Kharab pet thik karne ke upay in hindi: Khane pine mein gadbadi aur mausam badlne ke karan aksar logo ko pet kharab hone ki shikayat hoti hai. Galat khan paan se bhi kai par pet mein infection ho jata hai jis wajah se pet dard, pet mein marod, dast ki shikayat hone lagti hai. Pet kharab hone par kuch log ilaj ke liye dawa lete hai, par bina medicine ke gharelu upay aur desi nuskhe apna kar pet ka ilaj aasani se kar sakte hai. Aaiye jane gharelu nuskhe for stomach problems in hindi.
Pet Kharab hone ke karan
- Pachan tantar kamjor hona.
- Kabz ki wajah se pet this se saaf na hona.
- Khane pine mein gadbadi.
- Ulti aur dast lagna.
- Pet dard hona.
- Pet mein marod uthna.
- Pet mein jada tejab banna
Kharab Pet Thik Karne ke Upay
Gharelu Nuskhe for Stomach in Hindi
Pet kharab hone ki wajah se aksar bar bar bathroom jana padta hai aur body se jada pani nikalne ke karan kamjori bhi aane lagti hai. Aese mein samjh nahi aata ki pet ki kharabi ka ilaj kaise kare. Abhi hum kuch aese gharelu nuskhe janenge jinke pryog se kuch hi samay mein pet thik hone lagega.
- Dast hone ke karan agar pet kharab hua hai to sabse pahle is baat ka dhyan rakhe ki body mein paani ki kami na ho, kyuki loose motion lagne par body me paani ki kami hone ka khatra rehta hai. Dast lagne par pryapt mater me pani piye, iske ilava nimbu pani, lassi, nariyal pani ka sevan bhi karte rahe.
- Kharab pet ke upay aur ilaj karne mein gajar ka juice pina utam upay hai. Gajar ke juice se pet thik ho jata hai. Juice mein pudine ka ras mila kar pine se pet ko thandak milti hai.
- Pet kharab ho jaye to adarak wali chai piye. Adarak ki chai pine se bhi kafi aaram milta hai.
- Pet mein gas ya dard ho rha ho to saunf ka sevan karne se aaram milta hai.
- Ek gilass halke gungune paani mein ½ chammach jeera daal kar piye. Is upay se kuch hi der me aapka pet thik hone lagega..
- Pet dard aur pet mein marod uthne ka gharelu upchar adarak se kar sakte hai. Adarak ka chota sa tukda muh me daal kar isko chabye aaur iska ras choose.
- Seb ka sirka bhi pet dard aur marod dur karne ka acha upay hai. Seb ke sirke ke sevan se pet ka infection thik hota hai. 1 chammach sirka 1 gilass pani mein daal kar pine se pet jaldi thik hone lagega.
- Pet kharab ke upay aur pet ki samasya dur karne mein dahi ka sevan karna bhi faydemand hai. Dahi me acche bacteria hote hai joisse pet jaldi thik hota hai aur ye pet ko thanda rakhne mein bhi mdad karta hai.
- Agar aap bar bar hone wale dast se pareshan hai to kela khaye, isme potassium adhik hota hai jo pet ke liye faydemand hai.
- Infection ki wajah se agar pet ki samasya control se bahar ho gyi hai to aese me adarak aur doodh ka upay kafi fayda de sakta hai. 1 chammach adrak power doodh me mila kar pine se pet ko aaram milta hai.
Pet kharab ho jane par aksar dawa lene se bhi aaram nahi milta, aese mein gharelu upay aur desi nuskhe kafi asardar hai. Agar upchar karne ke baad bhi pet ki samasya se aaram nahi mil rha to doctor ko dikhaye.
Pet Kharab Hone Par Kya Khaye
Pet kharab ho to kuch bhi bhari khane se bache, halka khana khaye jo aasani se digest ho jaye.
- Pachan kriya bigad jaye aur pet mein kharabi ho jaye to chawal aur mung daal se bani khichdi kkhaye. Pet me gas ho gyi ho to chawal aur daal barabar matra mein milaye.
- Ek hafta sham ke khane mein sirf khichdi khaye to pachan kriya me sudhar aaane laggta hai aur pet thik ho jata hai.
- Khichdi ke ilava daliya aur moong ki daal khana bhi thik hai. Inhe digest karne me pet ko jada mehnat nahi karni padti.
- Jin logo ko aksar kabj rehti hai aur pachan tantr kamjor hai ve sham ka bhojan jaldi kare aur halka khana hi khaye.
- Raat ko deri se khana khane aur khana bhari khane se kabj, gas aur acidity ki shikayat hone lagti hai.
- Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
- Baba Ramdev Ayurvedic Upchar
Dosto Kharab Pet Thik Karne ke Upay, Gharelu Nuskhe for Stomach in Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass pet kharab hone par gharelu upchar ya fir pet dard, gas, dast ka ilaj ke upay hai to hamare sath hmare kare.
Sir mera pet me har time jalan rehati hai or tejab jasa banata .. Phale mera pait may infection ho gya jo 3 month ho gya hai .. jab se problem chal rha sir koi upay bataya.. jo ke thik ho jaya..Or kabhi letring aana ke mana se kerna lagta sir ya kya problem hai..
पेट में जलन होना और तेजाब बनने जैसा महसूस होना एसिडिटी के लक्षण है, एसिडिटी का इलाज घरेलू नुस्खे से करने के लिए ये लेख पढ़े :: http://sehatdoctor.com/pet-mein-jalan-aur-acidity-ka-ilaj-kaise-kare-gharelu-upchaar-in-hindi/
Sir mera name runam hai main jab kuch khati hu to ulti aur patli latrine hoti hai aur dakar aati hai.