More

    Sir Dard Dur Karne ke Liye 10 Aasan Upay aur Yoga in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेSir Dard Dur Karne ke Liye 10 Aasan Upay aur Yoga in Hindi

    Sir dard ke liye yoga baba ramdev aur upay in hindi: Dard koi bhi ho sahan karna aasan nahi, hamare sharir ko hone wale aneko rogo me se sir ka dard shuruaati lakshan me se ek hai. Chahe bukhar ho, sardi jukham ho, malaria, typhoid hone par sir me tej dard ki shikayat hona normal hai. Jada tension lene ke karan bhi aksar headache problem aati hai. Sir dard ko dur karne ke liye bhut se log medicine ka sahara lete hai to kuch log  acupressure, dua aur desi totka karte hai, par aap kuch gharelu upay aur ayurvedic desi nuskhe apna kar sir me dard ka upchar aasani se kar sakte hai. Aaiye jane natural home remedies for head pain treatment in hindi.

    Sir ki manspeshiyo me jab tanav aata hai tab sir me dard rahna ki samasya hone lagti hai. Head pain ki problem bacho se le kar bade kisi ko bhi ho sakti hai par har bar tablet aur medicine lena ek sahi tarika nhi hai. Sir mein dard ki samasya agar bar bar hone lage to ye migraine ke symptoms bhi ho sakte hai jisme sir ke aadhe hisse me tej dard mehsus hota hai.

     

    Sir Me Dard Hone Ke Karan – Head Pain Causes

    • Jada tension lena
    • Dhoop me loo lagna
    • Sardi aur jukhan lagna
    • Aankho me kamjori hona
    • Bukhar, malaria typhoid hona
    • Jada der computer aur mobile chlana.
    • Migraine ke rog me aadha sir dard hone lagta hai.
    • Urine me infection hone par bhi kai bar sir dard ki pareshani hoti hai.
    • Neend puri naa hone ke karan gardan aur sir me dard ki shikayat hoti hai.

     

    Sir Dard ke Liye Yoga aur Desi ilaj

    Gharelu Nuskhe for Headache in Hindi

    1. Sir ki manspeshiyo se tanav ko kam karne ke liye kandho, gardan aur sir ki malish kare. Meditation aur yoga se bhi stress kam karne me mdad milti hai. Rojana exercise aur yoga karne wale logo me sir bhari hona aur pain ki problem bhut kam hoti hai.
    2. Laung ko halka sa garam kare aur pees kar iska leep sir par lagaye. Kuch hi der me sir dard se rahat milne lagegi.
    3. Sir dard ka turant ilaj karne me laung bhut faydemand hai. Laung ke powder me thoda sa namak mila kar paste tyar kar le fir ise doodh me mila kar pi jaye. Is upay ko karne par kuch hi minute me sir ka dard dur hone lagega.
    4. Kisi saaf kapde me burf ka ek tuda rakhe aur ise icepack ki tarah istemal kare. Is ice pack ko sir par rakhe aur hataye, 10 minute aesa karne par head pain kam hone lagega.
    5. Sir dard dur karne me lehsun gharelu dawa ki tarah kaam karta hai. Lehsun ki kaliyo ko nichod kar uska ras piye. Is gharelu nuskhe se aap ka dard turant thik hone lagega.
    6. Thoda sa kesar badam ke tel me mila kar ise sunghne se headache kam hone lagta hai. Head pain se jaldi rahat pane ke liye is upay ko 2 se 3 baar kare.
    7. Neend puri na hone ki wajah se agar sir me dard ho rha hai to ilaychi, laung aur adarak daal kar chai banaye aur piye. Chai pite hi aap ke sir ka dard kam hone lagega. Tanav kam karne me adarak wali chai ramban ilaj ka kaam karti hai.
    8. Pet me gas hone se agar head pain ho to 1 gilass gungune pani me nimbu ka ras milakar piye. Is desi ilaj se pet ki gas aur sir ka dard dono thik hone lagenge.
    9. Sardi jukam ke karan sir dard ho rha ho to chini aur dhaniya pani me ghol kar pi jaye. Isse jukham aur sir dard me aaram milega.
    10. Garmi lagne se sir me dard hone par nariyal tel se 10 minute sir ki malish kare. Is upay se sir ki manspeshiyo ka tanav kam hota hai aur dard se rahat milti hai.

     

    Sir me Dard Rahna – Ayurvedic ilaj

    • Sar ke jis hisse me dard ho rha ho uski dusri side ki naak me shahad ki 1 se 2 bunde shahad ki dalne par sir dard se jaldi chutkara milta hai.
    • Sir dard ki tablet  aur medicine name janne ki bajay agar gharelu tarike se upchar ke bare me jane to bina kisi nuksan aasani se rogo ka upchar kiya ja sakta hai.  Gaay ka doodh garam kar ke pine se bhi sir dard thik hota hai.
    • Sir ke pichle hisse me dard ho ya fir migraine ki wajah se aadha sir dard kar rha hai to dusre hisse wali naak me desi ghee ki kuch bunde dale.
    • Sir me dard ka ilaj ki ayurvedic dawa lena chahte hai to baba ramdev patanjali ke kisi bhi store se le sakte hai. Dawa lene se pahle ise lene ka sahi tarika jarur sikh le.
    • Sir me dard ka upchar karne ke liye pani me dalchini powder mila kar iska paste sir pe lagaye, aap ko jaldi aaram milega.
    • Dadi maa ke nuskhe sar dard ka ilaj karne me kafi kargar hai. Jaayfal ko chawal ke pani me ghis kar iska paste sir par lagane se dard dur hota hai.

     

    Sir Dard Ka ilaj Baba Ramdev

    Headache ke liye yoga har roj 15 se 20 minute kare to aap pain se relief pa sakte hai aur is samasya se bach bhi sakte hai. Sir dard thik karne ke liye aap yha bataye gaye yogasan kare. Inhe karne se pahle in aasano ko karne ka sahi tarika jarur jaan le.

    1. Swargasan
    2. Naadi Shodhan
    3. Surya Namaskar
    4. Pavanamuktasana
    5. Bhramari Pranayam

     

    Sir Dard Me Kya Khaye Kya Nhi Khaye

    • Diet me aese food na khaye jinse pet me kabj hoti ho.
    • Smoking aur sharab ke sevan se parhej karna chahiye.
    • Sir dard hone par halka bhojan kare aur bina masale wala khana khaye.
    • Bar bar sir dard hota ho to subah khali pet seb (apple) khaye aur halka garam doodh piye. 7 se 10 din is nuskhe ko karne par bar bar sir me dard hone ki samasya se chutkara milega.
    • Sir ke dard se bachne ke liye sharir ko aaram dena behad jaruri hai, isliye achi neend le aur apne sone jagne ki aadat me sudhar laye.

     

    Dosto Sir dard ke liye yoga, desi ilaj, Gharelu nuskhe for headache in hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hme btaye aur agar aapke pass sir me dard dur karne ke upay aur ayurvedic medicine name ki jankari hai to hame likhe.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles