More

    टूटी हदी जोड़ने के टॉप पांच उपाय हिंदी में – Bone Fracture Treatment in Hindi

    Disease - बीमारीटूटी हदी जोड़ने के टॉप पांच उपाय हिंदी में - Bone Fracture Treatment in Hindi

    टूटी हड्डी को दोबारा जुड़ने में महीनों लग जाते हैं। लेकिन बहुत कम लोग ऐसे पांच उपचारों के बारे में जानते हैं जो तीन महीने के भीतर टूटी हुई हड्डी को फिर से जोड़ सकते हैं। यह उपचार पूरी तरह से स्वदेशी उपचार है जिसका दुष्प्रभाव नहीं होता है। जानकारी प्राप्त करने के लिए इस लेख को अंत तक अवश्य पढ़ें।

    Haddi Jodne ke Upay Hindi Mein

    Hamari body mein haddi sabse important hoti hai, agar haddiya majboot hongi to shareer bhi healthy aur fit rahega. Par aajkal ke khan paan ki wajah se body ko jaruri nutritions nahi mil pate jike karan haddiyo mein kamjori aana sawbhavik hai. Haddiyo mein lachilapan (flexibility) kam hone ke karan ye kai bar tut bhi jati hai. Bacho ki haddiya najuk hone ke karan tutne aur khisakne ki aashanka jada hoti hai. Is article mein hum janenge tuti haddi jodne ke upay, how to heal broken bone faster in hindi.

    Haddi jodne ka sahi treatment to doctor hi kar sakte hai lekin aap ghar par kuch baato ka dhyan rakh kar problem ko badhne se rok sakte hai. Iske liye sab se pahle ye janana jaruri hai ki haddi tutne par first aid kya deni chahiye.

    Tuti Haddi Jodne ke Upay, Bone Fracture Treatment in Hindi

     

    Haddi ki Chot Kaise Pehchane

    • Haddi tutne ke turant baad injury hone wali jagah ke aas pass blood jama hone lagta hai, jisse wahan sujan aa jati hai.
    • Agar haath ya pair ki haddi khisak (dislocate) gayi ho to waha thedapan dikhne lagta hai.
    • Kai baar koi bone fracture hone par body ka vo hissa latak jata hai, usme sensation kam ho jati hai aur vo jagah nili (blue) padne lagti hai.
    • Haddi mein sirf darar padi ho to dard ke ilava koi aur pareshani nahi hoti. Ye situation aksar chote bacho ke sath hoti hai aur iska pata lagane ke liye xray karwana padta hai.

     

    Haddi Tutne ke Karan – Causes of Bone Fracture

    • Jadatar haddiya chot lagne se tutati hai. Example ke liye – girte samay jab body ka sara weight ek haddi par aa jaye to uske tutne aur khisakne ki sambhavna jada hoti hai..
    • Haddi par koi bhari cheej gir jaye tab bhi fracture ho sakti hai.
    • Umar badhne ke sath bones kamjor ho jati hai, isliye budhape mein girne aur halke jhatke se bhi bone fracture aur dislocation jesi problem aa jati hai.
    • Kuch bimariya aesi hoti hai jo haddiyo ko andar se khokhla kar deti hai, aesi kamjoor haddiya kai bar bina wajah ke bhi tut jati hai.
    • Bache ke janam ke samay agar koi daayi ya nurse jada khichatani kare tab bhi navjaat bache ki haddi tut jati hai.

     

    Haddi Fracture Hone Par Kya Kare – First Aid Treatment

    1. Agar kisi wajah se bone fracture jaye to sabse pahle tuti hui haddi ko sahara de taaki vo hil na paye. Agar haddi hilegi to pain badhega aur haddi ke tukde pahle se jada door ho jayenge.
    2. Haddi ko support dene ke liye kisi sakht cheej ka paryog kare jese lakdi ya koi pipe, iske ilava akhbaar bhi lapet sakte hai. Agar kuch na mile to sharer ke dusre ang se tuti hui haddi ko sahara de.
    3. Kandhe (shoulder) ki haddi tut gayi ho to kisi patti ya kapde se sahara de sakte hai. Haath ki haddi tuttne ya khisakne par haath ko chati ke sath bandh kar rakh sakte hai. Jaangh, ghutna aur usse niche pair ki haddi tutne par lakdi ke patte ya fir kisi sakht takiye ka paryog kar sakte hai.
    4. Agar haddi tutne par bahar dikhne lage aur isme dhool mitti lag jaye to isse infection hone ka khatra badh jata hai.

     

    Bone Fracture Treatment Tips in Hindi

    1. Tuti hui haddiyo ko sahara dete samay is baat ka dhyan rakhe ki haddiyo ko jada kas kar na bandhe, isse blood circulation ruk jayega jisse condition aur bhi bhyanak roop le sakti hai.
    2. Agar body ke kisi ang par haddi ke upar koi jakham ho gya ho to iska ilaaj karna behad jaruri hai. Ghaav ko ache se saaf karke uspar dawa lagaye. Jane Ghav Jaldi Bharne ke Upay.
    3. Kai bar chot lagne par haddi ka tukda bahar gir jata hai, is tukde ko fainkiye mat. Isse pani se dho kar saaf kar le aur kisi saaf kapde mein lapeet kar patient ke sath is tukde ko bhi hospital le jaye, aajkal doctor is tukde ko wapis usi jagah laga sakte hai.

     

    Haddi Jodne ke Liye Calcium Kaise Badhaye

    Haddiyo ki growth aur iske upchar ke liye calcium sabse jarui poshak tatav hai. Kai bar body mein calcium ki kami se bhi haddiyo ke rog aur sujan jesi bimariya hone ka khatra hota hai. Agar aapki koi haddi tut gyi hai ya fir isme koi darar (hair line fracture) aa gyi hai to body mein calcium badhane wali cheje jada khaye.

    1. Doodh aur doodh se bani cheejo mein calcium ki matra sabse adhik hoti hai, jese ki dahi aur paneer.
    2. Agar aap non veg ka sevan karte hai to machliyo (fish) mein salman, icestar aur hilsa machli khaye.
    3. Hari sabjiyo mein bhi calcium ki matra jada hoti hai.
    4. Body mein calcium ko digest karne ke liye vitamin D ki jarurat padti hai, isliye aesa bhojan kare jisme poshak tatv adhik matra mein ho.
    5. Pregnancy ke dauran mahilao ko calcium ki jada jarurat hoti hai taki delivery ke samay haddiya majboot rahe.

     

    Osteoporosis Kya Hai

    Osteoporosis ek aesi bimari hai jisme umar badhne ke sath sath haddiya kamjor ho kar chitaknde lagti hai. Is bimari se bachne aur ilaj ke liye regular yoga exercises kare aur healthy food khaye taki body mein calcium ki kami na ho.

     

    Haddi Jodne ke Upay Ayurveda Remedies – Hadjod in Hindi

    Hadjod ek chamatkari podha hai jo tuti hui haddiyo ko jodne aur sharer ko bimariyo se bachane mein kafi asardar hai. Hadjod ki buti ko paani aur lep dono tarike se paryog kar sakte hai. Aaiye jane tuti haddi jodne ke liye hadjog ka paryog kaise kare.

    Sabse pahle hadjod ki butti ko sukha le ab isme udad ki daal milakar ache se pees kar ek paste bana le. Tuti hui haddi par ye paste laga kar kisi saaf kapde se baandh de. Is paste ko 2 se 3 din mein dubara lagaye aur lagatar ek mahine tak is upay ko kare aapki haddi jud jayegi.

    Tuti haddi jodne ke ilava ye dard ka ilaj karta hai. Haddi jko jodne ke liye hadjod ke ras ko ghee ke sath lene se bhi fayda hota hai.

     

    Haddiya Majboot Karne ke Upay – Tips for Strong Bone

    1. Hari pattedar sabjiya khaye aur kisi bhi parkar ke supplements ka paryog na kare.
    2. Lehsun aur pyaaj khaye. Inme sulfur hota hai jo haddiyo ke liye acha hai.
    3. Cold drinks aur kisi bhi parkar ke preservative wale energy drink se parhej kare. Ye haddiyo ko andar se khokhla karte hai.
    4. Chay aur coffee pine ki bajay doodh piye.
    5. Regular voga aur exercises kare.
    6. Vitamin D lene ke liye subh kuch der suraj ki roshni mein baithe.
    7. Aese sports khele jinme physicaly jada mehnat ho.

     

    Hamne apne gaanv shahro mein aese bahut se log dekhe hai jo tuti hui haddi ko bina kisi operation ke jodne ka dawa karte hai. Hamari salah yahi hai ki aese pehalwaano ke pass jane ki bajay apne pass ke hospital mein jaye aur haddi jodne ka sahi treatment le.

     

    Dosto Tuti Haddi Jodne ke Upay,  Bone Fracture Treatment in Hindi ka ye article aapko kaisa laga comment karke bataye aur agar aapke pass broken bone heal karne ka gharelu ilaj ya desi nuskhe ho to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    86 COMMENTS

    1. meri ungli beech se mudh nh rh h x ray karaya tha usme upar neeche hai aur v aakar bana hai 5 mahine se sabhi haddi baidhane walo ko dikhaya .doctor ko dikhaya to opretion ko bol rha hai bina opetation k kaise dhik hoga plz bayaye

      • Sartaj aap apne aas pass kisi ayurvedic vaid se mile agar ayurveda se upchar karne par ye thik ho jaye to behtar hai nahi to doctor se dubara contact kare.

    2. meri mummy ki pair ke niche heel me thora sa fracture ho gya tha…plaster vi doctor ne ghutne ke niche tk plaster kiya hai….to kya 10 din ke bad meri mummy apne pair ko hlka sa mod skti hai kvi kvi..kyunki unko tklif hoti hai hmesa sidha rkhne se

    3. Mera leg 2 mahine pahle fracture ho gaya thaa aur doctor ne bola ki ye tibia fracture hai aur mera bone aadha crack hua haii . Aur abhi 2 and half month baad mera plaster cut jayega .. mujhe ye janana hai ki mera fractured leg sahi hone ke baad pahle ke jaisa ho jayega ya woo normal leg se kamjor rahega .
      .? Aur agar mera leg kamjor hai toh mai usko normal kaise kar sakta hun..?

    4. Sir 3 month pahle mere pair ke jangh ki Haddi tut gai thi..to Maine aayurvedic treatment karwaya tha.ab Haddi upar niche Jud gai hai to kya mujhe opretion karwana padega ya fir aayurvedic treatment se ye thik ho jaegi..air kya koi problem ho sakti hai

    5. Farooq sir 8 din palay maynay. 50 kg waizan uthayya how tha to may gir gaya tha jis. K karn maray right. Side k gotana tilted ho gaya tha. Ab astta astta darad bad rahee hai. mujay koi ayuarvadic. Treatment. Bataye

      • Farooq kisi bhi parkar ke gharelu treatment se pahle aap ek bar doctor se iski jaanch jarur karwaye taki taklif ko sahi samay par rok kar samasya ka upchar kiya ja sake.

    6. ser meri right leg KO do mhine ho gye h tuti hui KO aur ye ghutne ke neeche se beech me se tut gyi thi bilkul alag ho gi thi dono bone tut gyi thi to ab kitna time aur lgega thick hone me ise aur m phle jse ache se chl pau ga

      • Rohit ye aapke khan paan, calcium aur aapki body par depend karta hai. Aap ko pahle jese chalne mein kuch samay jarur lagega par jese jese aap recover karenge vese aap mein improvement aane lagegi.

    7. Hello sir. Meri right ankle me melleolar fracture hua tha. Jiske karan mujhe aiims ke trauma centre me operation kerwana pada operation me sergion ne fibula me ek titanium plate laga di with 5 screws. And tibia me 2 k wires lagaye hai. Mujhe ye janna hai ki kya ek bar haddi tootne ke baad usme pehle jaisi strength aa sakti hai. And refracture ke chances bhi hote hain after full healing. Thank u

    8. Helo sir mere bro ki leg tuti thi 5 months ago doctors ne bola muscles toot gay gutnay k opration b krwaya but abhi jis tangh ka opration huwa hai woh bht pain krti hai aur dusri taangh se bht kamzor aut patli b hoti ja rahi hai plz koi tips btayein thnks

    9. sir mera patella accident me tut gya tha jo operation dwara jud chuka hai . aur mai chal v leta hu theek se par ek dikkat ye hai ki jab v mai stair use karta hu to utarte samay dikkat hota hai …………………………. aur chadte samay v ………………. mujhe eska upchar bataye ki mai stair theek se use kar pau …………….

    10. sir mere leg ki tibia or fib.. dono tut gyi doctor ne plaster kiya h ….or esm drd nhi hota Na hi skin m Koi cut h
      mujhe 2months or 15 day hogye mgr ek do din se pair m jham jham halka hlka ho RHA h
      sir mujhe bta de ye kyu hora h
      or plaster katne ke bad m chal paunga

    11. Sir meri leg ki 4 mahine pehele ek baddi haddi tutti thi to Maine g.t.v. m iilaj karwaya doctors ne ek side ki Mila Di ek side ki nhi milayi fir mene doctors se pucha ki kab tak thik ho jayunga to doctors ne 3month ka time diya 3month baad doctors dusre doctors ne mujhe xray ke liya kha usme meri haddi ek side se Judi Hui thi ek side se tuch bhi nhi thi to doctors ne kha ki teri dono haddi tutth rhi hai Abhi 3month aur lagenge to mend pehalwan ko dikaya usne meri haddi dubara thod ke Jodi to sir m ye puchna chahta hun ki pehalwan haddi achi tarah jodh dete hai na

    12. Mere papa ki right pair ki haddi Tut gyi thi jisme rod pada hai 7 month pahle aur ab wo pair puri suj gya hai jiski vajah se chal fir nhi paa rhe hai, jabki es wait wo jail me hai wo uska elaz nhi ho skta hai plzzzzz kuchh help kriye sir meri…….

    13. Sir mera elbow 8 years pahle toot gaya tha doctor ke galti ke karan vo sahi se nahi jagah pe nahi jut paya jiske karan hath tedha dikta hai kya sir main operation kra sakta hu

    14. sir mere wife ka ankle aur fibula ka fracture. 24 nov ko hua..aur operation bhi usi din ho gya..ghar le kar aa gaya..kitne din usko pain rahega…operation success hota hai…pahale jaisii hoo jjayegaa

      • Madhuresh doctor ki instructions follow karte rahe aur regular checkup bhi karwate rahe, pahle jesi ho payengi ya nahi ye to doctor hi bta sakte hai kyuki ye injury effect par depend karta hai.

    15. Sir mera pavv fracture hua tha slip hone se side bone jo hill k dono tarah hoti h woh toot gyi or supporting bone crake ho gyi thi operation hua h 5 days ho gye 3.5 mm k 2 screw or supporting bone Mai plates kya mai normal chal paunga

    16. sir kya haddi judne ke bad Bhi khisakne ka khatra hota h …
      darasal kl mere pao jhatke se sidha ho gya ab isme pain hora h
      kya ye Nash chadne ke karn h ya kuch or

    17. Sir mera training ke dooran left hand me lag gyi thi use 3months ho gye meri thodi si hadi khisak ghi to uske ke liye koi aayurvadic illag bataye please

    18. sir ji meri leg ki hadii frctur hogai h partial fectur isko 3 mnth ho gye h pr m ab tk propr thk ni hua doctor bol raha h calcium nahi bn raha propr body me…m paneer dhudh badam kaju sb khata hu ??? ap kuj btao plzz mail krdo.plz

    19. Meri Mother ki arm ki hadi tooti thi… plaster krwa lia tha… ab pain hy r arm jaysa sukar raha hy… kindly share some useful treatments…

    20. Sir ak week pahle mere hath ki ungli me frcture ho gaya tha.dr. Ko dikhaya to unhone kha plaster ki jrurt ni ,unhone usme tape lga kar garm patti kar di,kya isse meri ungli theek ho skti h,or kya pahle jesi ho payegi

    21. sir mera right leg ke ghutny sy nichy 2 no haadi tute gayi thi jisky karn jaada bdaa ghaab ho gyaa thaa mera 2 baar opretion karky haadi ko shiknjy k dwra set kia m jaana chaata hu ke mera shiknjaa or per thik hony m kitna time lagega aabhi muzhy 1 month hua h jakham ko oor haadi ko jaaldi jodny k lia koi dwaa btaa dijey

      • Dost yhik hone mein kitna samay lagega ye to injury effect par depend karta hai, aap aese food khaye jisse body ko calcium pryapt matra mein mile.Calcium badhane ke tips aur article mein btaye gaye hai.

    22. Sir,girne k wajah se mere ring finger ka 2nd joint se frcture ho gya tha. Dr. Ko dikhaya to unhone middle finger k sath tape lgake baandh diya, 21 days btaye the, aj 13 ho gaye h, sar is cndition me kya me apni diet me dahi le sakta hu or kya itne time period me frcture theek ho skta h ?

    23. hello sir meri mom gir gaye thee or onka back side ke ak side ki haddi creak ho gi hai je doctorr ne bola….creak haddi kab tak theek ho jaegi…..sir please jaror batana..or meri mom diabetic patient hai…pleaee reply..

      • Dost haddi ke thik hone mein kitna samay lagega ye to uske effect par nirbhar karta hai, aesi cheeje adhik khaye jisse body mein calcium bane. Aap upar likhe hue tips padhe.

    24. Sir Ji
      My name is vivek mera rightleg ka fibula me fevture hai 3 din tai muje chalne per thoda pain hora that but after 3 days muje pain badha to mene doctors ko bataya muje doctor me batya ke me fibula me facture hai muje plaster chadaya hai fiber wala Jo Maya aya hai but muje thoda pain hora hai . Aur meri new job hai kya muje plaster ke sath ja skta hu office. Aur plaster kitne din take rakhana pace ga. Plaster kevaje se pair me khujli to nahi hogi kya.

    25. Mere par ki haddi gutne ke niche tut gai hai oprtion karwaya 5mahine pahle docter ne rod dall di lekin abi tak haddi judi nahi aap bayae kya karna chahiye jise haddi jud jaye

      • टूटी हड्डी जोड़ने के लिए कैल्शियम का अहम् योगदान होता है, आप खाने में ऐसी चीजें खाये जिसमें कैल्शियम अधिक मात्रा में हो.

    26. sir, main football khelte vakt gir gaya tha . jis karan mere haanth me chot pad gayi aur dard ho rha hai..

      maine x -ray v karwa liye …doctor bole bandage patti baandh lo aur kuch din calcium ka dawa khawo

      maine waisa hi kya but mere haanth ka dard kam nhi ho rha hai mai kya karun sir…koi upay bitayein…

      1 mahine baad mera cisf me training hai sir… please reply jaroor de sir

      • दोस्त पहले ये जानना जरुरी है की परेशानी कितनी गंभीर है क्या हड्डी में हल्का फ्रैक्चर आया है या कोई और समस्या है, ट्रीटमेंट के बाद शुरू में कुछ दिन दर्द होता है पर अगर ये दर्द बढ़ता जा रहा है और ठीक नहीं हो रहा तो दुबारा डॉक्टर से मिले. खाने में भी ऐसी चीजें अधिक खाये जिनसे बॉडी को कैल्शियम मिले.

    27. Sir,मै क्रिकेट खेल रहा था मेरा पैर गढ्डे में अकार मुड़ गया जिससे एक्सरे मे हडडी क्रेक हो गयी है डॉक्टर ने 25 दिन के लिए प्लास्टर लगा दिया प्लास्टर कटे 10दिन हो गए लेकिन चलने में दर्द होता है ।

    28. sir February me mera accident ho gya tha bike se… to mera right side wale ribs me fracture ho gya hai or piche ki or kandhe ke halka niche bhi fracture hua hai.. teen mahine se uper ho gye lekin dard abhi tk ho rha hai.. iske liye kya karna hoga jisse mera bone ka dard bhi thik ho jaye or bones majboot bhi ho jaye.. phle ki tarah bilkul normal hona hai mujhe.. jbse mera accdnt hua hai tabse kuch bhi khane me leta jaise calcium ke liye hari sabjiyan or dry fruits.. or har trh ke fruits ka sewan bhi krta hoon par mujhe kuch fark nhi dikhayi deta hai.. phle se or dubla patla hote ja rha hoon.. mujhe apne body ko healthy or strong rkhna hai jisse koi bhi bimari ya infection se larne ke liye fit and fine rhoon or turant thk bhi ho jaon..

      • दोस्त ऐसी चोट में हल्का दर्द होता रहता है अगर दर्द ज्यादा है और सहन नहीं हो रहा तो जहां से ट्रीटमेंट लिए वह एक बार दिखाए और क्लासियम हड्डियों को जल्दी ोडने और मजबूत बनाने में मदद करती है पर इसके साथ साथ आत्म विश्वास भी रखो। कुछ गंभीर चोट ऐसी होती है जिन्हे ठीक होने में समय लगता है।

    29. hii sir … mera right leg fracture he .. mene operation bhi kiya he ..BT mere leg ab gyap ab tk he..to me kya karu WO gyap jaldi thik ho jaye …plz jaldi batao….

    30. Ji mere per ki haddi tut gayi h or operation ho gaya par 3 month ho gaye abhi thik nhai hua iska koi upay bta sakte ho ji or per patla pad rha h

    31. Mera 15 din pehle accident hone se DHS screw operation hip me hua koi upay ya dawai jisse fracture jaldi jud jaye aur main jaldi chal sakun.

    32. Mere baye pair me fracture ho gaya tha. Dr. Ko dikhane ke plaster 35 din ke liye laga tha . Ab plaster katne ke ab main chal sakta hu. Dard bhi nhi ho rha hai. Lekin pair me plaster katne ke ek mahine bad sujan bhi hai. Please sujan dur karne ke koi upay bataye.

    33. Sir mere accident hua usme mera right side ka pair ghutne se niche tak dono haddiya tut gaye hai.
      Operation bhi kiya hai par sir haddiya me 5 inch ka ghav hai
      5 inch bharne me kitna samay lag sakata hai bataiye
      aur jadatar konsi cheej khaye jise jald se jald bhar jaye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles