Table of Contents
Muh ke Chale ka Gharelu Upay: Muh ke chale(Mouth Ulcers) gaalo ke andar, hotho par aur jeebh ke upar ya neeche ho sakte hai. Muh mein chaale hone par bahut tej dard hota hai aur khana peena mushkil ho jata hai.
Kai baar teekha aur masale wala khana khane se jeebh, hotho par chale ho jate hai jinhe thik hone mein 5 se 7 din lag jaate hai. Kabhi kabhi chale lambe samay tak thik nahi hote jiske kaaran bhojan karte waqt aur bolte samay dard hota hai. Agar chalo ki samasya gambhir ho jaye to inse khoon bhi nikalne lagta hai. Aaiye jante hai muh ke chalo se kaise bache aur iska ilaj kaise kare.
Muh Mein Chale Hone Ka Kaaran
- Jada masale wala khana khane se.
- Jada garam cheeje khaane aur peene se.
- Achi tarah daant saaf na karne se.
- Body mein vitamin B aur iron ki kami hone se.
- Kabhi kabhi bukhar hone par chale ho jaate hai.
- Jada tension ke kaaran.
- Kuch khate samay daant se jeebh ya gaal ka kat jana.
- Brush karte waqt agar koi jakham ho jana.
- Kabz hone par bhi muh mein chale ho jate hai.
- Pet ki garmi ki wajah se.
Munh ke chaale (Blisters in Mouth) kai kaarno se ho sakte hai aur thik se is samasya ka ilaj karke isse chutkara bhi paya ja sakta hai.
Muh ke Chale ka Gharelu Upay
15 Home Remedies for Mouth Ulcers in Hindi
Ghar baithe kuch gharelu nuskhe apnakar aap munh, hotho aur jeebh ke chaalo ka ilaj kar sakte hai aur inhe jad se khatam kar sakte hai.
1. Arhar Daal: Munh mein chalo(Mouth Ulcers) ke ilaj ke liye arhar daal ko baarek pees kar chalo par din mein 2 se 3 baar lagaye. Isse muh aur jeebh sabhi chale thik ho jate hai.
2. Haldi: Ayurveda mein haldi ka upyog bhut si bimariyo mein kiya jata hai. 1 glass paani mein 1 chamach haldi powder mila kar halka garma kar le. Ab is haldi wale paani se 15 se 20 baar kulla kare.
3. Namak wala Paani: 1 glass gungune paani mein aadha chamach namak milaye aur ise dhere dhere muh mein ghumaye. Is kirya ko din mein 2 se 3 baar kare. Iske paryog se thodi jalan aur dard to jarur hoga par chale jald thik ho jate hai.
4. Mulethi: Shahad mein mulethi ka churan milakar iska leep muh ke chaalo par lagaye aur iski laar bahar nikalne de. Muh ke chalo ka ilaj karne mein mulethi ka isteemaal ek asardar desi nuskha hai.
5. Ilaychi: 2 se 3 ilaychi pees kar uska powder bna le fir 1 chamach shahad mein mila kar ek paste bana le. Is paste ko chaale wali jagah par lagane se chala door ho jata hai.
6. Paan ka Katha: Panwadi se milne wale paan par lagane wale kathe ko munh ke chaalo par lagane se jaldi fayda milta hai. Katha, mulethi ka churan aur shahad mila kar muh ke chaalo par 3-4 din tak din mein 2 se 3 baar lagana chahiye.
7. Hara Dhaniya: 2 se 4 hara dhaniya ke patto ko pees kar uske ras ko chaale wali jagah par lagane se chala thik ho jata hai.
8. Ghee: Raat ko sone se pahle ghee ko muh ke chaalo par lagaye. Isse muh ke chale(blistersin mouth) jald khatam ho jayenge.
9. Amrud: Amrud ka paryog ek ayurvedic upchaar hai jo jad se chaale dur karta hai. Amrood ke 2 se 3 patto ko haatho se masal kar uske ras ko muh ke chaalo par lagaye. Amrood ke komal patto mein kattha laga kar paan ki tarah chabane se bhi muh ke chale thik ho jate hai.
10. Aloevera: Aloevera ka upyog ek natural treatment hai. Aloevera gel ya juice ko chale par lagaye, isse dard kam hota hai aur chale jaldi door hote hai.
11. Burf ke Tukde: Ice cube ko chaale wali jagah par rakhne se bhi chale thik ho jaate hai. Ek burf ka chota tukda le aur ise chaale wali jagah par 20 se 25 seconds ke liye rakhe. Is kirya ko 3 se 4 baar lagatar kare.
12. Shahad: Shahad chaale par lagane se kaafi aaram milta hai. Ek cotton(rui) ko shahad mein dubo kar chaalo par lagaye. Glycerine lagane se bhi chalo mein thandak milti hai.
13. Tulsi ka Patta: 2 se 3 tulsi ke patte le aur inhe pees kar ras nikal le. Ab is ras ko chalo wali jagah par lagane se challe thik ho jate hai.
14. Baking Soda: Muh ke chale ka gharelu upay baking soda se bhi kiya ja sakta hai. Agar muh mein koi infection hua hai ya koi bacteria ho gya hai to 1 chamach baking soda ko thode se paani mein mila kar paste bana le aur chale par lagaye. Aap baking soda ko seedha chale par bhi lga sakte hai. Baking soda lagane se thodi jalan hoti hai isliye sawdhani se iska upyog kare.
15. Nariyal Paani: Naariyal ka paani peene se pet ki garmi khatam hoti hai, jisse chalo ki samasya nahi hoti. Chalo ka ilaj karne ke liye nariyal ka doodh bhi isteemaal kar sakte hai. 1 chamach nariyal ke doodh mein thoda sa shahad mila kar chale wali jagah par masage kare.
Sawdhaniya
- Chale hone par sada piye.
- Tambacoo aur cigrate ka sevan bilkul na kare.
- Mirch Masale wali cheeje, aachaar aur khatti chejo ka sevan na kare.
- Paani ki maatra jada le.
- Aap B complex ki medicine bhi kha sakte hai.
- Brush hamesha mulayam wala istemal kare.
- Agar aapko bar bar muh ke chale ho rahe hai to apne muh ki safayi par dhyan de.
Upar bataye hue gharelu nuskhe(home remedies) aajmane ke baad bhi agar aap ke chaale thik nahi ho rahe aur aapki ye samasya lambe samay se bani hui hai, to aap kisi doctor ko jarur dikhaye.
Dosto Muh ke Chale ka Gharelu Upay : 15 Home Remedies for Mouth Ulcers in Hindi ka lekh aapko kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass bhi chale(Mouth Ulser) ki samasya ke gharelu aur desi upchaar hai to aap hamare sath share kare, hum aap ke sujhaav aur anubhav yaha sabke sath share karenge.
Chale to theek ho jate h Lenin fir se ho jate
Iska koi jad se ilaj h kya
Laxman garmi mein chale hote rehte h, jab aap ke chale thik ho jaate h uske baad bhi kuch din parhej karte rahe or upay bhi karte rahe.
Aap ke dwara bataye gaye chale ka 15 gharelu upchar hame accha laga.
Same problem mere b 3-4 din chale thik hote h fir waps ho jate h 🙁
Aarti aap is article mein btaye hue nuskhe apnaye aapko benefit milega.
मै बहुत परेशान हु मैने छालो के लिए candidate mouth paint लगाया लेकिन ३ दिन हो गए कुछ नही हुआ
Pankaj aap is article mein bataye hue upay niyamit roop se karo, aap ko fayda milega.
Mujhe chale huee hai to upay ye achha hai garam paani namak
Nikhil upay sab ache hai par result tab milta hai jab aap kisi upay ko ache aur sahi tarike se kare.
Mujhe kam se kam 2mahene she muh me Dane jaesa chala hai use theek karne ka shahi upaye btaine
Shamahad aap is leekh mein bataye upay kare aapko fayda milega.
Muje 4 din se chhale h sahi ni ho re orasore naam ka gel b lgaya pr kch fark ni pad raha aur kch khaya b ni ja raha
Manish aap is leekh mein bataye hue upay karo aapke chale thik ho jayenge.
mere muh mein chale hafte tak rehte hai or theek hone ke baad dubara ho jate hai mein kya karo
Roshan garmi ki wajah se ye ho sakta hai. Aap abki baar chale thik hone ke kuch din baad bhi ye upay karte rahe.
Mujhe mooh me chale kuch din pehle hue the.. theek bhi ho gye the. Lekin ab fir se ho gye.meri jeebh me hue hii chale. Kahte hii theekha kahne se chale jaldi theek hote hii..plz koi upay batata…
Manju aap mirch aur masaledar khane se parhej kare aur is leekh mein bataye hue upay kare. Challe thik hone ke baad bhi kuch din ye upay karte rahe aapko dubara chale nahi honge.
Mere muh ke andar gall pe kuch kaal type ka hogya h jo 5-6 din se h or toung pe dana jessa hogya h ye kya h…ye cancer ka symptom to nhi h na
Golu ye chaale hi hai jo garmi ke karan ho gye hai, aap is lekh mein bataye nuskhe kare thik ho jayenge. Afar uch din mein ye thik na ho aur aapko koi waham ho to doctor se checkup karwa ke apna waham door kar sakte hai.
5 Saal k bache ko much or jib par chale ka elaj btao
Satbir bache ke liye tulsi ka nuskha apnaye fayda milega.
mere muh aur jibh me chhale ho gya hai bahut paresan hai.kya kare
Manoj garmiyo mein ye samasya normal ho gayi hai aap yha bataye hue nuskhe apnaye aapko fayda milega.
sir mujhe char saal se lagataar chale aa rahe hai sir lekin aaram nhi ho raha hai doctor ko bhi dikhaya lek in aaram nhi ho raha hair sir bataiye kya karoon
Kuldeep sahi tarike se parhej ke sath aap upar bataye hue upay regularly kare aapko aaram milega, aur jab chale thik ho jaye tab bhi upay kuch din aur karte rahe.
Sir muje ek chhala h gums par pichhle last 6 month we Dr Se paramasr liya to bo kahte h ki normal h but muje bahut tension hoti h kya whait spot h
Madhav aap yha bataye hue tips follow kare aur agar ye normal hai to tension mat lijiye, upay kare thik ho jayega.
sir mujhe hoth ke sath sath gale me upar ki side me bhi chale hue he thuk bhi nahi nigla jata please upaye bataye
Pooja ye tonsils ke syptoms lag rhe hai, aap ye article padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/gale-mein-tonsils-ka-ilaj-ke-desi-nuskhe-gharelu-upay-hindi-mein/
sir mujhe pet ki grmi se chaale nikal aye hai or usko uper se shuta hu to dard hota kya kru
Faraz aap upar bataye hue upay karo chale thik ho jayenge aur khane pine mein bhi parhej kare.
Sir.. mai pehle chaliyaa bht khata tha jis ki wajah se mere mu ki jhalii khatam hogae ab ye hota hai k chalee hojatee hai mujhe chaliya khana choray howe ek sal se b zyda hogaya but chalee hojatee hai please koi hal batadee
Rizwan aap upar bataye hue upay kare aur khane pine mein parhej kare fayda hoga.
Ok sir….mujhr kitne days parhaiz karn hai or please ye batadee parhaiz mai kya khana hai or kya nhi
Rizwan jab tak chale thik nahi ho tab tak pura parhej kare aur chale thik hone ke baad bhi kuch din parhej karte rahe taki. Article ache se padhe kya parhej karna hai likha hua hai.
Hello sir,
Mere muh mein gal pe kuch kala sa ho gya hai esa 4-5 din se hai please btaiye k jeh kya hai koi serious problem to nahi hai na
Captain iska sahi pta to checkup se hin lag sakta hai, aap doctor ko dikhaye aur problem ka diagnose karwaye. Agar ye chale hi hai to yha bataye hue upay kare.
Muh aana muh ke chale hi ko kahte hain kya??
Sanjeev bahut si jagaho par cheejo ko alag alag naam se bulaya jata hai to is bare mein hum sahi se kuch nahi keh sakte. Aap doctor se checkup karwa sakte hai.
Mere muh me lagatar chaalo ki wajah se muh khulna kam ho gya hai… koi upaay btayiye
Pankaj upar bataye hue upay kare, paani adhik piye aur khane pine ka bhi parhej kare.
Ye SB maine kia lekin mere muh ka chhala thik ni hua plz krigar upay bataye
Priya agar in upayo se aapke chale thik nahi ho rahe to doctor se mile aur checkup karwaye.
muze 15 dino se muh me chale hai….bcomplex ki tablet bhi li and orasore tupe bhi lagaya phir bhi chale thik nahi huye….plz muze help kare
Dipali ji aap yha likhe hue nuskhe apnaye aaram milega.
Mere muh me chala hua hai bahut deno se lekin thik nahe ho raha hai ish ka elaj plz se hum bahut pareshan hai
MD Irfan aap upar likhe hue upay kare aaram milega.
barish me dino me lagatar much me chale bane rahte air nibu narangi Sam aachar dahi Bhutan Dada pyaz khane she bhi chale ho mate upay bataye sir
Rambilas ji jin cheejo se chale hote hai unke sevan se parhej kare aur upar btaye hue upay kare.
Sir muje 2 month se last dath ke pass ulcer h doctor se chek up vi karwaya becosule z vi ek patta kha chuka hu dath ke doctor se vi dikya avi kenacort malham laga raha hu avi tak thora sudhar huwa sure ke din me kisi ke kahne per mai piperment vi bhaut use kiya ta koi accha uppai bataiye sir.
Abhishek aap ye lekh padhe aur yha likhe hue upay kare aapko aaram milega.
Mere muh k andar tong side me white colour Ka Chota chota chala hua hai Mai 5-6 din ho Gaya dawa bhi khaya Kuch aaram nahi mila Kya Karu.
Shoaib aap upar likhe upay kare aapko aaram milega.
Lekin dard nahi hai kabhi kabhi halka halka jalan hota hai.
Sir mere Pichele 4 Year Se Chale Ho Rhe Hai
JAb Se m Jaipur Aaya hu
m properly Bundi District se hu
mere jpr aane k bad chale hone start ho gye the
mere chale hote hai phir thik ho jate or phir ho jate hai ye kram lgatar chal rha hai
mene AYURVEDIC HOMYOPETHIC ENGLISH MEDICINE sab le chuka hu
but ye suit hi nhi krti
for example agar m apne area k 12 clinic gya to usme shayad 1 ya 2 clinic ki medicine shut krti hai par
or clinic ki medicine shut nhi krti or jo 2 clinic ki medicine b shut krti hai wo b phir dubara jane par wo b shut nhi krti mene
VITABIN B-12 KI JANCH B KARWA li BUT MERE SCORE SHI RHA
ME JPR SMS M B DIKHA CHUKA OR GOVT DOCTOR KO B DIKHA CHUKA HU
BUT KHI SE KUCH B AARAM NHI MILA MENE A 2 Z Gahrelu upay b kar liye mere chale kya ak prakar k alsar hai or
es problem ki wjh se mene ak month khana b chod diya tha
m ab preshan ho chuka ab apni life se pls meri help kro koi b khi se
Rohit sabse pahle to aap khane pine mein achi diet le aur paani adhik piye. Dost aap upar likhe upay kare aur jab aaram milne lage tab bhi inhe karte rahe. Chale thik hone ke baad bhi kuch din in upayo ko karte rahe, aap ko dubara chale nahi honge bas sahi tarike se paryas kare.
Muzhe hamesha don mahino ke bad hamesha muh me nichale ontho ke andar side me hote hai
Rohidas ji paani bharpur matra mein le aur upar btaye hue upar kare.
Mere muh me dar ke pas chhale ho rhe he or dard bhi ho RHA he.or chhale dikh bhi ni rhe he qki vo dar ke pas galo me ho rhe heplz upay btaye
Neelam aap upar btaye hue nuskhe kare aur khane pine mein bhi jaruri parhej kare.
Sir Mere Muh ke Aunder Sada tipe ka jiske bagal me chhed type bhi hai yah kiya hai our kis karan hohta ha our iska kiya elaj hai
Md Munna ye kya hai ye to checkup karke hi doctor bta sakenge aur agar chale hi hai to aap upar btaye hue upay kar sakte hai.
Meri juban safed ho gayi h or gala laal
Vasu agar ye samasya chalo ki wajah se hai to aap upar likhe upay kare aaram milega.
sir muje 10 din se 3 chhale huye hai chhote se wo jibh ki pichhli hisso par doctor ko dikhaya toh dr bola 4 ya 5 din me thik ho jayega par ye thik he nhe ho raha hai kya ho sakta hai aur jibh ke chhale kitne din me thik hote hai
Sandeep aap yha btaye hue upay kare aapko aaram milega.
sab sahi aur ache tarike hein
sir tounge me hole type ka ho gya ninai Jo 8 Dino se tik ni ho rha hi
Saurabh agar ye takleef chalo ki wajah se hai to aap yha likhe upay kare.
Mane jalgi jaldi m garm khana kha liya h or muh jalgya h or ab kuch khaya v nhi ja rha h m kya kru
mere muh me chale pd gaye hai jo ki lal ho gya hai upay btayiye
Shivam muh mein chalo ka gharelu ilaj aap is lekh mein padhe.
Mere muh me chale ho jata h kya hm tulse k patta ka rash lagane se thik ho jayega
Daja ji aap upar article ko padhe isme munh ke chale ke upchar ke liye tulsi ke patto ka istemal kaise kare iski jankari aapko milegi.
Kai saalo se chhale h 2 din thik ho jate h fir ho jate h koi parmanent tretment batate plz
Chetan jitna jaruri ilaj hai utna hi jaruri pareh bhi hai, aap khane pine mein jaruri parhej kare aur sath mein gharelu upay kare.
Sir mere gaal me ak chhota sa phoda hai jo ak hi jagah par baar baar hota hai aur phir thik ho jata hai. Yah mujhe 1 month se ho rha hai kya koi bada bimaari to nhi.koi ilaj hai to bataye.