More

    High Cholesterol Ka ilaj Karne ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीHigh Cholesterol Ka ilaj Karne ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    High Cholesterol Kam Karne ke Upay: Cholesterol liver dawara banane wala fat hai. Hamari body sahi tarike se kaam karti rahe iske liye iska banana jaruri hai. Blood mein cholesterol ki balance bigadne se kai parkar ki bimariya hone ka dar hota hai. Aaiye padhe How to Reduce Bad Cholesterol.

    Aisa nahi hai ki cholesterol hamari body ke liye acha nahi hai. Samasya ye hai ki ye hamari body mein ghulta(mix) nahi hota aur jab sharer mein cholestrol ki matra badhti hai tab ye rakt koshikayo mein jama ho jata hai, jisse blood circulation par bura asar padta hai aur sharer ke ango tak rakt pahunchane mein dil ko adhik mehnat karni padti hai jisse dil ki bimariya hone ka khatra badh jata hai.

    Types of Cholesterol

    Cholesterol 2 parkar ka hota hai – LDL(Low Density Lipoprotien) aur HDL(High Density Lipoprotien). LDL ko bad cholesterol mana jata hai aur HDL ko good.

    HDL bad cholesterol ko rakt koshikayo se hatane mein madad karta hai aur ise koshikao se wapis liver tak pahunchata hai fir liver ise vishale padartho ke sath body se bahar nikal deta hai. HDL hame heart diseases aur stroke se surakshit rakhta hai.

     

    Cholesterol kya kam karta hai

    • Body mein harmons ko control karne mein help karta hai.
    • Shareer mein maujood bacteria se jo vishale padarath nikalte hai unhe sokh kar body ko health banaye rakhta hai.
    • Dimag ke sahi tarike se kaam karne ke liye body mein cholesterol ka normal hona jaruri hai.
    • Bhulne ki bimari (alzheimer) se grast vyakti ke mastishk mein iska level adhik hota hai.
    • Suraj ki kirno ko vitamin D mein badalne mein bhi iski bhumika kafi aham hoti hai.

     

    Body mein Cholesterol kitna hona chahiye

    Blood mein Cholesterol ka level 3.6 se 7.8 milimoles per litre ke beech hota hai. Jab iski maatra 6 milimoles/litre hota hai tab ise high cholesterol kaha jata hai aur jab ye 7.8 se bhi jada ho jaye tab heart attack aur heart stroke hone ka khatra bahut jada hota hai.

    Body mein cholesterol kam hone se immune system sahi se kaam nahi kar pata aur body ko infection hone ka khatra kafi badh jata hai.

     

    Kaise badhta hai cholesterol – Causes

    • Body ka weight badhna.
    • Kisi bhi paarkar ki physical activity na karna.
    • Khane pine mein laparwahi.
    • Family mein kisi ko adhik cholesterol ki problem ho to ye bimari family members ko aur unke bacho mein bhi ho sakti hai.

     

    Cholesterol badhne ke lakshan – Symptoms

    • Body ka blood pressure high rehna.
    • Jaldi thak jana aur saans fulne lagna.
    • Sugar ke patient ki body mein sharkra ki matra adhik hone ki waah se uska khoon gadha hota hai, is awastha mein agar pairo mein dard ki shikayat ho to body mein cholesterol badh gya hai.
    • Jane Blood Pressure ke Gharelu Nuskhe

     

    Cholesterol test kaise kare

    • Cholesterol screening test se aap body mein iska level pta kar sakte hai. Is test mein HDL aur LDL dono ka level pta kiya jata hai.
    • Agar blood mein cholesterol adhik hai ya fir family mein kisi ko dil ki bimariya rahi hai to har 6 mahine mein ek baar test jarur karwaye.
    • 20 saal se adhik umar ke har vyakti ko 5 saal mein ek baar cholesterol ka test karwana chahiye.

     

    Cholesterol Kam Karne ke Upay

    Cholesterol Reduction Home Remedies in Hindi

    1. Cholesterol control mein rakhne ke liye ankurit dale khaye.
    2. Nimbu aur aawle ka paryog kare chahe vo kisi bhi roop me ho.
    3. Subh khali pet kacha lehsun khane se cholesterol kam hota hai.
    4. Aadha chammach Isabgoal ke beejo ka tel din mein 2 baar le.
    5. Khane mein soyabean tel ka paryog kare. Cholesterol kam karne ka ye acha upchar hai.
    6. Rojana 50 graam kacha gavar pattha (aloevera) khali pet khane se blood mein iska level kam hota hai.
    7. Lehsun aur pyaaj ka ras bhi kafi faydemand hai.
    8. Smoking sharab aur kisi bhi tarike ka nasha karne se bache.
    9. Cholesterol maintain karne ke liye doodh mein thodi se daalchini powder daal kar piye.
    10. Raat ko sone se pahle 2 chammach dhaniya dana ek glass pani mein bhigo kar rakhe aur subh is paani ko pi jaye sath hi dhaniya bhi chba chba kar khaye.

     

    Badhta Cholesterol Kaise Control Kare – How to Reduce High Cholesterol

    Badhta hua cholesterol control karne ke liye junk food aur fat wala khana khane se parhej kare aur din ki shuruat exercises, yoga aur healthy breakfast se kare aur iske sath aap ise maintain karne ke natural upay bhi kar sakte hai.

     

    1. Motapa kam kare

    Shareer mein adhik motapa hona cholesterol badhne ka karan banta hai. High Cholesterol ke khatre ko kam karne ke liye body weight ka control mein hona jaruri hai. Adhik motapa cholstrol badhne ke sath sath sugar aur high blood pressure ka karan bhi banta hai.

     

    2. Exercises aur Yoga kare

    Jaruri nahi hai ki weight adhik ho tabhi exercises aur yoga karna chahiye. Vyayam body mein blood ka circulation acha rakhta hai jisse heart healthy rehta hai aur dusri bimariya hone ka khatra bhi kam ho jata hai.

    • Agar aap high cholesterol se pidit hai to hafte mein 5 din vyayam jarur kare.
    • Exercises mein jogging, cycling, swimming aur aerobics kar sakte hai.
    • Agar aap yoga aur exercises nahi kar sakte to aadha ghanta paidel chalne ki aadat dale.

     

    3. Healthy Food Khaye

    • Jo aap khate hai vo aapki sehat par effect karta hai isliye healthy khana khayenge to health bhi achi rahegi. Cholestrol ko control mein karne ke liye jada fat wali cheeje na khaye.
    • Ande ka pila hissa, junk fried food, tala hua khana, fat wala doodh aur use bani chije, fatty meat khane se bache.
    • Jane Sugar Kam Krne ke Ayurvedic Upay

     

    4. Medicines soch samajh kar le

    • Agar aap high cholesterol kam karne ke liye koi medicine lena chahte hai to kisi doctor ki salah jarur le aur sirf dawao ke bharose hi na rahe. Apne life style mein bhi sudhar kare jisse medicines par aapki dependency kam hogi aur heart diseases hone ki aashanka bhi kam hogi.
    • Agar aap cholesterol ke treatment ke liye ayurveda medicine lena chahte hai to baba ramdev ki dawaye le sakte hai, ye aapko pantjali ki kisi bhi shop se mil jayengi.

     

    Cholesterol Health Tips in Hindi

    • Chocolate ka sevan na kare.
    • Jada mithayiya na khaye.
    • Koi nasha na kare.
    • Niyamit roop se vyayam kare.

     

    Cholesterol ka ilaj karne ke liye vese to kai tarah ke treatment ho sakte hai, par agar shuruaat mein hi ise control kar le to isse behtar koi upay nahi.

     

    Dosto High Cholesterol Kam Karne ke Upay, Cholesterol Reduction Home Remedies in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass iske ilaj ke koi nuskhe ya fir koi anubhav hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    9 COMMENTS

    1. Sir mujhe Aisha laghta mere heart arteries me blokage hai please iska upchaar bataiyhe yeh blokage kaishe theek ho sakhte hai waishe mai Roj arjun ki chaaal ka tea Roj peeta hu leken usse mere stomach me gas banto hai jo mujhe paresan karte hai sir mujhe iska treatment jaroor bataye

      • हाई कोलेस्ट्रॉल कंट्रोल करने के लिए घरेलू उपाय और नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप लेख को ध्यान से पढ़े.

    2. sir mera cholesterol level kam nahi ho rha or main koi gharelu nuskhe nahi apna sakta bcs main Kuwait main rehta hoon aap esa koi medicine btaye ke main yhan se le saku or pls ye batye ke milk or yogurt se bhi cholesterol badta hai ya nahi?

      • दोस्त कोलेस्ट्रॉल कम करने के लिए अगर आप मेडिसिन लेना चाहते है तो आप डॉक्टर से संपर्क करे.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles