More

    दांतों में ठंडा गरम लगने के आसान उपाय – Danto me Thanda lagne (Sensitive Danto) Ka ilaj

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेदांतों में ठंडा गरम लगने के आसान उपाय - Danto me Thanda lagne (Sensitive Danto) Ka ilaj

    Danto me thanda lagne ke upay aur ilaj in hindi: Aksar kuch logo ka kehna hota hai ki ve jab bhi kuch thanda ya garam khate hai to unke danto me jhanjhanahat aur dard hone lagta hai. Hamare teeths par ek coating hoti hai jise enamel kehte hai, danto ki dekhbhal naa karne, keeda lagne, cavity ke karan enamel coating ghis jati hai jis karan hamare dant jada sensitive ho jate hai jis wajah se kuch bhi thanda garam khane se danto me dard mehsus hone lagta hai. Kuch logo ko to pani peene se bhi danto me tej jhanjhanahat hone lagti hai. Kuch log teeth me thanda garam lagne par iske ilaj ke liye dawa lete hai par hum bina medicine ke gharelu upay aur nuskhe se sensitive danto ka ilaj kar sakte hai. Aaiye jane dant me pani lagne ka upay kaise kare, natural home remedies for sensitive teeth pain treatment in hindi.

    Aajkal khane peene ki chijo me hone wali milawat ka asar hamari sehat par to padta hi hain sath hi isse hamari haddiya aur dant bhi kamjor hone lagte hai. Iske ilava hamare khane pine ki buri aadte bhi danto ki kamjori ka ek karan hai. Dant me dard hone par dawa aur ilaj se ise thik kiya ja sakta hai par agar teeth me thanda aur garam lagne ki samasya ho to kuch bhi khana peena bhi mushkil ho jata hai aur lambe samay tak ye pareshani dur nahi hoti.

    Teeth Me Thanda Garam Lagne Ka Karan

    • Danto ki enamel coating hat jana.
    • Jada sakht toothbrush ka istemal karna.
    • Tambacoo aur gutkha jada khane se bhi dant sensitive hote hai.
    • Payriya ki wajah se dant masudo se hatne lagte hai aur senstivity ki problem hoti hai.
    • Khane peene me acidic food ka jada sevan karne se dant galne lagte hai.
    • Dant ka kuch hissa toot jane par bhi thanda garam lagne ki samasya hoti hai.

    दांतों में ठंडा गरम लगने के उपाय और इलाज

    Danto Me Thanda Lagne Ke Upay in Hindi

    1. Sensitive danto ka ilaj gharelu tarike se karne ke liye halke garam pani me 2 chammach namak mila kar din me 2 bar kulla kare.

    2. Dant me dard ho rha ho, cavity, keeda lagna, payriya ya danto ki koi aur samasya ho ye upay ramban ka kaam karta hai. Sarso ke tel me sendha namak mila kar danto aur masudo ki malish kare aur 5 minute baad kulla kare.

    3. Khane peene ki aesi bahut si chije hai jinse danto me dard aur jhanjhanahat hone lagti hai, jese ki cold drinks, khatti chije, chai, coffee, thanda pani aur meetha. Inka sevan karne se bache.

    4. Dant me pani lagne ki samasya ke upchar me kale til bhi faydemand hai. Iske liye subah sham 1-1 chammach kale til chbaye.

    5. 1 chammach nariyal ka tel, 1 chammach sarso ka tel aur 1 chammach til ka tel mila kar isse danto aur masudo ki malish kare. Din me 2 bar ye upay karne par danto me thanda garam lagne ki samasya dur hone lagegi.

    6. Jada thanda aur garam khane se bache, iske ilava chini aur chini se bani chijo ka sevan bhi kam se kam kare.

    दांतों में झनझनाहट से बचने के उपाय – Danto Me Jhanjhanahat Se Bachne Ke Upay

    • Sensitive danto ke liye bajar me kai parkar ke sensitive toothpaste milte hai jo thanda garam lagne ke ilaj me upyogi hai.
    • Soft tooth brush ka istemal kare isse danto aur masudo par jada jor nahi padega. Sath hi hamesha halke hatho se brush kare.
    • Agar aapke dant thande aur garam ke liye adhik sensitive hai to koi bhi mouth wash aur toothpaste ka pryog karne se pahle ek bar doctor ki salah jarur le.

    Dosto Danto me thanda lagne ke upay, Sensitive danto (teeth) ka ilaj in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass jhanjhanahat aur dant me pani lagne ka home treatment ke liye gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles