More

    तेजी से वजन कम करने वाले 10 आहार और फल – Vajan Kam Karne Wala Aahar in Hindi

    Weight loss - वजन घटाएतेजी से वजन कम करने वाले 10 आहार और फल - Vajan Kam Karne Wala Aahar in Hindi

    Vajan Kam Karne Wala Aahar fal sabji aur diet plan tips in hindi: Jadatar log ye sochte hai ki khana kam khane aur dieting karne se unka vajan ghatne lagega par ye tarika sahi nahi hai. Weight loss karne ke liye diet me kam bhojan khane ki nahi balki sahi bhojan khana jaruri hai. Hamare aahar me kuch fal, sabji aur masale aese hote hai jo hame dubla patla aur slim hone me mdad karte hai. Isliye jo log teji se vajan kam karna chahte hai unhe pta hona chahiye ki diet me kya nahi khana chahiye aur kya khaye.  Aaj is lekh me hum janenge apne bhojan me kuch badlav karke pet ka motapa aur vajan kaise ghataye jaye, food fruits  and diet plan for weight loss in hindi.

    Flat tummy pane aur vajan kam karne ke liye exercise karna bahut jaruri hai par agar aap teji se fat burn karna chahte hai to exercises karne ke sath sath apni diet me kam calorie wale food shamil karna bahut jaruri hai. Weight loss foods khane se body ka metabolism bhi acha rehta hai aur pure din pet bhra bhra rehta hai.

    वजन कम करने के जरुरी टिप्स – Weight Loss Tips in Hindi

    • Nashta pet bhar karna chahiye, breakfast nahi karne se body ka metabolism slow ho jata hai jisse weight kam nahi ho pata.
    • Vajan kam karna ho ya bdhana ho body fit rakhne ke liye paani bahut jaruri hai. Din bhar me 3 se 4 liter paani jarur piye.
    • Ek bar me kabhi pet bhar khana nahi khaye khaskar sham ke baad aur dinner me jada bhari bhojan nahi karna chahiye.
    • Apne diet plan me protein wale food jada shamil kare aur carbohydrates wale aahar kam khaye.
    • Namak ka sevan kam kare. Namak khane se body me pani jama ho jata hai jisse vajan badhta hi rehta hai.

    वजन कम करने वाले आहार सब्जी और डाइट

    Vajan Kam Karne wale Aahar in Hindi

    1. Nashte me protein khaye, weight loss karne me protein ka sevan karna jaruri hai isse fat jaldi burn hota hai. Vajan kam karne ke liye nashta me egg, oatmeal aur protein wale aahar kha sakte hai.

    2. Gehu ki roti ki jagah joo ki roti ka sevan kare. Joo me kai parkar ke vitamin, minerals aur anti oxidents hote hai aur sath hi isme fiber bhi achi matra me hota hai. Ye hamare pachan ko bhi acha rakhta hai.

    3. Vajan kam karne wali sabji me palak aur hari sabjiya khana acha upay hai. Jin logo ko fast food, meetha aur jada calorie wale aahar khane ki ichha hoti hai, palak aur hari sabiya khane se unki ye ichha kam hone lagti hai.

    4. Palak ko sabji bana kar, salad ya fir iska juice nikal kar bhi iska sevan kar sakte hai. Iska juice pine se bhukh bhi kam hoti hai.

    5. Daal vajan ghatane ke liye kafi acha upay hai. Daal me vitamins, minerals, protein aur fiber adhik matra me hote hai aur isme fat bhi kam hota hai.

    6. Shakahari diet chart me aap mung daal, chole aur kale chane khaye. Daal khane se pet bhra bhra rehta hai aur pachan bhi sahi rehta hai.

    7. Kheera aur tamatar in dono me hi calorie kam hoti hai aur vitamin, fiber adhik hote hai. Ise bhojan ke sath salad me kha sakte hai. Khana khane se pahle 1 plate kheera aur tamatar khaye.

    8. Ande ke andar ka safed hissa jisme hum egg white kehte hai isme vitamin B12 aur protein adhik matra me hota hai jo stamina aur energy bdhate hai. Subh breakfast me egg ka sevan karne se pure din sharir me takat bani rehti hai.

    9. Masale me daalchini vajan kam karne me upyogi hai. Ye fat burn karne ke sath sath body me sugar bhi control karti hai. Coffee chai ya dahi me daalchini powder mila kar le sakte hai.

    10. Adrak me pachan se judi samasyao ke ilaj ke sath sath blood circulation badhane, dard kam karne me bhi mdad karti hai. Agar aap motapa kam karna chahte hai to apne aahar me adrak ko shamil kare.

    मोटापा कम करने वाले फल – Weight Loss Fruits in Hindi

    • Agar har roj 1 seb (apple) khaya jaye to aap kai bimariyo se dur rah sakte hai. Seb aur seb ke chilke motapa kam karne ke liye kafi faydemand hai. Ye body me fat jama nahi hone deta.
    • Motapa kam karne wale fal me tarbuj, santra, amrud, papita, avocado, aanar, kela aur nariyal kuch aese fal hai jo weight loss fruits ke naam se jane jate hai.
    • Tarbuj me fiber adhik hota hai aur is fal me paani bhi bharpur matra me hota hai jo vajan kam karne me fayda karte hai.
    • Santra dieting aur vajan ghatane wale logo ke liye kafi fayde wala fruit hai. Isme calorie kam hoti hai. Dieting karte samay kabhi meetha khane ka man ho to santra khaye.
    • Amrud me vitamin C adhik hota hai aur sath hi isme aese poshak tatv hote hai jo pet ki bimariyo ko dur rakhte hai aur sath hi weight control karte hai.
    • Papita khane se pachan acha rehta hai aur isme fiber bhi adhik hote hai. Subh 1 plate papita khane se pure din pet halka aur thanda rehta hai.
    • Kela jadatar log yahi sochte hai ki kela khane se vajan badhta hai par iske sath ye vajan kam karne me bhi upyogi hai. Exercise aur workout karne ke baad kela khane se takat milti hai aur bhukh bhi shant hoti hai.
    • Dry fruit bhi weight ghante me asardar hai jese akhroat aur badam. Badam me vitamin B, copper, fiber, protein paryapt hote hai jisse body ko energy milti hai aur bhukh bhi kam lagti hai.

    मोटापा कम करने के उपाय – Lehsun Se Motapa Kaise Kam Kare

    • Subh subh khali pet lehsun khane se pet ki charbi kam karne me mdad milti hai. Khali pet lehsun ka sevan karne se metabolism teji se badhta hai jo jaldi weight loss karne me upyogi hai.
    • Lehsun se motapa kam karne ke upay aap kese bhi kar sakte hai, jese ki lehsun ko sabji ya aachar ke rup me khana, lehsun ki 2 se 3 kaliya kachi khana ya fir lehsun ko shahad ke sath khana.
    • Vajan ghatane wali chai me sabse pahla naam hai green tea. Din bhar me 2-3 cup green tea pine se jaldi motapa kam karne me mdad milti hai. Iske sath sath black tea aur lemon tea bhi faydemand hai.

    Dosto Vajan kaise ghataye in hindi, Motapa kam karne wala aahar sabji fal ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass weight kam karne ke liye kya nahi khana chahiye aur kya khaye se jude suhav aur upay hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles