine se 1 ghanta pahle aur baad mein kuch khaye piye nahi. Bathue ke patton ko kaat kar ise aate mein goonth kar iski roti bana kar khane se bhi fayda milta hai.

     

    गठिया का दर्द का इलाज बाबा रामदेव : Gathiya ka ilaj baba ramdev in hindi

    • Agar aap ayurvedic dawa se arthritis ka treatment karna chahte hai to baba ramdev patanjali store se le sakte hai. Medicine ki dabbi par use lene ka sahi tarika aur dawa kitni matra mein leni hai sab jankari likhi hoti hai.
    • Yoga karne se bhi gathiya ke pain mein aaram milta hai. Kisi yoga guru ki dekh rekh mein hi yogasan kare taki kisi bhi parkar ke nuksan se bacha ja sake.
    • Kamar Dard ka ilaj Baba Ramdev

     

    गठिया रोग में परहेज : Gathiya Rog Mein Parhej

    • Gathiya ke rog se grast rogi ko na to jada aaram karna chahiye aur na jada physical work karna chahiye. Aaram karne se jodo mein akdan aane lagti hai aur jada bhag daud se joints ko nuksan pahunch sakta hai.
    • Vitamin D hamari haddiyo ke vikas ke liye bahut jaruri hai. Suray ki kirno mein vitamin D bharpur hota hai. Hafte mein 2 din kam se kam 15 minute ke liye dhoop mein baitha kare.
    • Dahi, imali paneer, kaccha aam aur makkhan ke sevan se parhej kare.
    • Apna wajan control mein rakhe.

     

    गठिया रोग का घरेलू इलाज और नुस्खे इन हिंदी,  Home Remedies for Arthritis in Hindi ka ye article aapko kais alga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass gathiya ka ilaj ke gharelu upay, desi nuskhe ya gathiya rog treatment in hindi se jude koi anubhav ya sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles