More

    आंखों की देखभाल के 5 टिप्स व रोगों का घरेलु इलाज

    Disease - बीमारीआंखों की देखभाल के 5 टिप्स व रोगों का घरेलु इलाज

    हमारी आंखें प्रकृति के नए उपहार में एक हैं। इस तरह हम पूरी दुनिया को देख सकते हैं। लेकिन जब बात इन आंखों की देखभाल की आती है तो हम इसमें बहुत लापरवाह होते हैं। जिससे आगे चलकर हमें कई तरह की दिक्कतों का सामना करना पड़ता है। इस लेख में हमें आंखों की देखभाल और आंखों की बीमारियों के घरेलू उपचार के बारे में बताया गया है।

    Eye Care Tips in Hindi: Aankhe hamare shareer ka sabse jaruri aur anmol hissa hai. Ghar mein hamara jada samay computer, mobile chlaane aur T.V dekhne mein jaata hai aur bahar dhul-mitti aur pardushan(polution) hota hai. Aesa lifestyle aur vatavaran hamari aankho ke liye acha nahi hai. Agar hum sahi samay par aankho ki care na kare to aankho ko kai parkar ke rog hone ka khatra bana rahega jese ki najar kamjor hona, eye infection, safed motiya, aankho mein jalan sujan aur dard hona.

    Dosto is leekh mein hum jaanege ki kese apni aankhon ki dekhbhaal kare. Vese to aankho ke treatment ke liye bahut se eye drop medicine bhi milte hai par hum janenge kaise ghar par hi gharelu nuskhe apna kar aankho ki bimariyo ka upchar kare.

    Aankho ki Roshni Badhane ke Upay (Eye Sight Treatment Tips)

    Healthy eyes ke liye vitamin A bahut jaruri hota hai. Hari sabjiyo aur fruits mein vitamin A bharpur hota hai. Salad khane aur juice peene se aankho ki roshni teej hoti hai. Agar aap ko ya aapke ghar mein kisi chote bache ki najar kamjor ho gyi hai aur kam umar mein hi chashma lag gya hai to chashma hatane ke in upayo ko padhe.

    Aankho ke Niche Kaale Ghere (Eyes Dark Circles)

    1. Aaloo: Aaloo ke tukde kar ke 10 minute ke liye aankho par rakhe. Aaloo aankho ke liye kaafi acha hota hai. Isse aankho ki thakavat door hoti hai aur aankho ke niche dark circles se chutkara milta hai.

    2. Kheera: Aksar neend puri na hone se, jada stress lene se aur shareer mein khoon ki kami hone se aankho ke niche dark circles ban jaate hai. Dark circles se chutkara paane ke liye kheere aur kakdi ke tukde aankho par rakhe. Isse aankhon ko thandak milti hai aur aankho ke niche kaale ghere khatam hote hai. Kheere ko salad mein bhi khana aankho ke liye acha hota hai.

    Aankho ke Sankraman ka ilaj (Eye Infection Treatment)

    1. Seb ka Sirka: Aankho par kisi wajah se koi sujan ya infection hone par 1 glass paani mein 1 chamach seb ka sirka daale aur cotton ko isme bhigo kar aankhe saaf kare.

    2. Dhaniya ka Paani: Aankho mein jalan, dard ya koi sujan ho gya ho to dhaniya ki sukhi pattiyo ko paani mein ubaal le. Thanda hone par isse aankho ko dhoye. Aankho ko kisi bhi parkar ka infection hua ho ye upay kaafi kaargar hai.

    3. Tulsi: Eye infection ke upchar ke liye tulsi ke patte raat ko sone se pahle paani mein rakh de aur subh iss paani se aankhe dhoye.

    4. Dahi: Aankho ki sujan aur infection kam karne ke liye sujan par dahi ka leep lagaye.

    5. Namak: Eye infection ka ilaj karne ke liye ye nuskha kaafi aasan aur faydermand hai. Ubalte hue paani mein thoda namak mila kar usme cotton bhigo kar aankho ki sikayi kare.

    Aankho Mein Khujli Hona (Itching on Eyes)

    1. Harad: Choti harad aur maajufal ko pees kar aankho mein lagane se aankho ki khujli door hoti hai.

    2. Anda: Ande(egg) ke chilke ko jala kar use pees le aur aankho mein lagaye, is upay se aankho ki khujli khatam hoti hai.

    Aankhon mein Jalan aur Dard (Pain in Eyes)

    • Agar aapki aankho mein jalan ya dard ho rha hai to kisi saaf kapde ko thande paani mein bhigo kar aankho par rakh kar aankhe senke. Ankho ka rang laal hone par aur aankho pe sujan aane par bhi thande paani se aankho ki sikayi kare. Agar sardiyo mein ye samsya ho gyi hai to garam paani se aankho ki sikayi kare.

    Aankho ka Bhengapan Kaise Door Kare (Squint)

    Teedha ya galat taraf dekhna bhengepan ki nishani hai. Bhengapan door karne ke liye kuch upay hai jinhe bar bar practice karne se fayda milega.

    1. Ek normal chashma le jo bina number ka ho, ab is chashme ke sheesho ko kaale rang se paint kar de bas iske beech ke bhaag ko safed rehne de. Ab is chashme ka jada se jada isteemaal kare aur chashme ke safeed bhaag se dekhne ki koshish kare. Is paryog se teedha dekhne ki aadat chut jayegi.
    2. Anguthe ke sath wali ungli ko naak ke aage rakhe aur is ungali ko dono aankho se dekhe. Ab is ungli ko daaye baaye ek hi line par ghumaye aur bina sir hilaye dono aankho se ungali ko dekhte rahe.

    Eye Care Tips in Hindi : Aankho ki Dekhbhaal aur Parhej

    1. Aankho ko swasth rehne ke liye aaram ki jarurat hoti hai isliye 6 se 8 ghante ki neend jarur le nhi to aankho ke niche kaale ghere banne lagenge aur aankhon ki roshni bhi kam hone lagegi.
    2. Subh nahane se pahle kisi tub ya balti mein paani bhar kar aapna muh paani mein daal kar aankhe khol de. Ankho ko kisi bhi parkar ka rog ho is upay ko rojana karne se fayda milega.
    3. Aankho se dhul mitti saaf karne ke liye aankho ko thande paani se dhona chahiye. Ek haath ki ungli ko aankh ke niche rakh kar aankh khole aur dusare haath se aankh mein thande paani se cheete maare, ya fir muh mein paani bhar le isse aankhe puri khul jayengi fir aankho par paani ke cheete mare. Is kirya se aankho se dhool mitti ke kan nikal jayenge.
    4. Dono haatho ki katori bana kar 1 minute tak aankho par rakhe, ab bina haath hataye apni aankhe khole aur andhere ko dekhe. Is upay ko karne se aankho ki thakan door hoti hai aur aankho ki roshni bhi badhti hai.
    5. Best Eye Care Tips: Lagatar t.v dekhna ya computer chlana aankho ke liye acha nhi hai. Jada najdik se tv dekhne se bhi aankho ki roshni kam hoti hai.
    6. Baalo par hair dye, color ya koi chemical shampoo lagane se parhej kare.
    7. Smoking na kare.
    8. Dhoop mein bahar jaana ho to koi sunglasses ya koi googal jarur pahne. Ye aapki aankho ko tej dhoop aur dhul mitti se bachayenge.

    Motiyabind ka ilaj (Safed Motiya)

    Aagar aapki aankh ki putali safed ho gyi hai to ye motiyabind ke lakshan hai jisme aankho ka lens kharab ho jata hai.

    • Allopathy mein motiyabind ka upchaar karne ke liye operation karwana padta hai.
    • Saunth, saunf aur hing ko pees kar shahad mein mila kar rojana khaye, isse safed motiya ka ilaj karne mein fayda milta hai.

    Aankho ke Rogo ka Upchar Yoga se

    Jis parkar shareer ke dusre ango ko healthy rakhne ke liye yoga hota hai thik usi tarah aankho ko heathy banaye rakhne ke liye bhi aap kuch yoga kar sakte hai.

    • Sab se pahle kisi jagah par baith jaye fir bina sir hilaye upar ki aur dekhe fir niche dekhe. Thik isi tarike se bina sir hilaye daayi taraf dekhe fir baayi taraf dekhe. is kirya ko 8 se 10 baar karne se aankho ki badhti hai.
    • Bina palak japkaye kisi dur ki cheej ko 20 se 25 second tak dekhe fir bina sir hilaye aankho ko kisi dusri jagah le jaye. is kirya ko kam se kam 5 baar kare.
    • Aankho ko clockwise aur anticlockwise ghumaye.
    • Baba Ramdev ke bataye hue sarwangaasan ko karne se aankho ki roshani tej hoti hai.

    Is article mein humne jaana eye care tips in hindi. Vese to home remedies se treatment karne ke nuksaan nahi hote fir bhi hamari yahi salah hai ki kisi bhi gharelu upay aur nuskhe se upchaar karne se pahle kisi ayurveda vaid ya doctor ki salah jarur le.

    Dosto ye aankho ke rogo ka ilaj karne ka ye leekh kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass koi sujhaav aur anubhav ho to hamare sath share kare. Is website par hum rajiv dixit aur baba ramdev ke ayurvedic, gharelu aur homeopathy tips bhi share karte hai.

    Recent Articles

    111 COMMENTS

      • Manish aankho mein dard aur chakar aane ke bahut se karan ho sakte hai, kisi bimari ya weakness ki wajah se bhi ye problem ho jati hai. Iske ilava najjar kamjor hone par bhi ye lakshan dikhte hai. Dost aap ek bar doctor se mil kar checkup karwaye taki problem ka sahi reason pta chal sake aur sahi tarike se ilaj ho sake.

    1. sir, me air force me bharti hona chahata hu ,mere chasma laga hua ha ,mere age 17 year ha. mujhe chasma hatane and najar badhane ke lie kya karna chahiye. please help me.

    2. Sir mere ankhe tedhe hai or is me is ka upay diya gaya hai par mujhe achhe se samajh nhi ai ki ye kese or ak din me kitne bar or kitne mint karne hai or is ka fayda mujhe kab tak milegi kya aap mujhe bata sakte hai is ke upaye se tedhe ankh sidhe ho jate hai

      • Prema ji ye upay aap jitna kare utna acha hai, agar jada samay nahi nikal sakte to subah shaam aadha aadha ghanta to jarur nikale, iske ilava ye baat bhi dhyan rahe ki aap ko nirantar pryas karne honge.

    3. Hi sir mere baba g ke 2 no aahko me maada zama hai ise kyse dur kare is ka koi ilaj hai
      Hai to sir please bataye
      Aap ka message ka hame intazar rhega pliz

      • Sameer ji aap ek bar doctor se consult kare aur checkup karwaye taki samasya ke karno ka pta chal sake. Iske ilava aap yha likhe hue upay padhe aur kisi ayurvedic chiktsak se discuss kare vo aapko bta sakenge ki aap ke liye kon sa upay thik hoga.

    4. Namaskar sir
      Mera name Narendra hai . Sir meri ek aankh choti hai aur dusari bari hai. Jisase mujhe bahut sarminda hona parta hai. Jisase meri sadi bhi tut gai.aur choti aankh se kam dikhta hai. Sir please koi upay bataye.

    5. sir mujhe aakh se kam dikhta hai aur double bhi please iska upay bataye.jaise lagta hai mera aakh tera ho gya hai. kabhi kabhi ki bolta hai ki tum kabhi kabhi tera dejhte ho.I am 16 year old child .please help me sir

      • Dost kisi bhi natije par aane se pahle jaruri hai ki aap doctor se consult kare aur samasya ko diagnose kare tabhi aap iska upchar sahi tarike se kar sakenge.

    6. Maine Doctor ko dikhya tha but av tak thik ni hua chasma lagane se bas clear dikhta hai but double dikhna band ni hota hai

    7. sir meri wife ki umar 32 year hai lagbhag 15 din se àankh ka palak bar bar jhapkta hai eska gharelu nuska bataye ki jaldi thik ho Jay

    8. hello sir mae bike bht jyada drive karta hu ayur meri ek aankh mae kai din sae jalan ho rhi hai aur pani a rha aur maine iske liye dawai bhi li thi th koi bhi response nhi dikha ab aisa hota hai ki uss aankh sae mujhe kam dikhai dae rha hai th iske liye mae kya upay karu.

      regards
      kishore

    9. Sir mere ankho me hmesa sukhapan or dard thta hai.refresh tears drop use krta hu to bus 20 minute aram milta hai…or phir vaise hi kya kru .

    10. Mere relation m kisi ki ek eyes se dekhna aachnak band ho gya doc.ko dikhya to usne bataya ki aankhn k nas block ho gyi ho gyi h madical report m hi yhi aaya h m kya kru plz mujhe batao……

    11. Sir mre aakh m infection ho jata h ….or billi nikal atii h ..mtlb bada sa dana …or puri palak b toot jatii h …btye kya kare ki na nikle

    12. hi sir, MRI ankh k niche dark circles h or m chasma v lagati Hun or MRI ankh m ghao means fuski hojate h plz ap ek achhi wali tips btae taki jaldi thik hosake….

    13. Sallam govind jis tarhan ap logo ki madad kar rahay han Allah ap ko is ka ajar dega mujhe aik baat pochni thi mere left eye ma kuch laga tha Maine kafi doctor ko dikhaya won keh rahay han meri eyes ma posterior uveities ki problem ha kafi medicine khai eik injection bhi laga but kuch faraq nai parha ab mujhe is problem ko2 year hogaye han or meri age 26 sal ha p k pas is ka koi ilaj ho tu mujhe zaror bataye ga bohat shukar guzar raho ga ap ka

      • अली आप का बहुत धन्यवाद, दोस्त आँखों की जो समस्या आपने हमें बताई है हमें इस बारे में जड़ जानकारी नहीं आप आयुर्वेदिक वैद से मिले वो आपको देख कर सही सलाह दे सकेंगे.

    14. hi sir….me subh ko jab uthta hon ankhon se pani ata rehta he or munh dhony k bad bhi nhi rukta or agar halki c sunlight lagti he to bht zyada pani ajata he ..mjhe is ka koe ilaj btaen…plz

    15. Mere eyes me suddenly pata ni ekk spot hoowa he yellowish colour ka.. orr pata ni muje koi dard bhi ni ho raha he ya koi fark ni dikh raha.. bas wo spot tayar hoowa he ahanak se.. uska ilaaj me kese karu? ?

    16. Sir meri left aayi kamjor h usme se sab bahut dhundhla dikhta hai or uski size choti hoti ja rahi hai uska size pahle jaise karne ka koi upay batIye plz

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles