More

    त्वचा पर जलन के निशान हटाने के 10 घरेलू उपाय

    Disease - बीमारीत्वचा पर जलन के निशान हटाने के 10 घरेलू उपाय

    त्वचा पर जलन के निशान को दूर करने के लिए लोग क्या नहीं करते। यहां तक कि लाखों रुपये खर्च कर प्लास्टिक सर्जरी भी की जाती है। लेकिन आज हम ऐसे ही पांच घरेलू नुस्खों के बारे में बात करने जा रहे हैं, जो शत-प्रतिशत निशानों को दूर कर देंगे। उपाय जानने के लिए इस लेख को पूरा पढ़ें।

    Jalne ke Nishan Hatane ke Upay: Ghar mein kaam karte waqt jalna aur katna ek aam baat hai. Kai baar kisi laparwahi ya kisi hadse ki wajah se bhi skin burn ki problem ho jati hai. Pareshani tab hoti hai jab ghaav gehra ho ya fir jalne aur katne ke nishan reh jaye. Agar ye nishan face par ho to ye chehre ki khubsurati bigad dete hai isliye samay par jalne ka ilaj karna jaruri hai. Is article mein hum padhenge Skin Burn Treatment in Hindi.

    Agar jalne ke ghav chote (minor) hai to ye skin ki upari parat ko nuksaan karte hai aur skin laal ho jaati hai, halke fafole ban jate hai aur dard hone lagta hai. Agar in fafolo ka samay par ilaj na kiya jaye to ye jakham ban sakte hai aur thik hone ke baad nishan chod jate hai. Ghar par rojana isteemal hone wali home remedies ke paryog se hum burning skin ke marks ka upchar kar sakte hai.

     

    Skin Jalne ke Karan – Causes of Skin Burning

    • Bijli(electricity) ka current lagne se
    • Garam paani se
    • Aag lagne se
    • Dhoop ki roshni se
    • Kisi cheej se allergy hone se
    • Galat medicine khane se bhi skin problem aati hai
    • Diabeties bhi ek karan hai skin jalne ka

    Skin Jalne Par Kya Kare : First Aid Treatment

    • Jalne ke foran baad skin par thanda paani dale aur ek kapda thande paani mein bhigo kar us jalne wali jagah par rakh do.
    • Aaloo ko beech se kaat kar ek hisse ko jalne wali jagah par rakhe. Aaloo ke paryog se jalan kam hoti hai aur skin ko aaram milta hai. Jalne ke turant baad is nuskhe ko karne se fafole nahi bante.
    • Jalan se turant rahat paane ke liye 10 se 15 minute ke liye jale hue bhag ko doodh mein duba kar rakhe.

    Jalne ke Nishan ke Gharelu Upay

    Home Remedies for Skin Burn in Hindi

    Tavacha chahe aag se jali ho, sun burn ho ya koi aur karan ho yaha hum kuch gharelu nuskhe bata rahe hai jise jalne ke jagah pe lagane se jalan kam ho jaati hai and kafi aaram milta hai.

    1. Aloe vera mein dard khatam karne ke gun hote hai. Jali hui jagah par aloevera ka patta kaat kar lagane se pain kam hone lagta hai aur jalne ke nishan bhi saaf hote hai. Alovera gel ya alovera creame ke isteemaal se bhi burn marks nahi rehte or jalan kam ho jaati hai.

    2. Skin burn hone par baking soda jalne wali jagah par lagaye. Is paryog se jalne ke baad daag aur foda nahi hota aur jalne ke pain se bhi rahat milti hai.

    3. Garam paani ya bhaap se hue ghavo par nariyal ka tel aur nimbu ka ras lagane se jaldi fayda milta hai. Nariyal ka tel aur nimbu ka ras mila kar jalne ke ghavo par lagaye. Nariyal ka tel skin par kisi bhi parkar ka infection kam karta hai aur nimbu ka ras ghaav ke nishan kam karta hai.

    4. Kele(Banana) ke chilke ko jali hue jagah pe ragadne se jale hue jagh pe nishan nahi banta or jalan se jaldi aaram mil jaata hai.

    5. Doodh(Milk) mein vasa aur protein hota hai jo jali hui tvacha ke upchar mein kaafi labhdayak hai. Doodh or haldi ka paste bana ke jale hui jagah pe lagane se araam mil jaat hai or nishan bhi nahi rehta.

    6. Pyaaj ke ras mein sulfur hota hai jo dard kam karta hai aur jale hue hisse ko thik karke chale, fode funsi hone se rokta hai. Ek pyaaj le aur use tod kar us ka ras nikal le aur skin ke jale hue hisse par iska paryog kare.

    7. Aksar chote bache garam garam doodh, chay aur soup pi lete hai jisse jeebh jal jati hai aur muh mein chale hone ki aashanka hoti hai. Aesi situation mein koi burf ka tukda (ice cube) le aur use chuse. Burf ko paani se dho le taaki vo jeebh par chipke nahi.

    8. Sirka (Vinegar) mai thoda paani mila ke ek kapde se bhigo de fir usko jale hue jagh pe rakh de aisa 5-6 baar kare to kafi araam milta hai.

    9. Tooth paste se bhi jala hue jagah pe lagane se turant rahat milti hai.

    10. Shahd(Honey) bhi ek acha treatment hai, kache shahd ka leep jale hue jagah pe lagane se kafi aaram milta hai.

    Jalne Ke Nishan Ko Kaise Hataye – How to Remove Burn Mark

    • Tamatar aur nimbu mein vitamin C hota hai jo daag dhabbe saaf karta hai. Tamatar aur nimbu ke ras ko mila kar har roj aadhe ghante ke liye skin par lagaye. Is gharelu upay se skin saaf hoti hai, nishan khatam hote hai aur skin par chamak aati hai. Nimbu ka ras ek natural bleech ki tarah kaam karta hai jo chehre ko nikharne mein bhi upyogi hai.
    • Jalne aur katne ke nishan par pudeene ki pattiya pees kar uska ras lagaye. Isse jalan kam hogi aur nishaan bhi thik hoga.
    • Gulab jal, multani mitti aur nimbu ka ras mila kar ek pack banaye aur burn mark par lagaye. Is pack ko 8 se 10 minute tak lagane ke baad thande paani se dho le. Dhyaan rahe ki tavacha ko ragde nahi.
    • Chehre ke nishan aur daag dhabbe saaf karne ke liye raat ko paani mein methi daana bhigo kar rakhe aur subh iska paste bna kar nishan par lagaye aur aadhe ghante baad face dho le.

    Skin ke Purane Nishan Kaise Saaf Kare

    • Kaali masur daal ko bhun kar pees le aur nariyal tel mein mila kar jale ke nishan par lagaye. Kuch din lagatar is paryog ko karne se nishan saaf hone lagega.
    • Aanwle aur tilo ko doodh mein pees kar isme 4 se 5 bunde gulab jal ki milaye. Is paste ko raat ko sone se pahle jalne aur katne ke nishan par lagane se nishan hatne lagega.
    • Mulli ke ras ka lep nishan par lagane se bhi fayda milta hai.

    Iske alawa burning pain kam karne ke liye aap kisi doctor ya ayurveda vaid ki salah se kuch allopathic, homeopathic or ayurvedic medicine ka paryog kar sakte hai.

    Dosto Jalne Ke Nishan Ko Kaise Hataye, Skin Burn Home Remedies in Hindi ka ye leekh kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass skin burn mark hatane ke home made treatment or ayurveda ilaaj hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    145 COMMENTS

    1. sir / mam mera 20 din pehle mera accident hua tha jisme mere face or lips glass se cut gye the to usme take lgayae the ab uske nishan ubhre hue reh gye h to kya koi tarika h uneh hatate ka ..?

    2. Sir Mera beta 13 month ka h garm doodh pet me gir Jane k karan nishan reh gai h please nishan ko hatane k bare me batayen.

    3. Sir Mera beta 13 month ka h garm doodh pet me gir Jane k karan nishan reh gai h please nishan ko hatane k bare me batayen.

    4. Hello sir…mere face pr stitch pr 3 ni$hAAn hai use kaise remove kre…koi v kisi v trah ká solution hó tØ btáyé… Sir

    5. Sir ji mera name gopal gupta h me bahut pareshan hu me bachppan me jaal gaya tha ish bajha se nishan pad gaye h bo kaise jaye please koi upay bata do please………..

    6. sir mene til hataane k liye face pr lehsun lagaya tha. jisse meri skin jal gyi h.plz koi solution btaye jisse me jaldi se jaldi jalne ka nishaan hataa saku

    7. Sir mai bike se gir gya aur chehre per ghara chot lagne se chot ke zakhm to thik ho gye per vhot ke nishan khatam nhi hua plz koi accha sa upay ya medicine btaiye jisse chot ke nishan thik ho jaye..

    8. Sir actually 2/3 months pehlay meri lips Kay pas sey meri skin burn hogaya thi kya ap koi aisa upay btate jis sey wo 1 week mein chala jai

      • Sizzling ji 1 hafte mein nishan chla jaye iske bare mein hum kuch nahi keh sakte, kyuki ye upay istemal karne wale par aur chot par depend karta hai. Nishan thik karne ke upay is lekh mein likhe hai aap unhe kar sakti hai.

    9. sir aap meri ek problem ka samdhan kare mere aankh ke pass ek chot lag gayi thi 12 saal pehle to ek gadda sa ban gaya hai use kese hatayen

    10. Hello sir mujhe bachpan me chot lag gya th par us jagah pe mans ubharna suru ho gya jo ab bhi bad rha h please koi upaye btaye

    11. Rekha.sir mne himalaya facewash chehre par lagar thodi der chhod diyA to wahi wahi meri skin burn ho gyi h koi tareeka btaiye thik krne ka

    12. Hi sir abhi ek ghante phele meri wife ka pair jal gya he garam pani se docter ko bulaya tha usne kobra malham or injection dya he par jalan bhut he abhi please koi best tarika bataye jo aaram mile please rply me

    13. Mera face bachpan Mei tea set JAL gya th jb Mei 1saal k th uska Nissan Abhi tak h Meri age ab 19 h Mei bahut pareshan hu Maine bahut medicine li or koi fark nhi pra aap koi ilaaj btae

    14. Hello sir, mera ek saal phle heart ka operation hua tha lekin mere tanke ab tk thik nhi hue h . Mere tanke kaafi fule hue h , aur jra si grmi k sampark me aate hi reddish ho jate h aur unme icthing aur pain start ho jata. Plz agr iske liye koi ghrelu upay ho to braise

    15. Sir mera accident ho gya tha 4 saal phle or mere reed ki haddi me niche se toda SA uper ki tarf chot ayi thi pr mene jyada dhyan nahi diya pr me kabhi kabhi kafi preshan ho jata hu kyoki subh uthne ke baad isme dard hota he uske baad me kaam krne lg jata hu to dard dhire dhire gayab ho jata he iska koi illaj he kya

    16. Sir ek accident me mere chin pe bhut bada kate ka mark h Jo av tak erase ni hua please sir use mitane k koi tarika ya medicine bataiye

    17. Sr mere dono per JAL gye h or me ratan jyot pis kr or nariyal ka tel lga raha hu lekin koi fayda nahi ho raha kya kru dono pero me bahut dard hora h

    18. sir mere face PR tako Ka bahut big daag hai please mujhe koi aisa ilaaj btaiy jisse WO daag jaldi gayab ho jay ……mai bahut pareshan hooo… please help me

    19. Sir
      mere accident ko 3 saal hogaye gaye hain maine bajot se cream use kiye magar kab tak lagate rehte hai daag dheere dheere chala jata hai aut chohd dene ke baad phir waise hi hota hai plz help me sir

    20. sir mera accidnt hoya tha 8 saal pahle aur face pe tanke lage hai please sir muje bataye main kya use kro sir apka article to pora read kr liya hai lekin smaj nai aa raha koun sa tarika apnao plz sir app reply muje tarika bta do plz sir thanks

    21. Sir,
      meri beti nidhi hai bo lagbhag 1 sal pahale dodh main jal gayi thi jala hua to theek hai lekin uske nishan raha gaye hain koi ek upay batao ? Avdhesh yadav

    22. Sir mere lips k upar jalne ki vjh se yha ki skin ful gai air bhada nishan chhod diya mene upar likhe upay 2 mahine lagatar kiye koi asar nhi doctor ko bhi dikhaya aap ise hatane k upay bataye please please

    23. Sir mere face pr childhood me chot lagi taake ke nishan abhi tak mujhe Kya Krna chahiye bczZz Mera face thoda sa odd Lgta h taake ki wjh se

    24. Sr bat 3 saal pahle ki h
      Mere face par ek teel tha
      Us teel par maine chunaa or surf ka paste mila kar lagaya tha jisse teel to chala gya par uski vajah se mere face par jalne ka gahra nisaan pad gya h
      Vo bhut bura lagta h face par
      Plz meri help kro is nisaan ko htaane me
      M ise mitane k liye kuch b kar sakta hu
      Aap plz mujhe solution do

    25. Sir..mere face pe jalne k Karan chhota sa gadda ho gya hai..aur face k colour se ekdam alag laal dikhai deta hai..
      Gadde bharne k upay btay aur scratch mitane k v..please

    26. Sir mera accident hone ki wajah se face pr nishaan padh gya tha is liye mene sirf ek bar betnavate n lgai pr wo zyada hi dark ho gya is ko saaf kese kiya jae

    27. Dear Sir mere chehre par Ek ringworm ho gaya tha us par meine lahsan lagaya par ringworm to sahi ho gaya magar uska kala daag ban gaya hai koi upay batayein

    28. sir
      mera face school mai acid girne se thoda jal gya
      sulphuric acid tha
      thodi drops hatho pr bhi gir gyi
      koi fast sa upaay bataiye jisse mere burn marks mit Jaye
      or kitna time lgega inke mitne mai?

      • Dev ji jalne ke nishan hatane ke upay upar likhe hai aap inhe poadhe, kyuki aapke burn marks acid ki wajah se hai isliye inhe hatane ke liye ayurvedic vaid ki salah bhi le.

    29. Sir,mere face par nakhuno ke (gadde)nishan hai and chot ke kale dag hai sir unhe kis tarah hataya ja sakta hai? Pls. Sir help me…….

      • जलने के निशान हटाने के घरेलू उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

      • गुलशन जी जलने के निशान दूर करने के उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    30. Sir how i can remove scar from face/chicks..bachpan mai galti se khel khel mai bhai se unke nakun se mere face per cut ke nisan pad gaye the per abhi ye face per bekar lag rahe hai…2-3 chote chote cut ke(scratches type) nisan …sir mai inhe gherllu upay se kaise sahi kar sakta hooo…plz suggest me…

    31. Sir mere face pe Nakhun se khroch ke karn gahri chot ho gya and nishan bn gya ….Plzz btaye ki nishan kaise mit jayega puri trh.

      • दोस्त निशान हटाने के घरेलू उपाय और नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    32. sir 2 saal pehle mera accident hua tha aur hand me operation ke nishaan hai….20 taanke aaye thry mujhe,mai un nishaan ko khtam krna chahti hu,plz sir aisa kli upay btaiye jisse jaldi he ye thik ho jaaye…

    33. Sir mera face pe nail se katta hua bht nisaan plz sir kuch batae taaki face smooth dikhe gadha b h kahi kahi sir plz help me

    34. Mere hath me daag h usko mitane ka mene bahut koshish kiya hhir bhi thik nahi hua 4 years pehlee so wo daag rah gaya h sir ji kuch batao kya karu.

    35. Sir,Mere Gal pe pimples ka do jagah dag ho gya,,uske bad Mai Drobin laga liya jisse mere ok gal pe gol jaisa dag ho gya….red colour ka kya kre…kucch btaye sir g

    36. Mera 1 one year pehle road accident me face par ragad ka nishan he or vo black ho gaya he or mene cream bhi bot use karli lekin nahi ja raha nishan kese jayege please bataye

    37. Sir m 1week pehle bike pr se gir gya tha tho mere face pe road se takrane se scratches aaye hn tho mera skin pehle jaise kaise banaye?

    38. Mera bachpan me gaal me nakhun ka nishan hai jo ki ab najar deta hai use kaise mitaya jaye ya koi cream ka name bataye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles