Pet ki gas me kya khaye kya nahi khana chahiye aur dawa in hindi: Pet se gas nikalna aur paad aana kai bar logo ke liye majak ka karan ban jata hai. Gas ki samasya vese koi gambhir rog nahi hai par agar samay par iska samadhan na kiya jaye to pet me dard, ulcer, marod aur pet me bharipan jesi kai pareshaniya hone lagti hai, jis karan rogi ka khane peene aur kisi kaam me man nahi lagta. Acidity kabj aur kamjor pachan hone se jadatar pet me gas banne ki problem hoti hai. Kuch log pet ki gas ki samasya se turant chutkara pane ke liye angreji dawa aur kai parkar ki tablet ka sahara lete hai par bina angreji medicine ke ayurvedic patanjali aur homeopathic dawa se bhi pet ki gas ka achuk ilaj kiya ja sakta hai. Iske ilava is baat ki bhi jankari hona chahiye ki pet me gas bane to kya khana chahiye aur kya na khaye. Aaiye jane gas ki samasya ka samadhan karne ke liye kya kare.
पेट में गैस क्यों बनती है – Stomach Gas Problem
- Chai aur coffee ka sevan adhik karne se gas ki samasya hone lagti hai.
- Kuch logo ko doodh peene aur doodh se bani hui chije khane se gas ho jati hai.
- Jada der tak khali pet rahne se gas acidity hone lagti hai.
- Pregnancy me bhi gas ki samasya aur gas ke karan pet dard ki problem hoti hai.
- Jada tala masaledar fast food khane se pachan kamjor hone lagta hai jis wajah se kabj aur gas banne lagti hai.
- Udad ki daal, foolgobhi, rajma, chane aur bhari dale khane se bhi kuch logo ko gas banti hai.
पेट में गैस बने तो क्या खाना चाहिए
Pet Ki Gas Me Kya Khaye in Hindi
1. Jeera, ajwaine, laung, adarak, saunf aur pudeena pachan ke rog dur karne aur gas ki samasya se chutkara pane ke gharelu nuskhe me sabse jada asardar hai.
2. Jin logo ko pet me gas banne ki problem bar bar hoti hai unhe paani adhik matra me peena chahiye. Jada paani pine se acid bahar nikal jata hai aur gas se nijat milti hai.
3. Nariyal paani peena pet ki gas ka accha ilaj hai. Isme vitamins aur kai parkar ke poshk tatv maujood hote hai jo pet ke rog dur karne me mdad karte hai.
4. Falo me papita ek aesa fal hai jo bhojan ko jaldi pachane me mdad karta hai. Agar pet me gas jada bane to khana kam khaye aur khane ke baad papite par thoda namak chidak kar khaye.
5. Gas ki samasya hone par alkaline wale foods aur fruits jada khana chahiye. Ananas me ye bharpur hota hai jisse gas ki problem dur karne me mdad milti hai.
6. Kela khane se bhi gas nahi banti. Kele me anti oxidant aur potassium hota hai jo stomach me acidity ko control karne me upyogi hai.
7. Kheera khane se sharir me paani ki kami nahi hoti aur gas acidity ki problem nahi hoti.
8. Falo ke ilava hari sabjiyo ka sevan bhi adhik kare aur khana pakate waqt sabjiyo ko jada na tale. Khana pakane ke liye sarso ke tel ka paryog kare desi ghi ka paryog bhi thik hai.
9. Dahi aur lassi pet ke rogo se chutkara pane me ramban upay hai. Iske ilava nimbu pani peena bhi acha hota hai.
10. Gas ki dawa lena chahte hai to patanjali divya gashar churna is rog se nijat pane ke liye achi ayurvedic dawa hai.
पेट की गैस में क्या ना खाएं – Gas Me Kya Nahi Khana Chahiye in Hindi
- Maide se bani chije aur bekri wale product khane se parhej kare. Iske ilava jada tala hua jese chole bhature, puri, kulche aur bread pakoda bhi na khaye.
- Garam doodh peene se bhi pet me gas banti hai. Jin logo ko pet me ulcer ki shikayat ho ve doodh ko thanda kar ke piye.
- Adhik umar ke logo ko aksar pet se gas nikalne ki pareshani hoti hai. Aese me doodh, paneer, makkhan aur dairy wale foods ka sevan kam kare.
- Sabji me arbi aur bhindi se parhej kare. Kaccha lehsun, kaccha pyaj aur adarak bhi gas banne ka ek karan hai.
- Jin logo ko kabj rehti hai unhe bhi gas ki pareshani hoti hai. Kabj ke karan sharir me jama toxins bahar nahi nikalte aur gas banate hai.
- Kuch log bat bat par dawa khane lagte hai. Dard dur karne wali dawao ka sevan adhik karne se pet me jama acche bacteria khatam ho jate hai jisse pachan kamjor ho jata hai.
- Kuch logo ko cold drink peene ki aadat hoti hai aur ve aksar bhojan ke sath bhi cold drink peete hai jo pet me gas bnata hai.
पेट की गैस से बचने के उपाय – Pet Ki Gas Se Bachne Ke Upay
- Khana dhire dhire aur chba chba kar khaye.
- Bhojan karne ke turant baad nahi sona chahiye.
- Chai coffee aur cold drink ka sevan kam se kam kare.
- Yoga aur exercise se din ki shuruat kare.
- Sharab aur dhumarpan se dur rahe.
- Thanda paani pine ki bajay gunguna paani piye.
Dosto pet ki gas me kya khaye aur kya nahi khana chahiye in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agr aap ke pass pet me gas ki samasya se chutkara pane aur samdhane ke liye dawa ya upay se jude sujhav hai to hamare sath share kare.