More

    योग से पेट और वजन कम करने के उपाय हिंदी में

    Weight loss - वजन घटाएयोग से पेट और वजन कम करने के उपाय हिंदी में

    Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay: Weight loss karne ke liye acha khana paan aur sahi tarike se excersise sab se jaruri hai. Excersise karne ke sath sath aap kuch aise yoga aasan bhi kar sakte hai jo pet kam karne aur wajan ghatane mein laabhdayak hai. Agar aap ye leekh padh rahe hai to aap yoga ke fayde jante hi honge. Agar aap niyamit roop se yoga kare to aap bhavishay mein hone wali bimariyo se door reh sakenge aur agar aap kisi bimari se pareshan hai to yoga use thik karne mein bhi bhut madad karta hai. Aaiye jane motapa kam karne ke upay baba ramdev in hindi.

    Is article mein hum aap ko baba ramdev dawara bataye gaye kuch aise yogaasan batayenge jo aap ko teji se vajan ghatane aur pet ki charbi ghatne mein madad karenge. Agar aapke ghutno aur kamar mein dard hai ya fir aap high blood pressure ki bimari se pareshaan hai to aap ye aasan kisi yoga guru ki nigrani mein kare.

    Kapalbhati Yoga Aasan

    Pranayam mein kapalbhati sabse kaargaar maana jaata hai. Ye teji se ki jaane wali kriya hai. Mastishak ke aagr bhaag ko kapaal kehte hai aur bhati ka matlab jyoti hota hai. Kapalbhati yoga se pet kam karne aur weight loss karne mein ramban ka kaam karta hai.

    Kapalbhati Pranayam Yoga Aasan,Kapalbhati Yoga Ke Fayde

    Yog Vidhi:

    1. Kapalbhati karne ke liye aap shaant aur khule vatavaran mein baith kar saanso ko baahar chodne ki kriya ko kare.
    2. Saanso ko bahar chodne ya fenkte samay pet ko andar ki or dhakka dena hota.
    3. Dhyaan rakhe ki saans andar nahi lena hai kyunki is pranayam ko karne mein saans apne aap hi andar ko chali jaati hai.

    Kapalbhati Yoga Ke Fayde:

    1. Kapalbhati yoga se wajan kam hota hai aur pet ki charbi ko kam karne mein ye aasan bhut faydemand hai.
    2. Chehre ki jhuriya aur aankho ke niche ke kaalepan door karke chehre ki chamak fir se lautane mein kapalbhati parnayam madad karta hai.
    3. Ye aasan har roj karne se gas, kabj aur acidity ki samasya door hoti hai.
    4. Ye aasan hamare shareer aur man ke saare nakaraatmak vichaar door kar deta hai.
    5. Kapalbhati hamari yaadashat (memory power) badhane mein bhut madad karta hai.
    6. Ye aasaan kaph khatam karta hai aur sath hi gale ko aur saans lene wali nail ko bhi achi tarah saaf ho jaati hai.
    7. Rakt dhamani ki karya shamta badhati hai aur badha hua cholesterol ko kam karne mein madad hoti hai.

    Saavdhaaniyaa:

    • Kapalbhati subah ke samay khaali pet kare aur ho sake to pet saaf hone ke baad hi karna chahiye.
    • Agar aapne khana khaa liya hai to, kapalbhat khane ke kam se kam 5 ghante baad hi kare.
    • Kapalbhati karne ke baad 30 minute tak kuch na khaye chahe to thoda paani le sakte hai.
    • Garbhwati mahila, gaistrik alasar, epilepsy aur harniya ke mareej is kriya ko na kare.

    Setu Bandha Yoga Aasan (Bridge Pose)

    Setu Bandha Yoga Aasan (Bridge Pose)

    1. Setu bandha yog aasan karne ke liye peeth ke bal leet jaye. Ab apne ghutano ko mod kar talavo ko achi tarah se zameen par tikaye.
    2. Iske baad shareer ke dono taraf baaho ko jameen se laga kar rakhe. Ab is avastha mein hatheliyaa zameen par tiki honi chahiye, aur saans chhodte hue reedh ki haddiyo ko kheche aur kamar ko zameen ki or dhere se dabaye.
    3. Ab gahari saans lete hue pairo ko zameen ki or dabaye aur pedu ko jitna ho sake upar ki or uthaye.Ab jitna ho sake isi position mein 30 second se 1 minute tak bane rahe. Fir saans chodte hue dhere dhere saamaanay avastha mein laut aaye.

    Setu Bandha Yog Aasan ke Fayde:

    • Setu bandha yogaasan karne se kamar aur reedh ki haddiyo ko seedha banaye rakhne mein madad milti hai aur kamar mein takat aati hai.
    • Is yog mudra se merudand lacheela hota hai aur saath hi gardan se tanaav bhi door hota hai.
    • Setu bandha yoga se pet kam karne aur pet ki maanspeshiyo aur janghao ko majbut banane ke liye bhi achchha hota hai. Agar aap apne pet ki charbi se pareshan hai aur pet kam karne ke upay karna chahte hai to ye aasan aapko kafi madad karega.

    Yoga Mein Saavdhaniya:

    • Setu bandha aasan ka abhyaas high blood pressure (uchh raktchaap) ke peedit rogiyo ko nahi karna chaahiye.

    Anulom Vilom Pranayam

    Anulom Vilom Pranayam

    1. Anulom vilom karne ke liye apni legs cross karke baith jaiye aur apne haatho ko ghutno par rakhe.
    2. Ab apne baye haath ke anguthe se apni ek taraf ki naak band kare aur dusri taraf se gehri saans le. Ab usi haath ke anguthe se dusri taraf ka n aak band kare aur pahle wali naak se saan chode.
    3. Anulom vilom ke is pranayam ko 10 se 12 baar jarur kare.

    Anulom Vilom Ke Fayde

    • Anulom Vilom Pranayam ko naadi shodhan pranayam bhi kehte hai aur ye aasan body mein blood ka circulation thik karta hai aur is yoga se pet kam hota hai aur jisse aasani se weight loss hota hai kyuki isse sabse pehle pet ki charbi ghatni shuru hoti hai.

    Balasan Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay

    Balasan Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay

    1. Is aasan ko karne ke liye sab se pehle apne ghutano ke bal baith jaye dhyaan rahe ki aap ka sara vajan aediyo par aaye. Ab gehri saans lete hue aage ki aur jhuke.
    2. Is position mein aapki chaati aapki jhango ko chuni chahiye aur sir farsh par lagna chahiye.
    3. Ab kuch der isi position mein rehne ke baad wapis upar aaye aur is kirya ko 5 se 7 baar dohraye.

    Balasan Yoga Ke Laabh

    • Ye aasan motapa kam karne ke liye bhut acha hai. Is balasan karne se pet ki manspeshiya majbuti hoti hai aur vajan kam hota hai.
    • Agar aapko apna pet andar karna hai to balasan ko 5 se 10 minute har roj kare.

    Yoga Cycling Se Motapa Kam Kaise Kare

    Yoga Cycling Se Motapa Kam Kaise Kare

    1. Is yoga ko karne ke liye peeth ke bal seedha leet jaye aur apne dono pairo ko upar uthaye.
    2. Jis tarah se aap cycle ko padal marate hai thik usi tarah aapko apne pairo ko ghumana hai.
    3. Pehle kuch deer sidha fir ulti direction mein pairo ko ghumaye.

    Yoga Cycling Ke Fayde

    • Motapa kam karne mein aur pet kam karne mein yoga cycling sab se jada fayda karta hai. Ye yoga karne se wajan kam hota hai aur pairo ki chabi ghatati hai.
    • Motapa Kam Karne ke Upay

    Naukasana Yoga Se Weight Loss Kaise Kare

    Naukasana Yoga Se Weight Loss Kaise Kare

    1. Is aasan ko karne ke liye sabse pehle normal tarike se peeth ke bal leet jaye.Iske baad apni edi-panje milate hue dono haath kamar se sata kar rakhe.
    2. Fir hatheliyo ko jameen par rakh kar gardan ko seedhia kare. Iske baad ab dono pair, gardan aur haatho ko dheere-dheere samanantar kram mein ek saath upar ki or uthaye, is position mein pure shareer ka wajan nitamb ke upar aana chaahiye.
    3. Aap is position mein 30 se 40 second tak rukne ka prayaas kare. Ab iske baad dheere dheere pehle wali position mein aakar shavaasan ki avastha mein leet jaye. Naukaasan ko apani suvidhanusar 4 se 5 baar kare.

    Naukasana Yog Ke Laabh:

    1. Ye aasan paachan kirya, chhoti aur badi aant mein fayda pahunchata hai.
    2. Naukaasan yoga se pet kam karne aur motapa kam karne mein bhut laabhdayak sabit hota hai.
    3. Ye aasan harniya rog mein bhi laabhdayak mana gaya hai.

    Saavdhaaniyaan:

    • Naukasana un logo ko nahi karana chahiye jinhe slip disk ki shikayat ho.
    • Merudand mein kadapan ya fir pet sambandhi gambhir rog ho to ye aasaan na kare.
    • Ye yogasan garbhwati (pregnant) mahilao ko nhi karna chahiye.

    Aagar aap apna vajan ghatane aur pet kam karne ke liye serious hai to baba ramdev weight loss yoga aasano ko har roj aadhe se ek ghante tak kare. Agar aap weight loss diet plan ko bhi follow karte hai aur sath mein ye sabhi aasan karte hai to aap ko ek mahine mein hi motapa kam karne mein fayda milna shuru ho jayega.

    Bina Yoga aur Exercises ke Pet Kam Karne ke Upay

    Kuch log aese bhi hai jo apne daily schedule mein yoga aur exercises ke liye regular samay nahi nikal pate aur kuch log apni physical condition ke karan exercises nahi kar pate, to ab sawal ye hai ki kya vo apna weight losskar sakte. Dosto hamare ghar mein aesi bahut si chije hai jinke paryog se hum bina exercises ke bhi apna motapa kam kar sakte hai. Aur agar aap regularly vyayam aur yoga kar rahe hai to aap bhi in gharelu nuskhe ko apna sakte hai.

    Is lekh mein bataye hue sabhi yoga aasan kisi yoga expert ki dekh rekh mein kare, aur agar aap kisi bimari se pareshan hai to apne trainer se pahle puch le ki aap ko inme se kon sa aasan nahi karna hai.

    Dosto aap ko Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay Hindi Mein: Wajan Kam Kare ka ye lekh kaisa laga hame jarur bataye aur sath hi motapa kam karne ke upay baba ramdev se jude apne anubhav bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi motapa aur wajan kam karne ke baba ramdev yoga tips hai to yha hamare sath share kare.

    Recent Articles

    47 COMMENTS

    1. Govind Ji ghar pr to not possible. meri routine h park me running or 7-8 types ki exercise krne ki. garmi Jada hone ki wjh se routine regular nhi ho pa rhi. tbi mne kal se black tea start ki h. fast food or mithe pe control kr rkha h. BT rat ka khana kse band kre. after 2 month garmi km ho jaegi. m phr se weigh km KR paunga. so abi black tea ke shaaree koshish ye h ki fast food or mithe pe control rh ske..

    2. Mujhe subah ke time waqt nhi milta exercise krne ka…..mai bus raat ko free hoti hu 8 bje k baad…..kya mai tab ye exercise kr skti hu,aur ek jgah khade hokr running bhi krti hu mai raat ko,but kitni der kru mai running bhi. Plz tell me

    3. Govind ji,plz mujhe ye janna hai ki yadi hum exercise aur yoga k madhyam SE patle ho gaye to kya hum UN dono me SE kisi ek ko chod de to koi side effect hoga?

      • Meena ji exercise aur yoga karhne ya chodne ke koi side effects nahi bas inhe karne ke sahi tarike jarur sikhe aur agar koi bbimari hai to apne doctor ki salah se shuru kare.

    4. Hii meri body to thik h but pet jyada nikl RHA h avi starting hi h mujhe yoga krna h to ap plzz Btaye ge ki hm kitne ghante tk yoga kre

    5. Govind ji…Mene ek article me padha hai ki lahsun ko peeskar khali pet khane se pet ki charbi kam hoti hai kya ye sach hai….yadi han to plz iska karan batayen

    6. aisa koi yog jo pet ko andar kare jaldi hi
      or sina bhi choda kare
      or sath mai dite bhi bataye jo leni chahiye proper pet andar karne k liye

    7. govind g jnha mai rhti hu wnha aas pass koi aise yoga ya exercise exprt nhi h to kya mai aapke diye gye is yoga tips ko try krun khd se ya nhi ..

      • नायशा जी पेट कम करने के लिए योगा टिप्स ऊपर लेख में बताये गए है. अगर आपके घर के आस पास कोई योग गुरु नहीं है तो आप बाबा रामदेव की विडियो देख कर भी ये आसान करने का सही तरीका सिख सकते है.

    8. Maine padha hai ki Jeera pani pine se charbi kam Ho jati hai. ..kya ye such hai. .? Agr such hai to yoga aur exercise ke bad jeera pani lena upyogi hai..?

      • पेट कम करने के लिए योग करने का तरीका ऊपर लेख में बताया गया है आप इसे पढ़े और इसके इलावा बाहर निकला पेट अंदर करने और वजन घटाने के उपाय यहां भी पढ़े :: https://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi

    9. Sir meri age 18 year h or sir janghe kaafi heavy h or charbi bhi latki latki rheti h .mera weight 65 h.. Sir isko sahi karne ka upaye

    10. Sir mera body achha hai bas kuch dino se mera pet nilal gya h.. main ise kam karna chahti hu.. main jitne v yoga dekhti hu. Un sab me mujhe sirf pet ki chatbi kam karne ke liye nhi mila hai please aap mujhe bataye main bas apne pet ko charbi kese kam kar sakti hu… sir main yoga isi dar se nhi karti hu ki kahi mera weight na kahi kam ho jaye..
      Or sir mere aankho ke niche hamesa hi kalapan rehta h ise hatane ke liye v kuch aap bata dijiye.

      • पेट की चर्बी कम करना है तो योग के साथ साथ अपनी डाइट पर ध्यान दे, आहार में कार्बोहाइड्रेट्स वाले आहार कम खाने चाहिए, पानी ज्यादा पीना चाहिए इससे त्वचा भी स्वस्थ रहेगी और आँखों के निचे का कालापन भी दूर होगा, आप अगर योग नहीं करना चाहते तो सुबह और शाम की सैर के लिए समय निकाले.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles