More

    Palak Paneer Kaise Banaye: Palak Paneer Recipe in Hindi

    Recipe - रेसिपीPalak Paneer Kaise Banaye: Palak Paneer Recipe in Hindi

    Palak paneer recipe in hindi mein palak aur paneer dono hi paushtik cheje hai. Khane mein palak paneer ki sabji bahut hi swadisht hai aur banane me bhi bahut aasaan hai, aap is sabji ko kisi vishesh avsar par bana sakte hai. To aaiye is article mein hum palak paneer recipe padhe aur banaye.

    Palak Paneer Recipe in Hindi : Paneer Recipes

    Palak Paneer Kaise Banaye

    Palak Paneer Recipe in Hindi

    Chahe shahi paneer ho ya palak panner kisi bhi tarike ki paneer recipes banana mushkil nhi hai bas hame malum hona chahiye konsi recipe mein konsi samagri isteemaal hoti hai. Is article mein humne palak panner banana ki samagri jitni likhi hai usme 4 logo ke liye sabji ban sakti hai.

    • Palak (Spinch) – 500 gram
    • Chini – Aadha chammach (agar aap chahe)
    • Paneer – 300 gram (paneer ko chukor tukdo me kaat le)
    • Refyaind Teel – 2 se 4 chamach
    • Heeng – 1 se 2 pinch
    • Jeera – adha chota chamach
    • Haldi Paudar – 1/4 chota chamach
    • Kasuri Methi – 2 chote chamach (agar aap chahe,dandiya hata kar istemal kare)
    • Tamatar – 2 se 3
    • Hari Mirch – 2
    • Adarak – 1’ lamba tukda
    • Besan – 2 chote chamach
    • Creaem ya Malayi – 2 chamach
    • Laal Mirch – 1/4 chote chamach se kam (agar aap chahe)
    • Namak – Swad ke anusaar (ek chota chammach)
    • Garam Masala – 1/4 chote chamach
    • Nembu ka Ras – 2 chamach ya fir 1 chota sa nembu (agar aap chahe)

     

    Palak Paneer Cooking Recipes in Hindi

    Recipe for Palak Paneer: Sab se pahle aap palak ki dandiya tod kar hata dijiye fir patto ko achi tarah dho kar ek bartan me daale. Ab us bartan mein ek chauthayi cup paani aur chini daal dijiye. Ab us bartan ko dhak kar ubalne ke liye rakh dijiye. 5 se 6 minute mein palak ubal jayega. Ab gas ko band kar dijiye.

    Paneer ke chukor tukde kaat le. Aap paneer ko tal kar ya fir bina tale dono tarike se tari me daal sakte hai. Paneer ko talne ke liye naanstick tava garam kijiye fir thoda sa teel daliye aur ab paneer ke tukde tave par daal kar dono taraf halka brown hone tak tale.

    Tamatar ko dho kar tukdo mein kate. Hari mirch ki dandiya tod kar dho le. Adarak ko cheel kar dhoiye aur ab iske 3 se 4 tukde kar lee. Ab in sabko mixi mein daal kar bareek pees lee.

    Kadhayi mein teel daal kar garam kare, ab garam teel mein heeng aur jeera daale. Jeera bhunane ke baad, haldi paudar aur kasuri maithi dale fir besan daal kar use thoda sa bhuniye. Ab iss masale mein tamatar,adarak aur hari mirch ka paist daal dijiye aur masale ko 2 minute tak bhuniye. Ab isme cream ya malayi daale aur masale ko tab tak bhuniye jab tak masaale ke upar teel na tairane lage.

    Ubale hue palak ko thanda hone ke baad mixi mein bareek pees lee. Palak ke paist ko bhune hue masaale me mila dee fir. isme apane anusaar aap ko jitani ghaadi ya patali tarri chahiye utna hi paani dale aur sath mein namak daal dijiye, Ubaal aane ke baad paneer ke tukde dale. Ab isse  2 se 3 minute dhak kar, dhimi aag par pakaye aura b gas band kar dee aap ki palak paneer ki sabji taiyar hai. Ab aap palak paneer ki sabji mein garam masaala aur nembu ka ras mila dee.

    Paalak paneer ki sabji ko ek pyaale mein nikaliye aur ek chote chamach malayi daal kar sajaiye. Garma garam sabji chapaati ya naan ke saath parosiye or khaiye.

    Agar aap palak paneer ki sabji mein pyaaj daalna chahate hain to ek pyaaj le use chota chota kat le fir jeera bhunane ke baad usse teel mein daal kar halka brown hone tak bhoon lee aur isake baad upar btaye hue tarike se palak paneer ki sabji bana lijiye.

    Dosto palak paneer recipe in hindi ka ye article aap ko kaisa laga hame jarur bataye aur sath hi apne anubhav bhi bataye. Aur agar aapke pass bhi palak paneer kaise banaye ya fir kisi tarah ki paneer recipes ho to yaha hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles