More

    Pyaj ki Chai Banane ka Tarika Aur iske 7 Fayde Hindi Mein

    Recipe - रेसिपीPyaj ki Chai Banane ka Tarika Aur iske 7 Fayde Hindi Mein

    Pyaj ki chai banane ka tarika in hindi: Bahut se logo ke din ki shuruaat ek cup chaye se hoti hai kuch logo ki to bina chai piye neend hi nahi khulti. Jo doodh wali chaye hum peete hai iske ilava bhi aapne kai tarike ki chai ke bare mein suna hoga jese ki black tea, green tea, nimbu ki chai aur pudeene ki chai. Par kya aapne kabhi onion tea ke bare mein suna hai. Ji haa pyaj wali chai. Pyaj ko aksar hamare gharo mein bhojan banate waqt paryog kiya jata hai par agar aap pyaj ki chai ke fayde janenge to aap bhi isse dur nahi reh sakenge. Aaj is lekh mein hum janenge pyaj ki chai kaise banaye, health benefits of onion tea and recipe in hindi.

    Pyaj ki Chai Banane ka Tarika

    Health Benefits of Onion Tea in Hindi

    Pyaj ki Chai Kaise Banaye

    • Is chai ko banana ke liye aap ko pyaj, nimbu ka ras, green tea bag aur shahad ki jarurat hogi.
    • Sabse pahle ek pyaaj le aur ise dho le.
    • Pyaaj ko kaat kar tukde kar le.
    • Paani ubaale aur isme pyaaj ke kate hue tukde dale.
    • Paani ubalne ke bad isme nimbu ka ras aur green tea bag dale.
    • Ab ise chaan kar isme shahad dale, aapki onion tea ready hai.

    Pyaj wali chai banane mein pyaj ke chilko ka bhi paryog kar sakte hai. Pyaj ke chilko se pyaj ki chai banane ki vidhi ki jankari aap online search kar sakte hai ya fir kisi nutrition expert se bhi iski jankari le sakte hai. Pyaj ki chai pine ka time aap apne anusar bhi rakh sakte aur khana khane ke baad piye to aadhe ghante ka gap rakhe.

    Pyaj ki Chai ke Fayde : Onion Tea Benefits in Hindi

    1. Teji se vajan kam karne (weight loss) mein pyaj ki chai peena ek acha upay hai. Agar aap apne motape se pareshan hai to aap ko har roj onion tea pina chahiye.

    2. Agar aap ko neend der se aati hai ya neend nahi aati to ye chai aapke liye bahut faydemand hai. Har roj is chai ke sevan se aap ko sahi samay par achi neend aane lagegi.

    3. Blood mein maujood free radicals ko khatam karne mein onion tea ke sevan se fayda milta hai.

    4. Ek research ke anusar pyaj ke chilko mein kvercetin namak tatav hota hai jo blood mein antioxidant ki activity ko boost karta hai jisse blood clot nahi bante aur hypertension jesi smasyao se bache rehte hai.

    5. Pyaaj ki chaye ki tasir dusri kisi bhi chai se adhik garam hoti hai isliye thand lagne par ise pine se aaram milta haiaur iske ilava isme vitamin C adhik matra mein hota hai jo sardi aur jukam ke lakshano ko kam karne ka kaam karti hai.

    6. Pyaj ka chilka glucose level ko improve karke insulin resistant ko bdhata hai jisse type 2 diabetes control karne mein madad milti hai.

    7. Ye chai cancer jesi gambhir bimari ko badhne se rokne mein bhi madad karti hai. Body se toxins nikal kar ye cancer cells ko badhne se rokti hai.

    Herbal Tea Tips in Hindi

    Garbhwati mahila aur jo maa apne bacche ko doodh pilati hai unhe onion tea ka sevan nahi karna chahiye.

    Dosto Pyaj ki Chai Banane ka Tarika, Health Benefits of Onion Tea in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass weight loss, sugar ya aur kisi bhi bimari mein pyaj ki chai ke fayde mile hai ya herbal tea se jude koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles