More

    Kele se Vajan Kam karne ke Upay: Banana Diet for Weight Loss

    Weight loss - वजन घटाएKele se Vajan Kam karne ke Upay: Banana Diet for Weight Loss

    Vajan Kam karne ke Upay: Motapa kam karne ke liye banana diet plan aajkal bahut charcha mein hai. Aksar log weight loss karte samay apne khane mein kele ka sevan nahi karte, kyuki log yahi sochte hai ki kele mein jada calorie hoti hai jo vajan badhata hai. Par sach ye hai ki jarurat se jada kuch bhi khane se vajan badhta hai. Agar aap vajan kam karna chahte hai to kele ko apni diet mein shamil kare.

    Kele mein vitamin B6, vitamin C, fiber, potassium, bayoteen aur magnees hota hai jo body ke liye behad jaruri poshak tatv hote hai. Is leekh mein hum aapko batayenge kaise kela kha kar motapa kam kiya ja sakta hai. Aaiye jane banana diet tips for weight loss in hindi.

    Vajan Kam karne ke Upay: Banana Diet for Weight Loss in Hindi

    Weight loss Banana diet ko healthy breakfast kaha ja sakta hai, aur jo log vajan kam karne ke gharelu upay karte hai un logo mein ye diet plan jada popular hai. Aaiye jante hai kela khane se motapa kaise kam hota hai.

    1. Pakka hua kela jab thoda hara ho tab usme starch aur carbohydrates ki maatra jada hoti hai. Ise subh subh khane se pet lambe samay tak bhara rehta hai.
    2. Kele ka sevan garam paani ke sath karne se shareer ka vajan kam hota hai. Agar aapko motapa kam karna hai to subh breakfast mein 1 kela aur 1 cup garam paani piye aur raat ko dinner 8 baje se pahle kare.
    3. Kela pachan kirya ko badhava deta hai aur kela body ko carbohydrates sokhane se bhi rokta hai.
    4. Subh kela khane se body ka fat burn hota hai.
    5. Garam paani peene se body mein energy aati hai, body ko oxygen milti hai aur paani ki kami bhi puri hoti hai.

    Motapa Kam Karne ke liye Banana Diet ke Rules

    Weight loss karne ke diet plan bahut parkar ke hote hai aur kisi bhi diet plan ki sucess ke liye sabse jaruri hai ki app uske sabhi rules follow kare. Banana diet ke rules kya hai.

    1. Hamesha hare rang ka paka hua taja kela khaye aur jarurat se jada kele na khaye. Luch aur dinner mein aap kuch bhi kha sakte hai.
    2. Banana diet mein sirf garam paani piye. Chaye, coffee aur soda ka sevan kar sakte hai, par teji se vajan kam karna ho to ye sab chod de.
    3. Raat ko sone se 4 ganthe pahle khana khaye. Sharab ka sevan bilkul band kar de.

    Kele(Banana) mein kitni calorie hoti hai

    • 1 bade kele mein 100 se 120 calorie hoti hai.
    • Kele mein calorie jada hoti hai par iske sath isme fibre ki maatra bhi jada hoti hai jo shareer mein high blood sugar badhne se rokata hai. Kele mein maujood fiber paachan kirya ko dheema kar ke energy badhata hai.

    30 Din Mein Wajan Ghatane Ke Liye Kya Kare

    Aerobics se Pet Kaise Kam Kare

    Kya kela khane se vajan badhta hai

    • Agar aap roj lene wali calorie se jada kele nahi khayenge to aapka vajan nahi badhega. Vajan tabhi badhta hai jab aap calori limit se jada kuch khaye fir chahe vo kele ho ya weight loss food.

    Kela kis samay khana chahiye

    • Subh nashte mein garam paani ke sath.
    • Workout karne ke 15 minute pahle aur baad mein kela khana chahiye. Isse kele mein maujood carbohydrates shareer ko lambe samay ke liye energy pahunchate hai.

    Rojana kitne kele khaye

    • Din mein 2 se 3 kele hi khaye. Jada kele khane se calorie badh jaati hai jisse vajan bhi badh sakta hai.

    Agar aap din bhar kuch aur na kha kar sirf kele hi khaye tab bhi aapka weight kam ho sakta hai, par agar aap din mein 8 se 10 kele khane ke sath khana bhi khayenge to aapka vajan badh sakta hai. Weight loss karne ke liye diet plan ke sath sath excersises aur yoga karna bhi bahut jaruri hai.

    Dosto Kele se Vajan Kam karne ke Upay : Banana Diet for Weight Loss in Hindi ka lekh aapko kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass wajan ghatane ke liye sujhaav ya anubhav ho to hamare sath share kare, ya fir aap motapa kam karne ke liye koi diet plan follow karte hai to share kare.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles