More

    कब्ज की आयुर्वेदिक दवा और 5 रामबाण उपाय – Constipation in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेकब्ज की आयुर्वेदिक दवा और 5 रामबाण उपाय - Constipation in Hindi

    kabj ka ramban ilaj in Hindi: Kabj jise english me constipation ke naam se bhi jante hai, ye rog kharab pachan tantr se judi samasya hai. Qabz hone par pet thik se saaf nahi hota aur toilet karne me normal se jada jor lgana padta hai. Kuch log kabj dur karne ke liye medicine lete hai. Kabz nayi ho ya purani aap desi dawa aur ayurvedic tarike se iska upchar aasani se ghar par hi kar sakte hai. Aaiye jane baba ramdev patanjali medicine gharelu upay aur nuskhe for kabj problem solution in hindi.

    Ek swasth vyakti ko din me kam se kam 1 bar mal tyag karna chahiye par qabz hone par vyakti 2 se 3 din me ek baar mal tyag karta hai. Har kisi ko kabhi na kbhi pet thik se saaf naa hona aur kabz ki bimari ka samna karna padta hai. Kai bar ye samasya jaldi dur ho jati hai to kai bar ise thik karne ke liye upay karne padte hai. Agar samay rehte hi kabz ka ilaj na kiya jaye to ye aage chal kar bawasir jese rog ka karan banti hai.

     

    Kabj Hone ke Karan – Causes of Constipation

    Agar aap constipation se bachna chahte hai ya fir aksar is rog se parbhavit rehte hai to niche bataye hue kaam karne se parhej kare.

    1. Bina doctor ki salah ke bat bat par dard nivarak medicine lene se pachan tantar kharab hone lagta hai jisse kabj aur gas jesi samasya hone lagti hai.

    2. Dibba band khana, junk food aur processed food me fat ki matra adhik hoti hai aur inke adhik sevan se digestion kharab hota hai. Jo log qabz se pareshan hai unhe ye sab nhi khana chahiye.

    3. Exercise aur bilkul bhi physical activity naa karne se body ka metabolism slow hone lagta hai jis wajah se bhojan sahi tarike se digest nhi hota aur kabj hone lagti hai.

    4. Paani kam pina kabj hone ka ek bada reason hai. Kabj purani ho ya nayi isse chutkara paana ho to paani adhik piye.

    5. Jada chai aur coffee pine se bhi constipation ki problem hoti hai.

    6. Thandi chije jese ki ice cream, cold drink, pestri, chocolate aur dusri thandi chije jada khane pine se bhi kabz ho sakti hai.

    7. Pachan shakti kamjor hona, subah mal karne me aalas karna, bhojan kam khane se mal kam banna, bhukh naa lagna kuch aese karan hai jinse qabz jese rog ho jate hai.

     

    Kabj ki Dawa Upay aur Gharelu ilaj

    Gharelu Nuskhe for Constipation in Hindi

    Kabj mitane ke upchar ke liye aksar kuch log dast lane wali medicine ka sevan karte hai, par ye tarika thik nahi. Kabj dur karni hai to pahle iske karano ko dur karna chahiye. Iske sath aap gharelu nuskhe se bhi turant pet saaf karne ke upay apna sakte hai.

    1. Saunf 4 chammach le kar 1 gilass pani me ubaal le aur jab paani aadha ho jaye tab ise chan kar piye. Is upay se kabj dur hoti hai.

    2. Pet saaf karne ke tarike me nimbu paani ka sevan karne se bhi benefit milta hai. Raat ko sone se pahle 1 nimbu 1 gilass garam pani me nichod kar pine se pet puri tarah saaf ho jata hai.

    3. Gehu ke javare ka ras pine se bhi qabz me jaldi aaram milta hai.

    4. Subah 2 seb chilke ke sath chba chba kar khane se bhi ye rog jaldi thik hota hai.

    5. Subah pet thik se saaf na ho to raat ko isabgoal ka sevan kare. Isabgol ki bhusi kabj kholne me ramban ka kaam karti hai.

    6. Raat ko sone se pahle 1 chammach ghee garam doodh me daal kar piye aur isme chini dalne ki bajay shahad ya mishri ka paryog kare. Is upay ko karne par subah khul kar pet saaf hone lagega.

     

    Pet Saaf Karne ke Liye Kya Khana Chahiye

    • Rogi ko falo ka sevan jada karna chahiye jese ki papita, amrud, seb, santra, nariyal, mausami, kheera, gajar, anjeer.
    • Taaje falo ka ras, sabjiyo ka ras aur nariyal paani pine se constipation me bhut fayda milta hai.
    • Kacchi palak ka ras har roj din me 2 bar pine se kabj kuch hi din me thik ho jati hai.
    • Kabj thik karne ke liye choker wale aati ki roti aur hari sabjiya aahar me adhik khani chahiye.
    • Is rog se bachne ke liye aur isse chutkara pane ke liye din me 8 se 10 gilass pani jarur pina chahiye.
    • Raat ko sone se pahle ek tambe ke jug me paani bhar kar rakhe aur subah utha kar ise khali pet piye aur kuch der morning walk par jaye. Sair se wapis aane ke baad aap mal tyaag ko jaye aap ka pet thik se saaf hoga aur kabj dur hogi.

     

    Purani Kabj ka Ramban ilaj in Hindi

    1. 25 gram kishmish raat ko paani me bhigo kar rakh de. Har roj subah is kishmish ko khaye kuch hi dino me purani se purani qabj ka ilaj ho jayega.
    2. Kabj ke rogi ko subah sham 10 se 12 munakke khane se bhi fayda milta hai.
    3. Kabj ka ayurvedic ilaj me trifla churan ka sevan karna faydemand hai. Trifla churan ka sevan har roj karne se kabj thik ho jati hai.

     

    Kabj ki Dawa Patanjali – Baba Ramdev Ayurvedic Medicine Hindi Me

    Patanjali natural tarike se rogo ke upchar ke liye ayurvedic dawa uplabdh karwati hai. Baba ramdev yoga ke madhyam se rogo ka ilaj kaise kare iski jankari dene ke sath sath gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar ke bare me bhi logo ko jagruk karte hai.

    Baba ramdev ayurvedic patanjali medicine se kabj ka ilaj karne ke liye aap niche likhi hue dawai le sakte hai. Ye dawa kabj aur gas jese rog dur karne me ramban ilaj hai.

    1. Divya gashar churan
    2. Patanjali divya churan

     

    Yoga se Kabj Kaise Dur Kare

    Vyayam karne se pet ki kriya me sudhar aata hai aur pet ke rog dur hote hai. Isliye jaruri hai ki apni dincharya me yoga aur exercise ko shamil kare.

    1. Kabj ke liye yoga me kapalbhati pranayam pet se judi samasyao ke upchar me kafi faydemabd hai. Kabj dur karne ke liye subh 15 min kapalbhati kare.

    2. Is rog se bachne ke liye aur ilaj ke liye vyakti ko subah jaldi uth kar khuli hawa me kuch der ghumna chahiye, isse sharir tarotaja hota hai aur aap kabj se bache rehte hai.

    3. Kabj ka upchar me yoga karne se behad fayda milta hai. Baba ramdev ne yoga se qabz ka ilaj karne ke liye kuch aasan bataye hai inhe karne se pahle inka sahi tarika jarur jane.

    • Dhanurasana
    • Anulom vilom pranayam
    • Kapalbhati pranayam

     

    Kabj ka ilaj baba ramdev in Hindi

    1. Choti harad 100 gram, badi harad 100 gram, aawla 100 gram aur baheda 100 gram le aur in sab ko pees kar churan bana le. Jab bhi kabj ho is churan ka sevan kare.
    2. Ek gilass halke garam doodh me 1 chammach arandi ka tel mila kar hafte me ek bar piye. Is upay se kuch din me kabj thik ho jati hai.
    3. Baba ramdev kehte hai ki gharelu nuskhe aur yoga se ilaj ke sath sath apne khan paan me sudhar lana kabj ka upchar karne ke liye sabse jaruri hai.

     

    Pet Saaf Karne ke liye Homeopathic ilaj

    Turant pet saaf kaise kare iska ilaj aap homeopathic medicine se bhi kar sakte hai.

    1. Silicea 200 ek homeopathic dawa hai. Is dawa ki 3-3 boond 10-10 minute ke gap me 3 bar le.
    2. Is dawa aadhe ghante me 3 baar lene par pet turant saaf ho jata hai.
    3. Ye medicine aap homeopathic store se le sakte hai par iske sevan se pahle kisi homeopathy doctor se salah jarur le.

     

    Pet Saaf Karne ke Liye Ayurvedic Churan

    Jaldi pet saaf karne ke liye ye ayurvedic upay pet safa churan ka kaam karta hai. Raat ko sote samay aanwle ka churan 1 chammach le aur doodh ke sath ya paani ke sath le. Is upay se pet ki aante aur pet saaf rehte hai.

    • Agar aapke pass aanwla churan nahi hai to aap apni najdiki baba ramdev patanjali store se le sakte hai.

     

    Kabj se Bachne ke Upay

    • Subah mal tyaag karne me aalas karna bhi kabz banne ki ek wajah hai, kuch log toilet ka pressure banne ke bad bhi toilet nhi karte jisse pet me mal sukhne lagta hai. Isliye aesi aadat se bache aur jab bhi pressure bane mal tyaag ke liye jaye.
    • Kabj naa ho iske liye jaruri hai ki bhojan ko chba chba kar khaye aur apni diet me aese food shamil kare jinhe digest karne me sharir ko jada mehnat na karni pade.
    • Raat ka bhojan sone ke 2 se 3 ghante pahle karne ki aadat banaye.
    • Bhojan karte samay aur bhojan karne ke aadhe ghante baad tak paani na piye.
    • Khana khane ke aadha ghanta pahle 1 gilass pani piye.
    • Din bhar me 8 se 10 gilass pani pina chahiye.
    • Bhojan me fiber ki matra adhik rakhe.
    • Kabj hone par rogi ko maida, tali bhuni chije, besan, jada mirch masale wala bhojan nhi khana chahiye. Fast food se dur rehna chahiye.

     

    Dosto Kabj ki dawa gharelu upay, kabj ka ilaj baba ramdev in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aapke pass pet saaf karne ke liye kya khana chahiye, Kabj ki dawa patanjali baba ramdev ayurvedic upchar se jude nuskkhe hai to hame likhe.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    1. Meri age 27 h meri shadi ko teen saal hone wale hai ek beta h Jo ki operation SE hua h uske baad mera weight 67 hai mera belly fat bhut zyada ho gaya h mai bhut pareshan hu pllz aap mujhe advice de ki mai apna weight kaise kam kru or kitna hona chahiye.meri height 5.2 hai

      • सुबह पेट ठीक से साफ़ करने व कब्ज दूर करने के लिए अगर आपको इसबगोल से रहत नहीं मिल रही तो ऊपर लिखे अन्य उपाय पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles