More

    तुरंत पेट साफ करने के तरीके और आसान उपाय – Turant Pet Saaf Kaise Kare

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेतुरंत पेट साफ करने के तरीके और आसान उपाय - Turant Pet Saaf Kaise Kare

    Turant pet saaf karne ka tarika aur upay in hindi: Kabj (constipation) hone ke karan aksar subah pet thik se saaf na hone ki samasya hone lagti hai jisse pet me dard, marod aur gas hone lagti hai. Kharab pachan tantr aur khane pine ke galat tarike kabj hone ka parmukh karan hai. Kuch log kabj ka ilaj ke liye pet saaf karne ki angreji dawa ka sahara lete hai par hum bina medicine ke gharelu nuskhe aur upchar se bhi is rog se hamesha ke liye chutkara paa sakte hai. Subh pet thik se saaf naa ho to dawa aur upay karne ke sath sath khane pine ka bhi dhyan rakhna chahiye. Aaj is lekh me hum janenge turant pet saaf kaise kare, natural home remedies and ayurvedic treatment for constipation in hindi.

    पेट साफ ना होने के कारण – Pet Saaf Naa Hone Ke Karan

    • Paani kam peene se kabj ki samasya hone lagti hai.
    • Baat baat par dawa khane se pachan tantr kamjor ho jata hai.
    • Jada tala, masaledar aur fast food khane se subh pet thik se saaf na hone ki samasya hoti hai.
    • Jada chai aur coffee ke sevan se bhi kabj banti hai.
    • Yoga exercise aur bilkul bhi sharirik mehnat na karna bhi kabj hone ka ek karan hai.

     

    तुरंत पेट साफ करने के तरीके और घरेलू उपाय

    Turant Pet Saaf Karne Ka Tarika Aur Upay in Hindi

     

    1. Subh pet thik se saaf naa ho to raat ko sone se pahle isabgol ka sevan kare, kabj ka ilaj me isabgol ramban ka kaam karti hai.

    2. Turant pet saaf karne ki ayurvedic dawa me pet saffa churan aur kayam churan behad faydemand hai. Raat ko sone se pahle 1 chammach churan gungune doodh ke sath lene se agli subah pet puri tarah saaf ho jayega.

    3. Pet saaf karne ki goli lena chahte hai to pet saffa churan aur kayam churan ki tablet bhi aati hai, agar aap churan ka sevan nahi kar sakte to iski 1 goli raat ko doodh ke sath le. Kabj jada ho to 2 goli le sate hai.

    4. Raat ko sone se pahle 1 chammach ghee garam doodh me daal kar piye. Doodh me chini ki bajay mishri ya fir shahad ka paryog kare , is upay se subah ko pet khul kar saaf hoga.

    5. 25 se 30 gram kishmish raat ko sone se pahle paani me bhigo de aur agli subah khaye. Har roj subah ye upay karne se purani se purani kabj se chutkara milta hai.

    6. Trifla churan turant pet saaf karne ka accha nuskha hai. Har roj trifla churan ka sevan karne se kabj se rahat milti hai.

    7. Baba Ramdev patanjali se divya gashar churan aur patanjali divya churan bhi kabj ke upchar me asardar hai.

    8. Ek gilass gungune doodh me arandi ka tel 1 chammach mila kar piye. Is upay ko raat ko karne se agli subah khul kar pet saaf ho jata hai.

    9. Badi harad 100 gram, choti harad 100 gram, baheda 100 gram aur aawla 100 gram, in sab ko mila kar pees le aur churan bana le. Kabj hone par is churan ka sevan karne se jaldi rahat milegi.

    10. Turant pet saaf kaise kare me Silicea 200 naam ki homeopathic dawa ki 3 boond 10 minute ke gap me din me 3 baad le.

     

    पेट साफ करने के लिए योग और एक्सरसाइज – Pet Saaf Karne Ka Yoga Aur Exercise

    • Yoga aur exercise karne se pachan shakti acchi hoti hai jisse pet ke rog thik hote hai. Baba ramdev kabj se chutkara pane aur turant pet saaf karne ke liye kuch aasan ki salah dete hai.
    • Dhanurasana, Anulom vilom pranayam aur Kapalbhati pranayam.
    • Kapalbhati karne se pet ki samasyao ke ilaj me kaafi mdad milti hai. Kabj se rahat paane ke liye har roj subah 15 min kapalbhati jarur kare.
    • Pet saaf naa hone ki samasya se bachne aur upchar ke liye subh jaldi uth kar khuli hawa me kuch der ghume, isse sharir tarotaja rahega aur pet ke rog dur honge.
    • Pedal chalna, sidhiya chadhna, cycle chalana aur running karna kuch aesi exercises hai jo hum apni dincharya me karte rehte hai. Inse bhi body active rehti hai aur pet swasth rehta hai.
    • Kabj se bachne ke liye jaruri hai aap din bhar me 3 se 4 liter pani jarur piye aur jab bhi khana khaye use chba chba kar aaram se khaye.

     

    Dosto Turant pet saaf karne ke upay aur tarike in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass kabj ka ilaj aur subah pet jaldi saaf karne ke gharelu nuskhe upchar aur dawa se jude sujhav hai to hamare sath sanjha kare.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

      • दोस्त इसके कई कारण हो सकते है जिसमें से प्रमुख कारण है कब्ज होना, कब्ज की वजह से भी पेट साफ नहीं हो पाता, इसके इलाज के लिए घरेलू उपाय और नुस्खे आप ऊपर लेख में पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles