More

    Bina Taar Tedhe Medhe Dant Sidhe Karne ke Aasan Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीBina Taar Tedhe Medhe Dant Sidhe Karne ke Aasan Upay Hindi Mein

    Tedhe Medhe Dant Sidhe Karne ke Aasan Upay:Hamari smile chehre ki khubsurati badhane ke sath hamare andar aatam vishwas (confidence) bhi lati hai, hanste muskurate samay hamare teeth dikhte hai aur aese mein agar dant tedhe medhe (croocked teeth) hai ya fir danto par pilapan aaya hua hai to hum khul kar muskrane se darte hai ki kahi koi hame tok na de aur hame sharminda na hona pade. Dosto isse pahle humne jana ki gharelu nuskhe apna kar peele danto ka upchar kese kare aur aaj kya kyu kaise ke is lekh mein hum janenge ki tedhe medhe dant ko sidhe karne ke upay kya kare.

    Kuch logo ke dant teedhe hone ki wajah se muh se bahar nikal aate hai jo bhade lagte hai aur kuch chote bacho ke danto mein gap aane lagta hai. Aese teeths hone par kai bar bolte aur kuch chabate waqt dard hone lagta hai aur vo words bolne mein bhi pareshani hoti hai jinhe bolne ke liye danto ki jarurat padti hai. In sabke ilava tedhe medhe teeths ko brush karne mein bhi pareshani hoti hai aur thik se safayi na hone par dant kharab hone lagte hai, isliye jaruri hai ki samay rehte hi is samasya se chutkara paya jaye. Aaiye padhe teeth straightening tips in hindi.

    Dentist Tedhe Medhe Teeth ko Kaise Sidha Karte Hai

    Danto ko sidha karne ke liye in par dabav ka istemal kiya jata hai. Dentist danto ki shape thik karne ke liye plastic ya kisi dhatu ki taar ka sahara lete hai jise hum braces ya clip bhi kehte hai, is process mein danto ko ek taar ki help se bandha jata hai taki danto par dabav aa sake.

    Braces danto ko dhere dhere sidha karte hai, isliye kai bar logo ko inhe salo tak lgana padta hai. Braces lagane se kafi pareshani to hoti hi hai sath hi ye dikhne mein bhi ache nahi lagte.

    • Danto par 2 type ke braces lgaye jate hai – temporary aur permanent. Permananent braces lagane par danto par nirantar dabav padta hai jisse dant dabav ke anusar chalna shuru karte hai aur sahi jagah par aa jate hai. Agar danto ke beech mein khali jagah (space/gap) ho to vo bhi is treatment se thik ho jata hai.
    • Kuch logo mein aksar dekha gya hai ki 1 dant ke piche 1 aur dant nikal aata hai, iske ilaj ke liye dentist operate kar ke pichle dant ko nikal dete hai, ya fir orthodontics se consult karne ke salah dete hai.

    Agar aap ne doctor se apne teeths ka treatment karwaya hai to kuch banto ka dhyan rakhna bahut jaruri hai. Treatment ke baad danto ke teedhe hone ke chances bane rehte hai isliye jaruri hai ki doctor se regular checkup karwate rahe.

    Tedhe Medhe Dant Sidhe aur Andar Karne ke Tarike

    Is lekh mein abhi tak humne jana ki braces se teeth ko andar aur sidha kaise kare, dosto dentist dawara kiye jane wale is ilaj mein kafi paise kharch karne padte hai ab hum kuch upay janenge jinse hum ghar par hi bina koi taar lagwaye dant seedhe kar sakenge.

    Aese bahut se log hai jo danto par taar nahi lagwana chahte agar aap bhi bina taar ke dant sidha karne ke tarike janna chahte hai to niche bataye hue upay dhyan se padhe.

    • Dosto upar humne janna ki danto ko andar karne ke liye unpar dabav dalna padta hai, aap ye dabav apni jeebh (toung) se bhi bana sakte hai par jeebh se aapko danto par lagatar pressure banana hoga. Is kirya se dant sidhe hone mein samay adhik lagta hai isliye jaruri hai ki aap dharay banaye rakhe.
    • Jeebh ke ilava aap apni ungali se bhi danto par dabav daal sakte hai.
    • Aajkal braces ki jagah plastic cover/cap lagane ki technique bhi aa gyi hai, ye cover transparent hote hai aur inhe istemal karna bhi aasan hota hai, inke paryog ke liye dentist se mile.

    Danto par kisi bhi tarike se dabav dalne se pahle ye dhyan rahe ki jada pressure se bhi kuch pareshaniya ho sakti hai jese masudho mein dard aur danto ka dhela panda isliye jaruri hai ki in upayo ko sahi se apnaye. Agar in tips ko follow karne se aapko koi benefit nahi mil raha to dentist se mile aur salah le.

    Chote Bacho ke Tedhe Danto ka Upchar

    Vese to kisi bhi umar ka  vyakti apne tedhe danto ka upchar kar sakta hai par agar ye ilaj choti umar mein hi kar liya jaye to behtar hai. Chote bacho ke jabde soft hote hai isliye tedhe medhe dant sidhe karne mein kam samay lagta hai.

    1. Agar aapke bache ko angutha chusne, danto se hoth katne, jeebh se danto ko upar dhakelne jesi aadten hai to unhe har 6 mahine mein dentist ke pass le jaye taki bacho ki un aadto ko chudwaya ja sake jinse dant tedhe hone lagte hai.
    2. Agar bache ke doodh wale dant nahi gire aur uske pass dusri jagah par pakke dant nikalne lage hai to bache ko dentist ke pass le jaye aur unki salah se doodh wale dant nikalwaye taki galat jagah par pakke dant na aaye.
    3. Kuch bacho ko muh se saans leni ki aadat hoti hai, is aadat se bacho ke upar wale dant bahar ki taraf aane lagte hai isliye samay rehte hi is aadat ko sudharna jaruri hai.

    Agar aapne orthodontics se tedhe medhe teeths ka treatment liya hai to jada thandi cheeje khane se parhej kare aur toffi, chocolate, chiwngum ke sevan se bhi bache.

    Dosto Tedhe Medhe Dant Sidhe Karne ke Upay, teeth straightening tips in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass chote bacho aur bado ke dant andar karne ke tarike hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    21 COMMENTS

      • राज टेढ़े मेढ़े दन्त सीधे करने के घरेलू तरीके ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    1. Sir ,mere aagey ke daant jaroort se jyada lambe h kya inhe sahi shape m laane ka koi tarika h agar koi tarika h to please sir btaayen

      • दोस्त दांत टेढ़े मेढ़े हो या फिर दांतों के बीच गैप हो, ट्रीटमेंट और घरेलू उपाय से ठीक हो सकते है. लंबे दांतों को भी सही शेप में लाया जा सकता है. इसमें आप को डेंटिस्ट मदद कर सकते है.

    2. Sir 19 years ki hu…mara dant bahar nikle hua h or braces nhi lagbana chahti hu to kya ungli ki help sa kitna time lagta h dant ander ki side hona ma ……plz sir any sugestion plz……

    3. sir mera problem bhut big hai mera 7 dant toota hua hai 3 upar 4 niche mujhe kya karna hoga mujhe fixed karna hai hamesha ke liye plz.

      • टूटे दांतों का इलाज करने के लिए आप को डॉक्टर से मिल कर सलाह लेनी चाहिए.

      • दांत सीधे करने के घरेलू तरीके और उपाय के बारे में ऊपर बताया गया है आप लेख पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles