More

    नए बाल उगाने के 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Hair - बालनए बाल उगाने के 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Naye baal ugane ke upay aur gharelu nuskhe in hindi: aajkal baal tutna aur jhadna ek aam samasya ban gyi hai. Agar samay rehte hi is samasya ka samadhan naa kiya jaye to ye ganjapan ka rup le leti hai.  Ganjepan ki samasya kuch samay pahle adhik umar ke logo me hoti thi par aajkal ye samasya kam umar ke logo me bhi dekhne ko mil rahi hai. Mahila ho ya purush baal jhadne ki problem se har koi pareshan hai. Kuch log is samasya se chutkara pane ke liye tarah tarh ke oil, shampoo aur medicine ka paryog bhi karte hai. Aaj is lekh me hum baal ugane aur jhadte baal rokne ke liye kuch aasan upay janege.

     

     

    Balo ke jhadne ka karan

    1. Hair dye aur cosmetic wale hair color ka jada pryog karna.
    2. Kisi medicine ka side effect hona.
    3. Baal jad se kamjor hona.
    4. Balo ko jaruri poshak tatv nahi milna.
    5. Sharab aur dumarpan ka jada sevan karna.
    6. Balo me dandruff hona.
    7. Jada tension lena.

     

    Ganjepan ke lakshan

    • Ek swasth vyakti ke 50 se 100 baal har roj jhadna ek aam baat hai par jab baal 100 se bhi jada jhadne lage aur naye baal na aaye to ye ganjepan ke lakshan ho sakte hai.

     

    Baal ugane ke upay aur gharelu nuskhe in hindi

    Ganjepan ki samasya adhiktar pursho me hi dekhne ko milti hai jiska parmukh karan mail harmons hai. Aaj hum yha ganjapan se bachne aur naye baal ugane ke liye desi gharelu nuskhe janege. Agar samay rehte hi ye upay kar liye jaye to ganjepan se bacha ja sakta hai.

    1. Aapke baal agar normal se jada jhadte hai to balo me neem ka tel lagaye. Neem ke tel se balo ki malish karne par baal jad se majbut hone lagte hai jisse balo ka tutna aur girna band hota hai.

    2. Pyaj ka ras balo ke liye ramban ka kaam karta hai. Ek pyaj le au rise beech se 2 hisso me kaat le. Ab pyaj ka ek hissa le aur 5 minute tak sir par ragde. Kuch din lagatar ye upay karne se balo ka jhadna kam hota hai aur sath hi naye baal bhi aane lagege.

    3. Aawla bhi balo ke liye acha hota hai. Nimbu ka ras aawle ke gudde me mila kar sir par lagaye aur kuch der baad dho le.

    4. Methi me protein adhik matra me hota hai jisse balo ko poshan milta hai jisse baal sundar hote hai. Raat ko sone se pahle methi ko pani me bhigo le aur subh ise dahi me mila kar ek paste bana le. Ab is lep ko balo me ache se lagaye aur aadhe ghante baad sir dho le. Is upay se balo ki jade majbut hoti hai aur balo se dandruff bhi dur hoti hai.

    5. Agar aapke sir se baal beech beech se ud gaye hai to din me 2-3 bar us hisse par nimbu ragde. Is upay se baal fir se aane lagege.

    6. Agar aapke parivar me aapke pita dada bhi ganjepan ki samasya se pidit hai to aap ki is samasya ka karan genetic hai. Aese me aap apne bhojan me lehsun ka pryog adhik kare.

    7. Hara dhaniya pees kar iska paste baalo me us jagah lagaye jahan se baal ud gye ho. Lagatar 1 mahina ye upay karne par naye baal aane lagte hai.

    8. Nariyal ke tel me 1 chammach kali mirch aur 1 chammach peesa hua namak mila kar balo ke us hisse par lagaye jha baal nahi hai isse naye baal ugane lagte hai.

    9. Mulethi pees kar isme thoda dudh aur kesar mila kar paste bna le. Ab ise paste ko balo par lagaye aur 1 ghante baad baal shampoo se dho le, is nuskhe se sir par baal aane lagte hai.

    10. Til ka tel hafte me 1 bar balo par lagaye. Isse baalo ka tutna aur girna kam hota hai. Dahi ya fir dudh me besan mila kar iska ghol balo par lagaye. Is upay se balo me chamak aane lagti hai aur balo ka jhadna bhi band hota hai.

    11. Aajkal hamari jivanshely teji se badal rahi hai jis vajah se balo ko jaruri poshak tatv nahi mil pate aur baal jhadne lagte hai. Is samasya se bachna hai to swasth jivanshely chune acha aahar khaye aur balo ki dekhbhal kare.

     

    Dosto baal ugane ke upay aur gharelu nuskhe in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass baal tutne aur jhadne se rokne aur ganjepan ka ilaj se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles