More

    Appendix ka ilaj aur Dard ke 10 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Stomach Health - पेट की हेल्थAppendix ka ilaj aur Dard ke 10 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Appendix ka ilaj Kaise Kare: Appendix hamari aant ka ek tukda hota hai jise appendicitis bhi kehte hai, isme agar infection ho jaye to doctor treatment ke liye operation karke ise pet se bahar nikal dete hai. Appendix ka dard pet ke daaye (right) bhaag par niche ki taraf hota hai aur is jagah ko halka sa bhi dabane par pain adhik hone lagta hai. Ye bimari 15 saale ke bache se le kar 40 saal ki age ke kisi bhi purush aur mahila logo ko ho sakti hai, agar shuruaat mein hi iske lakshan pehchan liye jaye to iske upay bhi aasani se ho sakte hai.

    Agar sahi samay par appendix ka upchar na kiya jaye to pet ke daye bhag mein ek gola ban jata hai ya fir appendix fat bhi sakta hai. Pet mein gola 3 se 4 hafte mein normal ho jata hai par agar appendix fat jaye to pet ki jhilli ko bhi infection ho sakta hai. Is article mein hum padhenge appendix ka ilaj gharelu aur ayurvedic nuskhe se kaise kare, appendix treatment in hindi.

     

     

    Body mein kya kaam karti hai

    Ye hamare sharir mein cellulose ko pachane ka kaam karti hai, kyuki ab hum pakka hua bhojan hi karte hai isliye iska hamari body mein kuch khas kaam nahi hai.

     

    Appendix mein infection kaise hota hai

    Appendix ka ek sira khula hota hai aur dusra sira band hota hai, kai baar pet mein bhojan ke kuch kan appendix mein chale jate hai. Dusra sira band hone ki waah se ye kan bahar nikal nahi pate jis wajah se appendix mein infection ho jata hai aur dard, sujan ki shikayat hoti hai.

    Pet mein kide, lambe samay tak kabz aur aanto ki dusri bimariyo se appendix ki nali mein rukawat aa jati hai. Agar ye rukawat kuch din lagatar bani rahe to infection ke karan appendix ke fatne ka khatra badh jata hai.

     

    Appendix hone ke karan – Causes

    1. Lambe samay tak kabz rehna.
    2. Khane mein fiber ki kami hona.
    3. Aanto mein bhojan jama hona.
    4. Appendix mein cancer ya rasoli ka hona.
    5. Santa, nimbu, amrood jese falo ke bee appendix mein fas jana.

     

    Appendix ke lakshan – Symptoms

    1. Naabhi ke aas pass dard hona
    2. Ji machalna aur ulti aana
    3. Bhukh kam lagna
    4. Pet mein sujan hona
    5. Bukhar hona.
    6. Gas nahi nikalna.
    7. Peshab (urine) karne mein pareshani aana.

     

    Appendix ka ilaj ke Gharelu Upay – Home Treatment in Hindi

    Appendix ke symptoms ko thik karne ke liye natural upay apnaye ja sakte hai, magar samasya gambhir ho to operation hi ek rasta hai.

    1. Aanto se jude hue rogo ke upchar (treatment) ke liye palak ka saag khana faydemand hai.
    2. Pet saaf rakhe aur kabj bilkul bhi na rahne de, iske liye aap rojana aleovera ka sevan kar sakte hai.
    3. Doodh ko ubaal kar thanda kar ke pine se fayda milta hai.
    4. Laal tamatar mein thoda sendha namak aur adarak daal kar bhojan karne se pahle khaye.
    5. Pain aur swelling se chutkara dilane mein adarak kafi kargar hai. Din mein 2 se 3 bar adrak wali chay piye ya fir pet par adarak ke tel se malish kare.
    6. Pudeena pet ki gas aur chakkar aana jese lakshano ko thik karta hai. Pudeene ki chay bana kar pine se appendix ke dard ka upchar hota hai.
    7. Khatayi aur jada tel se bane masaledar cheje na khaye aur bhojan mein liquid diet adhik le, jese fruit juice.
    8. Khane mein lehsun ka paryog kare aur subh khali pet 2 se 3 kaliya lehsun ki khaye.
    9. Appendix ko thik karne ke liye rojana 3 se 4 tulsi ke patte chaba chaba kar khaye aur chay mein bhi tulsi ka paryog kare.
    10. Rojana chaach(lassi) mein kala namak mila kar piye. Chaach appendix ka ramban ilaj hai, rojana iske sevan se aapko kafi fayda  hoga.

     

    Apeendix ka ayurvedic upchar hindi mein

    1. Imali ke beejo ki giri ko pees ka paste bana le, is paste ko pet par malne se sujan kam hone lagegi aur pet fulne mein bhi aaram milega.
    2. Aadha graam se ek graam ki maatra mein gugal gud ke sath khane se aaram milta hai.
    3. Rai pees kar dard wali jagah par malne se dard door hota hai. Ye leep 1 ghahnta se jada der tak na laga rahne de isse chale bhi ho sakte hai.
    4. Ek glass paani mein 2 chammach methi dana daal kar ubaal le. Is paani ko din mein 1 baar piye aur ho sake to apne khane mein methi dane ka paryog kare. Is upay se appendix mein dard aur sujan kam hoti hai.
    5. Vitamin C body ki immunity badhane mein madad karta hai, iske liye aap nimbu ka sevan kare. 1 nimbu nichod le aur usme thoda shahad mila kar sevan karne se fayda milega.

     

    Appendix se bachne ke upay

    Is bimari se bachne ke liye nutritions se bharpur bhojan kare aur khane mein aesi cheeje shamil kare jinme fibers ki matra adhiik ho. Fiber pet mein jama sari gandagi ko pet se bahar nikalta hai.

    • Paani jada piya kare.
    • Bhojan sahi samay par kare, isse digestion acha rehta hai.
    • Fat badhane wali cheeje khane se parhej kare.

     

    Health Tips in Hindi

    • Bina doctor ki salah ke medicine na le.
    • Thakan hone par sharer ko aaram de.
    • Khansate, chinkate aur haste samay ek haath se pet ko sahara de taki dard na ho.

     

    Patients ke sath sath kai bar doctors ke liye bhi ye bimari ek samasya ban jati hai kyuki aksar ye pta lagana mushkil ho jata hai ki pet mein dard appendix ka hi hai ya nahi, isliye pet mein bar bar hone wale pain ka sahi karan janane ke liye doctor ki salah se urine, ultrasound aur blood test karwaye.

     

    Dosto appendix ka ilaj ke gharelu aur ayurvedic upay, appendix treatment in hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass is bimari ke dard ke upchar ke desi nuskhe ya koi sujhav ho to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles