More

    Kabz ke Gharelu Nuskhe Aur Upay – Home Remedies in Hindi

    Disease - बीमारीKabz ke Gharelu Nuskhe Aur Upay - Home Remedies in Hindi

    Kabz ke Gharelu Nuskhe Aur Upay: Khaane ki galat aadten kabz hone ki wajah hoti hai. Hum kahi bhi kuch bhi kha pi lete hai. Khaane ke baad bethna aur raat ko khana khane ke foraan baad so jana aisi aadte hai jinke karan qabz ki shikayat hoti hai. Kabz(constipation) se bhut bimariya ho sakti hai. Ye hamare pachan tantar ko kamjor karta hai. Kabz sirf bhook kam nhi karti balki bawasir, gas, acidity aur sharer mein hone wale aur kai rog paida karti hai. Peet mein dard hone ke sath sath kabz ke rogi mein peet fulne ki shikayat dekhne ko milti hai. Ye rog kisi ko kisi bhi umar mein ho sakta hai par aurto aur bujurgo mein ye rog jada hota hai. Agar aap lambe samay se is samasya se pareshan hai to yha bataye hue upay kare, ye gharelu nuskhe puarani se purani kabz ka ilaj karne mein kargar hai. (Natural ayurvedic home remedies tips for constipation treatment in hindi.)

    Kabz ke Gharelu Nuskhe Aur Upay - Home Remedies for Constipation

    Kabz Se Chutkara Paane Ke 15 Aasan Gharelu Desi Nuskhe

    (Best 15 Home Remedies for Constipation Treatment)

    Iss lekh mein hum kabz door karne ke desi upay bta rhe hai jisse kabz se mukti milne ke sath sath kabz ki wajah se hone wale rogo se bhi chutkara milta hai. Aiye hum jante hai ki kabz ke upchaar ke gharelu nuskhe kon se hai aur inka paryog kaise kare.

    1. Kabz hone ka parmukh karan body mein paani ki kami hona hai. Paani ki kami se hamari aanto mein mal sukh jata hai aur mal nikalne mein jor lgana padta hai. Isliye kabz ke ilaaj ke liye sab se phle rogi ko din me 3 se 5 liter paani peena chahiye. Khana khane ke aadha ghanta phle paani piye aur khaana khate waqt paani na piye.
    2. Kabz se pareshan rogi ko apne khane me amrood aur papita jarur lena chahiye.
    3. Raat ko sote samay taanbe ke loote mein paani bhar kar usme ek chamach trifla churan daal kar dhak de. Subh khaali pet chaan kar piye. Kuch din lagataar pine ke baad kabz ka rog jad se khatam ho jayega.
    4. Kabz se pareshaan logo ke liye badam ka tail kafi faydemand hai. Isse aanto ki karya shamta badhti hai. Raat ko sone se phle halke garam doodh mein badam ka tail mila kar piye. 10-15 din lgatar ye paryog karne se purane se purani kabz thik ho jati hai.
    5. Ek cup gungune paani mein 1 nimbu nichod kar piye. Ye aap ke pet mein jame hue mal ko bahar nikalne ka kaam karega.
    6. Egrole 2 chamach, aadha cup taaze paani mein mila kar 3-4 din piye. Purani kabz thik hogi. Egrole chemist ki shop par aasani se mil jayea.
    7. Raat ko sone se phle 1 gilass garam doodh jarur piye. Agar mal aanto mein chipak rha hai to doodh mein 1-2 chamach arandi ka tail mila kar piye.
    8. Kabz jada hone par agar bukhaar mein dast lage to 10 gram arandi ke teel ko 250 gram garm doodh mein mila kar piye.
    9. Khaane mein reshe(fibre) jada lene se kabz nhi hoti. Hari pattedar sabjiya, faalo(fruits), salad mein resha(fibre) jada paya jata hai. Palak ka juice peene se constipation mein aaram milta hai.
    10. Gutali nikali hui badi harad ka muraba ek ya do nag khila kar sath me 250gram doodh peene se 3-4 din me kabz thik ho jayegi.
    11. Munaka mein qabz kholne ke tatv paye jate hai. Qabz hone ki stithi mein raat ko sote samay 10-12 munake le aur unke beej nikal kar doodh mein ubal kar khaye aur sath mein wahi doodh piye. Subh hone par aap ki kabz khul jayegi.
    12. Purana bigda hua kabz ho to santaro ka ras khaali pet subh 8-10 din pine se thik ho jayega. Santro ke juice me namak ,barf ya kisi parkar ka koi masala na milaye.
    13. Pilli kabli harad ko raat mein bhigo de aur subh harad ko paani mein thoda ragde aur thoda namak mila kar pila de. Isse kabz chahe kitni bhi purani ho jad se door ho jayegi. Ek harad 5-6 din tak kaam karti hai.
    14. Isabgol ki bhusi qabz ke liye raambaan dwa hai. 10 gram isabgol ki bhusi 125 gram dahi me ghol kar subh sham khilane se kabz thik ho jaati hai.
    15. Kabz ke gharelu nuskhe mein trifla bhut hi acha gharelu upay hai. 6 gram trifla churan 200 gram gram doodh me lene se kabz ki shikayat door hoti hai.
    16. Jane Pachan shakti badhane ke nuskhe

    Pet Mein Gas Ka Gharelu Ilaaj

    1. Ajwayen aur kala namak pet ki gas thik karne ka sab se saral desi upay hai. Pet mein gas banne ki avastha mein khana khane se phle 125 gram matthe mein 2 gram ajwayen aur aadha gram kala namak mila kar khaane se gas banna khatam ho jaati hai.
    2. Ek lehsun ki faank chil kar beej nikali hui munaka 4 nag bhujan ke baad chba kar nigal jaye. Isse pet ki ruki hui gas tatkal nikal jayegi.
    3. Alsi ke patto ki sabzi bana kar khane se gas ki shikayat door ho jaati hai.
    4. Ajvayan 2 gram aur aadha gram namak mila kar chba kar khane se pet dard aur pet ki gas thik hoti hai.
    5. Paani ke saath 5 masha hingaashtak churan khaane se sabhi parkar ki gas problem door ho jaati hai.

    Upar btaye gaye gas aur kabz ke gharelu nuskhe aur upay karne ke sath sath aapko apni khana khane ki aadto ko bhi sudharna hoga aur agar aap kabz aur gas ki pareshaniyo se bache rehna chahte hai to har roj excersise aur yoga bhi karna chahiye. Kabz thik karne mein yoga ka aap dhanurasan kar sakte hai. Dhanurasan karne se bhi kabz door hoti hai. Baba Ramdev ka bataya hua ye yoga pet ki dusri bimariyo mein bhi faydemand hai.

    Dosto yeh leekh (constipation treatment in hindi) aap ko kaisa laga hame jarur btaye aur sath hi apne anubhav bhi hamare saath share kare aur agar aapke pass kabz ka ilaj karne ke gharelu, ayurvedic aur desi nuskhe hai to hamare sath bhi share kare, aapki di hui jankari se dusro ko bhi fayda mil sakega.

    Recent Articles

    17 COMMENTS

    1. Meri beti 7 years ki hai and she is having constipation problem.I give her milk,Annjir, date,,mainly i make her drink lots of water but still she has the problem

      • Swapnil ji sabse pahle beti ko khane mein aese foods khilaye jisme fibre ki matra adhik ho aur iske sath khane pine mein fast food aur tala hua khane se roke kyuki inhe pachne mein adhik samay lagta hai. Kabz se chtkara pane ke desi nuskhe iis lekh mrin bataye gaye hai aap inhe bhi padhe.

    2. Sir g mere pet me dard.aur pet tight full jata hai.aur letrin bhi saff nhi hoti takat lgti hai.aur pet me bhi Japan hoti hai bahut pain hota h kya ho skta h es smsya ko ek saal ho gya aur report normal nikalti h.please mujhe btaiye kya ho skta h.ghabrahat bhi bahut hoti h

    3. Sir mujhe bawaseer ki problem hai. Aur 2 month Se mai khaane Me moong daal Aur palak kha raha Hu. Roz raat Me doodh me 2 chammach ghee lekar sota Hu daily papita bhi kha raha Hu. Par fir bhi mujhe tight mal aata hai itne prayog karne ke baad bhi please help

    4. Sir me mujhe bhuk nhi lagti hai. Kabhi khana khate time upkai suru ho jati hai jiske karan mujhe ulti ho jati hai please mujhe btao me kya karu

    5. sir meri peat ke right side me dard rehta hy , ultrsound karwaya hy , everything is ok but dard rehta hy and some time qabz ya phr motion bhe rehte hn , plz koi elaj ho to suggest me

    6. sir Muje 5 saalon se peet ki isi kush problem chal rahi hai ki jab tak ma medicine use na Karon tab tak subah peet kabi b saaf Nahi hota koi upay batao
      iss se ma Bahut pareshan hu
      Kafi time se ma ne positive changes laiii ha but fir b continue iss problem say pareshan hu

      • पेट की समस्या ख़राब पाचन के कारण हो सकती है। आप इसके लिए कुछ घरेलू उपाय कर सकते है पर इससे पहले अपनी जीवनशैली में कुछ जरुरी बदलाव करे जैसे बाहर का तला मसालेदार खाना ना खा कर घर पर पौष्टिक आहार ले, योग और एक्सरसाइज से दिन की शुरुआत करे और पानी अधिक पिए। पाचक क्रिया ठीक करने के उपाय आप यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/pachan-kriya-badhane-ke-upay-digestion-shakti-nuskhe-hindi/

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles