More

    Pachan Kriya Badhane Ke 5 Aasan Gharelu Nuskhe Hindi Mein

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेPachan Kriya Badhane Ke 5 Aasan Gharelu Nuskhe Hindi Mein

    Pachan Kriya Badhane Ke Upay: Swasth aur sehatmand sharir ke liye pachan kriya darust hona bahut jaruri hai. Jo kuch hum khate hai pachan tantar use sharir mein sahi jagah pahunchane ka kaam karta hai. Digestion system bhojan ko energy mein badal kar body ko nutritions aur power deta hai aur hamari immunity ko badhata hai jisse body ki rogo se ladne ki shamta badhti hai. Pachan shakti kamjor ho jaye to khaya piya thik se digest nahi ho pata aur body ko jaruri poshak tatav nahi mil pate. Kharab pachan kirya se body ki immunity bhi weak hone lagti hai jisse sharir ko kai parkar ki bimariya hone ka khatra badh jata hai.

    Khane pine ki galat aadto aur unhealthy lifestyle ka bura asar hamare digestion system par padta hai. Pachan tantar kamjor hone par kai parkar ki sharirik samasyae hone lagti hai. Kabz, pet mein gas, alsar, badhajmi, liver aur pet ki dusri bimariya hone ka parmukh karan pachan shakti ka weak hona hi hai. Is lekh mein hum janenge natural tips to improve digestion in hindi.

     

    Pachan Shakti Kamjor Hone Ke Karan

    • Kai ghante ek hi jagah baith kar work karna.
    • Jaldi jaldi khana khana
    • Fast food jada khana
    • Unhealthy lifestyle
    • Physical activity kam hona
    • Jada tension lena
    • Puri neend na lena

    Pachan Kriya Badhane Ke Upay aur Nuskhe

    Home Remedies to Improve Digestion in Hindi

     

    1. Jeera ajwaine aur kala namak brabar brabar le kar mix kar le aur is mishran ko 1 chammach ki matra mein paani ke sath khaye.

    2. Adarak ka ek chota tukha le aur use nimbu ke ras mein bhigo kar choose, is gharelu upay se pachan shakti badhti hai.

    3. Aanwle ko pees kar iska powder bna le aur isme sendha namak, bhuna hua jeera, kali mirch, saunth aur hing mila kar choti choti vadi bana le aur bhoan mein inka sevan kare. Is nuskhe se pachar kirya majbut hoti hai aur bhukh bhi badhti hai.

    4. Ilaychi ke beejo ko pees kar churan bna le aur isme brabar matra mein mishri milakar 3 graam ki matra mein din mein 2 se 3 bar khaye.

    5. Ajwaine ka paani pine se bhi digestion strong hota hai.

     

    Pachan Shakti Badhane ke Liye Kya khaye

    1. Fibre aur vitamin C se baharpur cheeje khane se indigestion problem se rahat milti hai.

    2. Pachan kriya thik karne ke liye bhojan meon salad khaye. Salad mein tamatar, nimbu aur kala namak paryog kare.

    3. Khane mein fruits ka paryog adhik kare. Falo mein amrud, papita, anjeer, aanar aur santre khaye, inme fibre ki matra adhik hoti hai jisse pet saaf karne mein madad milti hai aur pachan kriya achi hoti hai.

    4. Hari sabjiyan methi, palak digestion improve karne ka safal upay hai, inke nirantar sevan se kabz ka ilaj hota hai aur body ko jaruri nutritions bhi milte hai.

    5. Ankureet kiye hue chane, genhu, aur moong ki daal khane se bhi pachan kirya mein sudhar aata hai.

    6. Digestion power badhane ke liye jaruri hai ki aap jada se jada pani piye. Agar khana pachane mein koi pareshani aa rhi hai to gunguna paani piye. Bhojan karne ke aadhe ghante pahle gunguna paani pine se digestion boost hota hai.

    7. Santre ka ras pine se pachar shakti badhti hai.

    8. Pet ki kai bimariyo ka ilaj karne mein pudeena paryog hota hai. Iska sevan rojana karne se pet ki samasyao se chutkara milta hai.

    9. Gas jesi samasya mein muli ramban upay hai. Ise aap kala namak lga kar salad ke roop me kha sakte hai. Iska sevan sabji aur ras ke roop mein bhi kar sakte hai. Raat ke samay mulli na khaye.

    10. Subah khali pet tambe ke jug mein rakha paani pine se bhi pachan kriya badhti hai.

     

     Yoga se Pachan Kriya Kaise Badhaye : Yoga for Digestion in Hindi

    Regular yoga aur exercise kar ke aap pachar tantar ki samasyao se chutkara pa sakte hai. Agar aap koi vyayam nahi kar sakte to morning aur evening walk ke liye samay nikale. Exercise mein running, cycling aur swimming kar sakte hai. Yoga mein bhi kuch aasan aese hai jinhe karne se pachan shakti mein sudhar laya ja sakta hai.

    1. Paschimottanasana
    2. Bhujangasana
    3. Dhanurasana
    4. Naukasana
    5. Halasana

    In yogasan ko karne se pahle inhe karne ka sahi tarika sikhe, iske liye aap kisi yoga expert ki madad le sakte hai ya fir ghar par baba ramdev kii videos dekh kar sikh sakte hai.

     

    Tips for Good Digestion System in Hindi

    • Ek hi jagah ghanto tak na baithe rahe, agar aap ka kaam hi aesa hai ki aap ko ek jagah baith ke karna hai to 1-2 ghante mein 5-10 minute ka break jarur le.
    • Raat ko deri se na soye aur 6 se 8 ghante ki bharpur neend le.
    • Breakfast lunch aur dinner sahi samay par kare.
    • Khana dhere dhere aur chba chba kar khaye.
    • Smoking, sharab aur tambacoo ke sevan se dur rahe.
    • Fast food se parhej kare.

     

    Agar aapko koi gambhir bimari hai aur pregnant women pregnancy ke dauran bhi kisi desi nuskhe ya medicine ke sevan se pahle doctor ki salah le.

     

    Dosto Pachan kriya badhane ke upay, Natural tips to improve digestion in hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke btaye aur agar aap ke pass pachan shakti badhane ke gharelu nuskhe ya dawa hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    8 COMMENTS

    1. Mujhe hamesha pyas lagi rahti h jyada paani peene par bar bar peshab Lagti h aanto me mal sookh jata h skin dry ho rahi h mai kya karu

      • पानी अधिक पिने से मल सूखने के समस्या नहीं होनी चाहिए हो सकता है इसके कारण कुछ और हो. आप बार बार प्यास लगने की वजह जाने और अगर कोई रोग है तो उसका इलाज करे.

    2. sir Mera Pet din bhar bada Sa Lgta H .aiese Lgta H jaiese Kisii ne hawa bhar di hooo …m bhaut preshaan hu sir ….gas bni Rhti h bhaut khana V time Se nahi phachta M Ky kru ..Sir plz help me

    3. Meri weight bahut jaldi badh jata hai bhut workout bhi karta hu. Gym bhi jata hu leg par aur hip par jada chabi badh jati hai koi bimari ke karan hota hai kya problem hai.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles