More

    Typhoid Bukhar ka ilaj ke 5 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीTyphoid Bukhar ka ilaj ke 5 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Typhoid ka ilaj ke Gharelu Nuskhe: Typhoid ko hindi mein miyadi bukhar aur motijhra bhi kehte hai jo salmonella naam ke bacteria ke karan hota hai. Ye rog khane pine ki dushit chije khane aur saaf safayi ki kami se hota hai aur common hote hue bhi janleva ho sakta hai. Agar sahi samay par typhoid fever ka upchar na kiya jaye to aanto mein khoon ka risaav hone ka khatra hota hai, iske ilava dimagi bukhar aur pneumonia hone ki sambhawnaye bhi badh jati hai. Is bimari ki shuruat mein tej bukhar aata hai jo medicine lene se kam to ho jata hai par kuch samay baad fir dubara aa jata hai. Is article mein hum janenge typhoid treatment tips in hindi.

     

    Barish ke mausam mein typhoid hone ki aashanka jada hoti hai kyuki barast mein paani ke dushit hone ki smbhavna adhik hoti hai.

     

    Typhoid ke Lakshan : Symptoms

    Kuch patients ko typhoid ke symptoms 4 se 5 din mein dikhne lagte hai aur kuch logo ko 1 se 2 hafte mein.

     

    Typhoid ka ilaj ke Desi Nuskhe aur Gharelu Upay

    Home Remedies for Typhoid Fever Treatment in Hindi

     

    1. Lehsun (Garlic)

    Lehsun ek natural antibiotic hai. 5 se 10 kaliya lehsun ki pees kar ghee mein ya tilo ke tel mein tale aur sendha namak daal kar khaye. Kisi bhi wajah se bukhar hua ho is nuskhe ke paryog se thik ho jata hai.

     

    2. Pyaaj ka Ras (Onion)

    Thodi thodi der mein pyaaj ka ras pine se bukhar utar jata hai aur agar kabz ki samasya ho to use bhi chutkara milta hai.

     

    3. Tulsi (Holy Basil)

    • Surajmukhi aur tulsi ke patto ka ras pine se typhoid fever mein aram milta hai.
    • Tulsi aur adarak ki chay bhi typhoid ke lakshano ko kam karne mein asardar hai. Tulsi ke patte, thodi adarak, kali mirach aur daalchini ko paani mein ache se ubaale aur mishari daal kar piye.
    • Jukam aur sardi ka ilaaj karne mein bhi tulsi ki chay pina acha hai.

     

    4. Kele aur Shahad (Banana and Honey)

    • Ek pakke hue kele ko pees le aur 1 chammach shahad ke sath mila kar din mein 2 baar khaye.
    • Pachan tantar ko thik karne ke liye ek glass gungune paani mein shahad mila kar piye.

     

    5. Adrak aur Pudina (Ginger and Peppermint)

    Pudeene ke kuch paate aur chota sa adarak ka tukda ache se pees le aur 1 cup paani mein ghol de. Din mein 2 baar is ghol ko pine se bhukhar kam ho jata hai.

    1 cup seb ke juice mein thoda sa adarak ka paste mila kar pine se bhi aaram milta hai.

     

    Garmiyo mein typhoid ho jaye to kache aam ko paka kar iska ras paani mein mila kar piye.

     

    Rajiv Dixit Ayurvedic Upchar in Hindi

    5 graam neem ki giloy ka ras, 15 se 20 tulsi ke patte, 10 graam saunth aur 10 choti pipar ke tukde le aur sab ko mila kar pees le. Ab is mishran ko 1 gilass paani mein daal kar ubaal le aur kadha bana le. Thanda hone par is kadhe ko piye, dhyan rahe is dawa ko pine se aadha ghanta pahle aur aadha ghanta baad kuch khaye piye nahi. Is ayurvedic upay ko din mein 2 se 3 baar paryog karne se typhoid bukhar, dengu, malaria aur chikenguniya jesi bimariyo mein aaram milega.

     

    Typhoid ka Allopathy Treatment in Hindi

    Agar aapko typhoid ke symptoms nazar aa rhe hai to doctor se checkup karwaye. Typhoid ki sambhawna ho to ise rokne ke liye antibiotic diye jate hai, isse patient 2 se 3 dino mein thik hone lagta hai.

    Agar aap typhoid ka ilaj allopathy se karna chahte hai to doctor ki salah ke bina koi medicine na le. Doctor se mile aur blood test ke baad hi treatment shuru kare, agar pareshani jada ho rahi hai to paracetamol le sakte hai.

    Kuch log 1 ya 2 din mein aaram milne ke bad medicine lena band kar dete hai, aesa karna bilkul galat hai. Typhoid ke bacteria ko khatam karne ke liye jaruri hai ki pura course kiya jaye.

     

    Baba Ramdev Ayurvedic Medicine Tips

    Miyadi bukhar thik karne ke liye aap ayurvedic medicines bhi le sakti hai. Yha humne kuch dawao ke naam likhe hai jo typhoid bukhar ke upchar mein di jaati hai. Ye dawaye aapko kisi pansari ki shop ya fir baba ramdev patanjali shop se mil jayengi.

    • Soubhagya Vati
    • Prawal Pishti
    • Giloya Satwa
    • Brahmi Vati
    • Sanejeevani Vati
    • Sudarshan Ghan vati
    • Jwar Nashak Kwath

     

    Typhoid mein kya khaye aur kya nahi khaye

    Papita, cheeku, seb, doodh, fruits aur moong daal ki khichdi khaye. Khane mein halka bhojan khaye jise digest karana aasan ho.

    Chay, coffee, cold drinks, masaledar food, smoking aur junk food khane se bache.

     

    Typhoid ka ilaj ke gharelu upay

    Bukhar chahe kisi bhi wajah se hua ho iske asar ko kam karne aur jaldi thik hone ke liye kuch baato ka khyal rakhna jaruri hai.

    1. Fever hone par patient ko jada se se jada aaram karna chahiye.
    2. Khane pine ka khayal rakhe.
    3. Paani adhik piye, paani pine se pahle ise ubaal le aur thanda hone par piye. Paani jada pine se sharir mein maujood jeharile padarth peshab ke raste bahar nikal jate hai.
    4. Agar bukhar tej ho to maathe par thande paani mein bhiga hua kapda rakhe, isse bukhar dimag par nhi chadhta.
    5. Typhoid ke samay aur iske thik hone ke baad bhi khane pine mein parhej karte rahe, taaje falo ka juice piye, ubaal hua paani hi piye, halka khana khaye aur saaf safayi ka dhyan rakhe.

     

    Typhoid Bukhar se Kaise Bache

    • Khana khane se pahle aur soch ke baad sabun se haath dhoye.
    • Bazzar mein sadak ke kinare lagi rehdiyo par rakhe khule aur kate khaday padartho ke sevan se parhej kare.
    • 2 saal mein ek baar typhoid se bachne ka tika lagwaye. (pahle doctor ki salah le.)

     

    Is lekh mein bataye hue desi nuskhe se agar aaram na mile to doctor se mile.

     

    Dosto Typhoid ka ilaj ke Gharelu Upay, Typhoid Fever Treatment in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass miyadi bukhar ke desi nuskhe aur ayurvredic upchar hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    1. 5shaal se m bimaar hun sir mere seer m dard or hath paro m Jalan rhte h mera daily sharer tutta h bhukh kam lagti h kaph aata h

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles