More

    Chehre ki Jhuriyan (Wrinkles) Hatane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Face - चेहराChehre ki Jhuriyan (Wrinkles) Hatane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Chehre ki Jhuriyan Hatane ke Gharelu Upay: Umar badhne ke sath sath hamari tavacha bhi budhi hone lagti hai jis ke karan chehre ki chamak kam hone lagti hai aur jhaiya aane lagti hai. Wrinkles sirf face par hi nhi gale, haatho aur pairo par bhi aate hai aur ek baar aane ke baad ye bahut teji se failte hai. Dhili skin par jhaiyo ka badhna aasan hota hai aur tight skin par ye jaldi nahi aate. Aajkal botox aur laser treatment se jhuriyo ka ilaj kiya jata hai. Ye ilaaj mehnga to hota hi hai aur agar sahi tarike se na ho to iske negative result bhi dekhne ko mil sakte hai. Hum ghar par istemaal hone wali kuch gharelu nuskhe ke paryog se jhurriyo se chutkara pa sakte hai. Aaiye jane wrinkles homemade beauty tips in hindi.

    Face par Wrinkles Hone ke Karan – Causes

    Chehre par jhaiyan aane ka sab se bada karan hai umar ka badhna. Iske ilava kuch aur reasons bhi hai jinse ye samasya hone lagti hai.

    • Jada dhoop mein ghumne se.
    • Skin ko jaruri poshan na milne se.
    • Skin ki care na karne se bhi ye samasya ho jati hai.
    • Vitamin C aur D ki kami se chehre par jhuriyan aati hai.
    • Tension hamari body ke liye thik nahi hai. Jada tanav ki wajah se chehre par jhuriya aa jati hai.
    • Hamare face ki skin kafi soft aur najuk hoti hai jo pollution ko bardasht nhi kar pati.
    • Smoking karne se tavacha ki umar par kafi bura asar padta hai.

    Jhaiya Aane ke Lakshan : Symptoms

    • Aankho aur hotho ke pass silwate padna.
    • Maathe par choti choti rekhaye padna.

    Chehre ki Jhuriyan Hatane ka ilaj aur Upay

    Face Wrinkles Treatment Tips in Hindi

    1. Kache doodh mein cotton bhigo kar chehre aur garden par lagaye. 10 se 15 minute baad chehre ko thande paani se dho le.
    2. Pakke hue papite ko pees kar chehre par ache se male aur 15 se 20 minute baad dho le. Kuch din ye upchar lagatar karne se face ke pimples aur chaiyan khatam ho jati hai aur chehre par nikhar aata hai.
    3. Taaji malayi mein nimbu ka ras mila le aur chehre par lagaye. 20 se 30 minute bad face wash kar le. Is nuskhe ke paryog se skin soft hoti hai aur jhurriyan saaf hoti hai.
    4. Raat ko sone se pahle doodh mein udad ki daal bhigo kar rakhe aur subh ise pees kar paste bana le. Is lep ko face par lagane se nikhar aata hai aur jhurriya door hoti hai.
    5. Nimbu ke ras mein jaitun ke tel ki kuch boonde mila kar chehre par lagane se daag dhabe saaf hote hai.
    6. Ananas ke pulp ko chehre par lagane se bhi jhaiyan khatam ho jati hai.
    7. Jhuriya hatane mein nariyal ka tel kafi faydemand hai. Nariyal ke tel ko gunguna kar ke face ki massage kare. Is upay se chehre ki tavacha mulayam ho jati hai.
    8. Pakke hue kele ko pees kar chehre par lagane se dhere dhere jhuriyan gayab hone lagti hai.
    9. Tarbuj ke chilke ko dho kar skin par ragadne se skin soft aur fresh ho jati hai.
    10. Tamatar mein anti aging gun hote hai jo face ke wrinkles ko hatane ka acha upay hai. Rojana tamatar ko kaat kar chehre par lagaye aur halke haath se massage kare. Ye upay face ki toning karne ka bhi kaam karta hai.

    Jhaiya khatam karne ke Ayurvedic Tarike

    1. Aloe vera skin ke liye ramban aushdhi hai. Aloe vera ka ras face par lagane se kil muhase saaf hote hai, tavacha chamakdar banti hai aur jhuriya gayab ho jati hai. Aloe vera hamari tavacha ko jaruri poshan deta hai. Rojana iske paryog se chehre par jhuriyan nahi padti.

    2. Kala jeera, safed jeera, kala til aur sarso ko barabar matra mein le aur gay ke doodh mein pees kar ubtan bana le. Is ubtan ko face par lagane se daag saaf hote hai aur jhaiyan door hoti hai.

    3. 2 chammach besan, 2 chammach multani mitti aur thoda sa gulabjal mila kar gale aur chehre par lgaye. Sukhne ke baad ise dho le. Isse chehre ke rom chidar khul jate hai aur skin healthy rehti hai.

    4. Gungune paani mein besan ghol kar ek lep bana le aur isse chehre ko male, isse tavacha saaf ho jayegi. Ab 1 chammach shahad face par lagaye aur aadhe ghante baad dho le. Is nuskhe se umar badhne ke sath chehre par aane wali jhaiya door hoti hai.

    5. Ayurveda ke anusar har roj 1 glass gajar ka juice pine par chehre se jhuriyan ke upchar mein asardar hai.

    Jhuriyo se Bachne ke Gharelu Nuskhe

    • Chehre ki jhuriyo se bachne ke liye ankurit kiye hue chane aur moong daal rojana khaye.
    • Pet kharab rehne aur jada tanav lene se jhaiya aati hai. Isliye jitna ho sake pet ki bimariyo se bache rahe aur apne aapko khush rakhe.
    • Paani ki maatra adhik le aur ho sake to har roj ek glass paani mein 1 nimbu nichod kar piye.
    • Jane Dark Circles Hatane ke Gharelu Upay

    Yoga se Jhuriyan Hatane ke Tips

    Dark circles, wrinkles aur dal skin ka ilaj yoga se bhi kiya ja sakta hai.

    1. Sabse pahle gehri saans le kar muh mein hawa bhar le aur 5 se 7 second ke liye isi position mein rahe.Kuch din lagatar is kriya ko karne se chehre ki skin tight hoti hai aur jhurriyan saaf hoti hai.
    2. Sidhe khade ho kar pairo ko 1 foot duri par faila de. Ab apne face ko haatho se dhak le aur 8 se 10 baar tej tej saans le. Iske baad aankho, chehre aur maathe ko 2 se 3 minute ke liye ungaliyo se ragde. Rojana 5 minute ye yoga karne se aapko kafi fayda milega.
    3. Laughing yoga karne se chehre se judi bahut si samasyao ka ilaaj hota hai. Jor jor kar hasne se chehre ki manspeshiyo ki exercise hoti hai.

    Dosto Chehre ki Jhuriyan Hatane ka ilaj aur Upay, Face Wrinkles Treatment Tips in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment ke jariye bataye. Agar aapke pass jhaiya khatam karne ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    24 COMMENTS

    1. sir mere chre pr Kali jhaya padi h kafi upchar krne pr bhi shi nhi hua pls sir mujhe kuch ache tupe ya ghrlu nuskhe k bare m batye jisse m apne chere ki jhayo se nijat pa ske..

    2. Sir mere face me dagg h wo apke nushke se v thik nahi ho Raha h quch aur nushke bata de pimples aur dagg Dino h koie v cream se thik nahi hota h

    3. Hello sir humare face par pimples ho rae h humne itne tritment karliya itne karte h to thik rehte hor jab chore dete h to fir ho jate h jis ki vajha s mera rang bi kafi fed ho gaya h plz sir hume kuch upay bataiye

      • दोस्त चेहरे की झुर्रियां हटाने के घरेलू उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    4. Sir mere ankho ke gird dark circles ho gye hai or boht hee gahere ho gye hai plz unko khatam karne ke lye koi tip btaye meri age bhi choti hai 19 hai. Reply plz

    5. sir mera chahra pehle bahut gora tha but kuch 2 saal se mera chehra kala ho gya hai kya karu jisse mera chehra fir se gora ho jaye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles