More

    पेट की बीमारी के उपाय और घरेलू नुस्खे – Pet Ki Bimari Ka ilaj in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेपेट की बीमारी के उपाय और घरेलू नुस्खे - Pet Ki Bimari Ka ilaj in Hindi

    Pet ki bimari ka ilaj upay aur gharelu nuskhe in hindi: Aajkal ki lifestyle aur khanpaan ke tarike aese hai ki har dusra vyakti pet ki samasya se pareshan hai jese ki pet me gas, kabj, acidity, bharipan, pet fulna, ulcer, infection aur pachan kamjor hona. Pet ka rog sharir me kai dusre rogo ka karan ban sakta hai isliye pet se judi koi bhi samasya ho uska turant ilaj karna chahiye. Agar pet thik ho to sharir to swasth rehta hi hai sath me dusre rog hone ka khatra bhi kam hota hai. Pet ki bimari ko jad se khatam karne ke liye sabse pahle bimari ke karan pta karna jaruri hai taki sahi tarike se ilaj kiya ja sake. Aaj is lekh me hum pet ke rog ka upchar ke gharelu nuskhe upay aur ayurvedic dawa ke bare me janenge, stomach diseases treatment home remedies in hindi.

     

     

    पेट की बीमारी के लक्षण – Pet Rog Ke Lakshan

    • Pet me dard jalan hona aur har samay ek khichav mehsus karna.
    • Khana khane ke bad pet me dard aur bharipan hona.
    • Pet ka fulna bhari rehna aur pet me taklif mehsus hona.
    • Ji machalna, ulti aana, dast lagna, bhukh kam hona, badhajmi.
    • Kuch bhi khate hi toilet jane ka pressure banna.
    • Teji se vajan kam hona, khaya piya sharir ko na lagna.

     

    पेट की बीमारी के उपाय और घरेलू नुस्खे

    Pet Ki Bimari Ka ilaj Aur Gharelu Nuskhe in Hindi

     

    1. Pet Me Jalan Aur Acidity

    1. Pet aur seene me jalan ka karan hai acidity jise hum pet me tejab banna bhi kehte hai.

    2. Khana pachane ke liye hamare sharir me acid banta hai par jab ye acid adhik matra me banne lage to acidity ki problem hone lagti hai.

    3. Jada masale wala khana khane se ye samasya adhik hoti hai.

    4. Is samasya ke samadhan ke liye subh uthte hi sabse pahle pani peena chahiye aur tej masale wali chije khane se bhi parhej kare.

    5.. Falo ka sevan kare jese tarbuj, kela, papita aur kheera. Nariyal pani bhi is rog se chutkara pane me upyogi hai.

     

    2. Ji Machalna Aur Ulti Aana

    1. Ulti hona ya ji ghabrana koi rog nahi hai par ye dusre rog ke lakshan me se ek hai.

    2. Agar aap ko bhi aesi koi pareshani ho rhi hai to iska karan jane aur turant ilaj shuru kare.

    3. Kuch logo ko safar ke dauran bhi ulti hoti hai aur ji ghabrata hai.

    4. Is samasya me halka bhojan karna chahiye aur dahi ka sevan karne se bhi kafi aaram milta hai.

     

    3. Pet Me Ulcer

    • Pet me ya choti aant me hone wale ghav ko ulcer kehte hai.
    • Dard nivarak dawao ka sevan adhik karne se pet me ulcer ki shikayat adhik hoti hai. Iske ilava jada masale wala khana khane se bhi ye problem ho sakti hai.
    • Is rog ke upay ke liye fiber wale food adhik khaye aur fal aur hari sabjiyo ka sevan bhi adhik kare.
    • Yogasan aur yog kriyao se bhi is rog se rahat milti hai.

     

    4. Pet Me Gas Ki Samasya

    1. Gas ki samasya se bahut log pareshan rehte hai. Jada der bhukha rehna, fast food khana aur dawao ka adhik sevan karne se pet me gas adhik banti hai.

    2. Pet ki gas pass na hone par ye pet me hi ghumti rehti hai jis wajah se dard aur bharipan mehsus hone lagta hai.

    3. Gas ke gharelu upchar ke liye 1 nimbu ke ras me 2 chammach pani aur thoda kala namak milaye. Ab is mishran me chutki bhar khane wala soda mila kar turant pi jaye.

    4. Pani adhik piye, fast food na khaye aur yoga exercise ko bhi dincharya me shamil kare.

    5. Pawanmuktasan gas ki shikayat dur karne ka sabse acha tarika hai. Is aasan ko karne se pet ki gas bahar nikalne lagti hai aur kabj bhi dur hoti hai.

     

    5. Dast Lagna – Loose Motion

    • Kuch galat kha lena aur mausam me achanak se badlav aana kuch aese karan hai jisse dast lag jate hai. Agar iska turant ilaj na kiya jaye to sharir me kamjori aane lagti hai.
    • Dast lagne par aasani se pachne wala halka bhojan khana chahiye jese mung daal ki khichdi aur dalia.
    • Dahi, kela aur isabgol bhusi khane se bhi dast me aaram milta hai.

     

    6. Kabj Hona – Constipation

    1. Kabj hone par mal tyag karne me jada jor lgana padta hai aur pet thik se saaf bhi nahi hota. Lambe samay tak kabj rehne par bawasir ki shikayat bhi ho sakti hai.

    2. Is rog ke upchar ke liye raat ko sone se pahle gungune pani ke sath triphala churna ka sevan kare.

    3. Doodh aur papita khane se bhi is rog me aaram milta hai.

     

    पेट की बीमारी के लिए रामबाण योग – Pet Ki Bimari Ke Liye Yoga in Hindi

    • Yoga me kuch aese aasan hai jo pet ke rog ko jad se khatam karne me ramban kaam karte hai.
    • Kapalbhati pranayam pet ki sabhi parkar ki samasya se chutkara pane ka aasan tarika hai. Har roj din me 2 bar 15 minute khali pet kapalbhati kare aur sath hi anulom vilom pranayam bhi kare.
    • Pet ki gas aur kabj jese rogo ke upay me pawanmuktasan sabse acha yoga hai. Subh sham khali pet 5-5 bar is aasan ko kare.
    • Agnisar Kriya pet ke har parkar ke rogo ko dur karne me mdad karti hai. Pachan shakti badhane me bhi ye upyogi hai.
    • Vajrasana yoga, ye ek aesa aasan hai jise aap khane ke bad bhi kar sakte hai. Khana khane ke bad is aasan ko karne se khana jaldi pach jata hai. Khane ke bad pet dard karna, gas aur kabj jese rog dur karne me ye yoga fayda karta hai.
    • Upar btaye gye yoga aasan kisi yog guru ki dekh rekh me kare. Aap ghar par baba ramdev yoga video dekh kar bhi inhe karne ka sahi tarika sikh sakte hai.

     

    Dosto pet ki bimari ka ilaj yoga aur gharelu nuskhe in hindi ka ye kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass pet rog ke upchar dawa aur lakshan se jude upay hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles