Chehre ke daag aur pimple hatane ki cream in hindi: Keel muhase, fode funsi, gadde, kale daag dhabbe aur chote chote dane face ki khubsurati bigad dete hai. Kuch log gharelu upay aur ayurvedic ilaj se face ki problems se chutkara pa lete hai par kuch log aese bhi hai jinki pareshani dur nahi ho pati. Aese me ve skin treatment ke liye dawa aur cream ka sahara lete hai. Aajkal bazzar me kai tarike ki beauty fairness cream, medicine aur face wash maujood hai par pimple ke liye best cream kon si hai aur daag dhabbe hatane wali cream name kya hai ye janna mushkil ho jata hai. Aaj is lekh me hum chehre ke daag hatane ki aur keel muhase ka ilaj ke liye cream aur dawa ke naam janenge, medicine name and best cream for pimples and dark spots on face in hindi.
Ek bar pimples thik hone ke baad agar aapko dubara ho jate hai to upay aur dawa ke pryog ke sath sath apne aahar par bhi dhyan de. Khane me poshtik bhojan khaye aur paani jada piye, isse aapki tvacha ko jaruri poshak tatv milenge aur bar bar keel muhase ki samasya se chutkara milega.
चेहरे के दाग धब्बे के लिए और पिम्पल हटाने की क्रीम
Pimple Hatane Ki Cream Aur Face Wash in Hindi
1. Vicco Turmeric WSO Cream
1. Vicco cream ki sabse acchi baat ye hai ki isme chemical nhi hota aur iske fayde dekhte hue ise face ke liye best cream mana gya hai.
2. Jin logo ki skin oily hoti hai unke liye ye ayurvedic cream bahut faydemand hai.
3. Is cream me turmeric hota hai jisme antiseptic gun hote hai. Niyamit roop se is cream ka istemal karne par face par pimple ki problem nahi hoti.
4. Skin care karne ke sath sath pimple hatane, dark spots dur karne, katne aur jalne ke nishan saaf karne me bhi ye cream bahut asardar hai.
2. Himalaya Clarina Anti-Acne Cream
1. Chehre par pimple aur funsi thik hone ke baad daag aur nishan reh jate hai jise hatane ke liye ye ek asardar formula hai. Is beauty cream ke niyamit pryog se chehre ke kale daag dhabbe dhire dhire saaf hone lagte hai.
2. Daag hatane ke ilava ye cream keel muhase ka ilaj karne aur tvacha ko moisturize karne me bhi upyogi hai.
3. Himalaya acne – n – pimple cream bhi keel muhase ki cream hai.
3. Nomarks Cream
- Chehre ke daag ke liye cream me nomarks cream ka paryog bahut kiya jata hai.
- Face ke dark spots aur dark circles thik karne me nomarks cream kaafi upyogi hai. Is cream me anti oxidant aur anti bacterial gun hote hai jo tvacha ke nishan aur daag dhabbe ka ilaj kar sakte hai.
4. Khadi Herbal Acne Pimple Cream
- Jo log bina chemical wali ayurvedic guno se bharpur cream pryog karna chahte hai unke liye ye best cream hai.
- Ye herbal acne cream tvacha ke muhase aur daag saaf karti hai aur tvacha ko mulayam banati hai.
पिम्पल के लिए फेस वाश – Pimple Ke Liye Best Face Wash
- Himalaya neem face wash
- Nomarks acne pimple face wash
- Aroma magic neem tea tree face wash
- Khadi neem tea tree and basil face wash
- Garnier pure active neem and tulsi face wash
- Fair and lovely pimple off fairness on
- Clean & clear pimple clearing face wash
- Pond’s pimple cream white multi action facial wash
दाग धब्बे और कील मुँहासे की दवा – Medicine For Pimples On Face in Hindi
1. Panderm + Cream
1. Panderm cream skin ke bacterial aur fungal infection ko khatam kar ke tvacha ko saaf aur chamakdar banati hai. Ye cream fode funsi, tvacha ke daag dhabbo, sujan aur skin ke infection ko kam karne me kafi upyogi hai.
2. Is cream ke fayde dekhte hue bahut se log ise ek beauty cream ki tarah isteemal karne lage hai jis karan unhe side effect hone lagte hai, par is cream ko lgane se pahle ek baat ka dhyan rakhna bahut jaruri hai ki ye fairness cream nahi hai ye ek tarah ki kil muhase ki dawa (medicine) hai.
3. Ek limited time period tak hi is cream ka pryog karne ki salah di jati hai. Lambe samay tak iske paryog se tvacha ko nuksan ho sakta hai jese ki tvacha laal hona, dark spots padna. Isliye bina doctor ki salah ke panderm+ cream ka paryog nahi karna chahiye.
2. Skinlite Cream
- Ye bhi ek parkar ki dawa hai jiska istemal tvacha ke daag dhabbe hatane, gora hone, pimples dur karne, burn marks saaf karne aur stretchmarks mitane me kiya jata hai.
- Is cream ke side effects ho sakte hai isliye bina kisi skin specialist ki salah ke skinlite cream ka istemal nahi karna chahiye aur agar koi skin allergy ho to uske bare me bhi btana chahiye.
3. Benzoyl Peroxide
1. Benzoyl peroxide ek acne pimple treatment cream hai. Agar aapke chehre par thode pimple hai to 2 se 3 din ke paryog se hi aapko farak dikhne lagega aur agar pimple jada hai to samay adhik lag sakta hai.
2. Agar aapki skin sensitive hai to face par ise lgane se pahle hath par ise lga kar check kare aur koi allergy naa hone par hi chehre par lagaye. Is cream ke istemal se halki dryness aa sakti hai.
3. Raat ko sone se pahle is cream ka paryog kare aur pimples thik hone ke baad is cream ka pryog band kar de.
4. Vitamin E Capsules
- Healthy skin pane aur skin se judi problems ke ilaj ke liye vitamin E bahut jaruri hai. Skin care ke sath sath ye hairs ke liye bhi faydemand hai.
- Vitamin E ke capsule aapko kisi bhi medical store par mil sakte hai. Ise paryog karna bahut aasan hai. Har roj 1 capsule khana hai aur 1 capsule ko khol kar uska oil chehre par lagana hai.
- Is dawa ki 1 drop har roj apne hoto par lgaye, isse lips sundar aur mulayam hone lagenge. Dark circles dur karne ke liye bhi iska istemal kiya ja sakta hai.
- Badam rogan tel ke sath iska oil mix kar ke chehre par massage kare par iske paryog se pahle face acche se clean kar le aur raat ko sone se pahle ye upay kare.
- Upar btayi gyi cream ke istemal karne ke baad agar aapko kisi tarah ki skin allergy dikhe to turant iska istemal band kare aur doctor se salah le.
- Rang Gora Karne Ke Liye Gharelu Cream
- Chehre Par Nikhar Lane Ki Patanjali Cream
Dosto Pimple hatane ki cream name, dawa aur face wash in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass keel muhase aur chehre ke daag dhabbe hatane ke liye best cream aur gharelu upay se jude sujhav hai to hamare sath share kare.
Meri umar 23 saal hai mere chehre par bahut jada acne pimples hai jo kuch time ke liye thik ho jate hai phir hone lagte hai aur chehre par gadde bhi ho gaye hai koi upchar ya cream bataye.
mera naam david murmu hai main pareshan hu pimples se mera skin main oily hoti hai aur dry bhi hoti hai jor se khatam hone ke liye dawa bataye.
ऑयली त्वचा पर पिम्पल्स की समस्या अधिक होती है इसके इलाज के लिए आप घरेलू नुस्खे और उपाय कर सकते है.
mera naam shivansh hai aur mere chehre par bahut daag hai aur face bahut oily rehta hai mujhe btao ki kaise mai apne face ko thik kar sakta hu.
Meri age 17 hai mere face par bahut pimple aur oily hoti hai to kon si cream kaam karegi.
Hi mera name rahul hai mere face par pimple ke bahot se daag hai ise kese thik kare kuch cream ya facewash bataye.
Mere chehre par accident ke daag aa gye hai to iske liye kya karu.